Tariq_abc
|
Group: Members Joined: 20th Sep, 2008 Topic: 22 Post: 1094 Age:
31
|
|
Posted on:11th Jan 2009, 2:09pm |
|
|
Hima malini jee karda bhae jee karda tune porh bitanwa jee karda |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 9:37am |
|
|
Main ne ik jhalak zindagi ko dekha Main ne ik jhalak zindagi ko dekha,
Woh meri raah main kahin gunguna rahi thi,
Main ne ussey dhoonda idher udher,
Aankhh macholi khhelti hui woh muskura rahi thi,
Ik arsay baud aaya tha mere dil ko qarrar,
Woh thapki de kar mujhe sula rahi thi,
Hum dono kyun thay khafa aik doosre se,
Main usko woh mujhko bta rahi thi,
Main ne kaha tu ne mujhe yeh dard kyun dia,
Uss ne kaha main zindagi hoon tujhe jeena sikha rahi thi...... |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 9:52am |
|
|
Jab se tu kisi aur ki shehzadi ho gai Jab se tu kisi aur ki shehzadi ho gai,
Umer jitni thi meri baqi, aadhi ho gai,
Mere hissay main aaien tanhayyan,
Kisi ki khana abaadi ho gai,
Mohalley ka dada banta phirta tha tere naam par,
Hi Mohallaey ki Daadi tou gai,
Aadhi salary se tere liey tohfa khareeda,
Aur baqi aadhi tankhwa kahin khho gai,
Dil khhol ke khaya pia krta tha main,
Ab tou har shay Baadi ho gai,
Fashion dikha ke mujhe zamaney bhar ke,
Tu seedhi saadhi ho gai,
Idher ka udher kar dia zamaney ne,
Jo shay thi saadi ab twadi ho gai,
Tera Jorra laal aur mera safaid,
Teri phholun bhari sej meri samaadi ho gai.....
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 10:28am |
|
|
bhimji wah wah wah very nice:) |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 10:30am |
|
|
Bhimji muje hamdardi hae aap se :) |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 10:33am |
|
|
Thanks Maryam:
Aap bht Wah Wah krti hain. Aap kahin Wah Cantt tou nahin rehti rahin??
Ch. Babar:
Hehehehe |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 27 Post: 4679 Age:
30
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 11:11pm |
|
|
bhimji asal main maine kahin parrha tha k jahan ziada poetry likhi ho to usay read nahi karna sirf wah wah karni hae:) |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 3:34pm |
|
|
Maryam sis hahaha
acha to aap ne ese hi Wah Wah Wah Wah ker dia.
Wah kia baat hai.
|
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 3:44pm |
|
|
Pane Se Khone Ka Maza Or Hai Pane Se Khone Ka Maza Or Hai Bandh Aankho Se Dekhne Ka Maza Or Hai Aansu Bane Lafz Or Lafz Bane Gazal Yaadon Ke Sath Jine Ka Maza Kuch Or Hai |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 3:46pm |
|
|
Kaash Wo Nagme Humein Sunaye Na Hote Kaash Wo Nagme Humein Sunaye Na Hote Aaj Unko Sunkar Ye Aansu Na Aaye Hote Agar Is Tarah Bhul Jaana Hi Tha To Itni Gehrai Se Dil Mein Samaaye Na Hote |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 3:49pm |
|
|
Dosti Se !!! Dosti Se Kimti Koi Jagir Nahi Hoti Dosti Se Khubsurat Koi Tasvir Nahi Hoti Dosti Yun To Hai Ek Kacha Dhaga Magar Is Dhage Se Mazbot Koi Zanjeer Nahi Hoti |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 3:53pm |
|
|
Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai Dosti Khilte Phool Ki Khushbu Mein Hai
Dosti Ugte Suraj Ki Kirno Mein Hai Dosti Har Naye Rishte Ki Umeed Hai
Dosti Khwaab Hai, Dosti Jeet Hai Dosti Pyaar Hai, Dosti Geet Hai
Dosti Sang Chalti Hawaaon Mein Hai Dosti In Barasti Ghataaon Mein Hai
Dosti Doston Kiwafaaon Mein Hai Haat Utha Kar Jo Maangi Hai Dua
Dosti Ka Asar In Duaaon Mein Hai Dosti Pehli Baarish Ki Boondo Mein Hai |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 3:57pm |
