Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:02pm |
|
|
Tum Bin....Zindge Jee rahe hai zindge Ke sansoon mein tum ho Jab ankhein baand karte hai To khabhoo mein tum ho Jab bolte hai to baaton mein tum ho Likhte hai kuch Lo har lafz mein tum ho Dhakta ta hai dil To dhdkan mein tum ho Jee rahe hain abhi tak Kunki jaan tum ho |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:08pm |
|
|
kaisay jiyan gay tum bin
kaisay jiyan gay tum bin yeh kiyal tu kiya hota jo dard saha hum nay wo dard tum nay b kabhi saha hota bas chal diya daman chora kay begano ki tarah kam say kam has kay ik dafa alvidda tu kaha hota
|
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:09pm |
|
|
tum bin
waqt bitaya tha kuch anjaan palo ke saath, us ek lamhe ki yaad abhi dil ke kone me taaza hai. mein bhulna bhi chahu use, to bhi uske nishan abhi taaza hain. ek lamhe me kya de gaya wo mujhe, use iska ilm nahi. aur kya le gaya mujhse iska mujhe ilm nahi. kab wo waqt bewaqt yaad aane laga, yaad nahi aata. bas itna yaad hai ki....... ku khaas, kuch gehra naata hai in saanso se uska. maam uska dost hai, par yaad har dhadkan ke saath aata hai.
|
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:12pm |
|
|
Meri sanson mein Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon
Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon
Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon
Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon
Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon
Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon
|
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:13pm |
|
|
Shaam hotay hi
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain,
Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain
Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi,
Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain,
Ho na jayai kahin un ka dedar hamain,
Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain,
Na koi dost na sathi jub apnay paas ho,
Aisay main aankh say aansu rawan rakhtay hain,
Yeh dil tou hay nadaan laikin,
Hum bhi mohabbat per pukhta yaqeen rakhtay hain |
| |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:16pm |
|
|
USEY KAHNA USEY KAHNA
Bezahir to hawain badli baldi hain
Chaman bhe badla badla hai
Mager Dil mein.....
Tumhari yaad ka mosam nahi badla
Tere chahat k phoolon ke.
Abhe khushboo nahi bikhre
Mery ander tumhari zaat ka.
Ehsaas baqi hai
Tumhary dam se mere zindge ke
sans baqi hai
USEY KAHNA
k mosam to badelty rahty hain yuhin
Kabi mosam badelny se Ye aankh nam nai hote.
Mohabat kam nai hoti
USEYU KAHNA
k mohabat kam nai hoti |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:20pm |
|
|
Dushman mere khusiyon ka Dushman mere khusiyon ka zamana hi nahi tha tum ne bhi kabhi apna to jana hi nahi tha
kia karta akela main saja kar koi mehfil jab shehar main kisi ne nibahna hi nahi tha
dil ne to bahut chaha mager kis tarah jeete jine ke liye koi bahana hi nahi tha
mur mur ke dekhta raha maiN omar bhar magar tum aaye nahi tum ko to aana hi nahi tha
aik rasta bacha tha woh bhi lotne ka tha jata main kahaN koi thikana hi nahi tha
ab jhuk ke mere lash ko jhinjhor rahe ho jaise tumhare "SHAYAR" ko jana hi nahi tha |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:22pm |
|
|
Ab Bulane Pr Bhi Meri Awaz Tum Tk Nahi Jati Ek Roz Tum Ne Thama Tha Hath Mera Mere Hath Se Tumhare Hath Ki Khushbu Nahi Jati
Tum Buhat Pyar Se Pukarte The Naam Mera Mere Kaano Se Tumhari Wo Awaz Nahi Jati
Mein Bulati Bhi Nahi Thi Or Tum A Jate The Ab Bulane Pr Bhi Meri Awaz Tum Tk Nahi Jati
Bas Chuke Ho Tum Meri Nas Nas Mein Lahu Ki Tarha Meri Ulfat Tumhari Rooh Mein Utar Kyun Nhi Jati
Mein Janti Hoon Ye Sheher Ye Rastey Tumhare Nahi Phir Bhi Mere Dil Se Intezar Ki Adat Nahi Jati
|
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:25pm |
|
|
roshaniyon ko mere ghar kaa rastaa kaun bataaye gaa Main ne puuchaa pahalaa patthar mujh par kaun uthaaye gaa aaii ik aavaaz ki tuu jis kaa mohasin kehalaaye gaa
puuchh sake to puuchhe koi ruuTh ke jaane vaalon se roshaniyon ko mere ghar kaa rastaa kaun bataaye gaa
logo mere saath chalo tum jo kuchh hai vo aage hai piichhe murr kar dekhane vaalaa patthar kaa ho jaaye gaa
din mein hansakar milane vaale chehare saaf bataate hain ek bhayaanak sapanaa mujh ko saarii raat Daraaye gaa
mere baad vafaa kaa dhokaa aur kisii se mat karanaa gaalii degii duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaaye gaa
suukh gai jab in aankhon mein pyaar ki neelii jheal tere dard kaa zard samandar kaahe shor machaaye gaa |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:35pm |
|
|
Ye barish khobsurat hay Ye barish khobsurat hay ek arsay bad
meri ruh main
serab hony ki tamana jaag uthi hay magar badal ke rasty main
bohot se pher atay hain main pal bhar ke liye shadab hun
or apni baki umer phir sehra main katun?
