Labor Stages and Childbirth - ll Labor Stages and Childbirth - ll
Labor Stages: Pushing Baby Out
Aik bar jab aap ki cervix uss point per ah jaye jidher us ski dilation 10cm ho tu ye next labor ki stage start ho jaati hai jis me baby ki pushing hotti hai.es stage ke start me aap ki contractions less frequent ho jayain gi,tu es time ko rest kernay ke liay use kerain aur jitni energy get back ker sakti hen kerain.
Puch kernay ki sensation es baat per depend kerti hai ke aap ke baby ki sitting kis tara hai.jin ke baby lower tend hottay hen un ko puch kernay ki involuntary feelings ki zuroorat hotti hai un ki moqablay me jin ke baby higher up sit kertay hen.
Her contraction ke saath aap ke stomach aur uterus ke muscles aap ke baby per pressure place kerain gay jis se wo birth canal se towards down move keray ga.jab contraction end ho gi aap ki uterus relax ho gi,jis ka meaning hai that aap ka baby thora sa slip back ho ga.
Jaisay hi aap ka baby birth canal se down move keray gat u aap notice kerain gi ke aap ka perineum(vagina aur anus ke dermayaan ka area) bulge out keray ga.ye indication hai kea b aap ke baby ka head pop out hoonay ke bahot close hai aur jaldi hi aap apnay hands ko down ker ke apnay baby ke head ke top ko touch ker sakti hen.aap ye pooch sakti hen ke kaya aap apnay baby keg head ko dekhnay ke liay mirror use ker sakti hen.
Jaisay hi baby ka head birth canal ko exit kernay ke close ho gat u ab her contraction ke saath baby ka head zayada se zayada visible ho ga.jaisay hi aap ke baby ka head bahir aanay ke close ho ga aap perineum per pressure feel kerain gi aur bahot saray cases me even es area ki skin tear ho jaati hai.
Aap ka health care provider ye poochay gi ke kaya wo pushing ko stop keray jis se basically aap ke baby ke head ko stretch kernay ka chance milay ga aur wo birth canal me fit hoonay ke liay adjust keray ga.
Jaisay hi aap ke baby ka head bahir aye gat u aap ko excitement feel ho gi aur aap es qabil hoon gi ke uss ke face ko completely dekh sakain.
Jab aap ke baby ka head birth canal se completely emerge ho jaye gat u aap ki health care provider uss ke nose aur mouth ko suction keray gi so that wo kisi bhi blockage ko clear out ker sakay.wo aap ke baby ki neck ko bhi check keray gi ye dekhnay ke liay ke us ski neck ke around kaheen umbilical cord tu nahi struck hui vi.ager umbilical cord neck ke around ho tu uss ko slip kerna aur ya clamp kerna aur straight away cut kerna easy ho ga.
Ab aap ke baby ka head aik side per turn ho jaye ga aur shoulders aik position me rotate kerain gay aur outside emege hoon gay.aik aur push aur sub over ho jaye ga! Congratulation!
Aik bar baby birth canal se bahir ah jaye tu phir uss ko jitna possible ho ga dry kiya jaye ga.mouth aur nose ko ye ensure kernay ke liay bar bar suction kiya jaye ga ke kaheen uss me obstruction tu nahi hai aur uss ko phir itna warm rakha jaye ga jitna possible ho sakay.ager sub kuch smoothly ho aur koi complications na hoon tu baby ko aap ko pass over ker dain gay aur tu aap es qabil hoon gi ke apnay new baby ko first time mil sakain! Aap ki care taker umbilical cord ko 2 places me clamp keray gi aur 2 clamps ke dermayan se cut keray gi ya aap ka partner bhi es ko cut kernay ka honor hasil ker sakta hai.
Entire second stage few minutes se several hours tak rah sakti hai.epidural ke binna, ager aap ki previous delivery hui hai tu ye duration aik hour aur 20 minutes tak rah sakti hai.ager ap ka epidural ho tu second stage zayada time ke liay rah sakti hai.
Related Links:
|