Ajj main noorclinic.com walo ki bharpur muzammat karta hoon kay unho nay Mushtzani ko halal karar denay kay liye jothi daleelain aur quran ki ko nishana banaya hay ,sirf apnay app ko sacha sabit karnay kay liye.
jesay eik waqeel adalat main judge ko aisi daleelain deta hain kay mujrim bhi bay gunah aur bay gunah insan mujrim nazar ata hay,,same noorclinic.com walo nay yeh sub kuch kiya hay...Noorclinic.com kay articles parhnay kay baad aram say koi bhi mushtzani ki adaat ka shikaar hosakta hay,,kuch log sirf is khauf ki waja say musht zani nahi kartay thay kay unko Mardana Kamzori hojaye gi,magar noorclinic kay articles kay baad har banday kay zehen per iska burah asar parhta hay chahay woh kitna hi mature aur kitni hi bari age ka hoo...meri age 27 hay aur main mushtzani nahi karta tha ,magar pata nahi noorclinic walo kay articles parhnay kay baad is adat ka shikaar hogaya ...yaqeen jano musht zani say app sub logo ka sirf nuqsan hi nuqsan hoga..
Is website main is baat ko daleel bana kar paish kiya gaya hay keh mushtzani kay haram honay ka quran main koi zikar nahi,,,,aur imam zahbi nay apni kitaab main 79 gunah e kabeera likhay hain jis may musht zani ka koi zikar nahi..ab ap logo ka jhoot saaf pakra gaya ,,Imam Zahbi nay jo 79 gunah likhay hain un main say buhut say gunah ka zikar quran main nahi hay..ab faisla khud karain...eik taraf imam malik aur imam abu hanifa isko haram karar detay hain tau quran main zikar nahi ????? Dosri taraf imam zahbi iska zikar nahi kartay gunah e kabira main tau baqi gunah jo quran main nahi hain tau phir imam zahbi kesay unko gunah bana saktay hain..
Haqiqat tau yeh hay keh Rasool ki buhut si hadeesain hain jin main musht zani ko na sirf haram balkay qayamat kay din un logo kay hath pregnent hogay jo musht zani kiya kartay thay..Akhri baat yeh kay ajj ki western countries khud bhi Natural Herbs say ilaj kar rahi hain jo keh noorclinic walay kehtay hain kay "Sub kuch normal hay" .Aur ajj ki western countries itni taraqi kay bawajood "Premature Ejaculation" aur Namardi wagera ka sahi say ilaj karnay main kamyab nahi ho payi hay...Islam hamesha Science say agay hay..America jesay mulk main 50% say ziada talaqain sirf is waja say hoti hain kyunkay Womens sexually satisfied nahi hoti..Aur itnay baray taraqi yafta mulk main iska koi solution mojjod nahi..Yeh sub in ghalat kamo aur Mushtzani ka hi nateeja hay aur kuch nahi..
Yeh bhi haqiqat hay kay puranay hakeemo ki nazar main mushtzani kay jo asraat bataye gaye hain woh bhi hud say ziada daranay walay hain magar musht zani islam may haram honay ki waja yehi hosakti hay keh jo insan eik dafa mushtzani shuru kar deta phir yeh adat nashay ki tarah usko lag jati hay aur akhir insan barbaad hokar rehta hay.isliye hakeemo ki baat per bhi ziada tawajah nahi deni chahiye...Wesay bhi appko shayad yeh baat noorclinic walo nay nahi batai hogi kay medical science kay nasdeeq haftay main eik dafa mushtzani health kay liye achi hay lekin yeh baat wazeh nahi haftay main ziada karna nuqsan deh hay ya nahi...aur dosri baat yeh kay Mushtzani aur sex say Fertility zaya hoti hay,,jubkeh ehtelam say fertility ko koi nuqsan nahi pochta kyun kay woh natural hota hay..yeh baat noorclinic walo nay chupai...jub ehtelam aur mushtzani main itna bara farq hay tau yaqinan koi na koi iska nuqsan zaroor hoga...kyunkay jo log choti umar say mushtzani kartay aye hain unhay khoob pata hay kay woh har tarah kay problems say uljay howay hain jesya P.E ,,excessive nightfall ,eriction weakness,penis weakness wagera..aur jo log kum kum kartay aye hain woh bilkul normal hain..yeh cheez app logo ko practically jub pata chal rahi hay tau noorclinic walo ki baat hargiz kabool nahi karni chahiye...
