uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:46pm |
|
|
Urdu Poetry: Jo Chala Gaya Mujhe Chor Ker
jo chla gya mujhe chor ker main kabhi na us ko bhula ski wohi doorian, wohi faasle main kabhi na in ko mita ski kya usey b mujh se pyar tha ya tabassum us ka shuar tha wo koi ajeeb sawaal tha jo meri samajh mein na aa ska meri zindagi ka sukoon tha wo mere dil ka ik junoon tha wo meri bandagi mera pyar tha yehi baat na main us ko bta ski yehi sochti thi main raat bhr jo kabhi miley ga wo raah per to karun gi us se shikayatein wo mila to lab b na hila ski jo chla gya mujhe chor ker main kabhi na usko bhula ski.....
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:49pm |
|
|
Ahsas mujhe maar dene k liye yeh ehsas hi buhhat hay k main ne jisy toot ker chaha wo ksi or k pehlo main hay!!!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 9:50pm |
|
|
Wafa Aaj, shab-e-tanhai main,
palkon pe sitary sajay gham ki chokhat pe beth kr,
Soch raha hon jab us ne mere hath jo chua tha
to muskara kr boli thi,
"Tumhary Hath Kitne Garm Hain"
Aur janty ho garm hath wafa ki alamat hoty hain,
Ye sun kr main itna khush hua...
K ye b bhoo gaya ...
"K us k Hath Kitny Sard Thay" |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:25th Aug 2008, 10:08pm |
|
|
hamaaraa kyaa hai hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n |
Seemi
|
Group: Members Joined: 11th Sep, 2007 Topic: 14 Post: 3817 Age:
28
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 6:32am |
|
|
Ahmad Faraz
Dost ban kar bhi nahi saath nibhanaywala
wahi andaaz hai zaalim kaa zamaanaywala
ab ise log samajhate hain giraftaar meraa
saKht nadim hai mujhe daam main laanaywala
kyaa kahain kitane maraasim the hamaare os se
wo jo ek shaKhs hai muonh pher ke jaanaywala
tere hote hue aa jaaty thy saary duniyaa
aaj tanhaa houn to koi nahi aanaywala
muntazir kis kaa houn Toothi hoe dahaleez pe main
kaun aayegaa yahaun koon hai aanaywala
main ne dekhaa hai bahaaroun main chaman ko jalate
hai koi Khwaab kii taabeer bataanaywala
kyaa Khabar thi jo meree jaan main ghulaa hai itanaa
hai wahi mujh ko sar-e-daar bhi laanaywala
tum taqalluf ko bhi ikhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahain har haath milaanaywala
|
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 1:22pm |
|
|
Faraz Woh Jis K Paas Rehta Tha Dostoon Ka Hujoom
Suna Hai Faraz Kal Raat Ehsaas-e-Tanhaii Say Mar Gaya ...!!
Allah Paak Maghfarat Karay .....!!! |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 1:25pm |
|
|
Trebute to AHMAD FARAZ Ye meri ghazlen ye meri nazmen Tamam teri hikayaten hain Ye tazkare tere lutf ke hain Ye shair teri shikayaten hain Main teri nazar kar raha hun Ye un zamanon ki sa’aten hain Jo zindagi ke naiy safar main Tujhe kissi waqt yaad aain To aik ik harf ji uthay ga Pehn ke anfas ki qabain Udas tanhaoyon ke lamhon Main naach uthen gi ye apsaraain Mujhe tere dard ke ilawa bhi Aur dukh the ye manta hun Hazar gham the jo zindagi ki Talash main the ye janta hun Mujhe khabar thi keh tere aanchal main Dard ki rait chanta hun Magar har ik baar tujh ko chu kar Ye rait rang-e-hina bani hai Ye zakham gulzar ban gaye hain Ye aah-e-sozan ghata bani hai Ye dard moj-e-saba huwa hai Ye aag dil ki sada bani hai Aur ab ye sari mata-e-hasti Ye phool ye zakhm sab tere hain Ye dukh ke nohay,ye sunk ke naghme Jo kal mere the wo ab tere hain Jo teri qurbat teri judai Main kat gaye roz-o-shab tere hain Wo tera sha’air tea mughanni Wo jis ki baten ajeeb si theen Wo jis ke andas khusarwana the Aur adaain gharib si theen Wo jis ki jeene ki khahishen bhi Khud us ke naseeb si theen Na pooch us ka keh wo dewana Both dinon ka ujar chuka hai Wo kohkan to nahin tha lekin Kari chatanon se larh chuka hai Wo thak chukka tha aur us ka tesha Ussi ke seenay main garh chuka hai |
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 1:34pm |
|
|
Maarka ab k hoa bhe tu pher aisa ho ga Maarka ab k hoa bhe tu pher aisa ho ga teray darya pe meri piyaas ka pehra ho ga
uski aankhain teray cheray pe bohat boolti hain us ne palkoun se tera jism tarasha ho ga
kitnay jugno esi khawahish main meray saath chalay koe rasta teray ghar ko bhe tu jata ho ga
main bhe apnay ko bholaey hoey phirta hon bohat aaena es ne bhe kuch rooz na dekha ho ga!
