My request To Doctorpk: For Change Display of this Forum.
aslamo alikum DoctorpK
sir forum ka home page change kar diya giya hai jis mein index page par chatting ke topic show ho rahe hain.lehaza main samujta hon ke pehle theek tha ke chatting aak side par hide thi.es tarha mukhtalif topic par jawab dena mushkil ho raha hai.
Ramadan ki waja se esa kiya giya hai mager main samujta hon ke noorclinic aak medical site hai aur es ka sehi maksad sex education dena hai.lekin es ka matlab yeh nehin ke Ramadan ki waja se sex k Related topic ko index se hide kar diya jaye.
os se kya ho ga jis ne read karna hai woh category mein bhi ja kar read kare ga.ya to phir sex Related topic ko totally band kar diya jaye.jo ke na munkin hai.
Ramadan mein medicall college band nehin ho jate..loog sex k Related koi masla le kar doctor ke pass jana nehin choor dete.es tarha forum ko wesa he rehne de jesa tha.
ager koi sex k Related topic read kar ke jinsi luft uthata hai to woh os ghuna ka khud zamedar hai.es tarha display change kar ke bhut ajeeb aur reply karte waqt mushkil ho rehi hai.lehaza meri request hai ke forum ko pehle jesa kar diya jaye.
baki members kya kehte hain woh bhi yahan apna apna comments de.ta ke admin ko asani ho faisla karne mein.
Note: Topic mein sirf apna comments de na ke topic divert kare.
mera mashwarah yeh hai keh page ke top per is tarah links banaye
Home (Sex) | Home (General) | Procedure To Ask Question
Home (Sex): iss mai tamam sex related category ke sawalat ker diye jaaye. yeh wala home default nahi hoga, click kerne se zahir hoga.
Home (General): iss mai tamam non-sex category ke topic ker diye jaaye. yeh wala home default ho ga. yani jab bhi forum open kare ge yeh wala home nazar aa raha ho ga.
iss tarah alag alag category ko click kerna nahi pare ga, aur forum bhi two group mai bat jaaye ge yani sex group aur non sex group
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3599 Age:
24
Posted on:30th Aug 2008, 12:08am
Agreed to Bewaqoof
Home (Sex) ma Adult Warning bhi hone chahiyah.. ;)
Agar app Sex-Topics ko hide kar dein gaey tou phir iss Forum ka purpose kiya reh jata hai.....? Waisay app ne yah step kyun aur kis liye liyah hai mujhey yah baat kuch samajh nahi aaye......!!!
My advice is that : Forum jaisa hai iss ko waisa hi rehna diya jaey... zayadah cherdh chardh karne se Members frustate ho jaein gaey...... (lol)
Aap sab log aik dosry sy agreed hoty rahy....Humny kaha tha k Sex Topics Freeze ker deya jain agr 1Month k leye nai tu kam kam sy Waqt Sher sy Waqt Aftar.. otherwise web banany walon ki marzi.... Veer bhai agr Dr.. k sath log Shamed Problem Share kerty tu Aap ye web kew banaty....? Bhai humny kaha k Aap logon ki bad Chatting or Shamed Topics sy Pak Article ko chalny dy or jo non married Generation behoda kisam ka New Topic Start kry usy foran Freeze kerdy or kehdy k Apky sawal ka jawab After Ramzan members dy gay... Its Simple Humny Apki Web ko kisi masly mai nai dala jo jahan hai usy wahen rehny dy (Only Freeze Shamed Topics) For 1Month... Members aik maheny ki baat hai or kam sy kam Rozy ki halat mai agr koi Person First Time login hota hai tu wo bychara apna sawal bhoul ker sabkuch perhna shoron ker dy ga uska kon zimedar hai so aysy logon ko bachanay k leye hi Humny ye Topic Start keya tha (Ramzan Ehtram..) or Aap sabki raye or Modrator ka Compromise chahye... Thanx... ALLAH BLESS Urs All....
main aap ki baat samuj raha hon..lekin ab meri nazar mein sab theek hai.
aur meri sab moderators se request hai ke humhe Ramadan mein rules ko fellow karte huye sab thread par nazar rakhni chahein ta ke koi esa thread na ho jis se forum ka mahol kharab ho.
baaz dafa kuch ese members aa jate hain jo forum kharab karne ki khohish karte hain.lehaza ese members bhi khass nazar rakhi jaye aur ager koi esa wesa topic start kare jese forum ka mahol kharab ho ose forun delete kar diya jaye without warning.
New changes in forum are good but I've suggestion to do these changes also:
1.There is a table on the left side of forum named Noorclinic. this table should be removed from that location of front page and everything(book for all, book for men,book for woman,noorclinic home,daily questions) from that table should be adjusted as a row with procedure, home(general) aur home(sex & health) at the top of front page.
2.There should be a new table on the left side of both Home(general) and Home(Sex & Health).which contain at least 3 recent articles from article category written by members.
3.After taking opinion from members specific duties of junior moderator-ship should be allotted to all junior moderators mean specify 1 or 2 moderators for each category like 2 moderators for female sex problems category,2 for male sex problems,2 for chatting category,1 for Islamic category,2 for politics category,2 for changing titles of new threads etc.
Thank u Veer Bhai Hope k 2 din bad Apky kehny per amal shoro ha jaye ga...or baqi Moderators ka b Buhat Shukeriya Apni Responsbility Continue Rakhy... again Thanx....... ALLAH BLESS Urs All....
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.