|
|
Kuch Dur Hamare Sath Chalo Kuch Dur Hamare Sath Chalo Hum Dil Ki Kahani Keh Dain Ge Samjhe Na Jise Tum Ankhon Se Woh Bat Zubani Keh Dain Ge Pholun Ki Tarah Jab Hounton Pe Ek Shokh Tabassum Bikhre Ga Dheere Se Tumhare Kanoun Mein Ek Baat Purani Keh Dain Ge Izhare-E-Wafa Tum Kia Jano Iqrar-E-Wafa Tum Kia Jano Hum Zikr Karain Ge Ghairun Ka Aur Apni Kahani Keh Dain Ge |
M.shoaib
|
Group: Members Joined: 12th Jan, 2009 Topic: 0 Post: 17 Age:
30
|
|
Posted on:12th Jan 2009, 11:59pm |
|
|
hima v nice waqai ap soch say bahar hain
|
Tariq_abc
|
Group: Members Joined: 20th Sep, 2008 Topic: 22 Post: 1094 Age:
31
|
|
Posted on:13th Jan 2009, 6:32am |
|
|
Hima malini ab band bhi kro chori ke isha'ar....haha |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:13th Jan 2009, 10:34am |
|
|
ajab pagal c larki hai Ajab pagal c larki hai mujhay har khat main likhti hai mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hon meri batain satati hain meri nendain jagati hain meri ankhain rulati hain december ki suhneri dhoop main..ab bhi tehaltay ho kisi khamosh rastay say koi awaz ati hai.. thatarti sard ratoon main tum ab bhi chhat pe jatay ho.. falak k sab sitaron ko meri batain sunatay ho.. kitaboon se tumhare ishq main koi kami aai ya meri yad ki shiddat se ankhon main nami aai.. ajab pagal c larki hai mujhe har khat main likhti hai.. jawaban usay likhta hoon.. meri masrofiat dekho.. subha se sham office main.. chiraghay umr jalta hai phir us k baad dunia ki.. kayi majborain paoon main berrian dal rakhti hain mujhay bay fikr chahat say bharay sapnay nahin dikhtay tehalnay,jagnay,ronay ki mohlat he nahin milti sitaron se milay ab arsa huwa..... naraz hon shayad... kitabon se shagaf mera.. abhi wese he qayem hai farq itna parha hai ab unhain arsay main parhta hon
tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon. k main khud ko bhulanay ki musalsal justujo main hon tumhain na yaad anay ki musalsal justujo main hon magar yah justujo meri buhat nakam rehti hai meray din raat main ab b tumhari sham rehti hai meray lafzon ki har maala tumharay naam rehti hai tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad karta hon purani baat hai jo log aksar gungunatay hain.. unhain ham yaad kartay hain...jinhain ham bhul jatay hain ajab pagal c larki hai meri masrofiat dekho tumhain dil se bhulaoon tau tumhari yaad aaey na tumhain dil se bhulanay ki mujhay fursat nahin milti aur is masroof jeevan main... tumharay khat ka aik jumlaaaa... tumhain main yaad ati hon meri chahat ki shiddat main kami honay nahin deta buhat ratain jagata hai..mujhay sonay nahin deta so agli baar khat main yah jumla nahin likhna ajab pagal c larki hai mujhe phir b yeh likhti hai mujhe tum yaad kartay ho tumhain main yaad ati hon. |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:13th Jan 2009, 10:45am |
|
|
Shabash Bhimji Hamesha wahi poetry send karna jis ko read kiye beghair he wah wah karna parre. abhi aa jati hain woh jo aap ki har poetry pe wah wah karti hain. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:13th Jan 2009, 10:47am |
|
|
Babar Yar yeh poetry parrhne wali hai. Issey parrho tou sahi. Phir aap really Wah Wah karo ge... |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:13th Jan 2009, 10:49am |
|
|
ok main read kar raha hoon |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:13th Jan 2009, 10:50am |
|
|
yar Read krte krte so na jana. hehehehhe
(Wese itni lambi b nahin) |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 >> |
|