Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
a
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry:Woh Cheez Jis Ne Collage Mein Dhoom Macha Rakhi Hai

Urdu
 
 
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:9th Jan 2009, 6:10am
 

Dont...!

dont divert the topic.

ager kisi ne koi bhi kism ki discussion kerni hai to chatting category me kre.

aur Hima Malin aap itni bari batein na krein k koi aapko nahi jan sakta etc etc.....Allah hi sab kuch janne wala hai.

yahan per sab log aik dosrey k sath gup shup krte hain aik dosrey ka acha sochtey hain.

koi yahan pe jasosi k lie farigh nahi hai.so aap bhi baqi members ki trha yahan per enjoy krein.

bas main  itna zaror kahon gi k aap ko yahan her trha k friend mil sakte hain aap her aik se bat ker sakti hain per koshish rahe k forum ka mahool kharab na ho.ok dear..



Tariq_abc Group: Members  Joined: 20th Sep, 2008  Topic: 22  Post: 1094  Age:  31  
Posted on:9th Jan 2009, 6:28am
 

Saim Arif

yaar asal baat yeh he kah main ne ab pange chor diye hain warna main is hima malini ko aisa sudharta kah seedhi dharminder ki godh main ja ker girti aur kabhi uthhti hi nahi.....haha

lakin main ne yahan kuchh friends se promise kia he kah ab ksi se panga nahi lunga aur na jasoosi krunga......aray khajoor ki bijji ko kia pata hum kon aur kese jasoos hain aur kitne choro ko pakr ker bhagaya aur sazain sunai hain.....haha

yeh janti nahi mera code"Panga dil mera nanga....haha"

saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:9th Jan 2009, 6:32am
 

hummm

ok tariq that's good key app ney panga chor diya hey

wasey tu mujhey bhi achi tarha malom hey key yeah hima malni kon hey key lakin chalo koi bat nahi bachi hey bechari chor detey haen iss ko

 

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:9th Jan 2009, 2:18pm
 

S4u

Pehle tolo phir bolo

bari bari baateyn mai ne nahi Saim Arif and Tariq abc  kar rehy hein

Saim Arif muje janti bi hei

lekin mera naam lety hue darti hei bechari

in dono ne meraa thread kharab kia hei .

ap keisy keh sakti hein k yaha koi jasoosi k liye farigh nahi

ap mere thread me members k replies  dekheyn

phir kehyn k yahn koi farigh hei k nahi

Tariq_abc Group: Members  Joined: 20th Sep, 2008  Topic: 22  Post: 1094  Age:  31  
Posted on:9th Jan 2009, 6:28pm
 

Hima malini

main ne kab kiya thread kharab?......tujhay bhagadoon?
Tariq_abc Group: Members  Joined: 20th Sep, 2008  Topic: 22  Post: 1094  Age:  31  
Posted on:9th Jan 2009, 7:02pm
 

Hima malini

Panga dil mera nanga....haha

sab mil ke bolo panga dil mera nanga....haha

zra zor se bolo panga dil mera nanga....haha

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 1:58am
 

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz

Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:08am
 

kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein

kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya

Koi Rang To Do Mere Chehre Ko
Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya

Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib
Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya

Ek Aaina Tha So Toot Gyaa
Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya

Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon
Tum Aao To Kya Na Aao To Kya!

Jab Dekhne Wala Koi Nahin
Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya

Hai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi Zyaan
Ji Jaao To Kya Marr Jaao To Kya

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:10am
 

Kitaabon Mein Mere Fasaane Dhoondte Hain

Kitaabon Mein Mere Fasaane Dhoondte Hain
Naadaan Hain Guzre Zamaane Dhoondte Hain

Jab Woh The….!! Talaash-E-Zindagi Bhi Thi
Ab To Maut Ke Thikaane Dhoondte Hain..!!

Kal Khud Hi Apni Mehfil Se Nikaala Tha..!!
Aaj Hue Se Deewaane Dhoondte Hain…!!

Musaafir Be-Khabar Hain Teri Aankhon Se
Tere Shahar Mein Maikhaane Dhoondte Hain

Tujhe Kya Pataa Ae Sitam Dhaane Waale
Hum To Rone Ke Bahaane Dhoondte Hain…!!

Unki Aankhon Ko Youn Dekho Na “Kamal“
Naye Teer Hain…!!
Nishaane Dhoondte Hain

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:11am
 

Mairi Ankhoon Mein Ansoo Ke Tarhaan Aik Raat Aa Jaoo

Mairi Ankhoon Mein Ansoo Ke Tarhaan Aik Raat Aa Jaoo
Takaluf Say Banawat Say Adaa Say Choot Lagti Hai

Mein Shabnam Ke Zubaan Say Pholoon Ke Awaz Sunta Hoon
Ajab Ehsaas Hai Apni Sadda Say Choot Lagti Hai

Aaj Ham Bichhre Hain To Kitane Rangiile Ho Gaye
Merii Aankhen Surkh Tere Haath Piile Ho Gaye

Kab Kii Patthar Ho Chukii Thii Muntazir Aankhen Magar
Chhuu Ke Dekhaa To, Mere Haath Giile Ho Gaye

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:13am
 

Dua K Liey Haath Uthiey K Aankhien Num Ho Gaiee

Dua K Liey Haath Uthiey K Aankhien Num Ho Gaiee
Sajdey Mai Sir Jukaia K Aankhien Num Ho Gaiee!

Khuda Ne Mujy Kia Kuch Nawaza Hai
Ye Socha Hi Tha K Aankhien Num Ho Gaiee!

