Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Treat Premenstrual Syndrome
How to Treat Premenstrual Syndrome - Your Search Ends Here
Abnormal Menstrual Periods
Signs and Symptoms of Abnormal Menstrual Periods
Love Menstrual Cups
10 Reasons to Love Menstrual Cups
Menstrual Products
The Quest for the Best Menstrual Products
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

Wrong: Nothing Wrong In This World

Non Medical Discussion  >>  Discussion
Impress Women
How to Impress Women
Tips To Impress Women
Tips on How to Impress Women Easily
Ways to Attract Women
4 Great Ways to Attract Women Like Bees to Honey
Attract Women Instantly
How to Attract Women Instantly
Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 12:55am
 

Wrong: Nothing Wrong In This World

Wrong jise urdu mai ghalat kehte hai aik relative term hai, matlab yeh keh ham kuch asool fix kerte hai aur phir os osool se jo kuch vary kerta hai ose ghalat ya wrong kehte hai.

Haqeeqat yeh hai keh dunya mai kuch bhi wrong nahi hai. aap jise wrong samajhte hai woh aap ka ya aap ke hamkhial logo ka personal faisla hai, warna wrong kuch bhi nahi hai. dunya ki har cheez sahi hai, ghalat kuch bhi nahi.
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 85  Post: 4700  Age: 34 
Posted on:23rd May 2009, 4:26am
 

pata nahi?

??? aisa hai ya nahi?? dont know

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 7:53am
 

kia shaitaan bhi sahi hai

bewaqoof bhai?

g haaN shaitaan bhi sahi hai, aap ki nazar maiN aur aap k falsafay ki roo say:)

u r right k mantiq ki roo say say yeh baat sahi hai k nah koi cheez absolutely ghalat hai aur nah koi cheez absolutely sahi yaani yeh aik relative term hai... I do agree

koi bhi cheez bayak waqt ghalat bhi hai aur sahi bhi... asal main dunyaa main har jagah 2 wazah saf bandiyaaN maujood haiN jissay aap group-A aur group-B kah laiN........... group-A k peechay issi group k ham khayaal log hotay haiN aur group-B k peechay iss group k hamkhayaal log.... group-A k hum khayaal logouN ki nazar maiN group-A 'sahih' hai aur group-B 'ghalat'.... jabkay group-B k hum khayaal logouN ki nazar maiN group-A ghalat hai aur group-B sahih

chorouN ki beraadri maiN saray chor sahih haiN aur police ghalat jabkay police beraadri ki nazar maiN chor ghalat haiN etc etc

wasee tanazur maiN issi baat ko youN kahaa jasakta hai k dunyaa ki har cheez, har khayaal, hara nazarya .... yaa to Rahmaani (group say related) hai yaa shaitaani (group say related) hai.... rahmaani group walouN k nazdeeq shaitaani group ghalat hai.... jabkay doosray (bewaqoof) group ki nazar maiN shaitaan aur oska group bhi sahi hai :)

aik teesra aur choTa saa characterless group bhi hota hai jo rahmaani group ko bhi sahi kahta hai aur shaitaani group ko bhi ... iss group ko istelaahan monaafiq group kahtay hain ... inkay qaul kuch iss qism k hotay haiN...

police walay bhi apni jagah durust hai aur chor beraadri bhi.... hakoomat walay bhi theek kahtay hain (kissi khaas issue par) aur opposition walay bhi... molvi bhi Theek kahta hai aur anti-molvi bhi Theek hi hain.... monaafeqeen k iss group ko new istelaah maiN diplomat kahtay hain ...

Doctor K K Group: Experts  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 22  Post: 1560  Age: 33 
Posted on:23rd May 2009, 10:23am
 

Re: Wrong: Nothing Wrong In This World

For Bewaqoof:

Kindly prove your statement with examples and referances. Thanks


Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 12:40pm
 

Shaitaan Ko Allah Ne Banaya Hai: Ghalat Kaise Ho Sakta Hai

re: "kia shaitaan bhi sahi hai"

