Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Mushtzani ki Haqeeqat

Unmarried Boys Problems   >>  Musht Zani (Masturbutation)
Sperm Count
Increase Sperm Count Naturally
Male Semen Production
Increase Sperm Count, Mobility, and Motility
Male Fertility
Increasing Male Fertility
Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:23rd Nov 2008, 8:13am
 

Mushtzani ki Haqeeqat

salaam!

dosto main yahn koi lecture deny nahi aaya houn. bal ke jo knowledge main nay is site se hasil kiya hai aur jo problems main nay new generation mein dekhhi hain aur jo preshaniyan dekhhi hain oun ke bary mein hi baat karny aaya houn.

sub se pehly ye hadees perh lain.

 "qayamat ke din kuchh log aisy hon gay jin ke hath (hands) hamla (pregnant) houn gay. aur ye wo log houn gay jo duniya mein mushtzani karty thhy"

dosto baat ye hai ke duniya mein her insaan khata ka puttla hai. shaid hi koi insaan aisa ho ke jo ye daawa kar saky ke mujy se kabi koi khata nahi hoi. abb main kisi ki nahi bal ke apni baat karta houn.

dosto mera naam sajjad hai main aik textile designier houn. aur meri omer 24 years hai.

aabi shadi nahi hoi lekin jald hi ho jay gi.

baat ye hai ke taqreeban 9 saal pehly ki baat hai jabb main nay mushtzani ka aghaz kiya tha jo ke hadsaati tor per howa tha keon ki khuda jan ta hai main is ke main is kaam ko karny ke bary mein nahi janta tha lekin school ke kuchh doston ke kehny per aik din ye ghalt kaam karny ki koshish ki jis mein kaamyaab hogaya.

aab choonke mujy ye kaam karny ka bohat maza aaya tha is liy main daily school se wapis aa kar jab b nahany bathroom jata to main wahan daily mushtzani karny laga.

abi is kaam ko start kiy 2 weeks b nahi howy thy ki mery aami aabo nay mujy kehna shoorh kar diya ke beta kaya baat hai tum kuchh dinhon se kuchh kamzor se lagny lagy ho to main nay oun ki baton ko un souna kar diya keon ki mujy aisi koi kamzori feel nahi hoti thi. lekin chandd din hi guzry thhy ke main apny jis kisi aziz reshtydar ke haan geya ous nay b ye hi kaha ke sajja tum bohat kamzor lag rahy ho aami ko b fikar hony lagi ke aakhir wajha kaya hai ke main kamzor ho raha hon.

aami aabo takk to baat theek thi but jabb reshtydaron nay b kehna shoorah kar diya ke sajjad tum bohat kamzor lagty ho to mujy apny aap per bohat ziyada sharmindgi hoi.

keon ki koi jany ya na jany lekin mujy pata chall chukka tha ke meri kamzori ki wajha kaya hai aur wo kuchh aur nahi thi balke mushtzani hi thhi.

so ous din ke baad main nay apny aap se wada kiya ke main ye ghalat kaam kabi nahi karon ga but jaisy ke koi b aadat aik damm se nahi kahatam hoti isi tarha mujy kuchh preshani outhhani perhi lekin rafta rafta is boury kaam se jaan chhot gai. ous ke baad jabb mujy pehli baar ehtalam howa to phir to mushtzani ki khaish bikull hi damm tor gai.

meri helth phir se normal hony lagi aur aik month ke andar andar hi main nay apny aap ko kafi behter kar liya aub jo koi b mujy dekhhta wo ye hi kehta ke aub tum pehly jaisy hi lagny lagy ho to mujy is baat se bohat khushi hony lagi aur dil mein khuda ka shukar b peda hony laga ke jis nay mujy dobara zindgi ki tarf lo ta diya.

aik zaroori baat main bata doun ke main nay ye ghalt kaam bohat hi thory arsy ke liy kiya tha isi liy main zindgi ki tarf wapis lot aaya. lekin main nahi janta ke jo log ye ghalt kaam saalon takk karty hain wo kabi zindgi ki tarf loty hain ya nahi.

to kamm se kamm main nay apny persnel experience se ye hi result nikala hai ke koi chahy jo b kahy mushtzani ka asar seeda aap ki health per hota hai aap jinsi tor per to weak hoty hi hain sath sath aap physically b bohat kamzor ho jaty hain is liy main to ye hi kahon ga ke plz jo log kehty hain ke musthzani ka nouqsaan nahi hai wo dosry logon ko gumrah kar rahy hain aur oun se ye hi request hai ke khuda ke liy na to khud ye kaam karain na kisi aur ko karny ki targheeb dain. keon ki zindgi bohat qeemti hai is ki hefazat karain.

aub kuch sawal oun logon ke liy jo kehty hain ke mushtzani ka koi noqsan nahi.

