Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 12:03am |
|
|
Conflict Of Soyem and Chehlum Is it according to Islam as people do Jumraats (on each coming Thursday after death) and Chaleeswaas (at 40th day of death) at the death of any person? As for as I know according to Islam mourning should be only three days after death and during these three days even cooking stove never be fired instead neighbors and relatives send meals and breakfasts in that home but here first day of death meal cooks in that house for the all guests who came to feel sorrow. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2298 Age:
35
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 5:57am |
|
|
Chehlum & Death Anniversaries. according to many muslim scholars: 7th, 10th, chaleesvan, death anniversaries ka intezam karna , ye sab islam mai pehlay nahi tha, ab dunia mai ye cheezain aa gaee hain, ye islam mai naee cheez ka izafa kia gaya hai. aik innovation (biddat) hai, jisay khatam hona chahiye... aur is buri rasam (custom) ka islam say koi taluk nahi hai... even kuch ulma karam kehtay hain k is tara ki gatherings mai shamil bi nahi hona chahiye.....
marnay walay rishtadar/family member k behalf par kuchh logo ka mil kar Quran majeed ki talavat karna aur dua karnay mai koi harj nahi, LEKIN is kaam k liye aik makhsoos din rakhna jaisay 7th, 10th, 40th, aur phir har bar us khas din mai hi ye kaam karna theek nahi hai... jo aisay karna chahtay hain unko chahiye k roz thora sa Quran majeed parahin aur marnay walay k liye dua karain, har namaz k bad dua karain...
is topic mai likhnay say pehlay muje bi nahi pata tha k is tara ki gatherings mai jana bi mana hai... |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 249 Post: 4192 Age:
37
|
|
Posted on:30th May 2009, 5:55am |
|
|
re: soyem aur chaliswan soyem aur chaliswan kerne mai na sawab hai aur na hi gunah. lehaza jis ka dil chahe soyem aur chaliswan kare, aur jis ka dil na chahe na kare. kerne mai na koi sawab/gunah hai aur na hi na karne mai.
ham musalmano ki badqismati hai jo keh soyem aur chaliswan per gunah/sawab ke chakkar mai pare rahte hai, aur aik doosre ko bura bhala kehte hai. |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3599 Age:
25
|
|
Posted on:31st May 2009, 10:11am |
|
|
Soyem & Chaliswah & Chehlum... iss ka Islam ma kahein tazkirah nahi hai... yah log apni taraf se kerte hain... aur yah sirf Pakistan , India & Bangaldesh tak hi mehdood hai... Saudi Arab aur deegar Muslim countries ma dour dour tak iss ka naam-o-nishan nahi hai... baqqi Josh ne achi explanation dey hai...
Albatta Murday k Issal-e-Sawab k liye dua aur Dua-e-Magfirat kiya ja sakta hai.
|
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:1st Jun 2009, 2:07am |
|
|
@bs wah acha jawab diya jai tum nay |
rukhsana |
Group: Members Joined: 22nd May, 2009 Topic: 1 Post: 86 Age:
27
|
|
Posted on:7th Jun 2009, 7:45am |
|
|
@sooth soyam aur chihalam wagaira ke dinon par quran khwani ki jaati hai aur ghareebon ko khana khilaya jata hai jo ke sawab ke kaam hain.jo log kehte hain ke ye kaam 3rd, 7th ya 40th day ko hi hona chaiye, is ke ilawa nahi, toh woh log biddat kartay hain. aur kuch log jo ye kehte hain ke 3rd,7th ya 40th day par ye kaam karna ghalat hai ya gunah hai, woh bhi ghalat kehte hain kyunke sawab ka kaam karne se sawaab hi milay ga, aur kuch nahi hoga. in short, quran khwani karnay ya ghareebon ko khana khilanay ka koi makhsoos din nahi hai.sab din ek jaise hain |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 109 Post: 6099 Age:
53
|
|
Posted on:11th Jun 2009, 3:06am |
|
|
Jazak Allah Josh aik hadees ka mafhoom hai k Asal Islam wohi hogaa jo meray (Rasool Allah saw) daur say qareeb tar daur maiN hogaa.... iss taraah harmain shareefain yaani makkah /madeenah say qareeb qareeb asal islam milegaa........ zamaan o makaan say doori k baaes cheezouN ki asal maiN milaawaT asaan hojati hai.
kia soyem /chaaliswaan /barsi etc sahaaba RA, taabe.een, tabbah taabe.een k adwaar maiN howaa kartaa thaa... kia yeh saudia maiN aaj hota hai ........ islam maiN non-islamic baatouN ko islami /mazhabi samajh kar daakhil karnaa bid.at kahlaataa hai.
albattah din makhsoos kiyeh beghair marhoomeen k eesaalay sawaab k liyeh quraan paRh kar onhaiN bakhsh.naa ... iss maiN kopi mozaaiqah nahi balkay aisaa kartay rahna chhaiyeh k marhoomeen ko in tohfouN ka intezaar rahtaa hai.... logouN ki sahoolat k liyeh aisee gathering (like quran khawaani) maiN bhi koi mozaaiqah nahi... aur haazereen ko khelaanaa pilaanaa bhi koi ghalat kaam nahi........ albattah aisee taqaareeb maiN shirkat nah karnay /kar saknay walouN ko boraa khayaal karnaa ghalaat hai...
mayyat wala ghar soag ka ghar hota hai... woh ghum maiN hotay haiN lezaha onhaiN khaanay peenay ka hosh nahi hotaa ... issi liyeh paas paRos azeez rishtah daaroun ko talqeen ki gayee hai k mayyat walay ghar maiN kam az kam teen din khanaa waghairah bhejtay raho........ lekin iska yeh matlab hargiz nahi k mayyat walay ghar maiN choolha nah jalay aur woh khud kuch pakaa khaa nahi saktay...... ajkal shahroun maiN aisaa bahoot mushkil hai lehazaa ghar walay zaroorat k motaabiq apnay liyeh bhi khanaa pakaa /pakwaa saktay haiN aur door daraaz say aaye howay mehmaanouN k liyeh bhi aisaa intezaam karnay maiN koi harj nahi. |
hamzi |
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1072 Age:
26
|
|
Posted on:11th Jun 2009, 4:24am |
|
|
rizvi bahi mashAllah an authintic and trustworty reply |
|