Ans: ji haa shaitaan bhi 100% sahi hai, kio keh shaitaan ko Allah Taala ne dunya ke logo ko behkaane ke liye banaya hai; aur zahir hai keh Allah Taala ki banayee huyee koi cheez (Shaitaan) ghalat nahi ho sakti. lehaza shaitaan bhi 100% sahi hai. Shaitaan wahi kaam kerta hai jo Allah Taala ne os ke zimma daala hai. jis tarah aik sipahi wahi kaam kerta hai jo os ka afsar kehta hai, lehaza sipahi ke sahi aur ghalat ka zimmadar afsar hota hai. isi tarah shaitaan bhi wahi kerta hai jo Allah Taala ne os ko kerne kaha hai, lehaza Shaitaan ke sahi aur ghalat ka zimmadaar bhi Allah hai.

re: "chorouN ki beraadri maiN saray chor sahih haiN aur police ghalat jabkay police beraadri ki nazar maiN chor ghalat haiN etc etc."

Ans: ji haa ham log har waqt mukhtalif qisim ki chori mai mulawis hote hai, maslan software ki chori, bijli ki chori, books ki chori aur iss chori ko sahi saabit kerne ke liye mukhtalif dalail dete hai, jab keh jis ki cheez chori hoti hai woh hamai chor hi kehta hai. yani dono apni apni jagah sahi hai.

    ise iss tarah bhi samajh le keh aik mazhab ke log doosre mazhab ko ghalat samajhte hai, aik nation ke log doosre nation ko ghalat samajhte hai. Dron hamla jo sawat mai hota hai ose dunya ki aksariat sahi samajhti hai, jabkeh beshumar log aur USA ke mukhalfeen ose ghalat samajhte hai.dono apni apni jagah per sahi hai aur aik doosre ki nazar mai ghalat hai.

re: "wasee tanazur maiN issi baat ko youN kahaa jasakta hai k dunyaa ki har cheez, har khayaal, hara nazarya .... yaa to Rahmaani (group say related) hai yaa shaitaani (group say related) hai.... rahmaani group walouN k nazdeeq shaitaani group ghalat hai.... jabkay doosray (bewaqoof) group ki nazar maiN shaitaan aur oska group bhi sahi hai :)

Ans: ji haa aap aisa keh sakte hai, bilkul isi tarah jaise koi PPP se taluq rakhta hai tu koi ML se, dono aik doosre ko ghalat aur apne aap ko sahi samajhte hai, lekin dono ko Allah Taala ne banaya hai aur dono apni jaga sahi hai.

  isi tara Rehmani group aur Shaitaani group dono ko Allah Taala ne banaya hai, agar aap samajhte hai keh iss mai koi group ghalat bana hai tu iss ka matlab hai keh group ko banane wala ghalat hai yani Allah Taala ghalat hai; mai Allah Taala ko ghalat nahi maanta, lehaza Allah Taala ke hukum se banaya hua Shaitaan aur Shaitani group bhi ghalat nahi hai. aik doosre ki nazar mai ghalat ho sakta hai lekin dono apni apni jagah sahi hai.

re: "aik teesra aur choTa saa characterless group bhi hota hai jo rahmaani group ko bhi sahi kahta hai aur shaitaani group ko bhi ... iss group ko istelaahan monaafiq group kahtay hain ... inkay qaul kuch iss qism k hotay haiN...

Ans: aap apni jagah bilkul sahi hai.

re: "police walay bhi apni jagah durust hai aur chor beraadri bhi.... hakoomat walay bhi theek kahtay hain (kissi khaas issue par) aur opposition walay bhi... molvi bhi Theek kahta hai aur anti-molvi bhi Theek hi hain.... monaafeqeen k iss group ko new istelaah maiN diplomat kahtay hain ...

Ans: Ji haa sab apni jagah sahi hai, aur doosre ki nazar mai ghalat. sahi aur ghalat ka faisla kerne ke liye adalat aur qanoon banaya jaata hai. lekin yeh adalat aur qanoon bhi doosro ki nazar mai ghalat hota hai. maslam iss waqt jo Talban hazraat hai woh hamari adalat ko ghalat samajhti hai, aur hamari adalat ko manne wale Talban ke adalat ko ghalat samajhte hai. dono apni apni jagah sahi hai.

isi liye ham kehte hai keh: dunia mai koi bhi cheez ghalat nahi hai:

ghalat ya wrong aik relative term hai.

Iss dunya mai jo kuch bhi hai woh Allah ki marzi se hai, aur Allah ki marzi ghalat nahi ho sakti, lehaza iss dunia ki koi bhi cheez aur koi bhi nazaria ghalat nahi hai. do mukhalif nazaria (dono Allah ka banaya hua) aapas mai larte hai, aur kabhi aik nazarya ko fatah haasil hoti hai tu kabhi doosre nazaria ko.

