Forum per aap koi link post nahi
ker sakte kyun ke forum ki programming is tarah ki gayi hain ke yahan link post
nahi kia ja sakta….lekin siraf moderatoraur jin ke pass post edit kerne ka option hai wo log edit page ke zarine link post ker sakte hain…kissi
post mein link lagane ke liye edit per click karein jab aap edit page per jayen
ge to waha aap ko right side mein link ka icon nazar aaye ga…..jis lafz per aap
link lagana chahte hain…for example….. Zeb List of Dishes (continued again)
…aap apne topic ka link copy karein. Uss ke baad edit page mein jayen……aap ke
topic ka title jo main ne likha hai aap uss ko select karein phir link icone ko click
karein….wahan aik text box khul jaye ga
aap us mein copy kia hua url paste ker dijiye…aur ok per click karein…select
kiye hue laft per link lag jayen ga……
sweeittee zeb bahi koo app ka topic nazar nahi ayaa.........wasay woo kooi topic choortay nahi .........kyoo kay ham nay unkoo gold model dayna ha .......aur woo kiss say naraz bee nahi hotay ha......
theek sweeitee app theek ka rahi hoo..........wasay saim bee achi cooker ha per ma zeb bahi johi online dekhoo ga ma unkoo zarroor kahoo ga kay lekhay......
Yar Kal bhut baisati howi hai ammi or wife ke samne. Main ne claim kia tha keeme wale naan bannao ga... Phir banae bhe lakin oven se bhir ane ke baad woh lakri ke ho gai... App se Guzarih hai ke app meri sakh restore karne main madad karen
To Kia app ko Keema wale Naan ya sada Nan banane ate hain... ? Aur yeah bhe batana ke Yeast dalna ya Metha soda...? Ata ya Maide kitni Quantity main leena hai.. Aur oven ka kitna temprature aur kitni deer ke lea rakhna ha....?
1 chciken leyn...ek karhai mein 1 bara handi wala chmach oil daleyn...us mein chicken, ginger paste 1 tbl spoon, garlic paste 1 table spoon, sub sabit garam maslay (long6-7, kaali mirch 6-7, bari alaichi2-3, darchini 2-3, safaud zeere 1chamach)....ye sub daal deyn, sath hi is mein salt, red chilli powder 1 bara chamach, kaali mirch 1 tea spoon, water 1 glass....aur sub se zaroori aaloo bukhara (kachay)....8-10 piece....
ye sub cheezen aag per rakh deyn....is ko darmiyani anch per paknay deyn...jub chicken half gal jaye to is mein 2 pyali dahi achi tarhan phaint ker add keryen aur is ko achi tarhan pakayen.....
jub half bhun jaye to is mein 6-7 hari mircheyn lambai mein cut ker k daleyn.....phr is ko 2-3 minute pakayen aur phr lambi lambi ginger kat ker is per chirek deyn aur dum dey deyn 1-2 minute...
lijiye chicken is ready.....yummyyyyyyyyyyyyyyyyyy
is k liye ap 1 chicken ko boil ker k is k lambey lambey pieces ker leyn....phr is mein cheese ka poora packet grind ker dalayen...sath hi salt, black peper 1 spoon, white pepper 1 spoon, vinegar 1 spoon, soya sauce 1 spoon, bareek kati hui hari mircheyn.....in sub achi tarhan se mix ker lyen
phr samosa ki patti bazar se ley ker is mein fold keryen.....aur egg se bund keryen....
ap ek glass chawal leyn un ko thora sa grinder mein grind ker leyn...ziada bareek na keryen bus itna keryen k salt jese pieces ho jayen....
2 to three glass of milk leyn us mein suger to taste....alaichi daal deyn aur boil kereyn...jub boil ho jaye to is mein chawal ji grind kiye they wo daal deyn..... sath hi is mein thora sa kawera...just 2-3 drops ya half spoon daal deyn.....
jub chawal pak jaye to is ko hilatey raheyn...takreeban 15 minutes tak is ko pakayen...jub tak ye kheer ki tarhan garha na ho jaye tub tak pakayen....
pak jaye to dish out keryen aur grind kiye huye pista aur badam is per chirak k serve ker deyn...
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.