Rub Ne Merey Hissey Mai Jo Tera Peyaar Likha Tha
Woh Sab Lamhey Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!

Tu Ne Jo Kabi Kiey They Wadey Khuda K Samney
Woh Sab Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!

Teri Khushbu Teri Kurbat Ke Wo Hasin Lamhey
Woh Jab Jab Yaad Aiey To Aankhien Num Ho Gaiee!

Usey Meri Jis Jis Baat Pey Fakhr Hooa Kerta Tha
Woh Sab Batien Yaad Aieen To Aankhien Num Ho Gaiee!

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:18am
 

mujhe batlana nahi aata...

Kisi jhooti wafa se
dil ko behlana nahi aata

Mujhe ghar kaaghzi phoolon
se sajana nahi aata

mai jo kuch hoon wohi kuch hoon
jo zahir hai wohi batin hai

mujhe jhoot se dar o deewar
chamkana nahi aata

bohat kamzoriyaan hien mujhe mea
ek yeh bhi kamzori hai

mohabbat ho kisi se tou
mujhe batlana nahi aata...

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:21am
 

Na Milne Ki Khushi Na Bichadne Ka Ghum,

Na Milne Ki Khushi Na Bichadne Ka Ghum,
Na Aankh Main Aansu Na Udaas Hai Hum,

Kaise Kahe Tum Ko Kaise Hai Hum,
Bus Yu Samaj Lo Bahut Akele Hai Hum

Thi Un Ki Zidd K Main Jaaon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

Main Nay Tu Kabhi Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Roz

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:23am
 

Terre Aa Jaanne Ke Din Hen...

Baatten Duhraanne Ke Din Hen..
Terre Aa Jaanne Ke Din Hen...

Rastte Weraan SHAAM Andherri...
Ghabraatte Jaanne Ke Din Hen...

Teraa ROOP Diloon Par Chayaa...
MAUJJ Men Aa Jaanne Ke Din Hen...

Khauf Se Rukke Huey The ANSOO..
Un Keh Jaanne Ke Din Hen...

Dil Men Chuppi Woh Gehrri Baatten..
Phir Se Keh Jaanne Ke Din Hen...

BAND ANKHEN Aur Terri Yaad..
Khoey Reh Jaanne Ke Din Hen...

Terri Yaadden PHOOL Hawaaen..
MEHFIL Mehkaanne Ke Din Hen...

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:26am
 

Tumhey kis qadar hai chaha,

Meri yaad kay nagar may,

Merey khwab kay safar may,

Meri soch ki tahon tak,

Meri aankh kay bhanwar may,

Meri shab ki oddhni may,

Merey sath tum hi tum ho.

Merey pass kab nahi ho?

Meri har dua ka mehvar

Bas ek arzoo tumhari

Aur is arzoo kay agay

Koi raasta nahi hai.....

Tumhey kis qadar hai chaha,

Yeh tumhe pata nahi ha

Hima Malin Group: Members  Joined: 28th Dec, 2008  Topic: 1  Post: 94  Age:  35  
Posted on:10th Jan 2009, 2:29am
 

Sada Muskuratay Raho

Dard Kaisa Bhi Ho Ankh Nam Na Karo
Raat Kaali Sahi Koi Gham Na Karo

Ik Sitara Bano Jagmagatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho

Baant'ni Hai Ager Baant Lo Her Khushi
Gham Na Zahir Karo Tum Kisi Per Kabhi

Dil Ki Gehraai Mein Ghum Chupatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho

Ashk AnMoL Hain Kho Na Dena Kahin
In Ki Her Boond Hai Motiyoon Se Haseen

In Ko Har Ankh Se Tum Churatay Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho

Faasley Kam Karo Dil Milatey Raho
Zindagii Mein Sada Muskuratay Raho

Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:10th Jan 2009, 7:29am
 

Ujrey huay logoon se gurezaan na hua kar

Ujrey huay logoon se gurezaan na hua kar,

Halaat ki qabroon key yeh katbey b parrha kar,

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de,

Tanhaai ke lamhoon main kabhi ro b lia kar,

Aey dil tujhe dushman ki b peh-chaan kahan hai,

Tu halqaa-e-yaraan main b mohtaat raha kar,

Kia jaaniey kyun tez hawa soch main gumm hai,

Khawabeeda parindoon ko darakhtoon se urra kar,

Uss shakhas ko tum se b marasam hain tou hon ge,

Woh jhoot na boley ga mere saamne aa kar,

Pehla sa kahan hai meri rafter ka aalam,

Aaey gardash-e-doraan zara tham tham ke chala kar,

Ik rooh ki faryad ne chonka dia mujh ko,

Tu ab tou mujhe jisam ke zindaan se raha kar,

Ab thokrein khhaey ga kahan aey gham-e-ahbaab,

Main ne tou kaha tha mere dil main raha kar,

Iss shab ke muqaddar main sehar hi nahin mohsin,

Dekha hai kai baar Charaghoon ko bhuja kar…..

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:10th Jan 2009, 7:32am
 

wah wah wah

nice poetry by bhimji & ghazal
ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1873  Age:  40  
Posted on:10th Jan 2009, 8:31am
 

Maryam

Maryam aaj kal aap poetry send karne ki bijaye bas wah wah he kar rahi hain :)
Bhimji Group: Members  Joined: 07th May, 2008  Topic: 13  Post: 1868  Age:  31  
Posted on:10th Jan 2009, 11:14pm
 

Thanks Maryam

For Wah Wah Wah

 

 

For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7  >>
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Bangladeshi Community Celebrating Canada Day In Toronto

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us