Duties of Wife: Do Not Pay Attention to the Slanderous Talk
Duties of Wife: Do Not Pay Attention to the Slanderous Talk Kuch logon ka aik negative characteristic ye hai ke wo doseray logon ke baray me ill speak kertay han.ye characteristics sirf nature se hi unpleasant nahi hai balkay ye kafi troubles bhi cause kerta hai.ye doubt,pessimism, disharmony aur logon me conflicts cause kerta hai.ye friendly atmosphere ko destroy ker daita hai aur logon me nafrat ka seed sow kerta hai.ye men ko wives se separate kerta hai aur ye crime tak bhi lay ja sakta hai. Unfortunately, ye characteristic logon me itna widespread hai ke es ko bad bhi nahi sumjha jaata.gathering me ye rare nahi hai ke gossiping aur backbiting ho.specifically, women ki gathering me ye element dominant hai.jab 2 women milti han tu wo gossiping start kerti han aur ager competition ho tu wo slanderously talk kerti han.kabhi kabhi wo aik doseray ke husband ke baray me talk kerti han.for example,wo husband ki look ya jobs ki baat kerti han aur doseri woman ke husband me fault find kerti han.aik woman doseri ko kahay gi ke tum ne uss se shadi kuin ki wo tu aisa hai etc etc.consider a mechanic ya shoemaker aur ager husband driver hai tu doseri aurat kahay gi "tumhara husband her waqt travel kerta rahta hai tum kaisay es ke saath cope kerti ho?"ager wo butcher hai tu doseri woman kahay gi"tumharay husband se her time fat ki smell aati ho gi".ager wo zyada earn knahi kerta tu wo kahay gi that tum itni kam money ke saath kaisay guzara kerti ho".tum ne uss se shaadi kuin ki.kya ye tumharay liay pity nahi hai ke tum itni khobsurat aurat aur aisay insaan ke saath guzara ker rahi ho."tumharay parents ne kaisay uss ke saath tumahari shaadi allow ki kya wo tum se fed up thay?"tumharaikhtayar tha ke kisi aur man ko select kerti tum ne aisay insaan se shaadi kuin ki jo na tumhain outing per lay ker jaata hai aur na kahien aur"."tu itni educated thi tu peasant se shaadi kuin ki" Ye humari society ka aik saach hai aur es type ki batain humari society ki females me fairly large percentage me hotti han.wo woman jin ko aisi baatoon ki aadat hotti hai un ko in ke consequence ka nahi patta hotta.wo ye nahi soochtien ke un ki in baatoon aur faults nikalnay se divorce aur even murder bhi ho sakta hai. Kuch women aisi hotti han jo ke saas ke samnay bahu ki baatain kerti han aur bahu ke samnay saas ki baatain kerti han,dekhnay me wo saas aur bahu ko un ki humdard nazer aati han but ghar ke raazoon ko lay ker ghar se bahir bhi kerti han aur ghar me bhi jhagray paeda hotay han. Aisi woman really insaan ki shakal me shaitan hotta hai aur ye families ki enemies han.ye families me conflicts paeda kerti han aur gharoon ko dark me change ker daiti han.tu phir es ka hul kya hai?ye humari society ka aik component hai.even islam ne firmly aisi deeds ne humain roka hai laikin hum in ko chornay ke liay ready nahi han. Ye hadees se sabit hai ke jo insaan doseroon me fault find kerta hai aur doseroon ke raaz nahi rakhta.Allah bhi uss ke raaz per parda nahi daltay aur uss ke saath wohi hotta hai jo doseray me fault nikalta hai. In evil character woman ke aik ya zyada goal hootay han:ye revenge ya family ko break up kernay ke liay aisi gossip kerti han ya ye aisa sub jealousy ya self-glorification ke liay kerti han ya apnay defects ko cover kernay ke liay ya simple woman ko deceive kerti han.ye show aisay kerti han jaisay ye sympathetic hon.ye kabhi kabhi aisay hi baatain ker ke amusement hasil kerti han aur in ka koi goal nahi hotta sirf apni ander ki distasteful desires jo satisfy kerti hann.laikin ye ilm hona chahiay ke aisi deed doseroon ki koi help nahi ker sakti ye sirf disastrous effect rakhti hai.readers ko apni society ki kitni aisi women ka ilm ho gay a phir un ko aisay cases patta hon gay jin me ghar se bahir ki woman ki interference se families ka sakoon berbaad ho gaya ho.aisi hi aik misaal ye hai: "aik woman ne court me kahaa that "Mr……meray se meray husband ki absence me un ki ghibat kerta-aur uss ka purpose hum dono me clash dalna tha.wo mujhe kahta ke mera husband acha insaan nahi hai aur wo mujhe sumajhta nahi hai aur na hi meray liay koi emotions rakhta hai.wo humesha chahta ke main apnay husband se divorce lon aur uss se shaadi ker lon..uss ke result me main aik din bhatak gayi aur hum dono ne mil ker meray husband ko kill ker diya". Hadees me aata hai"ke jo auraat apnay khawand ki aeb joei keray tu wo dozukh ki aag khud per tez ker lay aur apna thikana dozukh me keray". Nabi(sallallaahu alaihi wasallam) ne fermaya:"wo hum me se nahi jo kisi aurat ko feraib day ker khawand ke mokhalif bunna day ya kisi ghulam ko feraib day ker ussay apnay aaka ke mokhalif bunna day". Dear madam!ab aap realize ker gayi hon gi in gossips ke pichay ke evil intensions ko aur ager aap apnay husband aur children me interested han tu aap apnay relation ko in huma-shaped devils ki tongues se influence na hoonay dain.aisi woman ko khud ki friends mat sumjhain,wo aap ki false friends hon gi aur wo aap ki family ki enemies hon gi,es liay apnay ghar ko aisi woman se save rakhain kuin ke wo aap ke ki family ki breaking ko dekhna chahti han aur un ko es se khushi milti hai.simple mat bunain aur un per believe mat kerain.wisdom se un ke evil intensions ko find kerain.un ko immediately stop kerain jab wo aap ke husband ko criticize kerain.un ko ye batatay huay shame mat feel kerain: "ager aap chahti han ke hum friends rahain,then meray husband ke baray me baatain kerna bund ker dain.aap ko un per criticism ka koi right nahi.i love him aur un ke saath kuch wrong nahi hai". Aik bar wo aap ka apnay husband aur children ke liay love ko detect ker lain,aap ki tongue ki firmness se then wo aap ko bhatkanay me disappoint ho jayain gi aur aap ko aur disturb nahi kerain gi.ye mat soochain ke wo aap ki baat se upset hon gi,ya aap apni friend ko lose ker dain gi.ager wo aap ki true friend han tu wo hurt bhi nahi hon gi aur even aap ka shukeriya aada kerain gi.ager wo aap ki enemy hai tu aap ke liay better ho ga ke uss se avoid kerain.ager aap ko aisi woman se bar bar wasta parhay jin ke evil acts hoon aap ki family se related tu un se apna relationship cut ker dain.ye aap ke liay aur aap ki family ke liay better ho ga ke kabhi bhi apnay family ke matters me kisi doseray ko interfere na kernay dain chahay wo koi bhi ho aur na hi aap doseroon ki families me es tara interfere kerain.
|