Halabutt |
Group: Members Joined: 08th Oct, 2012 Topic: 4 Post: 44 Age:
24
|
|
Posted on:14th Oct 2012, 12:44am |
|
|
Sex change operation What is sex change operation? Mein ne aksar paper mein parha hai k falan ne apna sex change operation kra liya n ab wo ek larke ki trh zindagi guzar sakti hi! Aisa kaise ho jata hai? Jb wo larki hi paida hui hai tu phr wo kause ek larke ki trh life guzare? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:14th Oct 2012, 2:03am |
|
|
sex change
1. asal maiN hota yeh hai k aisay log sexually fully developed nahi hotay. jaisay agar kissi boy k sexual organs body say bahar ki bajaa.ay ander ki side par houN to parents ossay female samajh kar parwarish kartay haiN.... zindagi k kissi stage par jab xray /ultrasound etc ki wajah say yaa daaRhi mooch ki wajah say shak hota hai aur medical experts oska medical check up kartay hain to pata chalta hai k iskay female sexual organs like uterus, ovaries to haiN hi nahi, jabkay male organs inside body haiN, jinhaiN operation karkay body say bahar nikal dia jata hai... aur khabar youN banti hai k laRki operation k baad laRka ban gayee...
2. ya phir kissi baby k male sexual organs (penis, testis) bhi houN aur body k ander ovaries aur uterus bhi houN jo male organs say zeyadah developed houN. ibteda maiN parents male organs dekh kar issay boy ki tarah parwarish karaiN lekin balooghat k waqt ossay problem ho aur oska medical check up ho to pata chalay k male organs undeveloped haiN jabkay internal female organs normal haiN to aisay "boy" k male organs ko operate karkay nikal dia jata hai ... iss tarah yeh boy operation k baad girl ban jati hai
|
Halabutt |
Group: Members Joined: 08th Oct, 2012 Topic: 4 Post: 44 Age:
24
|
|
Posted on:14th Oct 2012, 2:16pm |
|
|
Myrizvi Wese aj tak mein ne kisi BOY ko GIRL bnte nai suna albatta hameesha GIRLS ko hi boy bnte suna hai!! Shayed society mein beta parast logon ki waja se bt anyways thnx for ur reply :) |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:26th Oct 2012, 1:49am |
|
|
Halabutt 1. main nay to yeh batlaane ki koshish ki hai k medically "sex change operation" kaisay hota hai. aur yeh donouN tarah say possible hai
2. apki baat durust hai... jab as girl grown up child k boy bannay ka "chance milay" to khod woh larki bhi aur oskay parents bhi khushi khushi yeh operation karwa letay hongay...
3. as boy grown up child ko jab kabhi yeh medical advice milti hogi k ossay operation karkay aik 'complete girl' ban jaa.ay to woh khud bhi aur oskay parents bhi aisa nahi karwatay hongay... aur woh sari zindagi "incomplete boy /men" bankar rahnay ko tarjeeh detay honay... hamary ird gird aisya bahoot say qualified aur bar saray roz.gaar males nazar aatay hain jo shadi say door bhaagtay haiN... shayad inmaiN say kuch aisay 'incomplete males" bhi houn jo ego ki khatir apni "naa.mardi" to nahi batlaatay.... balkay idhar odhar ki haank kar shadi ko avoid kartay haiN
wallaho aalam bissawab
|
|