1-     agar mushtzani ka koi noqsan nahi hai to phir insaan ko jismani kamzori kaisy ho jati hai halanke mushtzani karny se pehly takk wo bilkull sehatmandd hota hai?

2-     jo log ye kehty hain ke kamzori mushtzani se nahi hoti balke kisi aur jismani bemari se ho sakti hai to ye jismani bemari mushtzani se pehly keon nahi lagti?

3-     kuch log kehty hain ke baaz logon ko jabb ye ehsas hota hai ke ham ghalt kaam kar rahy hain to is ghalti ke ehsas se kamzor ho jaty hain to mujy aap log bataiye ke mustzani ki ibtida per aap ko koi nadaamat hoti thi to phir log kamzor keon ho jaty hain?

4-      in sawalon ke jawab agar koi dy sakta hai to plz bari nawazish ho gi.

allah hum sabb per reham kary.

okey bhi Group: Members  Joined: 12th Sep, 2008  Topic: 20  Post: 51  Age:  33  
Posted on:23rd Nov 2008, 1:16pm
 

good

my dear sallm

jo app nay leak deya hay i thing kay 75% pakistani  young boys may ya problem hay

i thing key ur right may is sawal key bara may or kosh nay leak sak ta

okey bhi Group: Members  Joined: 12th Sep, 2008  Topic: 20  Post: 51  Age:  33  
Posted on:23rd Nov 2008, 1:17pm
 

i thing

is form key sooth or veer botah nice member hay who app ko ans day gay koy key meray 99% swal ka soot nay best ans deya hay
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:23rd Nov 2008, 3:34pm
 

ishtiaaq

aap ne jo kuch kaha yehi baatein bhut se young ladko ke dimag mein bethi hoi hain.

aap kehte hain ke aap musht zani karne se pehle fit thay lekin jab he musht zani karna start ki to log aap ko kamzoor kehne lage.dear kamzoori ki waja koi aur bhi ho sakti hai.jab aap ke dosto ne aap ko musht zani ka tarika bataya

to sath mein yeh bhi bataya ho ga ke es ka nuksan bhut hai.insaan kamzoor ho jata hai health kharab ho jati hain etc...jab aap k rishte daro ne aur aap ke ami abu ne kaha ke tum kamzoor ho rahe ho to aap ka dimaag musht zani ki taraf he giya.

es ka matlab ke aap ko pata tha ke aap musht zani kar rahe hain es se kamzoori hoti hai ager aap ko na pata hota to aap ka dehan musht zani ki taraf na jata.

wohi soch wohi khayal ne aap ki sehat kharab ki.aap mentally tour par agreed he na thay ke musht zani se koi nuksan nehin hota.aap ko yaqeen tha ke musht zani se health kharab hoti hai.so aap ki health kharab ho gayi.

jab aap ne ose choora to mentally tour par aap agreed ho gaye ke ab meri sehat achi ho jaye gi to wohi hua aap ki sehat achi ho gayi..

musht zani se koi nuksan nehin hota.medically musht zani ka koi nuksan nehin.ager hota to jo loog itney saalo se musht zani kar rahe hain woh ab tak mar jate.musht zani ke baad ager aap sochey ge ke aap ki health es se kharab ho gi to lazam hai ke aap ki health kharab ho gi.

aap ke har sawal ka jawab mere artical mein likha hai.aap read kare phir shayed aap ka concept clear ho jaye.

read this:

·         Masturbation Is Not Bad For Health

Rapid Group: Members  Joined: 26th Sep, 2008  Topic: 10  Post: 30  Age:  23  
Posted on:24th Nov 2008, 6:02am
 

Ishtiaq

You are too good ishtiaq. Actualy mein janta hoo aur bohat achi tarha janta hoo k masturbate aik deemak hai jo insan ko khokhla ker deti hai.But mujhe ye site her jaga cheekh cheekh ke keh rahi hai k is ka asar health pe nhi hota! Lekin mein dawe se kehta hoo k ye aik silent killer hai.Lekin may be moderaters is liye isay aplicable ker rahe hain taake excited person zina se bach jaye.Haa mein manta hoo k masht zani zana se hazaroo guna theek hai lekin ye b such hai k ye silent kiler hai.I think ye bilkul bilkul last stage mein kerni chahiye jab insan zina k liye ja raha ho.But koshish kijiye k ye nobat he na aaye. Wel great mr ishtiaq
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:24th Nov 2008, 6:19am
 

