sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 4:44pm |
|
|
One of my fav shair Bewakoof
ap kissi website se parh kar to likh sakte haina?? jo apko pasand ayen?? ya ye bhi mushkil kam hai????
Moom ki tarah pighalte hue dekha us ko Rut jo badli badalte hue dekha us ko
Wo jo kanton ko bhi narmi se chhuwa karta tha Hum ne pholoon ko masalte hue dekha us ko
Janay kis gham ko chhupane ki tamanna hai Aaj har baat pe hanste hue dekha us ko
Najane wo mangne jata hai duaon me kisse Haath uthate hee sissakte hue dekha us ko |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
35
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 9:07pm |
|
|
nice ........ good by sunaheri.......
arz hai :
Zoq e Janoon ko hud say guzer janay du
Wo samaitnay ayee hee ga ,humain bikhur janay du
abhe dastrus main hoon tu ehsaas nahee usss ko
ro roo kay pukaray ga ,humain zara guzar tu janay du
wah wah..enjoy....
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 2:10am |
|
|
Beeji ager mangeter sar pe nahi charrey ga to koi aur charrey ga?
ager band baj bhi jata hai to bhi no problem....akhir baje ga bhi to onhi ki khater...heheh
hume ese hi na cherra krein...aap kia jane is chez ko....
ager aap qader krte to shayad aap bhi meri trha hi apni faince ko sar pe bithey hote..
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:08am |
|
|
Oh my God Mujhe tou aik lafz b palley nahin parra tumhara, sab oper se guzar gya..
Kher jahan raho, jese raho, hamesha Khush raho... |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:09am |
|
|
Aaj ki raat by Parveen Shakir Aaj ki raat tou sone ki nahin jaanan,
Aaj ki raat hai tajdeed-e-mulaqat ki raat,
Al-atash kehte huay jisam ki
Peham aawaz
Al-amaan kehti hui rooh ki
Be Chain sada
Tez Barish ki Duaaun main tujhe yaad kiey
Ik muddat se liey bojh Dil-e-khasta par
Teri khawahish ka, tere qurab ki aasayesh ka
Sath dekhay huay khawaboon ka nasha aankhun main
Sath sochi hui baatun ki dhanak nazroon main
Raat ke hath main kia haath dia hai dil ne
Paaun parrte nahin hain jese zameen par iss ke
Roshni kesi rag-o-pe main utar aai hai
Door tak sirf teri shakal nazar aai hai
Mere hathoon main tere chehre ka be daagh kanwal
Taaza barish main tou kuch aur khhila jata hai
Meri aankhein
Tere hontoon ki nami se sarshaar
Sari duniya se chhupaaey
Teri baanhun ka hasaar
Zehan main ghoomta hai pehle pehal ka milna
Aur phir rang-e-mulaqaat ka gehra hona
Aur phir milne ki khawahish ka samundar hona
Dheere dheere
Kisi tasweer ke tukre milna
Jis ki tarteeb ne 2 roohun ka sambandh kia
Aur yeh sach hai
K herat kadah-e-hasti main
Ik Pehchaan ka lamha b kaafi hota hai
Hum pe iss lamhe ka kuch qarz baqi hai ab tak
Tann main tann jazab karein
Rooh main rooh smoyen
K yeh saa-at hai tashakkur ke liey
Raig-e-sehra pe utar aai hai barsaat ki raat
Aaj ki raat hai tajdeed-e-mulaqat ki raat….. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:18am |
|
|
Bhimji bohat khoob aap ne to kamal hi kar diya sachi dekh kar bohat khushi hui bohat bohat shukriya:) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:24am |
|
|
Maryam Thanks
Yeh Khud kalaami main se ja kar mili hai mujhe. Kal main ne library ja ke Parveen Shakir ki saari kulliyat niklwa k index main ja ke issey search kia tha..
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:27am |
|
|
Bhimji bohat shukriya:) waise maine aap ko nahaq takleef di lekin aik baat mujhay bohat achi lagi k aap main book reading ka shauq hae warna to aaj kal net ka zamana hae koi books read hi nahi karta. aap se inspire hokar to abb main bhi wapis atay hi library ki membership zaroor longi
Allah aap ko jazaye khair de:) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 11:14pm |
|
|
Buddhi de thallay laga Le k hath vich cigarette,
kaan vich mundar,
Khhuli Dhotti
Lamba chagga
Loki mainoo keh dende ne, aa buddhi de thallay laga,
Aa thallay lagan wala pla kaam hai kerra,
Oh kardi aa haandi roti,
Main dho lenda vaan weraa,
Te paani de vich aidaan pherdan jivain Ravi de vich khagga,
Loki mainoo keh dende ne, aa buddhi de thallay laga,
Boodhi v te aakhir Rab da ji aey,
Aidhe naal krwaieay kamm te Hunda ki aey,
Oh shopping lai jidoon jaandi bazaar vich,
Main hundaa wan ghar, nahin jaanda bahir,
Bhar k feeder de denda wan je koi roway Munni Bagga,
Loki mainoo keh dende ne, aa buddhi de thallay laga,
Ghar vich karda waan Polish jutti,
Oh hundi aa laagey sooti,
Onu nai main kadi athonda,
Apni Chaa main aap banonda,
Aap peevan aik pyali,
Onu dendaan bhar ke magga,
Loki mainoo keh dende ne, aa buddhi de thallay laga,
Asi te ghar vich raazi baazi rahi da wa,
Par maan peo nu nai buddhi aggay bolan dai da,
Aiween bnda ser parwa le ghar vich ban ke jagga,
Loki mainoo keh dende ne, aa buddhi de thallay laga.. |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 11:24pm |
|
|
Bhikmi bohat khoob, sirf eik lafz ki samjh nahi aaie baqi sab theek hae:) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 11:29pm |
|
|
Babar Mujhe btao kon sa lafz hai. Main abhi bta deta hoon aur yeh Bhikmi kon hai?? |
saira khan
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2008 Topic: 13 Post: 164 Age:
26
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 3:08pm |
|
|
Na shikaayatein na gilaa kare Na shikaayatein na gilaa kare koii aisaa shakhs huaa kare jo mere liye hii sajaa kare mujh hii se baatein kiyaa kare
kabhii roye jaaye vo bepanaah kabhii betahaashaa udaas ho kabhii chupake chupake dabe qadam mere piichhe aa kar hansaa kare
merii qurbatein merii chaahatein koii yaad kare qadam qadam main taviil safar mein huun agar merii vaapasii kii duaa kare
|
saira khan
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2008 Topic: 13 Post: 164 Age:
26
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:16pm |
|
|
oyee sorryy Maryiam jee
mai ny deka hi nhi k ap ny bi yhi poetry post ki hy acha ab hum mofat mai cheater kehlayengy deko hahahahahaha |
saira khan
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2008 Topic: 13 Post: 164 Age:
26
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:20pm |
|
|
Main Hansna Bhool Jati Hoon!!!!
