Be Happy
|
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 2:01am |
|
|
Koi Khitab To De Benoor aankhon main koi khuab to de,
Meri beqarar raaton ka kuch hisab to de,
Tu khafa hai mujhse lekinphir b agar ho saky, Mere in sawalon ka jawab to de,
Humne jis main likhe thy kuch wady, Agar mumkin hai to meri woh kitab to de,
De nahi sakta agar pyar to aisa kar, Gham de, Zehar de, ya sharab to de,
Jis main beh jae mere dil ki dunya, Aisa koi in aankhon main Selaab to de,
Kabhi tum kaha karet they k aap achy hain, Ab bura he sahi magar koi khitaab to de.
|
Be Happy
|
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 2:10am |
|
|
Khel Sare Hain Muqqadar Ke Khel sare hain ye muqaddar k..
Na ghar k rahe na dar k..
Kis se ham kissa e alam kehte..
log sare mile thay pathar k...
|
Be Happy
|
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 2:20am |
|
|
Dil Dharakna Usney Saa'nsoo's Sey Sunaya Tha Kabhi, doob key chahat mey usney ..dil mey basaaya tha kabhi
zamaana tu kiya ….mujhey.. mujh sey churaaya tha kabhi,
khud sey durr mujhey bhala …kaisey ab usney ker daala
jis ney bohat piyaar sey …seenay sey lagaya tha kabhi,
is tarah nazroo’n sey giraaya …key yaad aaey kuch beetay pal
bey khud hokey.. baazoo’n mey …usney uuthaaya tha kabhi,
ghum tu ye hey sard nazroo’n sey sunaee kyun usney saza!!
shoukh lehjay mey bohat …mujhey jis ney sataaya tha kabhi,
aisa rootha ..key na manta hey … aur na manaata hey
khawb lagta hey ab wo sab…jaisey manaaya tha kabhi,
saari zindagi key leye …roota mujhey ab chhor diya
kaisey bhooloo’n kitna… usney hansaaya tha kabhi,
dard aisa diya ab usney.. neendein bhi meri rooth gaein
jisney seenay pey mera sar rakh key …sulaaya tha kabhi,
is tarah talkh haqeeqat sey jhanjhorra …jaisey bhool geya
nurm muskaan saja key… mujhey usney jagaya tha kabhi,
phir bhi kyun uskey leye … is dil ko dharakney sey rokoo’n
is jism key her goshey ko …. jis ney dharkaaya tha kabhi,
aur meri saansein jo zinda hein ab tak ..usi key kaaran
dil dharakna …usney saa’nsoo’n sey sunaaya tha kabhi,
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
36
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 2:21am |
|
|
muqadar... un ka milna hee muqadar main nahee tha Faraz
warna hum nay kia kuch na khoya usay panay kay liye.
enjoy life........ |
Be Happy
|
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 2:25am |
|
|
Mujhay Pata Hai...
Mujhay Pata Hai Meri Zindagi Main Yeh Din Bhi Aye Ga
Jab Tu Meray He Samnay Meray Dukh Pay Muskuraye Ga
Milnay Ko Tu So Baar Miltay Hain Log Apni Jaga Per
Lakin Teray Na Milnay Ka Bahana Kis Kay Samaj Main Aye Ga
Yoon Tu Main Hans Parti Hoon Teray Aanay Ke Khushi Main
Mager Mera Chup Chup Kay Yoon Rona Kis Ko Nazar Aaye Ga
Intazar Kartay Howay Din Guzar Giya Or Sochtay Howay Raat
Meri Zindagi Ka Har Lamha Is Qdar Mukhtaser Ho Jaye Ga
Teray Wapsi Ke Umeed Per Zinda Hoon Kuch Is Tarah
Jesay Bhujta Howa Charag Aakhri Dafa Timtimaye Ga
Teri Be Rukhi Ko Main Seh Tu Sakti Hoon Mager
Tujhay Mananay Ka Hosla Mujh Main Kaha Say Aya Ga
Tujh Ko YAAD* Kartay Howay Umar Sari Guzar Gaee
Tujhay Bhool Janay Ka Hosla Dil Main Kaha Say Aya Ga
|
Be Happy
|
Group: Members Joined: 25th Aug, 2008 Topic: 15 Post: 243 Age:
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 2:38am |
|
|
Warna kisi or ki zarorat mojhe nahi Qalam Uthao Tu Tumharey Liye Likhon,
werna qalam ki zarorat mujhe nahi.