Spain mai Christian nazaria tha, musalmano ne os se jang lari jeet gaye tu waha Muslim nazarya qaim hua, phir 800 years ke baad haar gaye tu ab Spain mai phir Christian nazaria ko sahi aur Muslim nazaria ko ghalat samjha jaata hai.

Spain mai Musalmano ko fatah bhi Allah ki marzi se huyee aur 800 years ke baad shikast bhi Allah ki marzi se huyee. Allah ke hukum ke beghair tu aik patta bhi nahi hil sakta, iss dunia mai jo kuch bhi ho raha hai sab Allah ke hukum aur marzi se hora hai, lehaza ham kaise keh sakte hai keh kia ghalat hai aur kia sahi, ham jise sahi aur jise ghalat kehte hai yeh hamara personal faisla hota hai.




maahhii Group: Members  Joined: 12th Apr, 2009  Topic: 10  Post: 1857  Age: 26 
Posted on:23rd May 2009, 2:09pm
 

very interesting

achi detail di h aap ne
wase agr kisi ko kaha jaye k duniya main kuch galat nai h to kehnay wala kafi galat banda lagay ga mgr aap ki ye post interestingly convincing h..........
phir b duniya main kafi kuch galat to h he..............ham kabi iss khyal ko pany ander aik mustkil jaga nai day sktay k kuch galat nai h kyun k duniya chorain ham to apni choti c zindgi k baray main ye nazarya nai apna sktay k kuch galat nai h.....................to duniya to phir hamain galat logon galat baton galat rasmaon galat khayalon or kya kya galtion se bhari nazar ati h................
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 2:09pm
 

laa haul wala quwwat illah billah...

shaitan ko "shaitan" Allah nay nahi balkay oskay "takabbur" nay banayaa hai. shaitaan 'originally' was NOT shaitan ):

Shaitaan Ko Allah Ne Banaya Hai: Ghalat Kaise Ho Sakta Hai ... aik shaitaani khayaal hai. agar koi shakhs baad az maut jannat aur jahannum ki zindagi par believe rakhta hai to ossay iss "shaitaani khayaal" say taubah karni chahyeh... agar woh aisaa nahi kartaa to phir woh yeh soch lay k Allah nay jahannum ko bhi banayaa hai jo shaitaan par imaan rakhnay walouN k liyeh bilkul sahi Thikanaa hai... astaghferullah... aisay falsafay say taubah jahaaN...

falsafi ko bahas maiN khoda milta nahi + Dor ko suljharahay haiN aur siraa milta nahi ):

sirf "limited" or specific issues k baray maiN kahaa jasakta hai k inkay pasay manzar maiN sahih / Ghalat aik relative term hai as mentioned in above. jabkay bahoot say sahih absolutely /universally sahih hotay hain aur bahoot say ghalat, absolutely ghalat... for e.g.

Absolutely Wrongs: chori karna, begonaah ko qatal karna, zinaa bil.jabr, wadaah poora nah karna, dhoka denaa.... har deen, nazaryaa aur school of thought maiN muttafaqah taur par ghalat hai...

Absolutely Right: such bolna, wadaah poora karna, poora tolna, mazloom / zaroorat mand logouN ki help karna, qanoon ko follow karna etc etc sab k nazdeeq durust haiN.

Relative right /wrong: pak par iss waqt din hai (pakistaniyouN k motabiq yeh durust hai)... lekin yehi baat ghalat hai onn momaalik k logoun k nazdeek jahaaN iss waqt raat hai .... issi tarah sardi, garmi, andheraa, ojaalaa, ameeri, ghareebi, etc etc relative terms haiN aik k nazdeeq aik statement (sardi hai /garmi hai / ameer houn etc) sahih hai jabkay yehi statement doosray k nazdeeq ghalat hai

 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 2:41pm
 

re: nothing wrong in this world

re: "shaitan ko "shaitan" Allah nay nahi balkay oskay "takabbur" nay banayaa hai. shaitaan 'originally' was NOT shaitan ):"