Akhir may main noorclinic walo ka bhi shukar guzar hoon kay unho nay jali hakeemo kay dal dal say logo ko nikala aur jo nujuwan mushtzani say ehsaas e kamtari ka shikaar hogaye thay unkay dil say yeh ehsaas khatam hogaya..magar mere khayal main eik haram cheez ko halal karna aur ISLAM ko nishana banana buhut buri harkaat hay....Agarcha logo ka nafsiati ilaj hojaye ga magar woh Masturbation ki adat ka bhi shikaar hosaktay hain..aur sara gunah noorclinc walo ko hoga aur jub tak yeh website rahay gi aur yeh ghlat articles rahian gay.gunah e jaria milta rahay ga..Lekin logo kay masail ka haal app ki website nay kabhi nahi diya..side per kuch advertisment hain jis main yohimbe,,horny goat weeds,l-arginine wagera jesay natural herbs diye gaye hain magar usko urdu main sahi say guide nahi kiya gaya hay..aur us say app logo ko sirf paisa mil raha hay un advertisment ki waja say warna ap shayad logo ko itna bi sahi guide nahi kartay..yahan per aksar log apnay maslay likhtay hain magar doctors kay pass koi jawab nahi hota aur har kisi kay jwab main keh dia jata hay keh "Sub normal hay" ya phir kisi urologist say concern karain...iska matlab eik khusray ko bhi mardana taqat ka ilaj karwana chahiye,,khusray ka ialaj bhi nafsiati hoga hahahhahha.....
Hindupandi, welldone, u r absolutely right, jo koch ap nay lekha hay bilkol sahee lekha hay, Islam may musht zani k koi ijazat nahi hain, musht zani bi ik zina hay, jo apny hathon k sath kiya jata hay,
Jis kisi nay bi iss ko jaiz qarar de ker noor clinic may iss post ko upload kia hya wo bilkol ghalat hayin, admin & moderators ko chahy k aisy posts ko delet kia kary
1. re: "Mushtzani ko halal karar denay kay liye jothi daleelain aur quran ki ko nishana banaya hay"
Noorclinic aik medical website hai. yaha per jo kuch bhi likha jaata hai woh medical point of view se likha jaata hai. iss website per har mazhab aur maslak ke log mojood hai. agar kisi maslam mei haram hai aur kisi mei haram nahi tu os mein Noorclinic ka koi qasoor nahi. agar aap ke maslak aur mazhab mei yeh haram hai tu aap isey haram hi samjhain. aap ke haram samajhne perr koi pabandi nahi. lekin agar kisi maslam mein haram nahi hai tu os per aap ko pareshan hone ki zaroorat nahi, woh os maslaka ka masla hai. Noorclinic ko iss se koi matlab nahi keh konsa maslak kya kehta hai. woh sirf yeh dekhta hai keh medical point se kya sahi hai aur kya ghalat.
Note: iss thread mei jo topic discuss kya gaya hai woh ab tak more than 100 times discuss ho chuka hai. lehaza iss thread ko bhi Junk and Spam mei muntaqil kya jaaye
2. re: " Haqiqat tau yeh hay keh Rasool ki buhut si hadeesain hain jin main
musht zani ko na sirf haram balkay qayamat kay din un logo kay hath
pregnent hogay jo musht zani kiya kartay thay."
ziadah behtar hoga ke musht-zani ke baray mei tamam hadeesain bhi reference ke saath yaha likh dain takeh ham sab ki knoledge mein izafa hoga.
3. "America jesay mulk main 50% say ziada talaqain sirf is waja say hoti hain kyunkay Womens sexually satisfied nahi hoti"
aap ghalat baatain ker rahe hai. agar sahe keh rahe hai tu os ka reference dain, apni taraf se kuch na kahai. aap batain ke kis book ya magazine mei likha hai jo aap ne oopar bayan kya.
4. "Akhir may main noorclinic walo ka bhi shukar guzar hoon kay unho nay jali hakeemo kay dal dal say logo ko nikala "
chale noorclinic ki koi baat tu aap ko achchi lagi. waise mera aap ko mashwara hai keh aap apne problem ka hal yaha dekhain aur phir yaha se chale jaaye. noorclinic ko zidah visit kerne ki zaroorat nahi. aap ne jo topic uthaya hai woh ab tak 100 se ziadah dafa discuss ho chuka hai. aap previous post read karain. aur repeated topic per koi thread start nahi karain.
5. "Agarcha logo ka nafsiati ilaj hojaye ga magar woh Masturbation ki adat
ka bhi shikaar hosaktay hain..aur sara gunah noorclinc walo ko hoga aur
jub tak yeh website rahay gi aur yeh ghlat articles rahian gay.gunah e
jaria milta rahay ga"
ziadah behtar yahi hoga keh aap Quran aur Hadees ka reference dain keh kaha per mush-zani ko guah qarar dya gaya hai. agar aap Quran ki aayat aur hadees ki book se reference dain tu ain meharbani hogi. ham logo ki knoledge mei izafa bhi hoga.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.