Usma1
|
Group: Members Joined: 11th Jan, 2013 Topic: 19 Post: 101 Age:
18
|
|
Posted on:28th Aug 2013, 7:46am |
|
|
Islam Me Kis Ki Ziadah Ahmiyat Hai: Mard Ya Aurat Ki?
Aslam o alikum'
ISlam me kis ki zayada ahmiyat he mard ki ya urat ki bhot bar esa bhi sunna he ka (mard ki kamiyabi ka pecha urat ka hath hota he ) ya jumla katna % sahi he
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 121 Post: 7244 Age:
54
|
|
Posted on:28th Aug 2013, 10:48am |
|
|
Mard n Aurat
Walekum Assalam Wa Rahmatullah Wa barkaatahu!
1. donouN aik doosray k liyeh laazim o malzoom haiN. yaani koi aik fareeq bhi doosray fareeq k beghair deen dunyaa donouN maiN easily kaamyaab nahi hosakta (exceptions k elawah)
2. mard aur aurat as miyaaN biwi aik doosray ko "mokammal" kartay haiN. husband k beghair aurat adhoori hai to biwi k beghair mard adhoora. Allah nay donouN ko aik doosray k liyeh takhleeq kia hai
3. go k donouN as human being ham.hasiyat k haamil haiN, lekin donouN k faraaiz alag alag haiN. donoun milkar society ki bunyaadi unit ghar ki as a "team" tashkeel detay haiN. aur iss do rukni team ka team leader husband hota hai. coz beghair team leader k koi team apna kaam sahih tareeqay say anjaam nahi day sakti
4. Allah nay husband ko issi team leader ka role as "qawwam" qarar detay howay oska aik darjah boland qarar dia hai... jaisay kissi bhi sports team k tamaam khelari go mosaawi hasiyat k hotay haiN taham team maiN captain ko aik darjah zeyadah haasil hota hai. takay saray team members apnay captain ki hedayat par amal kartay howay aik unit ki tarah apni performance pesh karaiN.
5. fitri aur qudrati taur par aurat ko ghar ki in-door zimmah daariyaaN di gayee hain jabkay mard ko out-door. mard ka in-door koi kaamyaabi haasil karna koi "baRa kaarnamah" nahi hai k yeh oski field hi nahi hai...issi tarah aurat ka out door koi kaarnamah haasil karna... koi maani nahi rakhtaa...aur jahaaN kaheeN woh aisa kuch karkay dikhlaati bhi hai to woh kissi nah kissi mard yaa mardouN ki help aur support say hi aisaa kar paati hai... agar kissi aurat ko koi mard bilkul support nah karay to woh out dor koi kaarnamah nahi dikhla sakti
6. har mard ka tallauq kissi nah kissi ghar say bhi hota hai... khaah woh zeyadah tar out-door hi kiyouN nah rahay... jab tak ossay "ghar" (yaani ghar ki khawateen...maaN, bahan, biwi, beTi) ki taraf say mokammal support aur satisfaction nah ho woh out door dunya maiN koi baRa kaarnaamaa anjaam nahi day sakta...issi liyeh kahaa jata hai k har kaamyaab aadmi k peecha kissi nah kissi aurat ka haath zaroor hota hai
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4490 Age:
29
|
|
Posted on:28th Aug 2013, 4:03pm |
|
|
Mard o aurat jiss tarah duniya maiN rooh aur jism aik doosre k liye lazim o malzoom haiN issi tarah mard o aurat ki ehmiyat bhi barabar hae. baqi farq Rizvi bhai ne bohat acha explain kiya. i agreed. |
Usma1
|
Group: Members Joined: 11th Jan, 2013 Topic: 19 Post: 101 Age:
18
|
|
Posted on:29th Aug 2013, 3:09am |
|
|
Thx u myrizvi bhai nd maryum
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 121 Post: 7244 Age:
54
|
|
Posted on:29th Aug 2013, 5:00am |
|
|
BUT I DISAGREED :) MARD AUR AURAT (jiss say moraad amooman couples hi liyeh jatay hain yani legal or illegal husband-wife) jism aur rooh ki tarah aik doosray k liyeh laazim o malzoom nahin haiN. kiyounkay rooh k beghair to jism to mahaz DEAD BODY hai, jabkay jism k beghair kissi rooh ka, kam az kam iss dunyaa maiN koi "wajood" hi nahi hai. aalamay arwaah /aalamy barzakh maiN ho sakta hai.
