Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Can Anyone Advice Me? (Saas Bacha Na Honay Pay Tang Krti Hai)

Social Problem   >>   Me and My Family
 
 
sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:18th Dec 2013, 3:29pm
 

Can Anyone Advice Me? (Saas Bacha Na Honay Pay Tang Krti Hai)

Salam to every0ne.mai aaj kal ek ajeeb si situation se guzar rahi hun.samjh nahi ata kia karu.shaadi ho k bahir agai hun.joint faimly ma rehti hun koi nand nahi haai.shaadi ko ek saal hugya hay aulaad nahi hay jiski wajah se saas ajeeb si hujati hayn mere saath kabhi kabhi.buht zada sensitive hun har baat sochne beth jati hun.aulaad na hune ki wajah se asa lagta hy jese mene koi jurm kia hay ya sabke pase churaa k behti hun :( saas baton baton mai ye kehti rehti hayn k jabse shaadi ki hay pareshan hugai hun..sukoon nahi hay ..ye sab sunke buht dil toot jata hay.2nd ye k apni taraf se har kaam karne ki koshsh karti hun saas mere assaabon pe sawwar huagin hyn k kahen unhen kuch bura na lag jae ye na hujae wo na hujae agay peechy lagi rehti hun par unhen koi fark nahi parta har wakt unki shakal sarii hui bani rehti ha.unka lehja bhi buht ajeeb sa hay jiski wajah se bht takleef hoti hay ma nafseyati hugai hun har wakt rona ata hy dil dharkta hay hy k kahen mere barey ma kuch na bol rahi hon ya mjhse kuch galat na hujae.mai kia karun mujhy mashwra den warna ma stress le le k pagal hujaunge :( :(

Mod edit: Edited title to be more descriptive of discussion.
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 62  Post: 7603  Age:  33  
Posted on:18th Dec 2013, 5:52pm
 

sweetii

ap apnay husband say bat keray aur apnay husband say kahay kay ma bohat preshan hoo
blueink Group: Members  Joined: 17th Nov, 2013  Topic: 2  Post: 63  Age:  34  
Posted on:19th Dec 2013, 2:24am
 

@ Sweeti

Behn, aapko bohat bardasht ka muzahira krna ho ga. aapki saas acha nhe kr rhen. but aap unki baaten apnai aisaab par sawwar na honey dain.

aap apna taluq Allah se mazbot karen (Agar aap muslim hain). aur Quran ka tarjma parhna suroo karein. Is se aap ko zehne sakoon miley ga. Aik ayat ka mafhoom hai ..'Baishak dilon ka sakoon Quran mei hai.'

Surah Naas 11 baar parh kar awwal-o-aakhir 3 times durood shareef (Durood-Ibrahimi) parh kar Paani kai jug ya cooler mein phoonk marein (jahan se wo pani peeti hon). kuch time aisa karen. Inshallah unki zaban kii iziyat se aap mehfooz rahen ge. Allah aapki hifazat karey. Ameen.

@Sweeti

Note:
Sorry I forgot to mention above.
Pani k jug ya cooler jahan se aapki saas paani peeti hon us par phoonk marein. agar baaki ghar walai bhe wohi pani use kr lain tu koi masla nhe. bas ye note kr lain kai direct pani mei nhe. bartan ki aik side pr phoonk marni chahye.


sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:19th Dec 2013, 8:33am
 

blueink

thank you soo muchh ;( i dont know k apka shukria kese karun.beshak apne sahi kaha k Quraan mai dilon ka sukoon hy.jis cooler se sab paani peete hain wo kitchen ma hy means dispenser apko pata hi hoga k dispenser ma transparent bottle lagi hoti hay tou kia ma bottle k uper hi phoonk maar dun??kiunke andar tou possible hi nahi plzzzz bataen
blueink Group: Members  Joined: 17th Nov, 2013  Topic: 2  Post: 63  Age:  34  
Posted on:19th Dec 2013, 11:11pm
 

@Sweeti

Ji bilkul. aap dispense par jo bottle hoti hai, us par phoonk maar lain. Kuch arsa krain ye amal. Aap within a week Inshallah asar daikhain ge.

