Please mari help kijiyeh takey main bemari se chukara pa sakon.
Main bohat pareshan hon, aur mujhy samjh nahi aata tha ke main kiya karon, is bemari ka main kisi ko bata bhi nahi saki thi, mujhy kafi arsey se constipation bhi hay aur sath main jab bhi main koi zara sa bhi kaam karti tu marey hath sun ho jatey they, taangein latka ke baithti thi tu taangein sun ho jati thin, phir mujhy khayal aaya ke mujhy tabeba ke pas jana chahiyeh tu main aik Tabea (Hakeem) ke pas gai aur unko chechk karwaya, tu unho ne bataya ke mujhy bohat kamzori hay aur khoon ki kaami hay isi liyeh khoon ka doran kam hay tu isi waja se marey hath paon sun jatey hain, main bohat sochti hon kisi ki waja se demag pe bohat boaj hay aur constipation ki waja se piles hay. Unho ne mujhy kuch treatment batayeh aur kaha ke 3months tak lazmi yeh sub karna hay, unho ne kaha ke mujhy din main 2, 2 bar 2, 2tabls shehad aur zeton ka oil pena hay hay who bhi khali pait (subha naharn-mu 1 cup garam pani main 2tabls sehad, phir zeton ka oil, phir dopehar main lunch se pehley 1 cup garam pani main 2 tabls sehad aur dinner se pehley 2tabls zeton ka oil ke bad garam milk), aur roz half kg fruit khaney hain, taqak ka syrup din main 2 bar peney ko diy aur rat main constipation ke liyeh dawa khani hay phir 1 cup garam milk pena hay, aur piles ke liyeh cream din main 3 bar lagani hay.
Start main marey liyeh zaton ka tail pena bohat muskil tha who bhi 2bar is liyeh unho ne mujhy kaha ke main subha nastey main egg zaton ke tail main talk e khaon us se taqat bhi miley gi aur aik bar ka zaton ka oil bhi jisam main chala jayeh ga, aur 2nd time ke liyeh start main 2tabls1 cupgaram main zaton ka oil dal ke peny ka kaha aur us ke foran bad 1 cup hot milk. Mujhy se 1 cup garam main zaton ka oil nahi peya jata tha main bohat miskil se half cup peti aur half pheank deti. Par theek honey ke liyeh main ne adat dali aur main 2tabls zaton ka oil pena foran se garam milk peney lagi. 1 month syrup peney ke bawajaod hathon ki aur taangon ki sunsunahat kaam nahi ho rahi thi tu unho ne dosra syurp likh ke diya jo taqak aur khoon ki kami ko pora karney ke liyeh tha, us se bohat farak pahra.
Lakin 3month ke last days main RAMZAN KAREEM aaya aur dawaon ka silsila khatam karna pahra rozon ki waja se. main yeh tu nahi kahon gi ke ke mujhy koi paraknahi pahra, mujhy kuch had tak aram aaya tha.
Eid se kuch din pehley se marey chehrey pe white color ka aik dana niqalta main us pe pan wala chona lagati who khatam ho jata phir dosra niqalta main chona lagati woh khatam ho jata, ahbi bhi aik white color ka dana hay jo khatam nahi hova, jis ki waja se mari Waldah kehti hay ke tum june, july main itni garam garam cheezein pee hain tu us waja se yeh daney niqal rahey hain. Un ke kehney ki waja se main phir se check karwaney nahi gai aur na hi woh treatment phir se start kiya, magar ab mari halat yeh hay ke hath aur tangein bohat zahda sun ho rahey hain, lakin constipation main kafi farak hay ab bhi. Unho ne aalu, rice, bhindi sakti se maana kiyeh they khaney se, aur main zara se bhi alu khati thi tu marey pait main bohat dard hota tha. Jab ke ahbi itna zahda nahi hota.
Main janti hon ke main apka bohat waqat zahya kar rahi hon, magar main apki raayeh jaana chahti hon ke jahsa mari waldah ne kaha un white dano ki waja garam chezain pena hay, pehley kabhi kabhi marey face pe white dana niqal jata tha ahsa pehli bar nahi hova, bas is bar ahsa hay ke woh khatam nahi ho raha, please mujhy batayeh ke kiya wahkiye ahsa hay ke sehad aur zaton ka tail mujhy naqsan de gaya hay?
DEKHIEN SIS. ap ki sub se bhari waja hai tension lena nothing else..aur yeh sub jo ap ko batein hain yeh sub b iss ki waja se he hain.real mein tension sub se bhari bimari hai aur yeh digestive system ,pimples etc bande ki harr cheez ko effect krti hai...isliye
sub se pehli baat tu yeh k ap ko jo masle hain (constipation,hath paoon ka sunn hona,dana nikal anna)yeh sub normal he cheezein hain iss mein itna zyada pareshan hone wali koi baat nain.aur na he yeh natural cheezein (shehad,,zetoon etc khane se )ap ko koi side effect etc howa hai.yeh natural cheezein hain koi utna side effect nain krtin.aur abb aj se he inn saari batoon ki tension ko door kr k
1)5times namaz parha karein.
