Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 11:01pm |
|
|
Missing u Tum paas nahi ho to ajab haal hae Dil ka
Youn jaise main kuch rakh k kahin bhool gai hoon |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:30th Jan 2009, 7:34am |
|
|
!!! TUM !!!!
TUM JIS KHWAAB MAIN AANKHEIN KHOLO
IS KA ROOP AMAR
TUM JIS RANG KA KAPRA PEHNO
WOH MOSAM KA RANG
TUM JIS PHOOL KO HANS KAR DAIKHO
WO KABHI NA MURJHAI
TUM JIS HARF PE UNGLI RAKH DO
WOH ROSHAN HO JAI!
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:30th Jan 2009, 7:35am |
|
|
Jab main chota tha Jab main chota tha,
Shayad duniya bahut bari hua karti thi,
Mujhe yaad hai mere ghar se "school" tak ka woh rasta,
kya kya nahi tha wahan,
chaat ke thele,
jalebi ki dukan,
barf ke gole,
sab kuch,
Ab whan "mobile-shop" hai,"video-parlor" hai, phir bhi sab soona hai,
shayad ab duniya simat rahi hai,
Jab main chota tha,
Shayad shamein bahut lambi hua karti thi,
Main hath mein patang ki door pakre,
ghanto urraa karta tha,
woh lambi "cycle-ride",
woh bachpan ke khel,
woh har sham thak ke choor ho jana,
Ab sham nahi hoti, din dhalta hai aur seedhi raat ho jati hai,
shayad waqt simat raha hai,
Jab main chota tha,
Shayad dosti bahut gehri hua karti thi,
Din bhar woh hujoom bana kar khelna,
woh doston ke ghar ka khana,
woh laraiyan, woh sath rona,
Ab bhi mere kai dost hain,
par dosti jane kahan hai,
jab bhi "traffic signal' pe milte hain "Hi" karte hain,
aur apne apne rastey chal dete hain,
shayad ab rishtey badal rahen hain,
Jab main chota tha,
Shayad duniya bahut haseen hua karti thi,
woh mausami talab,
jisme har barsat main kagaz ki kashti chalata tha,
woh aam ke bagheeche,
woh saundhi dhoop,
woh palash ke lal phool,
woh mitti ki khushbu, kahan gaye woh,
Ab har jagah sirf shoor hai, bheer hai, dhuan hai.
Shayad ab mausam badal raha hai,
Jab main chota tha,
main bahut khush raha karta tha,
Shayad main badal rahan hun,
ya
shayad
yeh duniya mujhe badal rahi hai…. |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:30th Jan 2009, 8:34am |
|
|
bhimji bohat nice hain donon:) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 7:57am |
|
|
tere nakhray uthata hon to ankhien bheeg jati hain tere nakhray uthata hon to ankhien bheeg jati hain
jo phir daaant bhi khaata hon to ankhien bheeg jati hain
tumhare baap ka maal khanay ki saholat chin gayi jab se
kama ke abh jo lata hon to ankhien bheeg jati hain
tere fashion ne begum mujhey bheek manga bana daala,
main apni jeb takta hooN to aankheiN bheeg jaati haiN,
bohat wazni hai jan e man, tera ye ladla beta
issay mein jab uthata hon to ankhien bheeg jati hain
hai khaara iss qadar pani tumhary ghar ke nalkay ka
main peenay jab bhi ata hon to ankhien bheeg jati hain
gayi hai jab se wo "Maikay" ajab hi haal hai apna
main khana khud pakata hon to ankhien bheeg jati hain
azal se mujh ko laa haq hai, ye marz laa dawa yaroo
ke ansoo jab bahata hon to ankhien bheeg jati hain
mujhe mamoo pukaray hai, meri mashooq ka beta
usse goodi uthata hon to ankhien bheeg jati hain |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 8:00am |
|
|
Bhimji hahaha acha to aaj kal aap ki aankhain rimjhim baras eahi hain:) |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2024 Age:
49
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 10:52am |
|
|
Maryam-Bhimji yoon keh dijye k hum ko milna gawara nahi..
hum rusta dekh ray hein der per koi ishara nahi..