Rapid bhai

yaar rapid itna to socho k agar yeh silent killer hota to sex se bhi admi kamzoor hota aur ehtlaam hone se bhi yeh dono cheezen bhi phir silent killer hi hain kyo k in teeno k zarye aik hi kaam hota hai sperm discharge karna aur sperm discharge karne se aur banti hai jis tarha app thook phainkte hai to dobara thook ban jata hai bilkul issi tarha agar aisa hota to ajj duniya k taqreeban sare hi mard mar jate ya namard hote kisi k yaha aulaad na hoti kyo k 95% se ziyada log must zani karte hai yeh sirf un k dimaag mein dar aur khauf hota hai jo use dubla kar deta hai mein apni khud ki misaal deta hoo

mein pehle bauhat mushtzani karta tha din mein teen teen baar bhi karta tha magar mein ne kabhi iss cheez ko apne dimaag mein nai bithaya k yeh aik beemari hai ya iss se insaan beemaar ho jata hai kamzoori ho jati hai mein iss ko ignore karta tha aur meri health bilkul theek hai balke aur mera weight bar gaya hai magar ab Allah ka Shukar hai ab iss cheez per mein ne control kar liya hai aur ab mein mushtzani nai karta magar iss k kisi tarha k bure asrat nai hote mera maqsad yeh nai hai k app log mushtzani karte rahe bilkul nai beshak yeh aik buri adat hai magar mein app ka concept clear kar raha hoo agar app ko phir bhi lagta hai k app sahi hoo to plz koi logic batao iss ki

ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:24th Nov 2008, 8:31am
 

Ratty Rataaye Answers

Salaam!

Bohat shukriya reply karny ka but very sorry to say ke ye to wohi ratty rataaye jawab hain jo ke aap nay isi site per perh rakhhy hain. Kisi nay b apna personal experience share nahi kiya ke agar aap mein se koi mushtzani karta hai to kaya ous ki health per koi farq perta hai ke nahi.

Jahan takk meri baat hai to shaid aap logon nay meri baat ko ghor se perha hi nahi bus apny matlab ki baat per kar wohi typical sa answer de diya.

 Halan ke main nay barhy hi wazahet se likhha tha ke main nay jabb ye boura kaam start kiya to mujy na to koi nadaamat hoi thi na hi koi bouraai ka ehsas. Agar aisi baat hoti to main ye ghalat kaam kamm se kamm daily na karta.

To jabb mujy koi nadamaat aur koi bouraai ka ehsas hi nahi hota tha to phir mujy kamzori keon ho gai?

Aur jaisa ke main nay likhha tha mery Aami Aabo nay jabb mujy kamzori ke bary mein kaha tha to main nay oun ki baat souni unsouni kar di keon ki mujy khud apny andar koi kamzori feel nahi hoti thi. To jabb mujy koi kamzori feel nahi hoti thi to wo kamzori mery Maan Baap aur dosry reshtydaaron ko kaisy nazar aa gai?

Aur aik ahem baat ke mujy to jab mushtzani se heath ky noqsaan ka andaza howa to main nay ye kaam wasiy hi chhor diya tha to phir mujy kamzori kaisy ho sakti thi?

Main aik baat wazy kar doun ke Ehtalam aur Mushtzani mein zameen asmaan ka farq hai.

Ehtalam ko aap rok nahi sakty keon ki ye aap ke bus mein nahi hota aur jaisa ke isi website per likhha hai ke Ehtalam tabb hi hota hai jabb Semen Vessiles bhar gai hon.

Aub kisi ko kaya pata hai ke ye Semen vessiles kab takk bhar jati hain?

Keon ki kabi to ye aik din mein b bhar jati hain kabi aik week b lag jata hai. Isi liy to kabi kabaar aap ko almost daily raat ko Ehtalam hota hai jabb ke kabi kabaar to 2 week b guzar jaty hain. Is ka matalb to ye hi howa  ke Ehtalam aik Natural amal hai.

Aub aaty hain mushtzani ki tarf to araz yr hai ke mushtzani se jabb aap aik baar Mani ko nikaal dety hain to kaya pata ke aub aap ki Semen vessiles kabb bharian gi. Jabb ke aap dosry hi din phir mushtzani kar lety hain aur aabi Semen vessels bhari b nahi hoti ke aap oun ko phir khali kar dety hain. Is se kaya aap ki Semen vessels per boura asar nahi perta?

Keon ki bari simple si baat hai agar aap aik Machine  se ous ki karkardgi se zeyada kaam lein gy to  aik to ous ki karkardgi mein  farq perhy ga sath hi sath wo kharab b jaldi hi ho jaye gi. So Semen vessels b bilkull aisi hin aik Machine hain jis per aap agar aap ous ki karkardgi se zeyada bojh dalian gy to wo yaqeenan khrab ho jai gi to jabb Semen vessels mein kharabi peda ho gi to yaqeenan aap ki penis per b is ka effect ho ga jis se ous ki karkardgi b effect kary gi aur jabb aap ke jism mein ye kharabi peda ho jay gi to yaqeenan aap ki heath per is ka boura asar perhy ga.aur aap ki health kharab ho jaye gi.

