s.sandhu |
Group: Members Joined: 26th Sep, 2012 Topic: 1 Post: 15 Age:
22
|
|
Posted on:28th Sep 2012, 9:39pm |
|
|
Don't want baby for a year, but mother-inlaw... Asalamoalaikum,Meri shadi ko aik saal hojai ga mid October mein. Meray in-laws acchay hein,unhon nay shuru din say hamein alag ghar set kar kay day dia tha, kay khush raho. Pichlay aik haftay say meri saas atay jatay kehnay lagi hein ab aur intizar nahi karwao aur khushkhabri suna do. Yeh sun kar mian sahab ko bhi shauq hua hay aur unhon nay mujh say iss baray mein baat ki, mein khamosh rahi. Jaldi shadi hojanay ki waja say mera masters aik saal delay hogaya tha, agar iss saal mein pregnant hogai tou meri saas ehtiyat ki waja say yaqeeni taur par parhai khatam karnay ka kahein gi aur bacchay kay baad job tou banda karsakta hay, leikn parhai karna aik masla ban jai ga. Mera masters September 2013 mein khatam hoga, jis mein abhi bohut time hay.Iss waqt mein bohut double-minded horahi hon. Samjh nahi araha kya karon, husband aur saas dono hi achay hein... Shohur say baat ki, unhein issue nahi hay agar mein expect karon aur parhon. Leikn mujhay saas ka ehsaas hay. Meray shohur aur mein dono iklotay hein tou saari umeedein ham dono say hi hein. Please suggest what should I do?
|
Aini wish |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2012 Topic: 8 Post: 37 Age:
26
|
|
Posted on:29th Sep 2012, 3:33am |
|
|
buri bat kion ap abi baby conceive nahe karna chaty,....any reason ,.....
|
s.sandhu |
Group: Members Joined: 26th Sep, 2012 Topic: 1 Post: 15 Age:
22
|
|
Posted on:29th Sep 2012, 9:59am |
|
|
I want to conceive, but after a year Aini Wish, aisa nahi hay kay mein conceive nahi karna chahti, leikn bacchay ko poori zimmaydari kay sath sambhalnay kay liye mujhay bhi time chahiye. |
|