uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:10th Mar 2009, 7:45pm |
|
|
baarishon kay mousam mein baarishon kay mousam mein dil bohet machalta hai teray sang chalnay ko teri baat sunanay ko dil bohet tardapta hai dil ko kaisay samjhaien hum ko zindgii bhar ab baarishon kay mousam mein bheegna bhi tanha hai aur tanha hi chalna hai dil ko kaisay samjhaaien baarishon kay mousam mein tujh ko yaad karna hai |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:10th Mar 2009, 7:56pm |
|
|
Izhaar-e- Nafrat Jab Tum Mujh Say Tang Aa Jao Ya Byzaar Ho Jao To Ek Kam Kerna Apni Mohabbat Ki Terha Apni Nafrat Ka Bhi Foren Izhar Ker Dena Kiyo Kay Main Nay Apny Dil Kay Aangan Main Phoolo Kay Sath Sath Kanto Ki Bhi Jaga Rakhi Hay.... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:10th Mar 2009, 8:02pm |
|
|
aik Sher Ehsaas kay andaaz badal jaatay hain warna Aanchal bhi ussi taar say banta hai kafan bhi |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:10th Mar 2009, 8:12pm |
|
|
Malal Karon to kis liye akhir malal uska, Usay nahi to mujhy bhi nahin khayal uska, Meri wafa ne banaya he bewafa usko, Kisi ada par nahi hai kamal uska, Mere naseeb ki ye b to khushnasibi hai, K mujh ko daikh k sub pochtain han haal uska, Yehi dua main karon her bars k pehle din, Mere baghair na guzre koi b saal uska.... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:11th Mar 2009, 4:03pm |
|
|
Mohabbat aik kutba hay!!! Mohabbat tu kisi bay deep Qabrustan ki Boseeda si ik Qaber per Who nassb kutba hay Key jiss per saaf likha ho Shaheed-e-rahay ulfat Ashiq-e-nakam ka marqad……! Mohabbat aik kutba hay Laga hota hay jo aksar Kabhi layla kay marqad per Kabhi majnoo ki hasrat per Kabhi soni kay matkay per Kabhi ranjhay kay teeron per…..! Mohabbat aik kutba hay Kay jis per saaf likha ho Mohabbat maot ki aghoosh may sir rakh kay sona hay Mohabbat dil pay lahaq roog hay Taa umer rona hay Mohabbat raat bhar ka jagna hay Jan khona hay…..! Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki Kisi maydan may rakhee hui aik aysee mayyat hay Kay jis ko kandha dayney kay liye Koi nahi aata…..! Mager phir bhi Mager phir bhi Laboon per her kisi insane kay rakha hay ye jumla MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY….. Koi mujh say ager kah day Mujhey tum say mohaBbat hay Tu dar jata hon may bayhad Yah he bas wehem aata hay Kay ye izhar ka jumla Mohabat ka yah ik kutba Phir kisi bay deep Qabrustan ki Boseeda si ik Qaber ki Zinat na ban jaey Mohabbat ka yah kutba Phir naee aafat na ban jaye…..! Wohee kutba Kay jiss per saaf likha hay Shaheed-e- rahey ulfat ashiq-e-nakaam ka marqad |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:11th Mar 2009, 4:14pm |
|
|
hawa ka rukh badal chuka hay Hwa ka rukh, Bdl chuka hy...
Tere naam ka kajal Meri aankh k aangn sy Nikl chuka hy...
Gulshn ka ik gul Khushbu ki talash me Kisi anjaan si raah pr Bhtk chuka hy..
Dhdkta dil aj Manoos dhdkn se mehroom Sehem chuka hy...
Mrg e mohabbat ka paighaam Mujhy mil chuka hy....