Aur baat ye b hai ke kuchh log kehty hain ke agar mushtzani noqsande hai to phir jabb aik married admi agar apni wife ke sath daily Sex karta hai to wo keon  kamzor nahi hota to oun ke liye guzarish ye hai ke wo b kamzor hota hai jis ka proof isi site per mojood hai jis mein aik bhai nay kaha hai ke zeyada Mubasharat se kabi kabi mery andar itni hematt nahi rehti ke main koi kaam kar sakon to is se b baat clear ho jati hai baqi jin ko nahi man na oun se behas karny ki zaroorat nahi. Waqt khud hi bata de ga ke kaya sahi  hai kaya ghalt.

Akhir mein aik bari ahem baat .

Hamary PEYAARY NABI HAZRAT MOHAMMAD (PBUH) KA FARMAN-E-AALI SAHAAN HAI.

(KE AGAR KAHIN KOI BOURAI HOTY DEKHHO TO PEHLY OUSY HATH SE ROKO AGAR HATH SE NAHI ROK SAKTY TO ZUBAAN SE ROKO AUR AGAR YE B NAHI KAR SAKTY TO KAMM SE KAMM OUSY DIL MEIN BOURA ZAROOR KAHO. AUR YE EMAAN KI SABB SE KAMZOR HALAT HAI.)

To janab hum hath se to is bourai ko nahi rok sakty lekin zuban se zaroor rokain ge.

Aur ALLAH se doua hai wo mujy is maqsad mein sabatqadmi de (amen)

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:24th Nov 2008, 2:53pm
 

ishtiaaq

agreed with saahibhai

dear sab se pehle main aap se yeh request karta hon k aap zara choti post kare ta ke main os read kar sakhon...main pas bhut se sawalaat hote hain jin k mujhe jawab dene hote hain.

ager aap ki itni lambi post read karon to phir baki members ko time nehin de sakta.mere pass aaj kal short time hota hai.wese to aap ke tamaam sawalo ke jawab mere article mein hain.lekin shahyed onhe aap accpet nehin karna chahte.

aap members jawab de ge.main bas aap ko yeh mashwara don ga ke aap phir kabhi shaadi na kare.kyun ke shaadi kare ge to sex bhi ho ga sex se phir discharge bhi ho ga aur musht zani se bhi discharge hota hai.donu soorto mein semen zaiya ho gi to aap ki health kharaab ho gi.

aur phir aap ko loog kamzoor kehne lage ge.lehaza es se acha hai ke aap shaadi he na kare.na rahe ga bhaans na baje gi bhansuri

moderators es liye nehin kehte ke musht zani nuksan de nehin ke koi zana na kare.moderartors es liye kehte hain ke yeh baat medicall kehta hai.

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:25th Nov 2008, 2:20am
 

Ishtiaaq bhai

Ishtiaaq bhai agar app thora sa sense use karo to app ko apna jawab mil jayega app ke hi alfaaz quote karta hoo

 

Main aik baat wazy kar doun ke Ehtalam aur Mushtzani mein zameen asmaan ka farq hai.

Ehtalam ko aap rok nahi sakty keon ki ye aap ke bus mein nahi hota aur jaisa ke isi website per likhha hai ke Ehtalam tabb hi hota hai jabb Semen Vessiles bhar gai hon.

Aub kisi ko kaya pata hai ke ye Semen vessiles kab takk bhar jati hain?

Keon ki kabi to ye aik din mein b bhar jati hain kabi aik week b lag jata hai.

 

yaar bhai jab app ki shadi hogi aur app roz sex karoge to app ko kaise pata chalega k semen visseles bhar gayi hai ya khali hai app yeh sochoge k abhi semen vissiles khali hai mein aik week k baad sex karoga aur jo log roz sex karte hai balke 2 baar karte hai kya aik ghante mein hi unki semen vissiles bhar jati hai woh to kamzoor nahi hote balke aur mote ho jate hai bilkul healthy logon ki tarha aur unki semen vissiles per to koi bura asar nai parta.

 

to bhai chahe app musturbate karo ya sex karo ya app ko ehtlaam ho teeno hi soorton mein sirf sperm nikalti hai aur semen musalsal banti rehti hai jaise thook banta hai khoon banta hai.

