Duties of Wife: Do Not Look for Shortcomings
Duties of Wife: Do Not Look for Shortcomings Koi insaan bhi perfect nahi hai.kuch bahot tall han tu kuch bahot short,kuch bahot fat aur kuch thin,kuch zyada talkative han aur kuch bahot silent,kuch bahot bad-tempered aut kuch es se opposite,kuch ka complexion fair aur kuch ka dark,kuch zyada eat kertay han tu kuch bahot hi kam aur es tara list continue rahti hai.zyada men aur women ki ye shortcomings han.ye her man aur woman ki hope hai ke wo perfect spouse find keray laikin ye hopes unrealistic han.ye unlikely hai ke koi woman husband ko perfect regard keray.wo ault find kerti han aur saath hi phir wo ager es ko bar bar husband ke aagay express kerain tu ye un ke liay unbearable ho jaata hai. Wo women jo ke husband me faults search kerti rahti han,es se husband ki value bhi nahi rahti aur saath hi wo woman husband ko doseray men se compare kerti hai.wo apnay mind me so-called ideal man immaginate kerti han jis ke standards un ke husband me fit nahi aatay.es liay wo humesha apni marriage me shortcomings ki complain kerti han.woman es ko apni life me unfortunate aur failure woman kahti han jo ke gradually spiteful woman me turn ho jaati hai. Aisay woman ke behavior ka husband per kya effect hota hai?wo patient person bhi ho sakta hai jo ke wife ki rudeness ko bear keray but zyada ter wo woman se nafrat kernay lagta hai aur uss ke dil me wife ki wo value nahi rahti kuin ke us ski insult hui hai.es se dono me serious mutual arguments aur rows start ho jaatay han jis ke result me wo misery me rahain gay ya phir un me divorce ho jaye gi. Ye pity hai ke kuch women itni ignorant hoti han ke wo minor matter per apni family life ko shatter ker daiti han.neechay aisi hi kuch woman ke cases diay gaye han: "aik woman ne husband ka ghar chorr diya aur father ke ghar chali gayi e ski reason ye thi ke uss ka husband bad breath laita hai.wo ghar wapis jaanay ke liay ready nahi thi tab tak jab tak uss ka husband khud ko correct na ker lay.husband ki complaint per court ne un ko settle ker diya aur wife wapis husband ke ghar ghar gai.jab couple ghar gaya tu wife tab bhi husband ki bad breath ko smell ker rahi thi aur wo doseray room me chali gai.husband crazy ho gaya aur ussay kill ker diya." "Aik woman ne divorce ke liay apply kiya kuin ke uss ka husband floor per sit kerta aur fingers se eat kerta tha,her din shave nahi kerta tha aur ye nahi jaanta tha ke kis tara doseroon se socialize keray." Of course sari woman es tara nahi hotien.aisi bhi han jo intelligent,realistic han aur wo es baat se aware han ke un ko foolishly apni marriage ke saath aur khushioon ke saath husband ki shortcomings per itna bara risk nahi laina. Dear madam!aap ka husband human being hai.wo perfect nahi hai,laikin uss me kitni khobiyaan bhi hon gi.ager aap apni marriage aur family me interested han tu aisi weaknesses mat find kerain.un ke small defects ko itna important mat sumjhain.apnay husband ko uss ideal man se compare mat kerain jis ki image aap ne shaadi se pelhay apnay mind me bunayi thi.aap ke husband me kaheen faults hon gay jo doseroon me bhi na hoon.laikin aap ko ye baat mind me rakhni chahiay ke doseray men me doseray defects han jo aap ke husband me nahi han.husband ki khoobioon se satisfy hon.phir aap dekhain gi ke aap ke husband ke merits un ke faults per heavy han.es ke saath ye bhi ke aap kaisay aik perfect husband expect ker sakti han jab ke aap imperfect han.ager aap itni proud han ke khud ko perfect sumajhti han tu doseroon se poochain. "Nabi(SAW) ne fermaya ke insaan ke liay es se worse kuch nahi ke wo doseroon me faults find keray,jab ke apnay flaws ko ignore keray". Aap aik minor fault ki wajja se exaggerate kuin kerain?aap apni life ko kuin aik unimportant cheez ke liay shatter kerain? Sumajhdar bunain!foolish bunna chorain.faults ko ignore kerain aur un ko husband ke samnay ya peechay mat mention kerain.family me warm atmosphere create kernay ki koshish kerain aur khuda ki blessings ko enjoy kerain.however,aap ke husband ke character me flaws han jo aap correct ker sakti han.tu aap considerately aur patience se qaam lay ker aisa kernay me succeed ho sakti han.aap ko husband ko criticize nahi kerna chahiay ya bhi jhagra nahi kerna chahiay,laikin aap friendly manner me approach kerain.
|