jabkay mrad aur aik doosay k liyeh zaroori ya behtar to hosaktay haiN, naa-guzeer hargiz nahi, k aik ki adam maujoodgi maiN doosray ka koi wajood hi nah rahay. dunyaa maiN biwi k beghair kaamyaab mardoun aur shauher k beghair kaamyaab aurtoun ki kami to nahi. deen main bhi aisi misalain like hazrat Abu hurairah & hazrat rabia basri maujood haiN jo deeni etbaar say kaamyaab log haiN, zauj k beghair... lehaza ...
etni nah baRha paaki.e. zauj ki hekayat :)
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4490 Age:
29
|
|
Posted on:29th Aug 2013, 3:13pm |
|
|
Mard o aurat aap ne baaja farmaya :) maine duniyavi lehaz se aik rishtay maiN bandhnay walay hurmat k rishtoN k hawalay se kaha. mera kehna ghalat bhi hosakta hae lekin jab aik unit ghar ki baat ki jaye to gaRi k 2 pahiyoN ki tarah in ki hesiyat aur karkardagi barabar ki hoti hae.
bivi k roop maiN agar aurat mard ki taabay daar hae to maaN k roop maiN uss ka beTa uss ka farmaNbardaar hae. aur issay aurat ka zarf bhi maaniye k woh aik kaamiyaab mard k peechay uss ka sahara bhi hoti hae ( moral support) aur uss k bach.choN ki tarbiyat aur parwarish bhi karti hae.
Hazrat abbu bakar sadeeq RA jaise azeem martbat Sahabi aur Imam abbu Hanifa RA jaise bazurg aalim ko hum un ki betiyoN k hawalay se pukartay haiN. atleast mujhay un k asal naamon ka ilm nahi. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 121 Post: 7244 Age:
54
|
|
Posted on:29th Aug 2013, 10:51pm |
|
|
agreed mujhay sirf rooh aur jism wali misaal say ikhtelaaf thaa ... baya kissi baat se nahi:) |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4490 Age:
29
|
|
Posted on:30th Aug 2013, 2:57pm |
|
|
ok laiN ji maine apni misaal wapis li :) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 121 Post: 7244 Age:
54
|
|
Posted on:30th Aug 2013, 11:24pm |
|
|
jazak Allah dat's like a gud mominah :) |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 121 Post: 7244 Age:
54
|
|
Posted on:30th Aug 2013, 11:24pm |
|
|
jazak Allah dat's like a gud mominah :) |
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4490 Age:
29
|
|
Posted on:31st Aug 2013, 12:32am |
|
|
jazak Allah for my correction :) |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 51 Post: 3324 Age:
36
|
|
Posted on:31st Aug 2013, 6:23am |
|
|
Aurat , Mard
Re "ISlam me kis ki zayada ahmiyat he mard ki ya urat ki"
jahan tak ahmiyat ki bat hay to mard o aurat dono ki islam main behad ahmiyat hay , q k allah ka farman hay k "hum ny insan ko behtreen taqweem main paida kiya" (al-quran)
lehaza insan hony k naaty sy to mard o aurat dono ki ahmiyat wa takreem aik jaisi hi hay , laiken agar baat inn dono ki zimma darion ki ki jaye aur zima darion k lehaz sy ahmiyat jaani jaye to wahan mu'amla alag hay ,
mard ki jo Islamic lehaz sy zimadariyan hain unn ki takemeel aurat k baghair mumkin hi nahi hay issi lehaza sy aurat ka b mu'amla hay k wo b mard ki majoodgi k baghair unn zimadarion ko ada nahi kar sakti
duniyavi lehaz sy to aik aurat ya aik mard alag alag hony k bawajood b apni apni zimadariyan bakhoobi ada kar sakty hain laiken Deeni zimadariyan dono k "baham" hony k baghair mumkin hi nahi hain lehaza iss lehaz sy main Maryam ki baat sy agree karta hon "jiss tarah duniya maiN rooh aur jism aik doosre k liye lazim o malzoom haiN issi tarah mard o aurat ki ehmiyat bhi barabar hae"
agreed..:) |
|