 

Aur baat ye b hai ke kuchh log kehty hain ke agar mushtzani noqsande hai to phir jabb aik married admi agar apni wife ke sath daily Sex karta hai to wo keon  kamzor nahi hota to oun ke liye guzarish ye hai ke wo b kamzor hota hai jis ka proof isi site per mojood hai jis mein aik bhai nay kaha hai ke zeyada Mubasharat se kabi kabi mery andar itni hematt nahi rehti ke main koi kaam kar sakon to is se b baat clear ho jati hai baqi jin ko nahi man na oun se behas karny ki zaroorat nahi. Waqt khud hi bata de ga ke kaya sahi  hai kaya ghalt.

 

yaar dekho iss duniya mein caroron log rehte hain ab chand aik ko kuch bhi masla ho sakta hai. sex k baad insaaan aisa hi feel karta hai jaisa khana khane ka baad karta hai . app khana khate hoo iss k baad app ko himmat nai hoti k appkoi kaam karo bus dil hota hai sojao issi tarha sex mein bhi relaxation milti hai insaan sona chahta hai thak nai jata

 

aur mein ne khud apni misaal di hai apna personal experince app se share kiya hai shayad app ne nai parha, mujhe umeed hai app ka concept clear ho gaya hoga aur phir bhi nai hua to aik kaam karna sari zindagi shadi mat karna kunware hi rehna warna app kamzoor ho jaoge ok, hope you dont mind zara thande dimaag se mera jawab parho phir batana ok God bless you agar meri koi baat buri lagi to i m really sorry dear

ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:25th Nov 2008, 3:04am
 

Overuse

Salaam!

Aik example dekhhain bari simple si baat hai agar aap aik Machine  se ous ki karkardgi se zeyada kaam lein gy to  aik to ous ki karkardgi mein  farq perhy ga sath hi sath wo kharab b jaldi hi ho jaye gi. Jabb ke agar aap ous machine ko tareeqye se aur ehhtiyaat se chalao gy to to aik to wo kaam b theek kary gi aur dosra ye ke ous ki karkardgi b mottasar nahi ho gi jis se wo machine lamby arsy takk theek kaam karti rahy gi jis se faida hi ho ga noqsaan koi nahi.

SEMEN VESSELS.

Isi tarha  Semen vessels b bilkull aisi hin aik Machine hain jis per agar aap ous ki karkardgi se zeyada bojh dalian gy to wo yaqeenan khrab ho jai gi to jabb Semen vessels mein kharabi peda ho gi to yaqeenan aap ki penis per b is ka effect ho ga jis se ous ki karkardgi b effect kary gi aur jabb aap ke jism mein ye kharabi peda ho jay gi to yaqeenan aap ki heath per is ka boura asar perhy ga.aur aap ki health kharab ho jaye gi.

Medical Science ye baat kehti hai ke agar insani jism ke her hissy (part) ki nashwo- nouman ke liye proper energy ki zaroorat hoti hai so agar ousy proper energy na mily to ous ki nashwo-nouma per boura asar perhy ga jaisy ki aap ka hath hai paaon hai agar KHUDA-NA –KHASTA in ko proper tareeqy se energy na mily to kaya ye kamzor nahi ho jain ge jis se insaan ALLAH na kary maazoor b ho sakta hai. Isi tarh Semen vessel ko b kaam karny ke liy energy ki zaroorat hoti hai jis se wo semen peda karti hain aub oun ko aik level se energy mil rahi hai aur wo apna kaam tareeqy se kar rahi hain ke jabb wo bhar jati hain to khud ba khud khali ho jati hain aap ko koi zehmat b nahi karni perti. Lekin agar aap in vessels ko bharny se pehly hi khali kar dain gy to yaqeenan in vessels ko bharny ke liy zaroorat se ziyada energy ki zaroorat perhy gi aur wo ye energy aap ki body se hi lain gi jis se aap ki baqi poori body ka energy level disturb ho ga to aap hi bataiye ka aap ko kamzori bahi ho gi?

Rahi married logon ki baat to oun ko b doctors ye hi mashwara dety hain ke wo b daily intercourse na Karin kamm se kamm aik din ka gap zaroor dena chahiye jis se aap ki semen vessels ko bharny ka moqa mil jata hai jis se aap ki health per koi boura asar nahi perta.

Baqi agar kisi ko meri baat acchi nahi lagti to koi baat nai waqt khud hi bata de ga sahi kaya hai aur ghalt kaya aur main itna zaroor jannta houn ke agar meri baatain ghalt hon to yahn aaye din koi b nowjawan apni kamzori, erection, aur aisi hi dosri problems ka rona na ro raha ho. ok

Rapid Group: Members  Joined: 26th Sep, 2008  Topic: 10  Post: 30  Age:  23  
Posted on:25th Nov 2008, 1:42pm
 

Khuch b kaho lekin.........

