Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Articles
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Importance Of Time

Articles   >>  General Articles
Excess Sweating
Cure for Excessive Sweating
Grey Hair
Grey Hair Care Information
Sex During Pregnancy
How Safe is Sex During Pregnancy?
Vaginal Discharge
Information on Vaginal Discharge
eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2116  Age:   
Posted on:2nd Sep 2008, 10:45pm
 

Importance Of Time

IMPORTANCE OF TIME

Waqt aik bemisal zaria aur wasila hay.Ye fori zaya honay wali cheez  aisi cheez hay jisay na touch kia jasakta hay aur na hi issay stor kia jasakta hay. Ye Baraf ki tarah hykay agar ap isay use nahi karaingay aur bahir para rehnay dyngay to ye melt hojaega.waqt ka koi duplicate nahi hy. Issay ap use bhi kar saktay hyn aur waste bhi. Agar aap issay zaya kardaingay to tassulsillay waqt kay bais aglay lamhat ajaengay bahar haal ap guzray hoay lamhat ko pakar nahi saktay.Ap 2 aukat kay darmian koi rukawat nahi daal saktay. Jis andaaz say sooraj aur chand ko apnay ammor say aur zameen ko apni gardish say nahi roka ja sakta isi tarh time ko bhi apnay tasulsal say nahi roka jasakta.jo waqt guzar jata hay wo wapis nahi atta. Isliay guzray waqt kay liay afsos kay liay baith jana bhi time waste karnay kay mutaradif hay. Jo time aya nahi hay uskay baray mai mansooba bandi ki jasakti hay.Jo waqt kabile istimaal hay  wo yehi hay jo ap guzaar rahay hyn. Clock ki taraf dekhain kis tezi say lamhaat guzar rahay hyn aur apki life khatam hori hy.Waqt ko nato khareeda jasakta hay aur na hi kirae par lia jasakta aur na hi farookht kia jasakta hay. Har insaan ko 24 hours miltay baghair kisi farq kay .Ye 24 hours ka shopper har insane ko thamma dia jatta hay ab ye insaan par  hay kay wo issay kis tarah use karta hay.

In Holy Quran:
Surat Asar, jis main zamanay ki qasam kha kar kaha gya hay k: "Wo baray khasaray mai hain siwae unkay jo in 4 khususiat kay hamil hyn:
1.Imaan lanay walay
2.Naik ammal karnay walay
3.Aik doosray ko haq ki talkeen karnay walay
4.Sabar ki talkeen karnay walay.

Hazrat Abu Bakar siddique(R.A) dua kia kartay thay
"Ae ALLAH! Hamin kahin andheray main na rehnay dy,hamari kaj fehmion par hamain na pakaraur hamain waqt se be parwai wala na bana."

Hazrat Umar (R.A) dua kia kartay thay:
"Ay ALLAH meray liay meray waqt mai barkat farma aur inhain sahi kamon mai lanay ki taufiq day."

Sir aizak Newton:"Time aik samandar hay jis mai kainaat ka jahaz tehar raha hay."

Aik buzurg ka Qaul hy
"Jis ny waqt ka haq pehchan lia,isnay zindagi ki haqeeqat pali kyun k waqt hi zindagi ka doosra name hy."

Hazrat Junaid Baghdadi(Rehmatulllah Allae) waqt aur ehtisab k baray main farmatay thay k
"Tum har lamhay ye dekhtay raho k Allah sy kitnay qareeb hoay,shetan sy kitnay door hoay,jannat sy kitnay qareeb hoay aur dozakh sy kitnay door hoay."