Lab hilaon tu tumhian pukaron,
werna lafzon ki hajata mujhe nahi.Yeh duniya ek sunsan baagh hai,
Jis main ,main ghumshuda phanchi hon.
Main chahti hon ke Uron tu tumhari bahon main giron.
Werna paron ki zarorat mujhe nahi.
Jab bhi tumharey bare main sochti hon
Tu nain baras parte hain .
Meri khawaish hia ankhain num hon tu sirf tumharey liye.
werna ansoa`o ki zarorat mujhe nahi…
Mukhtasir yeh ke tum mere sath ho tu sub kuch mere pass hia…
Werna kisi or ki zarorat mujhe nahi.
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 5:13am |
|
|
Be Happy Aap tou bht dukhi AATMA lagti hain. Agar itni sad poetry hi krni hai tou apna name BE HAPPY ki bjaey BE SAD rakh lain. Wese mujhe koi aitraz nahin agar aap ka bht dil chahta hai tou aap apne naam kar lain mere wali nazam lekin itni sad poetry na kia karein. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 6:18am |
|
|
Bachpan Bachpan Ka ZAmana Hota Tha
Khushiyon Ka Khazana Hota Tha
Chahat Chaand Ko Pane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha
Rone Ki Wajha Na Hoti Thi
Hasne Ka Bahana Hota Tha
Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shaamon Ka Thikana Hota Tha
Daadi Ki Kahani Hoti Thi
Pariyon Ka Fasana Hota Tha
Ghum Ki Zuban Na Hoti Thi
Na ZAkhmon Ka Pemana Hota Tha
Barish Me Kaghaz Ki Kashti
Har Mosam Suhana Hota Tha
Woh Khel Wo Saathi Hotay Thay
Har Rishta Nibhana Hota Tha |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 8:02am |
|
|
Mujhey Acha Sa Lagta Hai Mujhey Acha Sa Lagta Hai
Tumharey Sang Sang Chalna
Wafa Ki Aag Main Jalna
Tumhey NaraAZ Kerdena
Kabhi Khud Bhi Roth Jaana
Tumhari Berukhi Per Bhi
Tumhari Aarzoo Kerna
Khud Apney Dil Ki Dharkan Se
Tumhari Guftagu Kerna
Mujhey Acha Sa Lagta Hai
Bohat Acha Sa Lagta Hai
Tumhi Ko Dekhtey Rehna
Tumhi Ko Sochtey Rehna
Bohat Gehray Khyaalon Main
Jawabon Main Sawaalon Main
Mohabbat K Hawaalon Main
Tumhara Naam Aajaana
Mujhey Acha Sa Lagta Hai |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 8:15pm |
|
|
Ik Aur Sitaraa!!!! Ik Aur Sitaraa ! Kuch Yaad Hai Tum Ko Janaan Jee? Tum Mujh Ko Sitara Kehtay Thay... Aur Toot'tay Taaray Ka Manzar.. Tumhein Kitna Acha Lagta Tha..! Ab Jab Kay Haal Kuch Aisa Hai.. Kay Saath Tumharaa Chhot Chalaa! Lo! Khush Ho Jaao Janaan Jee.. Ik Aur Sitaraa Toot Chalaa..! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 8:18pm |
|
|
one nice nazam Na chahat k jazbaat alag. Na khushiyon k lamhaat alag. Na phool se thi mehkaar alag Na guzri koi bahaar alag. Na honton ki muskaan alag Na dil k ahd-o-paiman alag. Ne deen alag. Emaan alag Na sur sangeet nagmaat alag. Thi sari baat lakeeron ki. Tere haath alag Mere haath alag |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 8:22pm |
|
|
abhi musam nhi badla yeh tu nay sach kaha hoga, k jab musam badalta hy, badal jate hyn sab insaan, gai rut jis main hum bichray, usay mudaat hoi beety, magar mehsos hota hy, mujhe ab bhi yehi jana ! abhi musam nhi badla........!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:2nd Mar 2009, 8:25pm |
|
|