Ans: shaitaan ko Allah taala ne pehle farishta banaya, phir baad mai shaitaan bana dia. shaitaan na khood farishta ban sakta tha aur na hi Allah ki marzi ke beghair shaitaan. agar aaj Allah Taala yeh faisla ker le keh ab dunia mai shaitaan nahi hoga tu phir Shaitaan nahi hoga. Iss dunia mai shaitaan os waqt tak hai jab tak Allah ki marzi hai. Allah ki marzi ke beghair shaitaan aik din bhi nahi rah sakta.

aap shaitaan ke baare mai jo kuch bhi keh rahe hai woh islamic nazarya ke mutabiq keh rahe hai, lekin dunia mai sirf islamic nazarya nahi hai. dunia mai hazaro mazahib hai aur har mazhab ka nazaria aik doosre se mukhtalif hai, aur sab apne aap ko sahi samajhte hai aur doosre ko ghalat. lehaza aap bhi apne aap ko sahi samajhte hai, aap apni jagah sahi hai.

re: "Shaitaan Ko Allah Ne Banaya Hai: Ghalat Kaise Ho Sakta Hai ... aik shaitaani khayaal hai. agar koi shakhs baad az maut jannat aur jahannum ki zindagi par believe rakhta hai to ossay iss "shaitaani khayaal" say taubah karni chahyeh... agar woh aisaa nahi kartaa to phir woh yeh soch lay k Allah nay jahannum ko bhi banayaa hai jo shaitaan par imaan rakhnay walouN k liyeh bilkul sahi Thikanaa hai... astaghferullah... aisay falsafay say taubah jahaaN..."

Ans: aap apni jagah bilkul sahi hai, aur aap ke hamkhial bhi apni jagah sahi hai. lekin dunia ke beshtar log aap ke ham khial nahi hai aur woh aap ki theory se agree nahi kerte, woh bhi apne jagah sahi hai. aap ke kisi ko ghalat samajhne se koi ghalat nahi ho jaaye ga.

re: "falsafi ko bahas maiN khoda milta nahi + Dor ko suljharahay haiN aur siraa milta nahi ):

sirf "limited" or specific issues k baray maiN kahaa jasakta hai k inkay pasay manzar maiN sahih / Ghalat aik relative term hai as mentioned in above. jabkay bahoot say sahih absolutely /universally sahih hotay hain aur bahoot say ghalat, absolutely ghalat... for e.g.

Absolutely Wrongs: chori karna, begonaah ko qatal karna, zinaa bil.jabr, wadaah poora nah karna, dhoka denaa.... har deen, nazaryaa aur school of thought maiN muttafaqah taur par ghalat hai..."

Ans: Insaan Allah Taala ka banaya hua hai, aur Allah ki marzi ke beghair kuch nahi kersakta. Agar Allah chahe tu banda na chori kare, na jhoot bole, na qatal kare, na dhoka de. lekin Allah Taala ne shaitaan banaya, takeh woh logo se ghalat kaam karaye. agar Allah Taala chahe tu shaitan ko khatam ker de takeh woh logo se ghalat kaam na kara sake, lekin Allah taala aisa nahi kerte. aur Allah taala ghalat nahi ho sakte.

re: "Absolutely Right: such bolna, wadaah poora karna, poora tolna, mazloom / zaroorat mand logouN ki help karna, qanoon ko follow karna etc etc sab k nazdeeq durust haiN."

Ans: agar Allah chahe tu woh shaitaan ko khatam ker de takeh log sach bole, wadah poora kare, mazloom ki help kare, qanoon ko follow kare. lekin Allah taala ne shaitaan ko banaya taakeh woh logo se gunah ke kaam karaye. dunia ma Allah Taala ke ilawah koi bhi cheez khood bakhood nahi bani hai, balkeh Allah keh hukum se bani bani hai. aaj bhi agar Allah taala shaitaan ko khatam ker de tu dunia hi jannat ban jaaye gi. lekin Allah taala ki apni maslehat hai keh woh filhaal dunia ko jannat nahi banana chahte.

re: "Relative right /wrong: pak par iss waqt din hai (pakistaniyouN k motabiq yeh durust hai)... lekin yehi baat ghalat hai onn momaalik k logoun k nazdeek jahaaN iss waqt raat hai .... issi tarah sardi, garmi, andheraa, ojaalaa, ameeri, ghareebi, etc etc relative terms haiN aik k nazdeeq aik statement (sardi hai /garmi hai / ameer houn etc) sahih hai jabkay yehi statement doosray k nazdeeq ghalat hai"