raat jal-thal thi meri aankh main utar aaya tha sorat-e-abr koe toot k barsa ho ga
ya masehai usay bhool gae hai mohsin ya pher aisa hai mera zakhm he gehra ho ga |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 2:00pm |
|
|
uet achi hai mohsin wali FARAZ.... You will be rememberd forever.... it need decades to replace you.... i ll miss you Sir.... May ALLAH bless you with all HIS mercy... ameen |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 2:02pm |
|
|
Faraz jis ki khatir sari hadain torr dein FRAAAZ aaj osi ne keh diya zra had mein rha kro
ab to tanhai ka b ye aalam hai FRAAZ koi hans k b dekha to muhabat ka guman hota hai......!
ankhoon sy perh laty hain mery dil ki haalat FRAAZ ab mjh sy tery gham ki hifaazat nhi hoyi...... |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 4:23pm |
|
|
Ahmad Faraz Sahib aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz' zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa |
2006Khan
|
Group: Members Joined: 17th Nov, 2007 Topic: 7 Post: 34 Age:
28
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 7:18pm |
|
|
TRIBUTE TO AHMED FARAZ
- chahth bare wo lafz, aur har lafz mai dua Faraz
Maqrooz kar dia Hume tumare khaloos ne!!!
- Wo khatham qaid ki miyad b nahi karta
magar mai zaimath-e-faryad b nahi kartha Kabhi kabhi wo muje itna yaad ata hai FARAZ MAi zid mai aa k usey yaad bhi nahi kartha....!
- Sochthey hain kabhi there dil main utar kar dekh lein FARAZ
Kaun basa hai tere dil main jo muje basne nahi detha
|
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:26th Aug 2008, 7:50pm |
|
|
Faraz Sahib ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun
dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun
vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun
ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun
aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun
|
uetian31
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2008 Topic: 20 Post: 1006 Age:
33
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 3:16pm |
|
|
Rukhsat hua to aankh milaa kar nahi gayaa Rukhsat hua to aankh milaa kar nahi gayaa Wo kyon gayaa hai ye bhi bataa kar nahi gayaa..
Wo yoon gayaa kai baad-e-sabaa yaad aa gayi Ehsaas tak bhi hamko dilaa kar nahi gayaa..
Yoon lag rahaa hai jaisay abhi laut aye gaa Jatay huwe chiraagh bhujaa kar nahi gayaa..
Bas ek lakeer khench gayaa darmiyaan main Deevaar raastay main banaa kar nahi gayaa..
Shayad wo mil hi jaaye magar justujuu hai shart Wo apnay naqsh-e-paa mita kar nahi gayaa..
Ghar main hai aaj tak wohii Khushboo basii huii Lagta hai yoon kai jaise wo aa kar nahi gayaa..
Rehnay diyaa na usnay kisi kaam kaa mujhe Aur khaak main bhii mujhko milaa kar nahi gayaa..
Waisy hii betalab hai abhii merii zindagii Wo Khaar-o-Khas main aag lagaa kar nahi gayaa..
