Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
Forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu poetry Collection By Sonal Pari

Urdu   >>  Urdu Poetry
 
 
* Noor Clinic *
Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:3rd Jul 2009, 8:32am
 

Poetry

 

Mera herf herf dua dua
Meray aansoo se dhula dhula

Tujhe zindagi ki wo seher milay
Tujhe aainon ka safar milay
Tujhe derd-o-ghum na kabhi choo sakay
Ye dua hai koi gila nahin
Tujhe zindagi main wo sukoon milay
Jo mujhe kabhi mila nahin

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:3rd Jul 2009, 8:36am
 

Poetry

 

jissey maanga tha mein ney har dua mein
woo bin maangey kisi ko mil gayaa hai

 

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 73  Post: 1177  Age:  38  
Posted on:3rd Jul 2009, 8:54am
 

Wahahaha

very nice

zaberdast collection !!!

Kia he acha hota keh sath poet ka naam bhee hota

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 1:28pm
 

Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai.

 

Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai..

Mujhe Ghuroor Bohat Apni Mohabbat Pe Hai..

Ki Hai Tujh Se Mohabbat Mene Bepanah..

Or Meri Zindagi Ka Sukoon Sirf Meri Mohabbat Se Hai..

Mujhe Chahate Honge Or Bhi Log Bohat..

Magar Mujh Ko Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai.

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 1:30pm
 

Zamane mE B dhundo ge

 

Zamane mE B dhundo ge To HuM sa ho nhi skta,
.
HuM To sada use hi chahte hen Jo apna ho nhi skta,
.
Boht ujra hua DiL hy magr
apna To aqida hi,
.
K Jahan mehkain Teri yadain wo sehra ho nhi skta,
.
Kisi ki yad ab tk mere Bistar mE soti hai,
.
Shab-E-Tanhai sE keh do k mE Tanha ho nhi skta,
.
Kch Tu apni B khatayein thi wabaL-e-zindgi mE,
.
Sbhi kch Tu muqdar ka Likha ho nhi skta,
.
Judai ho gai or abi dono hi jeete hen,
.
Kbhi dono hi kehte thy k Esa ho nhi skta.

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 3:27pm
 

Poetry

 

Mehsoos mohabbat ke, jazabaat na hoten,
tere bina jo hain hum ,wo aaj na hoten.

Deta na dard gar tu, dil ko ae sitamgar,
Zeest ke haseen chehre se, hum aagah na hote.

Bandhan na hoten jo, zamane ke hum par to,
Hum apne khayalon me, yun aazaad na hoten.

kehten hain hum ko log, ek jazbati pagal,
Jazbaatin na hoten to, hum Insaan na hoten.

Apne buzurgon se jo, kabhi guftfu karten,
To zindagi ki raahon se, anjaan na hoten...

gar mil jata dil-o- zehan, sabhi se hamara
Mehmaan nawazi ko, mehmaan na hoten...

Jo dil ki hasraton ko, yun katl na karten
To dil ki hasraton ke, armaan na hoten.

Afsos nahi hota hume, un galtiyon ka,
Na karte jinhe hum to, nadaan hi hoten.

"Tere dil me kya hai?", jo ye samajh jate,
Teri har ada ko soch kar, pareshaan na hoten.

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 3:46pm
 

poetry

Hum Udas Rahtay Hai
Tum Na Yeh Samagh Lena
Hum Tum Hee Par Martay Hain
Yeh Udas Baatain Jo .........!!!
Dil Koo Dard Dayti Hain
In Udas Lamhon Main
Anginat Sey Aansoo Hain
Anginat Say Sapnay Hain
Kiss Koo Mai Kahon Sathii
Kon Hai ..!! Jo Apna Hai
Raat Kii Khamoshi Main
Dard Barhta Jata Hai
Aik Chahra Aankho Main
Jab Utarta Jata Hai
Aankh Ho Ya Dil Apna
Bareshey To Hoti Hain
Bareshoon Kay Moosam Mai
Log To Bekharty Hai
Tum Na Yeh Samagh Layna
Hum Tum Hee Par Marty Hai........!!!!!!