Naiz 5 times namaz parhein. Quran ki talawat karein. tarjma parhein. Allah se pregnancy ki dua bhe karen. Ayatul kursi, Surah falak n Surah Nas with awal-o-aakhir durood sharif 3 times ,Fajr aur magrib k waqt parh kar khud par bhe dam karen, Inshallah sakoon hasil karen ge. aur nazar aur hasad ka asar bhe khatam ho jaey ga.

yaad rakhen har takleef Allah Subhana Ta'la ki taraf se hai aur wohi usko door krnai wala hai. Allah jis se bohat piyar krta hai na, usko choti moti takleef dai kar apnai Qareeb kr laita hai. :) :) So bai-fikr rahen. Sabar aur Istiqamat kai sath Allah par tawakkal rakhen. Khusyhan aap kai Qadam choomain ge. Inshallah.

alone but happy Group: Members  Joined: 11th Dec, 2012  Topic: 8  Post: 885  Age:  22  
Posted on:19th Dec 2013, 11:13pm
 

Well said bluink .jee us k upar hi phonk mar dena

Bluink ne b yahi kha hai. K pani k andar phonk nahi marni upar marni hai. Or sabr ka daman kbi mat chorna insan jitna marzi acha ho dunia ko nahi jeet sakta ap apny bhai ya behan ki shadi kro bhala 1 karor rupy b lga do mehman ayen ge khayen ge or jaty wakt kuch aesy b hon ge jo kahen ge k khana to thek tha par rat ko sony ka intzam behtar nahi tha .bus ap b apni sas ki bat ko suno zaror par dil pe na lgao or Allah pak pe yakeen rakho or ap ne kha abi baby ki koi umeed nahi to kia ap ne ya ap k husband ne koi test karwaye kia sb normal hen.or ap 5 wkt namaz parho or naik aulad ki dua mango .ye aulad Allah pak ki dain hai .Allah pak ap ko naik saleha aulad ata farmaye apki madad kry or ap k sabr karny k waseely se hamen b naik hadayt de or hmari madad kary ameen.ALLAH PAAK meri or jis ne ye coments likha ha us ki madad kary
Activist Group: Members  Joined: 04th Feb, 2012  Topic: 7  Post: 181  Age:  24  
Posted on:19th Dec 2013, 2:19pm
 

123

Ye saaas aise e hti ha kya? Pak ka ilmiya ha k yaha shadi hui next day baby ki farmaish. Insaaan ki apni life b apni nai rhtiz ap ik kaaan se sunain dosray se nikaaal de. N saaas ko kahay k ap ko tareeqa bta de baby paida krne ka. Allah agr abi nai denrha to what u can do. Saas ko kahain Allah pak se poche.
sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:21st Dec 2013, 5:33pm
 

blueink and alone and happy

Thanks to both of you k aplogo ne meri help ki aur mujhy itna courage kia.mujhy bht acha laga khaas kar k blueink apka bht shukria.bht ajeeb kafeyat hay meri saas na to doosri saason ki trha tane dyti hyn na jeena tang kia hua hay lekin unka anddaz aur lehja bht ajeeb hot hay. Kabhi dusron k satth bat krti hyn tou ma note krti hun k shayd ye inki adat hi asi hay.mari koi nand nahi hy bas saas aur ma hoty hyn sab bade hayn to bht akela akela lagta hay aur gahr k mahol ka zimadar ma khudko samjhti hun.sochti hun k pta nhi kia sochti hongi wo..itna khudko samjhti hun khudko par phr wahi mayusi aur rona..asal ma meri sas itna arsa akeli rahi hyn apne Mia aur chhar beto k saath koi aurat nahi thi jo kia apni smjh se kia apbi marzi chalai isilye unhen ye manhus adat pargai hy k ab bhi khudi agay agay rehti hyn jase ma sab krsakti hun. Ma itni help krti hu itna kuch par khbi taref nahi krti ye tak bhi nahi kaha jata k han meri bahu se mjhy bht asan hugai hy khair..mujhy ye bhi bataen k ma asa kia karu k wo khud mjhy kaha karen k khna pakao aur ma jo kahu maan jaya karen ma bht roti hu bht zada ksi ko apni zAat se taklef nahi dna chahti sabka ehsas kjarti hun par mera kisi ko ehsas nahi mar jane ko dil krta hay sachi dil krta hy kahen jungle ma chali jaun jahan ksi ki shakal nzr na ae.koi baby bhi nahi ye Alag emtehan hy:(
blueink Group: Members  Joined: 17th Nov, 2013  Topic: 2  Post: 63  Age:  34  
Posted on:22nd Dec 2013, 6:24am
 

