Duties of Wife: Be Appreciative
Duties of Wife: Be Appreciative Ager koi person generous aur chartibale hai uss health ke saath jo uss ne hard work se hasil ki,tu es ke response me appreciation aur notice uss insaan ki inner feelings ko warm ker day ga aur uss ko accomplishment ki feeling day ga.goodwill phir uss insaan ki second nature bun jaye gi,jis se uss insaan ki habit ho jaye gi ke wo wealth ko un se share aur un per spend keray jin ko es ki zuroorat hai.however ager aap achay acts ko appreciate nahi kerain gay tu person acha kernay ki desire aur drive loss ker day ga.tu uss ka ye soochna natural ho ga ke main hard work ker ke earn kerta hon tu mujhe koi appreciation nahi milti ,main jo kuch kerta hon sub waste jatta hai. Thankfulness aur appreciation wo characteristics han aur aisa secret hai insaan me jis se charitable acts ki teruf koi attract ho sakta hai.even Allah ne ye mention kiya hai k eager aap meri di hui cheezon per shukar guzar hon gay aur meri tahrif aur ibadat kertay rahain gay tu aap ko aur bhi zyada blessings milain gi: "aur jab tumharay lord ko patta chalay:ke tum shukar guzar ho tu tumhain yaqeenan zayada dau ga aur ager tumm ungrateful ho tu meri punishment bahot severe hai".(14:7) Dear madam!aap ka husband human hai doseroon ki tara.wo appreciation ko enjoy kertay han.wo family ko support kernay ke liay willing han aur es ko moral aur lawful sumajhtay han.ager wo dekhain gay aap thankful han aur appreciate kerti han tu duies un ke liay burden nahi hon gi. Jab wo ghar me home appliances ya kuch cloths aur shoes layain aap ke liay aur aap ke children ke liay tu khush hon aur shukeriya adda kerain.un ka shukeriya adda kerain jab wo ghar ki cheezain layain, family ko trips per lay ker jayain aur aap ko aap ke allowance dain.aap ki appreciation se aap ke husband good feel kerain gay aur jo trouble unhoon ne face ki ho gi un ko uss ka reward milay ga.es ki care rakhain ke aap na shukar guzar nah on aur un ke family me contribution se disinterested nah on.otherwise wo family ki welfare ke baray me dishearted ho jayain.wo khud per money spend kerna ya phir kaheen aur spend kernay ko prefer kerain gay. Ager aap ki friend ya koi relative aap ko stocks ka pair day ya phir koi flowers ka bunch tu aap kitni bar uss ko thanks kerti han.tu ye bhi natural hai ke aap husband ki effort per aur un ko consideration aur thoughtfulness ko appreciate kerain.ye mat soochain ke appreciation ko demonstrate kernay se aap ki value kam ho gi.balkay wo aap se aur bhi zyada care aur love kerain gay.jab ke selfishness sirf grat misfortune ki teruf lay ker jaati hai. Thankfulness ke characteristics ki traditions ye han: "Nabi(SAW) ne fermaya:'jo logon ka shukerguzar nahi hotta,asal me wo khuda ka bhi shukar guzar nahi hotta".
|