Tere koochy se Mere dr tk Aany wali hawaa ka rukh, Aj Bdl chuka hy...... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:11th Mar 2009, 4:17pm |
|
|
kisi din... Is bey naam se rishte ko nibhao kisi din jo mil jaye kbhi fursat to pas aa jao kisi din milta hai sabhi kuch sabhi ko ye suna hai mujh ko to faqt tum hi mil jao kisi din barson se ye Dil mera khali he para hai tum apne naam ki takhti he laga jao kisi din barson ki mohabat ko kis tarah bhulate hain mujh ko bhi hunar aisa sikha jao kisi din muqadar main jo likha hai na mitey ga kabhi b fursat miley to is dil ko yeh samjha jao kisi din...!! |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:11th Mar 2009, 7:42pm |
|
|
shakat lehja har kisi ka shakat lehja har kisi ka hai
yeh kesa dastoor ajnabi sa hai
melta nehin koi dil se yahan
yeh duniya ka Naam ajeeb sa hai
Written Veer
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:12th Mar 2009, 5:08am |
|
|
AEY UMER-E-RAWAN Ahista chal Kuch khuab hain jin ko likhna hai
Taabeer ki sorat deni hai
Kuch log hain ujray dil walay
Jinhain apni muhabbat deni hai
Kuch phool hain jin ko chunna hai
Or haar ki soorat deni hai
Kuch apni neendyn baqi hain
Jinhain bantna hai kuch logon main
Unko bhi to rahat deni hai
AEY UMER-E-RAWAN
Aahista chal
Abhi khasa QARAZ chukana hai |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:12th Mar 2009, 6:52am |
|
|
very nice nice poetry by all |
Veer
|
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4723 Age:
31
|
|
Posted on:12th Mar 2009, 8:51pm |
|
|
tum jehne apna kehte thay tum jehne apna kehte thay Veer
aaj onhi ki sikyait karte hon
kabhi khud se mel kar dekho
khud ko khud se kyun parya karte ho?
Written Veer
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:12th Mar 2009, 9:38pm |
|
|
Sunoo! Sunoo! Main thuk gaya hoon Mairy Palkoon pe ab tuk kuch adhooray khawab jaltay hain mairy neendon main tairay wasal ka reshum ulajhta hai mairay ansoo mairay chehray pe teray ghum ko likhtay hain Mairay ander kai sadiyooun ke sanatoon ka daira hai Mairay alfaaz bahain waa kiye mujh ko bhulatay hain Mager main thuk gaya hoon Aur main nein khamoshi ki goad main sir rukh dia hai
Main baloon main Tumharay hijer ki narum ungliyan mehsoos kerta hoon Mairy palkoon pe jaltay khawab hain ab rakh ki surat Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahien bunta Mairy ankhoon main jaisay “THAR” ke mosam ka basera hai Mujhe ander ke sanatoon main gehri neend aai hai Sunoo! Is yaad se keh do Mujhe kuch dair sonay de |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 5:00pm |
|
|
mutafariq ashaar
- Usay khaber thi k poray nahi mere hissay
wo shakhs Phr b mjhy jorta raha kesayyy !!
- Bus ik musalsal hairat hai
kia sahil ,kia grdaab mere ik basti dasht ki rait hai Or raiza raiza khwaab mere. . .
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 5:49pm |
|
|
Insan to nahi... Mujh se chand ne kaha, "Hamnasheen, Alwida. Mujh ko neend aa rahi hai, Kal milengy isi jagha." Main sun kar muskura dia! Or Usko batla dia, K, "Jany waly lot'ty nahin. Tum nahin aao gay, Mujhy hai yakeen." Meri baat sun k wo ruk gya! Or kehny lga, "Tum se wada kron, Phir pora na kron, Aisa mumkin nahin ! Sun ay Hamnasheen! Main chand hoon, INSAAN TU NAHIN. |
gul_11
|
Group: Members Joined: 14th Mar, 2009 Topic: 0 Post: 3 Age:
30
|
|
Posted on:16th Mar 2009, 6:01pm |
|
|
JAB TASAVUE MERA jab tasavur mera cupkay say tujhay chu aay
apni har saans say mujhay teri khushboo aay
mashgala hay ab mera chand ko taktay rahna
raat bhar na chaind mujhay kisi pahloo aay
pyaar nay hum main na koi farq choora baqi
jheel main aqs to mera hoo or nazar too aay
kitna hassas meri aas ka sannata hay
ki khaamoshi bhi jahan band kay ghongroo aay
mujh say milnay saray sham ko aik saya saa
teray aangan say chalay oor labejoo aay
teray chahray ka aasar to bari baat hay Qateel
wo to aankhoon saybhi karta hoa jadoo aay |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 9:19am |
|
|
Bhalay Dino Ki Baat Hai Bhalay Dino Ki Baat Hai!!
