Mr. haran Aap ne jo kuch bataya hae mae osay appreciate karta hoon. In sab ba'atoon mae romanwi pehlo bhi nazar aa'raha hae. Magar aap ki post mae es taraf koi ishara nahi milta keh aap ki wife intercourse kay leye tayar hain. Aap Islamabad jany ka programme bana rahay hain bohat achi baat hae. I wish keh aap es trip ko khoob enjoy karain. Ab aap nay Islamabad janay se pehlay es taraf tawajah deni hae keh aap ki wife ka khof (Jo abhi tak mojod hae) kaisay khatam kia jaye.? aap ko un kay saath rehtay howay 5 mah ho rahay hain aur es thread ko ab 1 mah se ziadah waqat hochuka hae. Aap ne 23 August 2014 ko yeh thread start ki thi. Aap khud bataye keh kia aap ko Noor clinic kay es forum se kis kisam ki madad (help) mili hae.? Ya nahi?
Aap ne jo kuch oper bataya hae es mae kaheen zikar nahi kia keh unhain intercourse kay leye tayar karnay kayleye aap ne kia hikmat e amli apnani hae? Aap un kay saath rehtay hain un ki aadat waghera ka aap ko ba'khobi ilam hoga.
Aap ki wife religious minded hain aur unhon nay Bible muqadas 2 ya 3 bar mukamal read ki hae. Unhain mazhabi lehaz se Husband/wife kay haqooq ka achi tarah ilam hoga. Shadi kay baray mae Bible Muqadas mae jo kuch bataya geya hae os mae yeh bhi zikar hae keh Oalad paida karna aur oalad ki achi parwarish karna bhi shadi shuda couple ki zimadari hae. Bible Muqadas mae se hawala aap khud nikal lain aur aap aur aap ki wife os per ghor karain. (Yeh mae nay aap ko hint deya hae.)
Aap ne yeh nahi bataya keh kia es doran aap nay koi paish kadmi bhi ki ya nahi? aur kia aap nay kabhi wife se es topic per direct baat bhi ki ya nahi? Ab aap ko un se direct baat bhi karni hogi aur saath saath un ka khof bhi dor karna hoga. Aap meri es post ko Ghor se 2 ya 3 martaba read karain aur soachain keh kis tarah wife se baat cheet ka aghaz karna hoga? aap ko faisla karna hoga keh,
1.Kia aap khud direct apni wife se baat karain gay? (Meray khayal mae sab se munasib hoga)
2. Kia aap ki ammi yeh kam behter tour per kar sakti hain?
3. Kia woh cousin jo Islamabad mae rehti hae aur wife ki taraf se shadi mae aham kirdar ada kar rahi theen?
4. Kia aap kisi psychologist ki help lena chahtay hain? (Last option jes per sab se aa'khir mae ghor karna hoga)
En sab baaton per achi tarah sochye ga aur phir update dejeya ga keh kia karna chahtay hain?
Wish you good luck.
|