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 3:51pm
 

poetry

Bohat Hoon Udaas Woh Jo Pas Nahi
Us K Wapis Aany Ki Koi Aas Nahi

Pal Pal Hai Guzarta Us Ki Yadon Mein
Woh Hai Mera Kuch Ehsaas Nahi

Hon Gy Or Dost Us K Maloom Nahi
Bus Us K Siwa Mera Koi Khas Nahi

Dil Ka Dard Ab Kaisy Ho Kam
Us K Siwa Ab Aata Kuch Raas Nahi

ALI To Us Ki Sochon Mein Hai Gum
Kia Ho Raha Hai Hosho Hawas Nahi

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 3:54pm
 

Mujay Zindagi Ki Talb Nahii

Mujay Zindagi Ki Talb Nahi

Mujay Zindagi Say Gila Nahi

Jisay Pa Kar Khod Diya

Woh Naseeb Tha Mila Nahi

Jisay Cha Woh Badal Gaya


Jisay Manga Woh Bichar Gaya

Main Ab Jii Kar Kiya Karon

Jab Zindagi Main Sila Nahi

Jis Wafa Ki Aas Main Jal Gaya

Woh Khushi Ka Deep Jala Nahi

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 3:59pm
 

poetry

Is Raat Ki Tanhayeeon Ke
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisey Hi
Andherey Badal Gaye Hain

Jin Ke Bharose Thi Khushiyan
Woh Baadal Thaher Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh Hi Hain
Kuch Rastey Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Ney
Woh Dost Bicher Gaye Hain
Dekhey They Jo HUM Ney
Woh Khuwaab Badal gay Hain

Jo Baney The Kabhi Humsafer
Aaj Woh Hi Mukar Gaye Hain
Iss Tutey Huey Dil K Sarey
Jazbaat Badal Gaye Hain

Na Badley Kabhi Hum
Na Badley Humarey Khayalat
Bas Rona Hai Yehi Hai
Kuch Log Badal Gaye Hain

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 4:01pm
 

Raaton ko jub yadon ka kehar badh jata hain

Raaton ko jub yadon ka kehar badh jata hain
Jane kahan lamho ka sukun chala jata hain
Din ke baad gum ki kaali shaam kya aati hain
Jane kahan yeh neela aasmaan chup jata hain

Meri tadap mein saath mere raat bhar jaagkar
Chand jaise subah mere gum mein doob jata hain

Mujhse mukrnewale teri yeh baat bhi sach hain
Khilouno se khelkar ke tera dil bhar jata hain

Mera khayal ko tumne paas hi rehne do
ek pal bhi duur hua toh rah bhool jata hain

Uski judayee ne itna najuk bana diya
Jara si thesh lagti hain toh yeh dil toot jata hain

kahin toh hogi meri bhi tamannaye kabhi puri
jahan umeed banti hain toh suraj doob jata hain

Machal jaati thi jiske naam se khushiyan mere dil mein
ub uska naam leta hu toh yeh dil toot jata hain

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 4:04pm
 

poetry

teri yadoon k samander main,main doob jati hoon,


tujhe yaad kr k hi,ab to dil ko behlati hoon,aksar tanhai main....

jab bhi teri yad aatihay,khawaboon ki dunia main kho jati hoon,
tera nam le k hi,laboon ko thandak pouhanchati hoon,aksar tanhai main....

tum meri zindagi ho,jise dil-o-jaan say chahti hoon,
tumhara chehra dekh ker hi,main ab muskurati hoon,aksar tanhai main....


kuch din hain judai k,per inhainmahenay,saal kehlati hoon,
ab jaldi milan ho ga,ye soch ker hi jee pati hoon,aksar tanhai main...

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:10th Jul 2009, 4:08pm
 

poetry

Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Fukaar ho ja

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:14th Jul 2009, 5:20am
 

Poetry

 

Abhi soraj nahi doba zara se sham hony do
Main khud hi lot jao ga mujhy Nakaam hony do

Mujhy badnaam kerny ky bahane dhondty ho Q?
Main khud ho jaon ga badnaam pehly naam hony do

Abhi mujh ko nahi karna hai atraf-e-shikast
Main sub tasleem kerloon ga yah charcha aam hony do

Meri hasti nahi anmol phir bhi bik nahi sakta
Wafaain baich lena per zara nelam hony do

Naye aghaz main hi hosla kion tor baythay hoo
Jeet jao gey tum sub,zara anjaam hony doooo


 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:15th Jul 2009, 7:32am
 

Kya Rishta hai akhir hamare bich

 

Kya Rishta hai akhir hamare bich

Tum kehte ho pyar nahi hai
Aur hum kehte hain dosti nahi hai

Kyun khamoshi si hai hamare bich

Tum kehte ho koi baat nahi hai
Aur hum kehte hain baat abhi shuru hi kahan hui hai

