Duties of Wife: Living with Husband
Duties of Wife: Living with Husband Wife ki task husband ko maintain kerna aur un ki care kerna hai.ye koi itna easy nahi hai.wo women jo pelhay hi apnay role ke es feature se unaware hotti han,un ko es task ko fulfill kernay me difficulty hotti hai.ye aik woman ki job hai jis ko patta hai ke job ke liay sagacity, style, aur ingenuity ki zuroorat hai.aik women jis ko successful wife bunna hai ussay apnay husband ka heart win kerna ho ga aur husband ke liay comfort ka source honna ho ga.uss ko wo sub adequate measures lainay hon gay jis se uss ka husband well-being ho aur un ki health maintain rahay. Uss ki efforst ka result husband ko kind aur respected bunana hai jo ke family ka proper guardian ho aur aik good father jis se children guidance aur respect sikhain.Allah jo sub jaanta hai uss ne woman ko extraordinary power di hai.family ki prosperity aur happiness sur misery bhi uss ke haath me hai. Aik woman ghar ko paradise me bhi badal sakti hai aur burning hell me bhi.wo husband ko success ki peak tak bhi lay ja sakti hai aur misfortune ke dregs tak bhi.woman jis ko Allah ne qualities di han,jo as a spouse apnay role se aware hotti hai apnay husband ko respected man bunna sakti hai,even ager wo sub men me lowest bhi ho tu. Aik bar aik learned scholar ne likha:"ke woman ke pass strange power hai jis se wo jis cheez ki desire keray hasil ker sakti hai". Islam me husband ki care kerna bara important hai aur jihad hai. Hazrat Ali(RA) ne fermaya " women ka jihad ye hai ke husband ki achi tara care keray". Ye consider kerna ke jihad aik struggle aur Allah ki rah me holy war hai jis me islam ki advancement aur honour ke liay struggle,islam territories asaur social justice ki execution ko defend kerna,ye worship ka aik highest act hai.proper spouse ki values ko fulfill kerna bhi jihad ke beraber hai. Nain(SAW) ne fermaya: "koi women jis ka husband uss se khush ho wo jannat me jaye gi". Nain(SAW) ne fermaya: "jis aurat ne apni duty as a spouse nahi kit u uss ne Allah ki teruf bhi apni duty poori nahi ki".
|