Ans: dunia ki har cheez sahi hai, wrong kuch bhi nahi. wrong aik relative term hai.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 72  Post: 2443  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 2:46pm
 

no any daleel

just repeated statements... bewaqoof bhai! kuch to aqalmandi wali baat bhi ki hoti aap nay... kia aqalmandi 'sahi' nahi hai sirf bewaqoofi hi durust hai lol
Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 3:10pm
 

re: sab hi apni jagah sahi hai

aap ki nazar mai yeh sab bewaqoofi ki baatai hai, aap aur aap ke hamkhial log apni jagah sahi hai. lekin dunia ke tamam log aap ke hamkhial nahi hai, aur woh bhi apni jagah sahi hai. matalab yeh keh sab hi apni apni jagah sahi hai, ghalat koi nahi hai.
Doctor K K Group: Experts  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 22  Post: 1560  Age: 33 
Posted on:23rd May 2009, 3:27pm
 

Re:Wrong: Nothing Wrong In This World

Bewaqoof ! Please give me the answer of the following quarry:

A man who does not believe in God and there is no religious rules and country rules as well,if he murders some body then would it be right or wrong? As I have already mentioned there are no rules and any body can do any thing. I am waiting for your reply.



sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 66  Post: 5659  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 3:44pm
 

bewaqoof

yaar ab tak to main aap ko sirf name se bewaqoof samajta tha, lekin aap to apne khayalat aur nazariat k mutabiq b bewaqoofon k baadshah ho......

yaar aisi batien aap k zehen main aatey kese hain, chalo theek hai dunia main hazaron mazahib hain to kia wo sab theek hai, jab k Allah ne khud apne pyare nabi Hazrat Muhammad SAW ko bataya hai k main ne tumhare lie Islam ko behter deen chuna hai. jab Allah ne Islam ko hamare lie behtareen deen chuna hai to ham us ko kese ghalt keh sakte hain, doosre mazahib waley apne tour se sahi honge lekin Allah k nizdeek wo bilkul wrong hain, aur jab Allah k nizdeek wrong hain to aap kon hotey hain un ko sahi kehne waley????

doosri baat ye k shaitan jo kar raha hai wo Allah ne kabhi bhi us k zimmey nahi lagaya, balke jab shaitan ko mardood qarar dia gaia jab us ne Hazrat Adam AS ko sijda karne se inkar kia, tab shaitan ne Allah ki qasam khaie aur kaha k jis tarha main mardood ban gaia hoon es tarha Allah k bandon ko b gumrah karoonga. to yeh ek challenge tha aur Allah ne es challange ko qabool kar dia aur hamein sahi aur ghalat k baare main batane k lie be shumar peghambar bhej die ta k ham sheitan k raah par na chalein..

i repeat.. k Allah ne shaitan ko sirf mohlat di hai qayamat k din tak, k wo jo chahe kar sakta hai, aur hamein hukm di hai k shaietan ki raah par na chalein..

phir b agar aap ko meri baaton ka yaqeen nahi hota to Quran parh kar dekhie aap ko bare bare alfaz main yeh sab nazar aa jaienge....

lekin aap to doosre mazahib ko b sahi maan'ne lage hain, Naoozubillah kahi ye mat kahiega k Quran b ghalt hai.....

Allah ham sab par rehem farmaie aur hidayat naseeb kare Ameeeen

 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 4:07pm
 

qanoon ke beghair sab jaiz hai

re: "no religious rules and country rules as well"

kia aap os country ka name bata sakte hai jaha koi country rule na ho.

Qatal ke apne rules and regulation hote hai, jo mukhtalif mazhab, group mai mukhtalif hote hai. aur aik mazhab aur group mai yeh sahi hota hai tu doosre mai ghalat. maslan drone hamla mai jo log qatal ho rahe hai woh kisi ki nazar mai sahi hai tu kisi ki nazar mai ghalat. isi tarah khoodkash hamla bhi kisi ki nazar mai ghalat hai tu kisi ki nazar mai sahi. aur sab hi apne apne nazarya ke lehaz se sahi hai.