Bhalay dino ki baat hai bhali si ik shakal thi,
Na yeh k husan tam ho na dekhnay mai aam C.
Na yeh k woh chalay to kehkashan c rah guzar lagay,
Magar jub wo sath ho to phir bhala bhala safar lagay.
Koi bhi rut ho us ki wo chup fiza ka rang roop thi,
Wo germiyo ki chaun thi wo serdiyun ki dhoop thi.
Na aisi khush libasiyaan k sadgi gila karay,
Na itni be takalufi k aina haya karay.
Na ashiq junoon ki k zinadgi azab ho,
Na is qadar kathorpan k zindagi kharab ho.
So ek roz kiya hua k wafa pe behas chir gai,
Main ne ishq ko amar kaho wo meri zid say chirr gai.
Main ishq ka aseer tha wo ishq ko kafas kahay,
K umer bhar k sath ko wo ba aittaraz hawas kahay.
Na us ko mujh per maan tha na mujh ko us per zaum hi,
Jo aihad bhi koi na ho to phir kiya gham e shikistagi.
So apna apna rasta hasi khushi badal diya,
Woh apni rah chal pari mai apni rah chal diya.
Bhali si ik shakal thi bhali si us ki dosti, Ab us ki yad raat din to nahi mager kabi kabi....
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 12:03pm |
|
|
uteian bhai @ bhimji sahib very nice bhalay dino ki baat aur main chand hoon insan to nahi:) |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 7:57pm |
|
|
Muhabbat ab nahi hogi Sitaaray jo damaktay hain Kisi ki chashm-e-hairan main Mulaqatein jo hoti hain Jamal-e-abr-O-baran main Yeh na abad waqtoon main Dil-e-nashad main hogi Muhabbat ab nahi hogi Yeh kuch din baad main hogi Guzar jain gy jab yeh din Yeh un ki yaad main hogi
@Maryam....tareef kerny ka bohat bohat thanks :), aap jesy appriacater houn tocompy paste ka b mza ata hy..hehee |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 8:03pm |
|
|
zara paray... Ik chand tanha kharra raha, meri khawahishoń se zara paray, Meray saath saath safar main tha, meri manziloń se zara paray. Teri justujoo k hisaar se, teray khwab,teray khayaal se, Main wo shakhs tha jo kharra raha teri chaahatoń se zara paray Kabhi dil ki baat kahi na thi, jo kahi to wo bhi dabi dabi, Meray lafz pooray to thay magar, thay smaa'atoń se zara paray Sar-e-rah guzar too chala hai gar, zara daiKh murh ker to ik nazar, Meri kashtiaań hain jali hui, teray saahiloń se zara paray... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:17th Mar 2009, 8:20pm |
|
|
buzdil ......... Haqeeqat aashna mere... Tujhy shayad khaber hoge Mujhy teri muhabat ne Bohat buzdil bana dala Main har us shay se dartA hun Tujhy jo cheen sakti hai.. Main un lamhon se darta hun Judai jin main rahti hai Main un ashkon se darta hun Jo ban kar yaad bahtay hn Main un lafzon se darta hon Jo khamoshi main rahtay hn Bicharney ki mere hum-dum Main har surat se darta hun... Tujhy shayad khaber ho gi mujhy teri muhabat ne, Bohat buzdil bana dala |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 8 9 >> |
|