Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Dedicate To My Favorite Member

Urdu   >>  Urdu Poetry
 
 
 
rajmallik Group: Members  Joined: 04th Jun, 2008  Topic: 23  Post: 750  Age:  27  
Posted on:27th Sep 2008, 5:32am
 

whr r u

kaha hain ap sunheri
Aresha786 Group: Members  Joined: 22nd Sep, 2008  Topic: 1  Post: 7  Age:  29  
Posted on:28th Sep 2008, 11:36pm
 

my fav

Tuu jo badla, badal gaye hum bhi
Pyar kartey they, bandagi tu nahi
Waqt kat jaye ga bahar surat
Tuu koi shart'e zindagi tu nahi
Aresha786 Group: Members  Joined: 22nd Sep, 2008  Topic: 1  Post: 7  Age:  29  
Posted on:28th Sep 2008, 11:37pm
 

Dard

dard phael jae to
aik waqt aata hai
dil dharakta rehta hai!!!

aarzoo guzidon k hoslae nahin chalte
dasht-e-beyaqeeni main aasray nahin chalte,
rehrawon ki aankhon main manzilen na jab tak hon, qafiley nahi chaltey!

aik zara tawajjah se dekhyie to khulta hai
log in per chalte hain, raastey nahin chaltey!



sochney samajhney se, saath saath chalney se
dooriyan simat'ti hain, fasley nahin chaltey
khwab khwab aankhon main ratjagey nahin chaltey
darguzar k halqey main mas'ley nahin chaltey


do dilon ki qurbat main teesra nahin hota
waastey nahin chaltey


bakht saath chalta hai taala'e aazmaaon ka
waqt raam karney main, tajziyon k daao ka
tajrubae nahin chaltey

ishq k ilaaqae main hukm-e-yar chalta hai
zabitae nahin chaltey
husn ki adaalat main, aajizi to chalti hai
martabae nahin chaltey



dosti k rishton ki parwarish zaroori hai
silsilae taaluq k khud se ban to jaatey hain
lekin in shagufon ko tutnae bikharnae se rokna bhi parta hai
chahaton ki mitti ko, aarzoo k podoon ko, seenchna bhi parta hai
ranjishon ki baaton ko bhulna bhi parta hai!!!!!!!
Mr.Thatta Group: Members  Joined: 24th Jun, 2008  Topic: 2  Post: 9  Age:  30  
Posted on:29th Sep 2008, 8:21pm
 

Dyea Hoga Un Ne

Diya Hoga Jo Us Nay Dil Ksi Ko, So Diya Hoga

Magar Humko Tu Hay Ye Fikar Ab Kisko Diya Hoga

 

Main Daway Say Bta Sakta Hon Ye Tum Ko

Wo Mera Naam Suntay Hi Bilak Kar Ro Diya Hoga

 

Paseena Meray Chehray Ka Wo Jis Say Saaf Karti Thi

Mujhe Lagta Hay Us Nay Wo Dopatta Dho Diya Hoga

 

Hamara Dil Hi Tu Tha Tum Parayshan Hogay You˘n Aik Dum

Aray Chhoro Miyan! Tum Nay Kahi˘n Par Kho Diya Hoga

 

Wahi Qissay, Wahi Jhaghray, Wahi Manzar Yahan Bahi

Kesi Nay Beej Nafrat Kay Yahan Bhi Bo Diya Hoga

 

Tumhai Bhi Dost Asani Say Wo Dil Day Nahi Sakta

Najanay Kitna Socha Hoga Us Nay, Tu Diya Hoga...

 

 

Tariq_abc Group: Members  Joined: 20th Sep, 2008  Topic: 21  Post: 1097  Age:  30  
Posted on:29th Sep 2008, 8:54pm
 

Annie

Annie kia aap ki shadi ho gai?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4259  Age:  38  
Posted on:12th Feb 2012, 4:13pm
 

Off the forum meeting

1. mujhay kaisay maloom hoga keh kon si female ya male member off the forum baat kerna chahti hai?

2. agar forum per kisi member ne izhar bhi ker dia tu mai kaisay khud ba khud os se off the forum raabta ker sakta hoo?

3. mere facebook per friends ki list lambi hai lekin sab ka taluq aik makhsoos profession se hai. afsos keh os mai mera koi bhi non profession friend aur relative bhi nahi hai (meri wife aur kids bhi nahi).