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 10:54am |
|
|
Raja bhai nahi raja bhai abb hum log itnay bhi be murawat nahi hain:) |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2024 Age:
49
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 11:00pm |
|
|
Maryam-Bhimji acha huwa jo aap ne puttoon ko huwa de di
ye to kub k sookh chuky thay tofan k intizar mein |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 11:04pm |
|
|
Raja bhai hahaha aaj to aap baerre mood mein hain:) |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 31 Post: 2024 Age:
49
|
|
Posted on:31st Jan 2009, 6:04pm |
|
|
Maryam ji-Bhimji lout aao k thuk gaein hein nigahein intazar mein...
kahein khud hi gir na jaoon apny hi rind k sath |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5402 Age:
|
|
Posted on:1st Feb 2009, 1:19am |
|
|
Wo Chala Gya....! Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya
din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya
jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya
is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya
kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5402 Age:
|
|
Posted on:1st Feb 2009, 1:24am |
|
|
Tum Bin Meri Zaat Adhuri.. Tum Bin Meri Zat ADHURI…
Jaisy Koi Baat ADHURI…
Hijr K Sare Din Hain Poorey…
Lakin Hai Hr Raat ADHURI…
Lafzon Ki Gehrai Mein Jhanko…
Samjho Na Hr Baat ADHURI…
Num Ankhen Aur Sookhi Palkain…
Hoti Hai Barsat ADHURI…
Mujh Se! Mujh Ko! Chheen Gaye Tum..
Reh Gai Mri Zaat ADHURI.
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 9:17am |
|
|
Saba Tum Bin Meri Zat ADHURI…
Itna b sar na charrhao apne mangetar ko warna shadi ke baud band baj jayega...lols |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 9:26am |
|
|
Bhimji aap se aik baat poochna thi k gehrai aur geerai mein kiya farq hae aur geerai kis sense main use hota hae? |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 9:32am |
|
|
Geerai Geerai
yeh tou sentence dekh kar hi uski nature ka pata chaley ga ke kis sense main use hua hai yeh word. Aaya yeh aise uses hau hai jese hum kahein ke falaan insaan bht giraa hua hai etc etc.
Gehraai
Yeh b sentence par hai ke Gehraai kis sense main use hua hai. Aaya yeh Samundar ya daria ki gehraai hai ya Kisi ki soch ki gehraai hai yani depth main ja ke sochna..
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 9:52am |
|
|
Bhimji geerai bhi gehrai k hi sense main use hota hae lekin pata nahi k kis tarah yani in main thoRa sa difference hae. chalain is ko iQ k topic main pooch letay hain:) |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4646 Age:
39
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 12:14pm |
|
|
Safar Safar Tanha nahi karte,
suno! aisa nahi karte..........
jisse Shafaaf nahi karte
usse mila nahi karte,................
Teri Aankhain Ijazaat dain,
to hum kya kya nahi karte,.............
Bohat Ujre hue Ghar par
Safar jiska Muqaddar ho,...........
Usse roka nahi karte,
jo mil kar khud se Khud se kho jaye,
usse ruswa nahi karte,...............
chalo tum Raz ho apna,
Tumhe Afshan nahi karte,.................
ye Unche pair kaise hain,
kahin saya nahi karte,....................
Jo Dhun ho kar guzarne ki,
to phir socha nahi karte,...................
kabhi hassne se darrte hain
Kabhi roya nahi karte............
Sehar se pooch lo Mohsin
ke hum soya nahi karte............. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 264 Post: 4510 Age:
40
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 12:35pm |
|
|
Afsos mujhe shairi nahi aati warna mai bhi koi ghazal kehta
|
saira khan
|
Group: Members Joined: 15th Dec, 2008 Topic: 13 Post: 164 Age:
27
|
|
Posted on:2nd Feb 2009, 3:36pm |
|
|
Lazim Tu Nahi Zuban Izhar Kare !! Lazim Tu Nahi Zuban Izhar Kare !! Kuch Jazbon Ko Ehsaas Bhi Hawa Dete Hain !!
Khamosh Mohabbat Bhi Ibadat Hai !! Aisi Mohabbat Ko Farishte Bhi Dua Dete Hain !!
|
|