Iss tariqay mein control mard kay paas hota hai le'haza woh apni marzi sey harkat karta hai aur mubashrat sey zyada lutf uthata hai iss tariqey ka ek ahem faeda yeh hai kay iss mein khawand biwi kay hassas tareen hisson ko aasani sey mushta'il kar sakta hai jo kay har aurat ki jinsi lazzat aur orgasm kay husool kay liye bohut zaroori hai khawand biwi kay bazer (clitoris), faraj (vagina), androoni lub (labias) aur pistaan (breast) waghaera ko aasani sey mushta'il kar sakta hai woh biwi kay pistaanon ko choom aur choos sakta hai. Iss kay ooper laet kar iss kay pistaano'n sey apney seeney ka massage kar kay bharpoor lutf utha sakta hai, dakhool kay ba'ad aurat khud bhi apney bazer waghaera ko mushta'il kar sakti hai jo kay uss kay orgasm kay liye zaroori hai, iss tariqey mein baiwi khawand kay zakar aur khusyo'n ko mushta'il kar sakti hai jo khawand kay liye saher angaez hai.
Taa'hum iss tariqey ki kuch khamiya'n bhi hain maslan yah tariqa unn afraad kay liye amooman badtareen hai jo sur'at e inzal (premature ejaculation) kay mareez hain yani jo jald manzil (discharge) ho jatey hain kyun kay iss tariqey mein amooman mard jald manzil ho jata hai agarcha ba'az afraad kay liye yeh theek hai kyun kay control mard kay paas hota hai, agar mard ka wazan zyada ho to wahan yeh ghaer munasib tariqa hai kyun kay aurat kay liye khawand ka wazan sambhalna mushkil hota hai iss tariqey mein amooman aurat harkat nahin kar sakti le'haza woh sex sey bharpoor andaz mein lutf andoz nahin ho sakti iss tarah chu'nkay aurat ko dakhool per control hasil nahin hota jis ki wajah sey ba'az auqaat gehrey dakhool sey aurat ko takleef hoti hai.
|