Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Poetry: Na Neend Rehi Na Chain Raha

Urdu   >>   Urdu Poetry
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:6th May 2009, 6:44pm
 

Kuch Is Tarhan Usse Pyar Karna Parta Hai..

Kuch is tarhan se usse pyar karna parta hai

K apne pyar se inkar karna parta hai

Kabhi kabhi tu wo itna qareeb hota hai

K apne aap ko deewar karna parta hai

Khuda ne usko ata ki hai wo masehae

K khud ko jaan k bemar karna parta hai

Wafa ki rah mein dushwariyan tu ati hain

Wafa ki rah ko humwar karna parta hai

Wo hath rakh k mere dil pe jab puchta hai

Tu mughe dard se inkar karna parta hai...


wah wah wah zaberdast...lols
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:6th May 2009, 6:51pm
 

Badnaam zamany mein Muhabbath nahi karthay,


Badnaam zamany mein Muhabbath nahi karte,
Dil waly to dushman say bhi nafrath nahi karte,
Ik bar jisay chaha sadda us kay rahay par,
Hum log amanat mein khiyanath nahi karte,
Tanahi mein kar latey hain yaad aanso baha kar,
Zahir kabhi hum apni ibadat nahi karte,
Waqt aanay par maalum yeh ho jayega tum ko,
Hum sirf dikaway ki Muhabbat nahi karte,
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:6th May 2009, 6:54pm
 

S4u

arey wah wah kia shairi ki.mojhe to dekh kr hi maza aa gya aur aapko likhne me kitna maza aya ho ga (copy paste me...lol)
.very nice buhot hi khoob.zaberdast...

lolllllzzz
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:7th May 2009, 12:03am
 

S4u

Arey waaah waaah waaah kia copy paste hai.....
Nazar aata hai ke ye copy paste he hai.....lol
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:7th May 2009, 1:48am
 

red chilli aunty

thanks aunty aap ne meri shairi ko psand kia aur oper se tareef bhi ki .aur aap ne samjha bhi k ye kese likhi gai hai....
aunty aapki aqal ki main daad deti hon..wah wah kia aqal hai,kia  zahanat pai hai aap ne ise itni gehrai se parha......lol
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:7th May 2009, 5:50am
 

Mohabbat

MOHABAT Khawab Hoti Hai,

Mohabat Baat Hoti Hai

 

Ager Koi Pooch Baithe To,

Mohabat Raaz Hoti Hai

 

Machalti Hoi Umango Ka, Suhana Sath Hoti Hai

 

Ager Koi Dhoondna Chahy!

To

Ye "NAYAB" Hoti Hai

 

Mohabat Yun B karab-é-Zaat Hoti Hai,

 

Mohabat Phool Hai Shayed!

Ghamo Ki Dhool Hai Shayed!

Kisi Ka Sath Hai Shayed!

Chamakti Raat Hai Shayed!

 

 

Mohabat Pursakoon B Hai,

Mager Betaab Hoti Hai,

 

Ager Na Milay To, Mohabat

Azaab Hoti Hai...!

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:7th May 2009, 5:50am
 

Suno Acha Nahien Lagta

Suno Acha Nahien Lagta

Ke Koi Doosra Daikhay

Tumhari Sharbati Aankhien

Lab-o-Rukhsaar Aur Palkien

Siyah Lambi Ghani Zulfain

Sanwaray Doosra Koi

Mujhe Acha Nahien Lagta

 

Suno Acha Nahien Lagta

Keray Jab Tazkara Koi

Keray Jab Tabsara Koi

Tumhari Zaat Ko Khojay

Tumhari Baat Ko Sochay

Mujhe Acha Nahien Lagta

 

Suno Acha Nahien Lagta

Tumhari Muskurahat Par

Hazaroon Log Marte Hon

Tumhari Aik Aahat Par

Hazaroon Dil Dharakte Hon

Kisi Ka Tum Pe Yoon Marna

Mujhe Acha Nahien Lagta

 

Suno Acha Nahien Lagta

Hawa Guzray Tumhain Chhoo Kar

Na Hoga Zabt Yeh Mujh se

Karay Koi Tum se Gustakhi

Tumhari Zulfain Bikhar Jaien

Tumharay Lums Pe Jaien

Mujhe Acha Nahien Lagta

 

Suno Acha Nahien Lagta

Ke Tum Ko Phool Bhi Dekhain

Tumharay Paas Se Mehkain

Ya Chanda Ki Guzarish Ho

Ke Apni Roshni Bakhshoon

Rukh-e-Jana Koi Daikhay

Mujhe Acha Nahien Lagta

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:7th May 2009, 11:01pm
 

Bhimji

Arey waaah waah kia copy paste hai....
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:7th May 2009, 11:33pm
 

