Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry:Woh Cheez Jis Ne Collage Mein Dhoom Macha Rakhi Hai

Urdu
 
 
Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2009, 9:58pm
 

Zindagi Ke Har Mor Par!!!!

Zindagi Ke Har Mor Par
Hum Ne Dhoka Kha Rakha Hai

Loog Samajhte Hain
Hum Ne Duniya Ko Hansa Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!
Keh Hum Ne
Apne Ghar Ke Aik Kamre Mein

Aik Choota Sa Apni Hasraton Ka
Qabristan Bana Rakha Hai

Mout Bhi Karti Hai Hum Se Be Wafaye
Aur Ghumon Ne Humein
Sanam Khana Bana Rakha Hai

Loogo Ki Nazro Mein Hum Ne
Apne Labon Par
Majmooa-E-Aashar Saja Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!!
Hum Ne Ghum Aur Dukhoo Ka
Naam Khushi Bana Rakha Hai

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2009, 9:59pm
 

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara !!!!

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2009, 10:01pm
 

Hum Ne Kisi Ki Yaad Main !!!!!!

Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:4th Jan 2009, 10:02pm
 

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai !!!!

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai
Ishq Nahi Kya To Kar Ke Dekho
Zalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai

saira khan Group: Members  Joined: 15th Dec, 2008  Topic: 13  Post: 164  Age:  26  
Posted on:5th Jan 2009, 3:23pm
 

my reply

Mujh Se Har Baar Woh Apni Nazrein Chura Leta Hay Faraz.

Main Ne Kaghaz Par Bhi Dekhi Hain Bana Kar Aankhein Us Ki...!

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 3:38pm
 

Saira Khan

Very Nice

yehi ik kawab mera hy
k ussy aik bar apna kahoo
phir uss k baad chahy
wo mujhy na milly
bas itni khuwahish hy
ik bar poory haq sy ussy apna kahoo.

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 3:39pm
 

MayApny

may apny dil ko tu kissi tharah samjha lo gee lakin
ik tery kiyaal ka nasha hy jo uterta nahi hy

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 3:40pm
 

Najaney Oss Shaks Ko !!!

Najaney Oss Shaks Ko yeh kessa Honar Atta Hai

Shaam Hoti Hai Tu Ankhoo'n mein Uter Atta Hai

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 3:52pm
 

jitni shidat se

jitni shidat se mujhe zakham diyaus ne”FARAZ”
itni shidat se to mie ne use chaha bhi na tha

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 3:54pm
 

bandh lee hath sainay pe saja le tum ko

bandh lee hath sainay pe saja le tum ko
jee mai Ata hai ke taweez bana le tum ko

pher tumhe rooz sanwaray barhta dekhe
kyu na Angen mai chanbili sa laga le tum ko

kabhi Khawbo ki tarha Ankh ke pardon mai raho
kabhi Khawhish ki tarha dil mai bola le tum ko

jis raat ke sainay mai hai mahatab ka noor
apne tareek makanon mai saja le tum ko

kia ajeeb khawhaisy uthaty hai humare dil
kar ke muna sa hawaon mai uchalay tum ko

is kader toot ke hum ko tum pe pyar ata hai
apni bahon mai bharay maar hi dalay tum ko

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 4:02pm
 

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari

Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass

Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans

Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi

Ahmed Faraz

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 4:03pm
 

Hum Se Bichar K

Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz

Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath …

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 4:03pm
 

Haseen Yadoon K

Haseen Yadoon K Kuch MauSaM Ussey Arsaal Krney Hein FARAZ

SuNa Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 4:04pm
 

main

main simtnay k liye hr bar tum se milta hon fraz ….

tum se milta hon to kuch or bikhar jata hon

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 4:05pm
 

Uss Se Milte Hee

Uss Se Milte Hee Yeh Ehsas Hua Tha Mujhko
FARAZ

Ye Wohi Shaks Hai Jo Lambi Judai De Ga

GhaZal Group: Members  Joined: 05th Jan, 2009  Topic: 0  Post: 18  Age:  35  
Posted on:5th Jan 2009, 4:08pm
 

Ye meri ghazlen ye meri nazmen

Ye meri ghazlen ye meri nazmen
Tamam teri hikayaten hain
Ye tazkare tere lutf ke hain
Ye shair teri shikayaten hain
Main teri nazar kar raha hun
Ye un zamanon ki sa’aten hain
Jo zindagi ke naiy safar main 
Tujhe kissi waqt yaad aain
To aik ik harf ji uthay ga
Pehn ke anfas ki qabain
Udas tanhaoyon ke lamhon
Main naach uthen gi ye apsaraain
Mujhe tere dard ke ilawa bhi
Aur dukh the ye manta hun
Hazar gham the jo zindagi ki
Talash main the ye janta hun
Mujhe khabar thi keh tere aanchal main 
Dard ki rait chanta hun
Magar har ik baar tujh ko chu kar
Ye rait rang-e-hina bani hai
Ye zakham gulzar ban gaye hain
Ye aah-e-sozan ghata bani hai
Ye dard moj-e-saba huwa hai
Ye aag dil ki sada bani hai
Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tere hain
Ye dukh ke nohay,ye sunk ke naghme
Jo kal mere the wo ab tere hain
Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain
Wo tera sha’air tea mughanni
Wo jis ki baten ajeeb si theen
Wo jis ke andas khusarwana the
Aur adaain gharib si theen
Wo jis ki jeene ki khahishen bhi
Khud us ke naseeb si theen
Na pooch us ka keh wo dewana
Both dinon ka ujar chuka hai
Wo kohkan to nahin tha lekin
Kari chatanon se larh chuka hai
Wo thak chukka tha aur us ka tesha
Ussi ke seenay main garh chuka hai

Ahmed Fraza

saira khan Group: Members  Joined: 15th Dec, 2008  Topic: 13  Post: 164  Age:  26  
Posted on:5th Jan 2009, 9:40pm
 

Asar hooga muhbat ka Glat fahimy main mut rehna

Asar hooga muhbat ka Glat fahimy main mut rehna
wo budlay ga chulan apna glat fahimy min mut rehna.
ye mumkan hay main loot aoon
mugar ye bhe usay kehna
glat fehmay main mut rehna

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4204  Age:   
Posted on:7th Jan 2009, 8:05am
 

hima and ghazal

sorry hima, aap kaamiab jasoos nahi ban sakti q k

Hima Malin 's Profile
  User Name   Hima Malin  
Age   30 years
Gender   Female
Marital Status   Married
Qualification   MA
Occupation   House Wife
City & Country   Toba Take Sing , Pak

 

GhaZal 's Profile
  User Name   GhaZal  
Age   30 years
Gender   Female
Marital Status   Married
Qualification   MA
Occupation   House Wife
City & Country   Toba Take Sing, Pakistan

yahi nahi, ghazal aur hima ki posts k fonts size aur color b ek jaisa hi hai

aap multiple ids q use kar rahi hain???????????????

happy123 Group: Members  Joined: 30th Dec, 2008  Topic: 3  Post: 159  Age:  40  
Posted on:7th Jan 2009, 8:36am
 

haha

wow ,,choori pakri gai

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:7th Jan 2009, 11:31pm
 

Hima Malini

beta jasosi tu may ney tumhari kar li hey or mujehy achi tarah malom hey key tum kon ho

lakin ab tum yeah  bachon ki tarha nam badal kar ana chor do or appni real id say ajoo tu acha hey

Chanda

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Fill Out A Job Application  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us