@sweeti

Just wait.... will reply u soon. Meanwhile try to think of atleast 6 blessings Allah subhan Ta'la has bestowed upon you. I'm sure there must be numberless but I ask you to list down only six for the time being. Cheers. :)
bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 721  Age:  21  
Posted on:22nd Dec 2013, 4:51pm
 

Saas problem

Abhi tak jo aap ne share kia us se andaza hua ke saas aapko threat samajh rahi hein (companies mein bhi isi qisim ka leg-pulling competition hota hai). Aur unhein ghar ki malka ban-nay ki aadat thee jo ab kam hogai ho hogi. Iski wajah ye bhi hai ke bachon ko apni bhabi aik new aur glamorous item lagti hein. Jabke amman se generation gap bhi hota hai. Susar ki bhi agar beti nahen hai, to unhein beti milgai hai. Ab ghar mein ronaq hogai, maza araha hai sabko - ilawa saas ke.

Ye aapki external problem hai. Dusri baat aapki internal problem hai. Aap ne apni saas ko zindagi ka markaz bana lia hai. Aap ne apni khushi ko unke approval ke saath jor lia hai. Ye hinduana aqeeda hai - jis mein maan baap beti ko rukhsat kartay filmi dialogue kehtay hein ab tumhari laash he niklay susral se etc. to ho sakta hai ke aapke maikay ki taraf se bhi bas yehi hidayat ho ke saas ko sar pe charha lo. Islye aapne saas ko apni zindagi ka mehwar

Pesheen-goi: Aapki saas aap se zindagi bhar khush nahen hongi. Aap unhein khush karnay ki koshish chor dein. Apka sharai farz shohar ko khush karna hai - saas ko khush karna nahen. (Aik bhi ayat/hadees aisi exist nahen karti jis mein kaheen likha ho ke jannat ke darwazay se guzarnay ke lya saas ke signature wala gate pass chahye hoga). Khush hoti hein ho jaen bari achi baat hai. Nahen hoteen unka masla aap ne to apni effort kar di na! Ab aap kyun apni life barbaad karti hein unke peechay. Saas se shadi thori hui hai.

Aap ko ghar ke kaam ka shoq ho to kar dein (ya agar responsibility distribute hui hui hai, ya aapki baari hai kitchen mein to). Saas agar hath batanay ka kehain to kar dein (unki nafarmaani nahen karni hai). Nahen kehteen to qurbani dene wahan pohanchnay ki koi zarurat nahen. Khus se hero na banain (I mean heroine).

Rahi baat bacha peda honay ki to profile ke lihaaz se aap 21 baras ki hein. Abhi to aap khud bacha hein abhi se bacha nikaalne ki kya par gai? 22 se pehlay woman ki body full develop nahen hoti aur delivery ke doraan bachay aur maan ke marnay ke chances ziada hotay hein. Abhi to bachay ki try bhi na karein. Aur saas se keh dein ke mein to naheen bacha peda karti aapko chahye to khud peda kar lein (companies mein bhi yehi tareeqa hota hai kaam jisne karna hota wo apni chalata/chalati hai - ke kaam mujhe karna apne hisaab se aur apne time pe karun ga/gi).

Mod : Avoid making random words "Bold" for no reason. It makes to feel as if these are disco posts. (Never mind :) )

@Mod: Thank you for your note. Random words are not made bold. Keywords are made bold to improve readability of content. Underscore and italics are also being used for the same purpose. This also enables people who are accustomed to scanning/skimming reading practice to get the gist of the post. Also, this proves attention-catching in sober style so that content could be delivered in effective manner with greater chances of retention. Other forms of highlighting are not best replicated in print or photocopy (unless colour printer is avaiable). This also makes the post more prominent during quick scrolling.



sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:23rd Dec 2013, 6:02pm
 

@blueink

Thanks to u :)).yes Allah blessings is alots on me.and m waiting 4ur reply.i hope that u will help to get out from this situation
sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:23rd Dec 2013, 6:14pm
 