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:3rd Sep 2008, 8:55am
 

rE: Importance Of Time

Buhut hi achi baat ki hai appne wakt k ehmiyat k baray main.......5 stars for u

main bhi wakt ki ehmiyat k liyain ek misaal dena chahon ga, ye misaal khaas nahi hai magar forum k hawalay say hai, k yahan kuch members 3 ids lekar ghomtay hain (ye baat is saal register honay wali ids ko mud e nazar rakh k hai).......kitna fozol time hota hai inkay paas k 3 ids say baar baar login hokar members ko bewakoof banaya jata hai, aur apni ek id ki baat ko sahi karnay k liyain dosri id say agree kiya jata hai.......ye wakt ka ziya hai, agar yehi wakt kisi knowledge ko gain karnay main laga diya jaye tou kitna acha hai na........

kya khayal hai appka miss eagle , is baray main......
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:3rd Sep 2008, 9:09am
 

Hitman

bohat achi examples di hain time saving ki:)
nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  34  
Posted on:3rd Sep 2008, 7:54pm
 

hitman...

 eagerfly na acha likha hai ... well said..

baat tumharii bhee bilkul theek hai, pur iss ka kiya saboot hai kay tum, eager fly bhee two diffnt ppl hain.... ho ha haaaaaaa

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:4th Sep 2008, 1:49pm
 

rE: Nikamma (Tahir La-hoti)

eager fly bhee two diffnt ppl hain

eagle fly 2 diff people hi hain .....fark saaf zahir hai....1st Eagle, 2nd Fly...... hogaye na 2 ids.......

eagle fly ki age 19 hai magar batain inki buhut hi akalmandi wali hoti hain (bilkul jazbati khawateen ki tarha).....isay kehtay hain 21st century genertaion
nikama Group: Members  Joined: 15th Oct, 2007  Topic: 47  Post: 1808  Age:  34  
Posted on:4th Sep 2008, 4:42pm
 

hitman,,,

  acha ya baat hai... ummm baat tu tumhari theek hai..chaloo maan liya  kay u r only hitman... pur yaar ya larkiyaan apni theek umer kider batateee hain .. tum kitnay paisay kamaatay ho chanda... aisaeee hee hain khawaateen bhee
Dr. Adeel Group: Members  Joined: 27th Jul, 2008  Topic: 0  Post: 346  Age:  31  
Posted on:4th Sep 2008, 5:47pm
 

eagle fly

aapney bohat achi bateen likhi , but bohat ziada lambi likh deen, itna Waqt nhi hey merey pass baad mein parhon ga aker ;-)
Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  30  
Posted on:4th Sep 2008, 6:06pm
 

Dr. Adeel

Warning: aap ko last warning di jati hai ke aap apna id change kare.new id bana kar forum par disclose kar de apna naam.lekin aap yeh id par mazeed reply na kare.

aap ne apne naam ke sath dr lagaya hai jab ke aap MBBS nehin hain.lehaza aap ke reply dekh kar har koi aap ko dr samujye ga jo ke sehi nehi hai.lehaza aap apna id change kare.ager aap ne id change na kiya to humhe block karna pare ga aap ko.

thanks.

eagle fly Group: Members  Joined: 18th Aug, 2010  Topic: 74  Post: 2116  Age:   
Posted on:4th Sep 2008, 8:22pm
 

Thanks

Thanks to all for reading article.

Hitman bhai hosakta hay kay apki baat thek ho kay kuch members yahan akar 2 ids use kartay hon par mera khayal hay hamain yahan par kisi par bila waja shak nahi karna chahiay kay uskay paas 1 se ziyada ids hyn.

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  28  
Posted on:5th Sep 2008, 8:14am
 

rE:Eagle

Jee bilkul appne sahi farmaya hai, main nay ek general baat ki hai example dekar, app pe shak nahi kiya hai, app itmenaan rakhain.......app us example ko mud e nazar rakh kar comment karain k is tarha time barbaad hota hai ya nahi.....


wesay shak karnay ka hak sab ko hasil hai app chahain tou mujhpe bhi karlain, koi masla nahi.......
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:29th Aug 2009, 12:06pm
 

Waqt..eagle fly

Nice one.. Bt aik baat batain apko hitman ne miss eagle kyun likha?ap mr hana?. Article is gud
1
Fitness Centre
How To Choose The Right Fitness Centre
Fit and Healthy
How To Keep Fit and Healthy At All Times
Improve Your Fitness
Three Ways to Improve your Fitness Levels
Fitness Equipment
Don't Waste Money on Fitness Equipment
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012