main apni pyaas par razi rahun gi mere ansoo mere dil ki kafalat ke liye kafi rehen gain |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:36pm |
|
|
Ab Kiya Lekhen Ham Ab Kiya Lekhen Ham Kagaz Per? Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai?
Aik Dil Tha So Ab Toot Gaya Lutnay Ko Ab Kiya Baki Hai ?
Aik Shaks Ko Hum Nay Chaha Tha Kuch Ret Per Naksh Banaya Tha
In Ret Kay Razon Ko Hum Nay Dil Main Sajaya Tha
Woh Ret To Kabh Ke Bikhar Gaee Woh Naksh Ab Kahan Baki Hain?
Abh Kiya Lekhay Ham Kagaz Per ? Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai ?
Woh Jin Ko Hum Apni Nazmo Ka Unwan Banaya kartay thay
Woh Lafzon Ka Bana Kay Taj Mahal Kagaz Per Sajaya kertay thay
Woh Hum Ko Akela Chor Gaya Sab Rishto Say Mooh Mor Gaya
Ab Rishtay Saray Sunnay Hain Woh payar Abh Kahan Baki Hai
Ab Kiya Lekhen ham Kagaz Per?? Ab Likhnay Ko Kiya Baki Hai |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:37pm |
|
|
Marnay ka teray gham main Marnay ka teray gham main irada bhi nahi hy Hy ishq magar itna zyada bhi nahi hy
Hai yoon k ibarat ki zubaan hy koi aur Kaagaz meri taqdeer ka saada bhi nahi hy
Kyun dekhtay rehtay hyn sitaron ki taraf hum Jab un se mulaqat ka waada bhi nahi hy
Kyun raah k manzar main ulajh jaati hyn aankhain Jab dil main koi aur irada bhi nahi hy
Kyun us ki taraf dekh ker paaoun nahi uthtay Wo shakhs haseen itna zyada bhi nahi hy
Kis morh pe lay aaya hmain hijr musalsal Ta had e nigah wasl ka wada bhi nahi hy
Pathar ki tarah serd hy kyun aankh kisi ki Amjad jo bichar janay ka irada bhi nahi hy |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:39pm |
|
|
Chand Maddham Hai Asman Chup Hai Chand maddham hai asman chup hai nind ki god may jahan chup hai
Dur wadi may dudhiya badal jhuk ke parbatko pyar karate hain dil may nakam hasaraten lekar ham tera intazar karate hain
In baharon ke saye may a ja phir mohabbat jawan rahe na rahe zindagi tere na muradon par kal talak meharaban rahe na rahe
Roz ki tarah aj bhi tare subah ki gard may na kho jayen a tere gam may jagati ankhen kam se kam ek rat so jayen
Chand maddham hai asman chup hai nind ki god may jahan chup hai |
Sonal
|
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
25
|
|
Posted on:24th Jul 2009, 9:46pm |
|
|
meri haNsi sey merey aaNsoo chupaaey nahi jaatey Kuch aesey log jo zehan sey bhulaaey nahi jaatey kuch aesey lamhey jo dil sey mitaatey nahi jaatey
dard ki chaadreiN meri ghazloN ko dhaaNp leti heiN mujh sey sheiroN meiN naey rang dikhaey nahi jatey
be�basi barrh ke meri aaNkhoN meiN utar aati hey meri haNsi sey merey aaNsu chupaaey nahi jaatey
teri tehreeroN sey aati hey terey haathoN ki mehak be�wafaa mujh sey terey khat jalaaey nahi jaatey
wafaa ki raahoN meiN bujhney ke baad ye jaana hey sar-e-hawa deeye mohabbat ke sajaey nahi jaatey
aey merey Khuda taqdeer ko itna to batayaa hota dukhoN ke pahaarr insaanoN pe giraaey nahi jaatey |
|
For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 >> |
|