Iam agreed to ishtiaq.Pehle to all members sahilbhai.Etc.Ye discusion form hai is mein gusa nhi hona k mein kab se keh raha hoo aur ye ishtiaq aur rapid to maan he nhi rahe. Chalien agar aap kehte hain k masturbate aur ehtlam mein difrence nhi hai to iam agreed to ishtiaq.Chalien aap masturbate ko chorien.Aap kehte hain k shadi k bad din mein do bar kerta hai aur some times wo mota b hota hai.To for ur kindly information sir g is ka relation diet se hota hai.Kon kehta hai k shadi k bad aap din mein 10 bar sex karien.Ye depend kerta hai aap kya aur kitna khate hain.Agar aap kehte hain k jitne time sex kiya jaye khuch nhi hota to jab semen discharge hote hain to aisa kyu lagta hai k wo kheench k nikal rahe hain aur poori body ko hilaa ker rakh deti hain.Haa mein manta hoo k ye jhoote hakeem bakwaas kerte hain aur daraty hain.Lekin phir b koi maane na maane semen discharging hone se weaknes hoti hai.Aap din mein aik bar masturbate karien aur waha aap din mein 4 baar karien to kya faraq nhi parta mujhe batayien? Ye sab insan ke khane pe hota hai.Agar aap daily fruits aur vitamins lete hain to to theek hai lekin agar aap do din se khuch na khayien aur sex karien to mein samajta hoo k wo us ko hila k rakh de ga.Aur agar hila k rakh deta hai to means efect huwa na.Wel i think mein ne apne zindgi mein jo dekha kiya aur suna hai us k liye iam tooo agreed to ishtiaq.
salam_butt Group: Members  Joined: 24th Nov, 2008  Topic: 5  Post: 42  Age:  37  
Posted on:25th Nov 2008, 2:42pm
 

sach jo hay wo app bolta hay

bilqul app  ne sahi lekha hay  sir mian app ki bat ka kayal hon  main 14 sall say muthzani kar raha hon ajj meri age  30 ho gai ho gi lakin  is say jan nahi chorti main to bohat parasan ho gaya hoon  abb  shadi hone ko hay  lakin samj nahi aati kya karou i ithink penis  ka size be  muthzani say he  chota rah jata hay .....main iss taklif mein hoon  abhi muthzani chorta be hon lakin  pher be  ho ge jati hay  ek mahene mein 1.2 bar abb shadi hone ko hay  lakin sochta hon kise dcoter ka pas jaou  ya kise hukim ka  pass jaou lakin sharam ki waja say  soch mein par jata hoon 
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:25th Nov 2008, 3:19pm
 

musht zani

jin logo ki yeh soch hai ke musht zani aak bhut khaternaak hai es se health kharab hoti hai aur yeh slient killer hai.onhe mera mashwara hai ke woh aak din apni city ke tamam bare bare hospital mein jaye aur wahan achey achey doctor se pochey ke medically musht zani nuksan deh hai ke nehin?

noor clinic ghalat ho sakti hai,noor clinic es liye keh sakti hai ke boys zana na kare.lekin tamam doctor jhut nehin keh sakte..lehaza aap sab ko mashwara hai ke aak baar hospital mein zaroor vist kare.ta ke aap sab ka concept clear ho

Rapid Group: Members  Joined: 26th Sep, 2008  Topic: 10  Post: 30  Age:  23  
Posted on:25th Nov 2008, 3:48pm
 

Veer Sir!

i know you are senior veer. but discussions se topics aur b clear hote hain so dont mind sir!

1.Kya diet se sex per farak perta hai?

2.chalien masturbate ko aik side pe rakhein mujhe ye batayien k pakistan mein majority female babies ki kyu hai males ki kyu nahi? i think average females in pakistan is 70%.

 

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:25th Nov 2008, 4:00pm
 

Rapid

yes u r right..yeh forum wese bhi discussions ke liye hai i dont mind.

main sirf apna comment de raha tha.so de diya.

females 70% zaida hain.yeh bhi aap ne sehi kaha.lekin es ki waja bhi musht zani nehin hai jo ke aap soch rahe hain.

mujhe members ke sath behas karna allowed nehin.aap ko baki members jawab de ge.

ishtiaaq Group: Members  Joined: 06th Aug, 2008  Topic: 38  Post: 81  Age:  29  
Posted on:26th Nov 2008, 3:54am
 

Male or Female Baby

Salaam!

Bohat bohat shukriya ke aakhir kuchh logon ko meri baat samjh aa gai hai yaw o meri raye se itifaaq karty hain.

Meri is post ka bunyaadi maqsad ye tha ke aik bhai nay bara important point outhhaya hai ke agar Masturbation harmful nai hai to phir aap aaj kall female babies hi ziyada keon peda ho rahy hain?