dunia mai har cheez sahi hai, jab tak keh os per koi qanoon na ban jaaye. jab aap yeh keh rahe hai keh qatal kerne per koi rule aur qanoon nahi hai tu phir aap iss qatal ko kis qanoon aur rule ke tehat ghalat keh sakte hai. qanoon ki ghair mojoodgi mai qatal kerne wala shakhs apni jagah sahi hai, os ne qatal kerna sahi samjha iss liye os ne qatal ker dia.

pehle os se maloom kia jaaye keh os ne qatal kio kia, agar qatal kerne ka jawaz tha tu os ne sahi qatal kia, aur jawaz ke beghair qatal kia tu phir ose psyciatrist ke paas le jaaya jaaye takeh woh pata chala sake ke ose qatal kerne ka thought kio aaya. kahi woh kisi bari psychiatric illness mai tu mubtala nahi hai, jis ki wajah se ose Halucination aur delusion ho raha hai. agar psychiatric illness ki wajah se woh qatl ker raha hai tu bhi woh ghalat nahi hai aur woh saza ka mustahiq nahi. ose ilaj ki zaroorat hai.

waise bhi qatal ki wajah jo bhi ho, agar qatal ke oopar koi qanoon hi nahi hai tu phir woh apni jagah sahi hai. agar aap kehte hai keh woh ghalat hai tu batai keh kis qanoon ke tehat ghalat hai. rule ko violate kerna ghalat kehlata hai, agar rule hi nahi tu qatal kerna violate nahi hua.

jab koi court mai qatal ka muqadma aata hai tu case chalta hai, kabhi woh qatal saabit hone ke baad bhi choot jaata hai, kabhi 3 saal, kabhi 7 saal kabhi umar qaid aur kabhi phaansi ki saza hoti hai. saza ka taluq pehle se banaye huye rule aur qanoon ke mutabiq hota hai. aap kehte hai keh koi qanoon hi nahi tu aap batai keh iss qatal ka faisla kia hoga, qanoon ke beghair kaise pata chale ga keh yeh qatal jaiz tha ya na jaiz?

re: Sunny

aap ne jo bhi dalail diye hai mazhab-e-ialam ke tehat diye hai, lehaza Islam mazhabs se taluq rakhne wale tamam logo ki nazar mai aap ki baat sahi hai. lekin dunya mai jetne musalman hai os se ziadah non-muslim hai, aur woh aap se agree nahi hoge. aap aur aap ke muslim saathi bhi apni jagah sahi hai, aur non-muslim bhi apni jagah sahi hai. non-muslim ke ghalat kehne se koi musalman ghalat nahi ho sakta, aur na hi kisi muslim ke ghalat kehne se koi non-muslim ghalat ho sakta hai. dono apni apni jagah sahi hai. ghalat koi nahi. yeh baat agar sab ki samajh mai aa jaaye tu yeh dunia jannat ho jaaye gi.

Doctor K K Group: Experts  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 22  Post: 1560  Age: 33 
Posted on:23rd May 2009, 4:19pm
 

Re: Bewaqoof

Please Ek sawal ka jawab aur deden badi mehr bani hogi

Insan ka zamir usko kab aur kyun malamat kerta hai?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 4:51pm
 

Zamir koi cheez nahi hoti, baad mai banti hai

Zamir bhi Allah taala ka banaya hua hai, zamir ki apni training hoti hai. hamai yaad hai keh hamare zamir ki bachpan se yeh training thi keh hindu ko maaro, isi liye mujhe hindu ke marne per koi afsos nahi hota tha. lekun jaise jaise mai iss manfi training se out hua tu ab mujhe har aik ke marne per afsos hota hai, chahe woh kisi bhi mulk aur mazhab se taluq rakhta hai. jab keh hamare mulk mai aise beshumar log mojood hai jo keh doosro ke marne per khoosh hote hai.

jab fasad mai koi marta hai tu log doosre group ke logo ke marne per khoosh hote hai, chahe woh beqasoor hi kio na maara gia ho. balkeh moqa milne per doosre group ko begunah qatal bhi kerte hai aur ose karnama samajhte huye khoosh ho ker doosro ko bhi sunate hai.