Woh sub kuch yaad rakhti hai Suna hai haafza us ka bala ka kaam krta hai Usay bachpan ki sab batein abhi tak tak yaad hein aisay K jasiay baat kal ki ho usay subah calender per Naye tareeq ko laana Kabhi bhoolay....... na mumkin hai ! Woh ye bhi yaad rakhti hai k kab usne Kahan kis din aur kis function mein jana hai.... Kisay ghar per bulaana hai Kisay Khud jaa kr laana hai Aur... usay tareekh k au'oraaq per likhay Sabhi qisay yun azbar hein k jaisay us per guzray hon Woh apne hath ki nazuk si poron per Ginaa sakti hai kab kis ne aur kis jung mein Adoo se maat khai thi Usay maloom hai kis dairy pe Usne kab kya baat likhi thi Jahan per jeet likhana tha.... Wahan kun "MAAT" likhi thi..... Bala ka haafza uska .... Woh sub kuch yaad rakhti hai Bajuz us ik wade k Jo mere sath uska tha Wafa mein rung bharnay ka Sada ik sath jeenay ka Sada ik sath mernay ka |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
32
|
|
Posted on:3rd Mar 2009, 7:21am |
|
|
Tum mujhe apni aaghosh main panah do meri maan Soya nahi hoon mujhe sula do meri maan
Aa jaao mujhe lori suna do meri maan
Ashk meri aankhoon main jam say gaye hain
Kar kay dil pay jabar mujhe rula do meri maan
Dekho kitni bay tarteeb ho gai hay zindagi
Bikhray hain meray baal bana do meri maan
Aik karb say aashna rehta hoon her ghari
Iss dard ka ahsaas mitta do meri maan
Jal raha hoon main andekhi aag main
Chomo mera mattha aag bujha do meri maan
Bohat darr lagta hay mujhe duniya say
Tum mujhe duniya say chhupa do meri maan
Thak gaya hoon bohat duniya say lartay lartay
Tum mujhe apni aaghosh main panah do meri maan
|
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:3rd Mar 2009, 8:08pm |
|
|
Nice Sharing By all of u.... |
M Asif
|
Group: Members Joined: 31st Oct, 2008 Topic: 4 Post: 794 Age:
|
|
Posted on:3rd Mar 2009, 8:16pm |
|
|
Meri Rooh..... Meri rooh nikalne wali hogi,
Meri saans bikharne wali hogi,
Phir daman zindagi ka chotay ga,
Dhaaga saans ka b toote ga,
Phir wapis hum na ayengay,
Phir hamse koi na roothe ga,
Phir ankhon mein noor na hoga,
Phir dil gham se choor na hoga,
Us pal tum hamko thamo gay,
Humse dost apna maango ge,
Phir hum na kuch bolengay,
Ankhen b na kholengay,
Us pal tum ro do ge,
Aur hum ko tum kho doge.......... |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Mar 2009, 10:54pm |
|
|
Tumhein Kia Pyar Hy Mujhsy? Wo Mera Poochna us se, Tumhein Kia Pyar Hy Mujhsy? Wo uska Muskura Dena, Nigahon Ko Jhuka Dena, Mery Kandhy Py Sar Rakh Kar, Nafi Men Sar Hila Dena. |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:3rd Mar 2009, 11:01pm |
|
|
YUN HE RANJISHON MAIN GUZAR GAI YUN HE RANJISHON MAIN GUZAR GAI KABHI WO KHAFA KABHI MAIN KHAFA INHI CHAHATON K MOR PEY KABHI WO RUKA KABHI MAIN RUKA WOHI RASTAY WOHI MANZALAIN NA USY KHABAR NA MUJHE PATA APNI APNI ANAA MAIN GUM KABHI WO KHUDA KABHI MAIN KHUDA...!!! |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
31
|
|
Posted on:4th Mar 2009, 12:55am |
|
|
uetian bhai yeh 2 poems bohat hi nice hain :) zabardast:) |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
34
|
|
Posted on:4th Mar 2009, 7:38pm |
|
|
Maryam Baji Tareef kerny ka shukriyaa:) |
|