@bushra

Thank u sis ke aapne bhi mujhy samjhya.but mai kese samjhaun apko kunke kisiko kehna asan hota hy par jo is haalaat se gu7ar raha huta hay use hi maloom hota hay.ma bari hu apne makye mai bhi aur susral mai bhi.meri saas sabse narazgi mol leke mjhy apne makye se yani khala zaad ki beti hun ma.tou ab unhe ye taklif huri hy k sab unhen kia kahenge k leke ai ho apne makye se tou kia teer maar lia:( insab bato ki wjah se ma pareshhan hujti hu ek ladki ki zindagi tabah hujati hy in chakro mai.jasa k apne btaya k ma unko jawb dun means ye k khud bcha paida krlo ya etc tou kia huga larai jhagre,mayyusi,badmazgi,phr shohar ye sab dhekega tou wo bi badzan hujaega aur akhir larki apne meke chalijaegi.ladki ki Shaadi k bad bhi maa baap pe bojh rahy tou kia faida.mana k maa baap Kabhi bojh nahi smjhte lekin insan ko khud ehsas hota hay.apki kuch baten samjg gai hu uspe amal bhi karugi..insha Allah

sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:23rd Dec 2013, 6:15pm
 

@blueink

Thanks to u :)).yes Allah blessings is alots on me.and m waiting 4ur reply.i hope that u will help to get out from this situation
sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:26th Dec 2013, 7:47pm
 

please......

please reply tou den Blue ink..m waiting for yor reply..
blueink Group: Members  Joined: 17th Nov, 2013  Topic: 2  Post: 63  Age:  34  
Posted on:27th Dec 2013, 2:00am
 

@ sweeti

I'm sorry I made you wait. Aap ki post ka chota reply mumkin nhe tha isliye thori dair ho gayi.

Apnai aap ko internally strong karen aur depression mei na jaaney dain. Mayoosi waisai bhe Allah ko pasand nhe. Ab sunein

Sweeti, zindagi ki kuch haqeeqtain hoti hain. unko jitni jaldi samajh lo ge. Utni he jaldi aapki life easy hoti jaey ge. But agar aap nhe samjho ge, tu tough situations repeat hoti rehen ge till the time you eventually learn n agree with the existing truth.

So har situation Allah ki tarf se hoti hai...Khushi hai tu shukar ada karen, ghami hai tab bhe shukar ada karen k Allah ne aap ko apnai qareeb kr liya. aur dua mangen. Allah konsa apnai bandai ko takleef mein daikh kar khush hota hai? wo tu 70 maaon se ziada piyar krta hai.... wo takleef is liye daita hai kai ham seekhain. learn karen...aur grow karen.

Aap kai case mei reality aur learning ki baat ye hai kai .... "Saas maan nhe ho sakti, dost nhe ho skti, behn ki tarha nhe ho skti. (Though exceptions are there) but generally yehi haqeeqat hai." Is liye aap ye ab expectations un se mat rakhen.
Magar wo yaqeenan as an individual aik mukhtalif aur achi khatoon hon ge. Jahan khamiyan hon ge un mein, wahan achayian bhe hon ge yaqeenan.

Kuch dair k liye aap un ko aik insaan kai tor par daikhain... unki life ka bare mei jo unhon ne guzari...jo struggle unhon ne ki....jistarha char baiton ko pala.... Sochain!! Life kai experiences ne unko aik tough insaan bna dya hai. aap 2 din mei ya 2 saalon mein unko badal nhe sktein. Aur aapko unko badalne ki koshish bhe nhe krni chahye. Old age mein kisi ko sikhaya nhe ja sakta. Aaap ko intahayee bardasht aur sabar kai sath chalna hai.

Apni ye khawahish k wo aap ko khana pakane ka kahen... kuch dair k liye side par kar dain. Aap kai liye kuch directions likh rhe hon wo daikh lain...samjh lain.. Un ko follow karen. Inshallah behtaryan hon ge.

1- You need a bestest friend ... a bestest buddy, jis se aap har baat share karen... aur jo aapki baten kbhe kisi se share na kare. Aur aisa bestest buddy/friend rela life mei exist nhe krta. :) Ye sirf aik he Hasti hai..Aik he Zaat hai jisko ham ALLAH Kehtey hain. Quran mein Allah Ta'la farmatey hain..." Aur Khuda se barh kar tmhara kon Wali ho sakta hai? (Wali means Behtreen Dost).

2- Aaap khushqismat hain. kai aap aik aisai ghar mein hain jahan aap ki izzat mehfoz hai. aap ko Allah ne road par nhe phainka. Aaap khushqismat hain k aap aik achai khandan mein paida huin aur achai khandan mein aap ko zindagi ka sathi bhe mil gaya. Aap khushqismat hain kai teen waqt pait bhar kar khana kha sakti hain. Aaap Khushqismat hain kai Allah ne aapki neend kai liye aapko naram gadaz bistar diya. Aap khushqismat hain kai aap parhi liki hain. aap kai hath.. paon.. aankhein salamat hain. See how much blessed you are!!! Just count your blessings. aur Allah ka shukar ada karen. And remember aap kai 2 kaan bhe hain. .. :)) jin ko istemaal karen. saas ne tnz kiya. aik kaan se sun liya aur dosray se nikal diya. :)I know it's not simple. but practice it! dheet ban jaen. Ziadti wali baaton ko forun forun nikal dein dosrey kaan se. unn ko lai kar baith na jaya kare.