To first of all agar is baat ko religion point of view se dekhha jaye to is ka answer kuchh is tarha hai ke PROPHET MOHAMMAD (PBUH) KA FARMAAN HAI.

“ AALA – MAATE QAYAMAT MEIN SE AIK AALAMATT YE B HAI KE QAYAMAT KE NAZDEEK AIK WAQT AISA AAYE GA KE AIK(1) MURD KE ZERY-NAGHEEN FIFTY(50) AURTAIN HOUN GI “

Yani murdon ke mooqably mein aurton ki taadaad itni ziyada ho jaye ke aik murd ki fifty(50) Biviyaan houn gi.

Aub sawal ye peda hota hai ke kaya waqi qayamat itni nazdeek aa rahi hai ke murdon ky moqably aurton ki taadad bharna shooroh ho gai hai?

Is sawal ka jawab to sirf ALLAH KI ZAAT hi jannti hai ke qayamat kitni nazdeek aa gai hai. So is point of view per is se ziyada baat nahi ho sakti.

Aub aaty hain mojooda halat ki tarf aur apna tajziya khud karty hain ke kaya waqi qayamt itni nazdeek aa rahi hai ke aurton ki taadad ziyada hony lagi hai ya  ke mojooda soorat-e-haal ki hum khud zimmadar hain.

Medical point of view se dekhha jaye to aik sahat mandd murd ki semen mein (X) aur(Y) dono chromosomes hoty hain (chromosomes sperms ki medical term hai jis mein X chromosome male particle hota hai aur Y female particle hota hai) to murd ki semen mein ye dono chromosomes hoty hain jub ke is ke moqably mein aurt sirf (Y) chromosomes hi peda karti hai. Aub aaty hain in chromosomes ki banwat aur sakhat per to (X) chromosome size aur sakhat mein (Y) chromosome se chota hota hai lekin is mein move karny ki taqat (Y) ki nisbatt ziyada hoti hai but is ka size chota hony ki wajha se ye Y ki nisbaat kamzor b hota hai yani ye mahol ki sakhti Y jitni bardasht nai kat sakta jis ki wajha se jaldi marr b jata hai.

Isi liy Doctors yehi hi kehty hain ke intercourse mein DAKHOOL jitna ziyada gehra ho ga outna hi faida mandd ho ga keon ki is se X chromosomes Y ki nisbaat jaldi se aurt ke Y chromosome se mil jaye ga jis se male baby peda hota hai .agar dakhool thora ho ga to may b X chromosome aurt ke Y chromosome takk pohanchny se pehly hi marr jain  gy jis ki wajha se murd ka Y chromosome hi aurt ke Y chromosome se mily ga jis se yaqeenan female baby peda ho ga.

Aub sawal ye peda hota hai ke agar male baby ke liy gehra dakhool zaroori hai to jin logon ka penis chota hai wo to phir bety ki khaish karna hi chhor dein keon ki oun ka dakhool to yaqeenan outna nai ho ga jitna bhary penis waly logon ka ho ga.

Medical point of view se is ka jawab ye hai ke dakhool chaye kamm gehra ho ya ziyada is se farq nahi perta farq perta hai to is baat se ke kaya aap ki semen mein X chromosome outny hain ke wo aurt ke Y takk pohanch sakaain? Keon ki ye jitney ziyada houn gy outna hi in ka aurt ke Y se milny ka chance hai keon ki in mein se ziyada tarr to rasty mein hi marr jaty hain aur jo Y takk ohanch jaty hain wo hi kamyaabi se male baby peda kar sakty hain warna aap ke Y choromosomes to peachy hain hi ke agar X na mil saky to Y to Y se mil hi jay ga aur yaqenan female baby peda ho ga.

Aub is sari behas ko Masturbation ke point of view se dekhty hain. To mera yahan ke bary pehlwaon se ye sawal hai ke jabb aap mushtzani se semen zaya karty hain to kaya ous mein ziyada X chromosome zaya nahi hoty ?keon ki pehly to wohi bahar niklain gy?

Jabb ki aap ki Semen vessels to aik level se X aur Y peda kar rahi hain agar aap ziyda Masturbate karty hain to yaqeenan aap apny X chromosomes hi ziyada zaya karty hain uar aap ky Y baqi reh jaty hain to jabb shadi  takk ka time aata hai to aap mein Y chromosomes ki ziyadati hoti hai jis se phir zaher hai female baby hi peda ho gi.

Kaya aisa nahi hota ?zaroor bataiye ga aur proof ke sath  . OK

Rapid Group: Members  Joined: 26th Sep, 2008  Topic: 10  Post: 30  Age:  23  
Posted on:26th Nov 2008, 7:32am
 

Dear Ishtiaq.

hi. i know better about male female chromosomes........ such type of terms & i like your sentences that if members give us answer in islamic point of view than the answer showing in " PROPHET MOHAMMAD (PBUH) KA FARMAAN HAI.