Kyun hamesha ek jhijhak si hoti hai hamare bich

Tum Kehte ho jana hi kitna hai hamne ek dooje ke
Aur hum kehte hai khud se zyada jaante hai tumko



 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:15th Jul 2009, 7:35am
 

Tum door ho ke be mere pass rehte ho

 

Tum door ho ke be mere pass rehte ho
mere dil main baste ho mere saath rehte ho
shab-e-tanhai ke ik ik ghari phool bante hain
khushbu ban ke tum mera angaan mehkaate ho
tumare yaad se jab jalta hain dil mera
tab tum pyar ka sawan ban ke baras jaate ho
jab be kabhi woh surmai ankhain uthtee hain
mera dil machalta hain aur tum saanse ban jaate ho
shab-e-hijraan main chamakte meh-o-anjum
sab mandd perte hain , jab tum saamne aate ho
tumare sard rawaye pe hain jalta hai jee mera
kiun khud bhi tarapte ho aur mujko be tarpaate ho...?

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:18th Jul 2009, 8:24am
 

Bohat hi yaad aata hai

 

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai

woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana

teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana

bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon

bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai

magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai

tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna

tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:18th Jul 2009, 8:32am
 

Khcuh Khuwab

 

Kuch khuwab khuwab reh jaate hai
kuch sapne adhure reh jaate hai

chahat ka wada,wafa ki kasmein
kagaz pe chand tehrerein reh jaati hai

tujhse milna tujhe paane ki aarzoo
kuch khwahishein hasratein reh jaati hai

tere saath bita waqt tere sang guzre lamhe
maazi k faqt yaadein reh jaati hai

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:18th Jul 2009, 9:07am
 

Rulaney Aja

 

Qetra Qetra Samandar Tu Banane Aja,

Main Zinda Hoon Abhi Mujhe Rulaney Aja...

Wo Khwab Jinhe Hasraton Se Dekha Karta Hoon,

Aa Un Khwab Ka Anjaam Bataney Aja...

Falak Dekhkar Mujhko Ankh Muchleta Hain,

Parbat Hairan Hain Sunke Kahani Aja...

Shabnam Bhi Roye Meri Halat Par Ab,

Aa Darya Ko Miljaye Rawani Aja...

Waqt Ye Guzra To Lautkar Kabhi Na Ayega,

Meri Ulfat Nahi To Nafrat Ke Saharey Aja...

Zeher Bhi Asar Ab Karne Laga Hain,

Aa Farishta Bhi Bahein Pasarey Aja...

Roshini Ankhon Ko Ab Chubne Lagi Hain,

Karz Koi Andherey Ka Utarey Aja...

Our Dunya Mujhpar Hasne Lagi Hain,

Aa Ek Umr Koi Tanha Guzarey Aja...

Mere Halat Tujhtak Bayaan Hote Nahi,

Naseem Bhi Hone Lagi Hain Ab Sayani Aja...

Labon Ko Seekar Tanha Baith Gaye `Faizan `,

Kis Kis Ko Kahani Hain Sunani Aja...

 

Sonal Group: Members  Joined: 28th Apr, 2009  Topic: 14  Post: 188  Age:  25  
Posted on:18th Jul 2009, 9:11am
 

Woh Kaisa Shaks Hay

 

Woh Kaisa Shaks Hay K Her Roz Saza Deta Hay
Phir Hansata Hay Woh Itna Kay Sab Bhula Deta Hay

Kabhi Jo Ro Dey To Mujh Ko Bhi Bhool Jata Hay
Aur Phir Bhool Kay Mujh Ko Bhi Rula Deta Hay

Humaray Paas Na Aanay Ke qasam Kha Ker Woh
“Aaja“ Likhta Hay or, Khaghaz Pay Urra Deta Hay

Ussay Poocho Kay Bata Kis Say Muhabbat Hay Tujhko
Naam Sargooshi Main Mera He Suna Deta Hay

Kabhi Kehta Hay Chaloo Sath Hamesha Meray
Chal Paroon Sath To Rasta He Phira Deta Hay

Khud He Kehta Hay Na Dohraoo Purani Yaadein
Main Na Dhohraoon To Phir Khud He Suna Deta Hay

 

For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5  >>
 
 
 
 
Pakistani Cricket Team Best Catches  How To Fill Out A Job Application  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014