3- Apnai aap ko halat kai mutabiq kar lain. apnai barey mein sochain. Aap ko Allah ne zaroor kuch qulities de hon ge. Are you good in painting?? drawing?? Stitching?? Decoration?? Cooking?? ((OHH! ye tu mein ne aapki dukhti rag par hath rakh diya..:)) )..let's put it in this way...umm Baking??? aap agar khana na sahi.. magar mazay mazay ki cookies tu bna skti hain na..apnai husband k liye...tea k sath serve karen.
In a nutshell find any good hobby and do it! Keep yourself busy.

4- Husband se kahein aap ko bahir le kr jaen kbhe kbhar. nature ko enjoy karen. Book reading ki habit agar hai tu best hai ...achai magazines aur kitabein khareedain aur parha karen.

5- Namaz parhen. Husband ka khyal rakhen. apna khas khyal rakhen.

yun sad rehnai se tu chehra bai-rounaq ho jata hai. apnai aap ko well dress rakhain. Hamesha smily face rakhen k husband jab bhe job se wapis aaen tu aap ko daikh k khush ho jaen.

Saas baat karey tu jawab dain. na baat karey tu khamosh rahen. kisi na kisi ctivity mein busy rakhen khud ko. aur agar kbhe mauqa miley tu baatein karen unki life k baarey mein. un se lightly pocha karen kai akailay unhon ne ghar kaisai manage kiya....etc etc. unko respect kai sath ehmiyat dain. wo aaj nhe tu kal zarur acha response dan ge. Inshallah.

6- Hamesha zikar mei raha karen. Subhan Aallah.. Alhamdolillah..Astaghfarullah..so many zikars are there... keep your thought busy in zikr azkaar. Relax rahen. Izzat aur zillat Allah kai hath mein hai. kisi kai taunt ya ignore krnai se aap ki zaat mein koi kami nhe aati. balkai Allah se dua...sabar ka muzahira.. aur Allah se Taluq mazboot honai se. In the end aapko he izzat aur urooj miley ga. Inshallah.

Wish you all the best Sweeti. Hope you are feeling better now n will be able to cope with your depression. Keep Smiling always! :) n Take Care. :)

bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 721  Age:  21  
Posted on:27th Dec 2013, 12:20pm
 

Sweetii ki karwi saas

Sweetii agar aapki saas kisi pressure mein hein to ye aapka masla nahen.

Agar aap bacha peda nahen kar paa raheen aur unko batain sunnay ko mil rahi hein to ye bhi aapka masla nahen.
Agar unhon ne sab se jhagra mol le kar aapko bahu banaya hai to ye bhi aapka masla nahen.

Sab se jhagra unhon ne lia.
Sabki batain unko sunnay ko milengi.
Ye sab unkay masail hein, unhon ne koi team contract thori sign karwaya thaa aapse ke ye karlo phansun gi to tum zimmedaar.

Companies mein bhi yehi hota hai - managers mein guts honay chahyen apnay subordinates se koi ghalti ho jay (aur hoti bhi hai) to wo usko accept karein. Ye nahen ke passive-agressive ban jaen ya active-aggressive ban jaen.

Aapki saas ke andar bhi apnay decision ko back karnay ke guts honay chahyen. Jo balli nahen utha sakteen uski koshish he kyun ki unhon ne. Ab agar unko problems arahe hein to wo aapko tension kyun de rahi hein? Apne maslay khud bhugtaaen. Agar aapko mahol mazeed kharab honay ka khadsha hai to avoid karein. Agar ummeed hai wo dab jaengi to aap charh dorain. Saas ko moqa moqa se taanay marein ke aapki wajah se itni tense hun jabhi pregnant nahen ho paa rahi. Jis tarah wo moonh mein burburatay huay aapko batain sunaati hein aap bhi usi tarah karna shuru ho jaen. (Aik to dubai mein wese bhi ghar chotay hotay hein ziada distance karna bhi mumkin nahen).