Lamha

Koi lamha Teri yaad k bina nahi guzarta,

Mosam k badalne se yeh Dil nahi behalta,

Muj se Tumhra rishta kya hai nahi maloom,

Bus Bin Tumhare yeh Dil nahi Dharakta."
Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4962  Age:   
Posted on:8th May 2009, 12:12am
 

larko ko bhi bewaqoof banati hain larkiya

larko ko bhi bewaqoof banati hain larkiya
Har field mein to aab ye agay he bari hain
Har field mein he naam banati hain larkiya
Aqal mein bhi in ka koi saani he nahi hai
Duniya ko to bas ab chalati hain larkiya
kaam se bhagte hain saray he larkay
Gharo ka to boj bhi uthati hain larkiya
kisi se nahi kum hain muqable mae yeh
shiqast se bhi dochar karwati hain larkiya
Bari he soft hearted hoti hain phool ki tarha
Larko ki tarha zulm nahi dhati hain larkiya
Ilzam logo ko deyna hai kaam larko ka
Us per khetay hain ilzam lagati hain larkiya
Bhol jate hain yeh akel se paedal aik baat
Saray jahan ka mostaqbil sawarti hain larkiya
Larkiya hoti hain bohat haseen aur jamil
Jalte hain khud aur khte hain jalti hain larkiya
Taste hota hai gals ka bohat ucha aur ala
Tum jasi surtoun pae kab marti hain larkiya
Jin aur jalad se hote hain yeh larke
kayinat ka to roop bas hoti hain larkiya
Is BOARD k larko ko to bas hai yehi aik kaam
Her baat ka inki mahfum hoti hain larkiya
Tum ko to demgh verse mae he nahi mila
Demagh hai tabhi to fitnay phelati hain larkiya
Na panga karo hum se yeh advice hai meri
Warna to khub izat afzayi bhi karti hain larkiya

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:8th May 2009, 12:32am
 

arey aunty

wah wah kia kamal ki likhi hai aap ne era to hans hans k bura haal hai...is k read krne k bad to mera sar aur oncha ho gya hai..lolllzz
DoN2009 Group: Members  Joined: 17th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 331  Age:   
Posted on:10th May 2009, 7:53am
 

Ik sher

Ik Sher Arz hai

Idher bhi gham ho gaya hai

Udher bhi gham ho gaya hai

Msg delete ker do sher khatam ho gaya hai
DoN2009 Group: Members  Joined: 17th Mar, 2009  Topic: 3  Post: 331  Age:   
Posted on:12th May 2009, 2:20pm
 

Ishq

Log ishq kartay hain baray shor kay sath,
Humne bhi kia bare zor kay sath,
Lakin ab karain gay thoray ghor kay sath,
Kyunke kal usay dekha kisi aur kay sath.

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:13th May 2009, 3:53am
 

Don bhai

wah wah kia bat hai.....
jab aap ne pehli bar ishq kia tha tab aap ne apne chashmey utarey hoe th?lol
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:13th May 2009, 4:49am
 

Shoq-e-Visaal ke lamhaat

Shoq-e-Visaal ke lamhaat tumhain baud main hum dain ge,

Woh madhosh chandni raat tumhain baud main hum dain ge,

Pehle zamanay ki nafratoon ka mushahida tou kar lo,

Muhabbat ki haseen soghaat tumhain baud main hum dain ge,

Jise parrh kar main tumhain forun se mil jaaun,

Woh vird, woh aayaat tumhain baud main hum dain ge,

Abhi tou hijr ka karwa zehar tum bhi pio,

Qurbat ka aab-e-hayaat tumhain baud main hum dain ge...

 

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:13th May 2009, 8:30am
 

beeji

wah kia shairi ki very nice
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:13th Jul 2009, 5:47am
 

Chupke Chupke

Woh hata rahe hain Parda sar-e-baam chupke chupke,

Main nazaara kar raha hoon sar-e-shaam chupke chupke,

Yeh jhuki jhuki nigaahain yeh haseen haseen isharay,

Mujhe de rahe hain shayed woh peyaam chupke chupke,

Na dikhaao chalte chalte yoon qadam qadam pe shokhi,

Koi Qatal ho raha hai sar-e-aam chupke chupke,

Kabhi shokhiyaan dikhana, kabhi unka muskurana,

Yeh adaaien kar na daalain mera kaam chupke chupke,

Yeh jo hichkiyaan musalsal mujhe aa rahi hain aalam,

Koi le raha hai shayed mera naam chupke chupke......

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:14th Jul 2009, 3:19pm
 

Khirki Chand Kitab aur main

Khirki, Chand, Kitab aur main,

Muddat se ik baab aur main,

Shab bhar khailain aapas mein,

2 aankhain, ik khawab aur main,

Mauj aur kashti saahil par,

Dariya mein gardaab aur main,

Shaam, Udaasi, Khaamoshi,

Kuch kankar, talaab aur main,

Har shab pakray jaatay hain,

Gehri neend, kitab aur main,

Khirki, Chand, Kitab aur main,

Muddat se ik baab aur main...

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:14th Jul 2009, 5:59pm
 

wah wah ,wah wah

kiya bat hey bhimji ki

 

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:18th Jul 2009, 8:36am
 

Thanks Saim

Lagta hai iss thread ke shaayer b bhag gye hain saaray.
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9  >>
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How to apply for an australian visa  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us