4. agar aap ka ishara sunehri76 ki taraf hai tu arz yahi hai keh on ka taluq os makhsoos profession se nahi, lehaza mai onhai apne facebook friends list mai shamil nahi ker sakta. aur yeh baat on ko bhi maloom hai.

5. noorclinic form per mai jis id se login hota hoo woh sirf aur sirf noor clinic ke liye banayee thi, mai os email ko phir kabhi check nahi kya. mera khayal hai keh woh email address waisay hi khatam ho gaya hoga.
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4259  Age:  38  
Posted on:12th Feb 2012, 7:19pm
 

forum policy: email id and mobile number

1. mere facebook friends sirf aur sirf aik hi profession se taluq rakhne walo per mushtamil hai. waha per meri personal ya family tasveer bhi nahi hai. mere facebook friends mai meri wife aur kids bhi nahi, jab keh on sab ka facebook per account hai.

2. mei har aik se milna aur baat kerna pasand kerta hoo, isi liye iss forum per mojood hoo, aur sab se hi batain kerta hoo.

3. sunehri meri favorit member hai, on se forum per discussion ker ke khooshi hoti hai. mei sunehri ke beshtar post read kerne ki koshish kerta hoo. jabkeh kuch members ke post (religion & Politics) bilkul bhi read nahi kerta.

4. forum rule ke mutabiq kisi se email id exchange nahi ker saktay. aur mein forum rule ko follow kerta hoo. waisay bhi mai apna koi email read nahi kerta. mere tamam email mere staff read kertay hai aur wahi os ka jawab bhi detay hai. mujhe tu yeh bhi nahi maloom keh rozana mere naam ketnay email aatay hai. yahi haal sms ka hai, mere bachchay hi mera tamam sms read kertay hai aur onhi se mei reply bhi karata hoo. mobile ke chotay chotay button se likhna mere liye bohot mushkil hai.

5. mei puranay khayalat ka aadmi hoo, mojooda daur ki cheezain maslan email, mobile phone, sms mujhe hazam nahi hoti. abhi kuch dino qabal mere bachcho ne mujhe sms kerna sikhaya hai. (lekin mei kisi ko sms bhi nahi kerta). mei sirf apna hi phone istemal ker sakta hoo, ghar mai kisi aur ka mobile phone baj raha ho tu samajh nahi aata keh kon sa button dabana hai.

6. sunehri mujh se iss forum per jetni baatain kerna chahe karain, onhai reply kerne mai mein koi kanjoosi nahi karoo ga. lekin forum policy ke mutabiq mai yaha per kisi se email id ya mobile number exchange nahi ker sakta.




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6348  Age:  35  
Posted on:12th Feb 2012, 10:51pm
 

forum policy: email id and mobile number

Alright Bewakoof bro , yeh soneheri moqa be soneheri jany nai danghi ap bat tu keya kruin ,
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  37  
Posted on:6th Jul 2012, 8:30am
 

Raah...

Raah dekho ye humara intezar karoge
Jab nahi honge hum to humain yaad karoge

Dhoondoge ujre Rishton me Wafa ke Khazaane
Tum mere baad meri Muhabbat ka Ehteraam karoge

Ye jo Raahain sunsaan pari hain jaane kab se
Mere beghair kaise inhe Abaad karoge

Mujhe Qatal karo shauq se lekin ye jaan lo
Mere baad tum har Jurm ka iqraar karoge

Bohat keh chuke bohat samajh chuke hain hum
Jane do ab aur tum kya baat karoge
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6348  Age:  35  
Posted on:6th Jul 2012, 11:26pm
 

میرے دوستو کے نام

عادت ہی بنالی ہے
اس شہر کے لوگوں نے
انداز بدل لینا
آواز بدل لینا
دنیا کی محبت میں اطوار بدل لینا
اغیار وہی رکھنا
احباب بدل لینا
رستے میں اگر ملنا
تو نظروں کو جھکا لینا
آواز اگر دو تو کترا کے نکل لینا
ہر اک سے جدا رہنا
ہر اک سے خفا رہنا
ہر اک کا گلا کرنا
جاتے ہوئے راہی کو
منزل کا پتہ دے کر رستے میں رولا دینا
عادت ہی بنالی ہے
اس شہر کے لوگوں نے




1 2 3 4>>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012