Baqi blueink ne kafi batain batai hein un par amal karnay se bhi faida honay ki ummeed hai.
alone but happy Group: Members  Joined: 11th Dec, 2012  Topic: 8  Post: 885  Age:  22  
Posted on:27th Dec 2013, 10:01pm
 

Bluink masha'Allah acha rply kia ha ap ne sweeti ko

ALLAH PAAK meri or jis ne ye coments likha ha us ki madad kary
sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:28th Dec 2013, 9:39am
 

Dear blue ink

Salam hope you fine :) thank u alot sister! i hav no wordz to say you Thanks...apne buhat achey se samjhaya aur mene kafi samjh bhi lia ye sab baten mere mind ma nahi aa rahin thin par apne solve kardin :) aur mujhy batadin.yes mai interior designg ka diploma kia hua hay sweet dishes bhi bna leti hun insab se tou kush hujate hain sab lekin mu se nahi khte.mai aur mre huby bht kush hyn ek doosry k saath ..Thanks sis itni help karne k leay.Allah apko khair de,Apki har wish poori kare ameen Take care sis:)
sweetii Group: Members  Joined: 14th Apr, 2013  Topic: 19  Post: 154  Age:  22  
Posted on:28th Dec 2013, 9:43am
 

Bushra

salam.Hope you Fine sis :) aapka bhi bht bht shukria k apne bhi mujhy bht smoothly smjhaya! ye jo baaten aplogo ne batai hayn yehi mujhy smj nahi arai thi aur ma tense hujati thi.ap ne sahi kaha k yahan gahr ma space kam hot ha lekin mera gahr phir bhi behtar hay.fasla hujata hay ...bas mere leay dua karen k Allah aulaad se nawaz de tou sare masle sudhar jaen.aurat ki koi hesyat hi nahi huti jabjtak wo be aulaad rehti hy susral ma.aur phir baat bhi jab phele pota poti ki hou tou.khair care and help k leay bht thnks..ma zarur apply karunge May Allah Blessed you ameen :)
blueink Group: Members  Joined: 17th Nov, 2013  Topic: 2  Post: 63  Age:  34  
Posted on:29th Dec 2013, 2:12am
 

@sweeti

Jazak Allah for your prayers sweeti. Prayers are all that we need.

aap ne interior designing ka course kiya hua hai. tu search new things related to interior designing on internet. Aur hausband se apna shauq share karo.
You can make some good little changes in your room. Ghar ka nhe kahon ge cohz saas wala factor aa jaey ga. albatta kuch krna chaho tu saas se mashwara kro. unko involve kro apni hobbby mein..aur sath le kr chalo.
you can always make good paper flowers stuff and present it to your husband n also to your saas (Never Mind ;) or anything similar to that to make their days n in return yours as well.

Dont expect kai aapki tareef munh se he ho ge. agar sb khush ho jatey hain tu isi ko tareeef samajh lein. Albatta husband par aapka right hai. unko kaha karen kai appreciation aapko achi lagti hai. tu wo krain gai aapki tareef zarur Inshallah. Aur kbhe bhol jaen tu yaad krwa den khud poch lain ye cheez kaisi bnayi mei ne...btaen? (be cute ;))

bas aik baat kabhi na bholna 'Rishton ko torna tu bohat asaan kaam hai..1 second mein toot jatey hain. Magar jorna asal mein real thing hai. aur usi ka hamein hukam bhe hai deen mein.'

Inshallah aik din zaroor aaey ga jab susral mei aapka he naam ho ga. jab tak baby nhe hota ..keep your self busy ..rather very busy...to avoid any friction with saas.

Stay blessed.

MOD ACTION: Merged below post #360170 by same poster:

TITLE: @alone but happy


POST: Since aap ne kyi jagah comment kiya merai replies par. I feel I must say that

"Thanks for appreciating my replies every now n then. Trust me I don't do it for tareef stuff from people. balkai mujhey bohat sharm aati hai jab koi tareef krta hai cohz mein tu kuch nhe krti sb Allah Paak ki zaat krti hai. Aur sab tareefain usi Zaat kai liye hain."

But I must say I have found you the humblest with all among all forum members. May Allah bless you with the best of health aur aapki isi tarha contribution krtai rahain. Ameen. Stay blessed.


MOD NOTE: Do not make post within 5-10 minutes of previous post. Make up your ming and post it all in one go.
For More Detail Click On Page No: 1 2 3  >>
 
 
 
Pakistani Singer In UK  How To Fill Out A Job Application  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014