Insaan jab paida hota hai tu os waqt os ka brain bilkul clean hota hai, os mai kuch bhi nahi hota. woh jo kuch bhi banta hai os mai learning ka amal dakhal hota hai. pehla stage Idd hota hai, phir Ego aur phir Superego develop hota hai. Superego ko aap zamir keh sakte hai. kuch logo mai personality development Idd per hi aa ker ruk jaati hai. lehaza on mai zamir develop hi nahi hota, aise log jo kuch bhi kerte hai woh maashre ki nazar mai jaraim hote hai, lekin on ki nazar mai yeh jurm nahi hota, aur woh apne kiye par na pachtate hai aur na hi jurm kerne se baaz aate hai. iss ki asal wajah yeh hoti hai keh onhai maloom hi nahi hota keh sahi kia hai aur ghalat kia. sahi aur ghalat ka faisla sirf ego aur superego wale hi log ker sakte hai. Idd wale log nahi.

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 66  Post: 5659  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 5:20pm
 

bewaqoof

nice reply

yaar meri samaj main nahi aata k kabhi kabhi aise posts submit karte ho jo k really koi bewaqoof hi aisa kar sakta hai... lekin kuch posts aqalmandi se b barh kar hote hain...

kia aap bata sakte hain k itna tazaad q hai????

maahhii Group: Members  Joined: 12th Apr, 2009  Topic: 10  Post: 1857  Age: 26 
Posted on:23rd May 2009, 5:35pm
 

khoob

bewaqoof aap kamal tareekay se apni baat per qaim hain or itnay logon k sawalon k achay jawab day rahay h..............i really appreciate this...............baki sahi kya h galat kya iss ka faisla to iss duniya k khatmay k baad he hoga.........
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 29  Post: 4680  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 5:41pm
 

Bewaqoof bhai jaan

amar bilmaroof aur nahi anil munkir k baray main aap kiya kahaingay? jab sab Allah pak ne khud banaya hae to phir burai ko roknay ka hukum kyun diya hae?
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 66  Post: 5659  Age:  
Posted on:23rd May 2009, 5:50pm
 

haan ji

ab deijie jawab.....

maryam didi, aap ne kia goli chalie hai.... wow.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 15th May, 2007  Topic: 279  Post: 3698  Age: 38 
Posted on:23rd May 2009, 8:01pm
 

Burai ke khayalat ka bhi zimmadar Allah Taala hai

re: "jab sab Allah pak ne khud banaya hae to phir burai ko roknay ka hukum kyun diya hae? "

yeh sawal aap mujh se nahi balkeh Allah Taala se kare keh jab aap ke aik hukum se burai khatam ho sakti hai, balkeh shaitaan ka wajood khatam ho sakta hai tu phir ham jaise kamzor logo ke oopar yeh zimmadari kio daali keh ham burayee ko roke, balke rokte huye shaheed ho jaaye.

hamari tu khood samajh mai nahi aati keh jab seedhe tareeqa se naak pakri jaa sakti thi tu ghuma ker naak pakarne ki kio zaroorat pari. baharhaal dunia mai jo kuch bhi burai hai wo Allah ke hukum aur marzi se hai, aur os ke khilaf jo log hai woh bhi Allah ke hukum se hai.

aap you samajh le keh Shaitanee party ko bhi Allah Taala control ker raha hai aur Rehmani party ko bhi. jaise hamare mulk ke siasi party (hakoomat aur opposition dono) ko USA control kerta hai.

jab chor aur daakoo jurm ker ke bhag jaate hai aur police onhai dhoondne mai nakam ho jaati hai tu aap khood hi batai keh chor aur daako ko police se kon bachata hai. Allah Taala bachata hai. Allah taala isi liye bachata hai keh chor aur daakoo ke zehan mai jo ghalat khialaat the woh bhi Allah ke hukem se tha, Allah ki marzi ke beghair aap kuch soch bhi nahi sakte, chahe woh ghalat baat ho chahe sahi.

1 2 3 4  >>
Sexy High Heels
How to Walk Confidently in Sexy High Heels
Sexy High Heel Sandals
Top 3 Sexy High Heel Sandals of This Summer
Sexy High Heels
Sexy High Heels – the Emblem of Feminity
Womens Perfect Bra
How to Find a Perfect Bra
 
Deal With Vaginal Discharge
How to Deal With Vaginal Discharge - Myths and Facts
Menstrual Flooding
Dealing With Menstrual Flooding
Premenstrual Syndrome
Symptoms of Premenstrual Syndrome
Treat Premenstrual Syndrome
How to Treat Premenstrual Syndrome - Your Search Ends Here

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us