Main Hansna Bhool Jati Hoon
Ek Tum Hi Say Hay Mansoob Khushi
Ek Tumharay Rooth Janay Say
Kissi Ko Kuch Nahi Hota
Phool Bhi Mehaktay Hain
Rang Bhi Damaktay Hain
Suraj Bhi Nikalta Hay
Taray Bhi Chamaktay Hain
Lakin Itna Zaroor Hota Hay
Ek Tumharay Rooth Janay Say
Main Hansna Bhool Jati Hoon
|
azzi
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2008 Topic: 4 Post: 288 Age:
43
|
|
Posted on:3rd Feb 2009, 5:55pm |
|
|
poetry Yaar bhi raah ki deewar samajhte hain mujhe Main samajhta tha mere yaar samajhte hain mujhe
Main to yun chup hoon k andar se bahot khali hoon aur sab log pur-israar samajhte hain mujhe
Main to badalte huye halaat main dhal jata hoon Dekhne walay adakaar samajhte hain mujhe
Naik logon main mujhe naik gina jata hai aur gunahgar,gunahgar samajhte hain mujhe |
saira khan
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2008 Topic: 13 Post: 164 Age:
26
|
|
Posted on:4th Feb 2009, 7:58am |
|
|
Mujhay derya naheen likhna,.................
Mujhay derya naheen likhna, mujhay sehra naheen likhna.. tasalsul say safar main hoon, mujhay thehra naheen likhna
puraney raabtoon ki raakh ab tak dil main baqi hay... mairi jalti hathaili per naya wada naheen likhna...
ana say jeet ker usko agar jo main nay khoya hay. mera nooha naheen likhna, mera naghma naheen likhna...
bisaat-e-zindagi ki aakhri serhad peh khara hoon mujhay fateh naheen likhna, mujhay mohraa naheen likhna..
tumhari aankh main ger main kabhi chup chaap jal ja'oon tum apni ankhoon main laikin mera sadma naheen likhna
gawahi apnay dil say lo, tumhara dil kia kehta hay mujhay jhoota naheen likhna mujhay sachaa nahen likhna
main uski yaad main gum hoon k apnay aap main gum hoon mujhay mehfil nahen likhna mujhay tanha naheen likhna
main apnay lafzoon say shohrat tumhain day jaoonga ik din mujhay mashoor na kerna mera chercha naheen likhna
yeh na ho tum kabhi usko, mitana chahoo na mittey mujhay apna samajh laina magar apna naheen likhna
meri ankhoon main batain hain magar chehrey peh gehri chupp meri ankhain to likh daina, mera chehra naheen likhna
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:4th Feb 2009, 8:09am |
|
|
Sara Aap ki poetry bht achi hoti hai. Agar aap forum wali normal wording (verdana) main poetry send kia karein tou bht acha lagey ga. If u dont mind itne barrey barrey words thora ackward lagte hain. |
saira khan
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2008 Topic: 13 Post: 164 Age:
26
|
|
Posted on:5th Feb 2009, 4:20pm |
|
|
bhimji thanx for the advice but ye verdan kia hota hy mai to simply word py type krti hooor itna braaa braa is lye lika k ye poetry boht achi lgti hy mujy k sab ko jin ki eye sight weak hy on ko bi nazar aye heheheheh |
azzi
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2008 Topic: 4 Post: 288 Age:
43
|
|
Posted on:6th Feb 2009, 4:51am |
|
|
kachi deewar hoon...... Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko Apni Nazron Main Basa Kar Na Girana Mujh Ko
Tum Ko Aankho MainTasawwor Ki Tarah Rakhta Hoon Dil Main Dharkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujh Ko
Baat Karne Main Jo Mushkil Ho Tumhen Mehfil Mein Main Samajh Jaoonga Nazron Se Batana Mujh Ko
Waada Utna Hi Karo Jitna Nibah Saktay Ho Khawab Poora Jo Na Ho Woh Na Dikhana Mujh Ko
Apne Rishte Ki Nazakat Ka Bharam Rakh Lena Tera Aashiq Hoon Deewana Na Banana Mujh Ko |
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:6th Feb 2009, 8:04pm |
|
|
DIL KA HAAL... Dil usi waqt sambhal jayega..
Dil ka haal woh poche to sahi..
Uski nafrat bhi muhabbat hogi..
Meray baare mein woh sochay to sahi..
Uske k qadmon mein bicha don ankhein..
Meri basti se woh guzre to sahi..
Uske seb jhoot bhi shuch lagte hain mujhe..
Shart itni hai woh bolay to sahi..... |
|