Shehzad” ye gilaa hii rahaa uskii yaad se Jaatay hue wo koii gilaa kar nahi gayaa
|
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:27th Aug 2008, 3:29pm |
|
|
Dag Dehlvi Aarazuu hai vafaa kare ko_ii jii na chaahe to kyaa kare ko_ii gar marz ho davaa kare ko_ii marane vaale kaa kyaa kare ko_ii koste hai.n jale hue kyaa kyaa apane haq me.n duaa kare ko_ii un se sab apanii apanii kahate hai.n meraa matalab adaa kare ko_ii tum saraapaa ho suurat-e-tasviir tum se phir baat kyaa kare ko_ii jis me.n laakho.n baras kii huure.n ho.n aisii jannat ko kyaa kare ko_ii |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:28th Aug 2008, 6:19am |
|
|
2006 khan bahi bohat he acha intekhab tha app ka
Mere Liye
baaghon ki khushbu, se lipti hui. saawan ki boondon se, bheegi hui. tu chali aa...chali aa mere khwabon ke taajmahal mein....... aa tujhe dafan kar doon..... neeche zameen ke, beej ki tarah... aur tu ugna... yahan aur wahan se bargad ki tarah.... tu mujhe qaid karna.... apni sajeeli shakhon mein.... toot kar tu milna... is josh se.... ki mujhe khatam karna.... aaghosh mein.... aage hi aage phir tu chalna... sama ke mujhe apni rooh mein... bijli ki tarah... tu kahin pe girna... madhosh ho kar nashe mein kabhi... aur qatl karna... mohabbat kahin se mile jo tujhe... tu husn hai aur aashiq hoon main... aur chaah hai mitne ki si.... tu poori karna.... bas is chaah ko....mere liye.... (My own) |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:28th Aug 2008, 6:25am |
|
|
2006 khan bahi bohat he acha intekhab tha app ka
Mere Liye
baaghon ki khushbu, se lipti hui. saawan ki boondon se, bheegi hui. tu chali aa...chali aa mere khwabon ke taajmahal mein....... aa tujhe dafan kar doon..... neeche zameen ke, beej ki tarah... aur tu ugna... yahan aur wahan se bargad ki tarah.... tu mujhe qaid karna.... apni sajeeli shakhon mein.... toot kar tu milna... is josh se.... ki mujhe khatam karna.... aaghosh mein.... aage hi aage phir tu chalna... sama ke mujhe apni rooh mein... bijli ki tarah... tu kahin pe girna... madhosh ho kar nashe mein kabhi... aur qatl karna... mohabbat kahin se mile jo tujhe... tu husn hai aur aashiq hoon main... aur chaah hai mitne ki si.... tu poori karna.... bas is chaah ko....mere liye.... (My own) |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:28th Aug 2008, 6:29am |
|
|
Faraz barasoun ke baad dekha ik shaKhs dil ruba sa ab zahan main nahain hai par naam tha bhala sa
abaruu khienche khienche se ankhain jhuki jhuki se baatain ruki ruki se lahaja thaka thaka sa
alfaaz the ke jugnuu awaz ke safar main ban jaaye jangaloun main jis tarah raastaa saa
Khwaaboun main Khwaab us ke yaadoun main yaad us ki nendoun main ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa
pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa
agalii muhabbatoun nay wo naa_muraadiyaaun dein taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa
kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa
phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa
ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thi ban jaayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa
tevar the beruKhi ke andaaz dosti ke wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa
ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit naahaq thaa zonum ham ko jab wo nahain tha pyaasaa
ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa |
hamzi
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 11 Post: 1070 Age:
28
|
|
Posted on:28th Aug 2008, 6:41am |
|
|
My fav me tumhari pasand janta hon tumhari kamzori se bhi waqif hon is leay surakh gulaab ki adh kheeli beshumaar kalyaaN me tumhary sarhanay chor jata hon me tumhari wahshtooN ko samjta hon is leay doobtey suraj aur udaas shamooN ko canvas pe utar laata hon me tumhari tanhaa'eooN se waqif hon is leay har saal tumhari salgeera pe suraj ki pahli kiran k sath salgeera mubarak kahnay pohnch jata hon magar tum ye nahi jantey k jab me tumhari pasand, tumhari kamzorioN, tumhari udasiooN aur tanhaa'eooN se waqif hon tu main yeh janta hon jana k tumhari soochooN ka mehwar main nahi hon |
Sami144
|
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
38
|
|
Posted on:28th Aug 2008, 8:32pm |
|
|
Qateel Shifae yuu.N chup rahanaa Thiik nahii.n ko_ii miiThii baat karo mor chakor papihaa koyal sab ko maat karo
saavan to man bagiyaa se bin barase biit gayaa ras me.n Duube naGme kii ab tum barasaat karo
hijr kii ik lambii ma.nzil ko jaanevaalaa huu.N apanii yaado.n ke kuchh saaye mere saath karo
mai.n kirano.n kii kaliyaa.N chunakar sej banaa luu.Ngaa tum mukha.De kaa chaa.Nd jalaao raushan raat karo
pyaar burii shay nahii.n hai lekin phir bhii yaar "Qateel" galii-galii taqasiim na tum apane jazabaat karo |
|