Agar aap ko iss kay mundarjaat kisi bhi lehaaz sey nagawar guzartey hain to aap is kay mazeed muta'alley sey ahitraaz farmaein aur kharab kiye baghair kitab humein wapis kar dein. Mein sidq e dil sey aap ki dil aazari kay liye maazrat khwah hun aur apney Rabb se bhi muafi ka talabgaar hun jo apney bandon kay gunah muaf farmaney wala hai, chahey woh sumander kay jhaag kay baraber hi kyun na hun.
Yeh baat taey hai kay ek dahaee kay tajurbey aur mushahidey kay baad mein iss nateejey per pohoncha hun kay jitney logon ki mein ney clinic per madad aur reh numaee ki hai uss sey kahiin zyada humarey muashrey mein mojood hain aue khamoshi sey iss dukh ko sehtey hain aur izhaar nahin kartey kay iss mozou per izhaar humarey haan pasand nahin kya jata. Allah kay rasool aur azdawaj e mutahhiraat sey log baat kar letey thay kay yeh unka haqq tha ab log baat nahin kartey, apna haqq zaya kar detey hain aur khushiyan bhi yeh kitab un hi khushyion ko wapis lautaney ki koshish hai .
Aik baat jo bohut bunyadi aur ahem hai wo mujhey kitab kay aaghaz mein hi apney qara'een sey kehni hai .
|