Noor Clinic Books For Pakistani and Indian
Shy Men Women Boys and Girls
Sex Education In Urdu and Roman Hindi
By Dr. Rizwan

Na sirf aam logon bul kay hakeemon ka bhi khayal hai ka agar mani ko kharij na honay diiya jaey aur isko mehfooz karliya jaey to insaan ki sehat achi hogi jo kay bilkul ghalat tasawwur hai.
   
Home | Sex Education in Urdu for All | Mani Ko Mehfooz Karna - Seminal Fluid Storage 2  
List in Urdu >> Page 1 | Page 2 | Page 3 | Page 4 | Page 5
List in English >> Page 1 | Page 2 | Page 3
 

Total views since 15 October 2009:
69228
 
Seminal Fluid Storage

 Married mard hazrat taqat aur mani (semen) ko store karney kay chakkar mein mubashrat (Intercourse) sey perhaiz kartey hain. Halan kay mubashrat (Intercourse) sey perhaiz ki sorat mein insan ki mardana quwwat mein kami aa jati hai. Doosri taraf jinsi khwaish (libido) ko musalsal dabaney sey insan kaee tarhan kay nafsiyati masail maslan lack of concentration, sleep disorder, tension, frustration aur nervousness ka shikar ho jata hai.  

    Jo log mulk sey bahir kam kartey hain aur saal ya 2 saal kay baad watan wapis aatey hain lamba arsa mubashrat (Intercourse) sey mehroom honay ki wajah sey inn afraad ki jinsi khwahish aur mardana quwwat yani tanau (erection) mein kami ho jatey hain. Iss kay elawa yeh log premature ejaculation ka bhi shikar ho jatey hain. Iss surat mein elaj karaney ki zarorat nahi bul kay sexual activity mein hissa leney ki wajah sey yeh problems khud ba khud solve ho jati hain. Europe aur America mein aisi daleel kay ba'is jail kay qaidion ko apni biwion sey milney ki ijazat di jati hai.

Kya Mani (semen) Ko Mehfooz Karney Sey Sehat Behtar Hoti Hai?

    Na sirf aam logon bul kay hakeemon ka bhi khayal hai ka agar mani (semen) ko kharij na honay diya jaey aur iss ko safe karliya jaey to insan ki sehat achi hogi, jism mazboot hoga, age lambi hogi aur iss ki athletics ki abilities mein izafa hoga. Yani agar koi insan mani (semen) ko kharij na karey to woh super athlete ban jaey ga. Iss falsafey kay tehet hamarey yahan pehelwanon ki jald shadi nahi kari jati. Research sey iss tarhan ki koi baat sabit nahi ho saki. Lehaza yeh tasawwur bilkul ghalat hai kay mani (semen) ko safe karney sey insan rustam e zama ban jaiga. (Dastoor:Zakir:Kaiwal Dheer:Mobeen)

 

 
Mani Ko Mehfooz Karna - Seminal Fluid Storage 2
 
<< Next       Prev >>
7879808182838485868788
 
Tell a Friend
 
 
   Home
 
   Terms & Cond
   FAQ - Women
   FAQ - Men
   FAQ - Married
   Book for All
   Book for Women
   Book for Men
*******************  
   Forum
   Daily Questions
   Islam and Sex
  
 
noorclinic
pakrishta
magurdu
makemoney
 
tell a friend
 
Share

    

 

 
 
   
All the above pages are taken from Book of Prof Arshad Javed. Editor and webmaster of www.noorclinic.com is Dr. Syed Rizwanul Haque. The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012