"Biwi Kay Naam"
kay
Shadi kay 35 saal baad bhi unn se mohabbat aur dilbastagi ka rishta taaza hai. Yeh ajeeb baat hai k mein ne unhein kabhi naam se nahin bulaya, humesha biwi keh kay mukhatib kya, yehi mujhe pasand hai aur yehi is rishte ka aijaaz bhi….wo meri bey hadd humdard aur ghumgusaar bhi hain aur naqid bhi. Mere sarey kaam unhein pasand hain magar iss 'parda daar' mozou per likhna unhein aik aankh nahin bhata.
Mein dil se yeh na samajhta kay merey Maalik ko apne bandon ki khidmat aur taaleem ka yah andaz aur meri kaawish pasand aaegi to kabhi bhi mera qalam iss mozou per likhne per aamada na hota aur jane kitne hi saalon humari shadi shuda bachchiyaan aur khawateen apni jaez khushiyon se mehroom zindagi guzarti rehtiin..
Agar Aap Ko Iss Kitaab Kay Mundarjaat Pasand Na Aaeein
Yeh kitaab naek niyati kay sath Quran o sunnah aur jadeed uloom ki roshni mein likhi gaee hai yeh ek amali kitaab hai iss ka bunyadi maqsad unn khawateen ki raah numaee karna hai jo azdawaji zindagi kay hawaley sey zyada maaloomaat na rakhney ki wajah sey fitri azdawaji khushiyon aur sukoon sey mehroom hain. Agarcha yeh kitaab khawateen kay liye hai taa hum iss mein mardon kay liye bhi bharpoor raah numaee mojood hai mardon kay liye iss qism ki alaihda kitaab tayyari kay aakhri marahil mein hai.
|