“ AALA – MAATE QAYAMAT MEIN SE AIK AALAMATT YE B HAI KE QAYAMAT KE NAZDEEK AIK WAQT AISA AAYE GA KE AIK(1) MURD KE ZERY-NAGHEEN FIFTY(50) AURTAIN HOUN GI “ but i want to ask to senior moderators and members which are saying that masturbate or regular sex cant effect on our body???? i know better in my life experiance. why females in majority.but members please cant give me answer in islamic point of view,iam a muslim also.but tell me in medical technology.

aliramzee Group: Members  Joined: 19th Nov, 2008  Topic: 3  Post: 18  Age:  25  
Posted on:26th Nov 2008, 10:12am
 

salam

app ka column per ker bohat acha laga laikin app btao ke mushtzani per qabo kis trah pae.jb mood hota hai tu kuch nazar nhi ataaur koi kehta hai ke  isse koi kamzoori nhi hotoi
Rapid Group: Members  Joined: 26th Sep, 2008  Topic: 10  Post: 30  Age:  23  
Posted on:26th Nov 2008, 1:17pm
 

aliramzee

Dear actualy i think that masturbate k baray mein kisi ko khuch nhi samjaya jaa sakta jab tak wo khud satisfy na ho jaye.Hum aap ko kahien gay k aisa na karo is se ye ho jaye ga wo ho jaye ga......aur chalo agar aap hamari baat maan b lete hain aur chor dete hain lekin doobara start ho jati hai.Actualy mein apni life ka experiance share kerta chaloo jab kabi mein ye harkat kerta aur jab thanda ho ker aata to un sab k samne bohat guilty feel kerta jo kisi manzil per puhanch chuke hain.Mein sochta kaha ye apni zindgi ko kitni taraqi ki raah pe le ja rahe hain aur kaha mein itna gatya aadmi! You know mein ne abi se apni family bana li hai.I mean mein ne abi se apna future imaginate ker diya hai.Agar mein acha aadmi bana to mein yaha se shadi karoo ga mere bache hongay.... Bus ye soch ker mein ye kam bhula deta hoo.Mere pas kai babies ki pics hain unhein dekh k kehta hoo k kash mujhe aisa mil jaye.And dear chahe koi maane na maane i think masturbate or any type of this activities may cause you to stop to born a male baby.Some time in rear cases may be born a male baby but in rear cases.So i think u have to set ur diet in this age.Yehi age kha pi ker jaan banane ki hai aur phir shadi k baad sex he sex.Lekin abi ye growing age hai abi semen se cher chaar na karien waqt pe istamal karien.Mein janta hoo ye bohat bohat bohat mushkil hai but apne future ke baare mein sochiye.Mein ye nhi kehta k female baby kharab hai lekin male baby ka rob hi alag hai.Aap aaj kal dekh he rahe hain females ki majority aur agar abi kisi k haa koi male baby hota hai to kitna acha lagta hai.Sochien k agar aap ka male baby ho to. ..Mein janta hoo ye sab alah k hath mein hai lekin hum apni taraf se to koshish ker he sakte hain.Aur mein ne aksar note kiya hai k jo apni health ka care kertay hain waha male baby k chances ziyada hote hain.Kya aap male baby ki khuwahish nhi rakhte? Wel aagay aap samajdhar hain.
msoft Group: Members  Joined: 06th Oct, 2008  Topic: 5  Post: 13  Age:  33  
Posted on:27th Nov 2008, 11:31pm
 

Personal EXP

Well gone through all the article i just wana share ma personal experince.

Had been involved in this bad habbit since 93 or some thing not remember correcctly and done alot, but never bothered it abouut damage of health coz that waz nt cleared.

till now i m not weak BY GRACE of GOD although i waz nt able to leave that a yr ago bt now got control allot.

now i m 28 physicaly fit , gym , runing, karate, mental problem solving , hicking , tracking in no matter i m behind any 1, i alwayz dare and in front line.

diseases protection is by grace of god is strong.

Coming to side affects i must say sexully it have on organ its hardness, blood flow, shape must b affected due to inproper grip, drops prob (urine and semen) is also there.

other wise every thing is f9. n any doubts will def will be cleard after marriage. I am not here to support masterbation just to share my personal exp.

 

But must say its a BAD THING TRY TO AVOID IT AS LONG AS U CAN.

1 2  >>
Abortion and Behavioral
Abortion and Behavioral Outcomes
Abortion Counseling
Abortion Counseling: Why It Is Important
Tight Vagina
How To Tighten a Vagina
Healthy Vagina
How To keep A Vagina Healthy
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013