2)apni routine mein jaldi sona aur jaldi uthna shamil kr k morning walk aur halki phulki exercise ko shamil karein.
3)aur apni diet mein 1,2 month takk fruits aur vegetables ko zyada shamil karein aur red meat(mean ghae aur bakre )k goshat aur fry cheezon se utni deer avoide karein.but white meat must thora shamil rakhien..aur ghar mein jo salan banta hai must khaien uss mein he saari ghaziyat hoti hai...aur doodh utna na piyein so that constipation bilkul thek ho jae.
aur tension bilkul nain leni..ap khud dekhien ghi k sub kuch thek ho kr ahista ahista sabr k sath ap bilkul healthy ho jaien ghi.
is website
pe main ne kuch topics pahrey hain aur yeh kafi helpfull hay unke ke liyeh jo
apna maslah ya apni pareshani kisi ko bata nahi saktey. isi liyeh main ne soch
ke main bhi apney problems share karon aur help lon.
mara khud
ka bhi yeh maana hay ke mujhy in chezon ke koi nukas nahi hova, kiyn ke mujhy
qabz main kafi farak hay, aur humarey ghar real meal nahi banta, aur taqreeb
5months se main musqil se hi koi bazaar ka khana khaya hoga. Aur tali hoi
chezain chahyeh woh ghar ki hi kiyn na hon main ne bohat hi kam khai hain,
mujhy 1 saal se zahda hoga hay is bemari main, main bohat tang aa gai hon
dawaein kha kha ke, pareez kar kar ke.
Aur tension
in bemariyn ki nahi hain, zindagi har sahfa muskilon bahra hay, main bohat
mayus ho jati hon kabhi kabhi, par theek honey ki koi koshi main ne nahi chori,
par ab main thak gai hon, tabeba kehti hain ke operation se koi faida nahi hoga
tum dawein khao bas.
aur apka
bohat shukriya ke apne marey liyeh itna time niqala, apne kaha ke kuch aur
pochna hay, jee mujhy aur bhi kuch pochna hay.
sorry sis. mein abhi he online ho kr apka reply parha woh asal mein main abhi new hoon idhar aur kuch masrofiyat ki waja se utna time nahin de sakta.but i will try to give my maximum time for u.and will try to help u in all ways.khair ap pochien apne aur kya pochna hai
aoa all of u ma iss sy phaly bi post kr chuki ho pr reply ni mila sb sy phaly ma iss forum pe new ho tu muje plz ye batye k sawal k bad kidr chk krna ha aur kase jaldi ans milta ha ta k ma detail sy apny masly likh sko pllllzzzzzzzzzz help me
agar ap
bohat bz hain tu plz is forum main aur bhi tu Drs hain kiya koi aur Dr mari
help nahi kar sakta L.
jab main
ghar ka koi mamoli sa kaam bhi nahi kar pati tu mari sister batein banati hain,
mujhy bohat bura lagta hay, kiya main normal logon ki tarhan zara sa kuch bhi
nahi kar sakti kabhi, aur kabhi himat kar ke main bartan wash karon sirf 1hr ya
30mints tu us main hi main bohat thak jati hon itna ke mujhy se apney baal tak
nahi bayeh jatey, marey baal bohat gahney aur lambey they jo ab bohat paitley
ho gayeh hain roz itney baal niqaltey hain ke mujhy lagta hay ke ganji ho jaon
gi.
Is week
pchley kuch 2, 3 din main woh cream use nahi kar saki kisi waja se, jis ki waja
se poti aaney pe kharach hoi, aur kal kuch kuch hrs mujhy wahan khechoao
mehsoos hova, jahsa ke pehley 2, 3 din tak rehta tha aik bar poti aaney pe,
itna ke na baoth pati thi na khari ho jati thi, kuch dair ke liyeh tu ahsa laga
ke jahsey koi kail hay aur bohat chub rahi hay.
bas yahan
tak msg type karney main mari tangein sun ho gain hain aur thori walk kar ke
msg phir se type karney aai hon.
Jab main who treatment kar rahi thi tab bhi mujhy laga tha woh
jo masa hay woh mamuli sa kam hova hay (woh masah half inch se zahda tha aur
jis jaga hay wahan se bohat mota hay aur shayad april se usi jaga se uska aik
aur mu niqala hova hay, jahsey aik hi jar ki 2 shakhein) aur kal se mujhy ahsa
shak hova hay ke jo masah lamha hay who phir se kam hova hay per sath hi kal
bhi wahan khechao tha, din kuch ahsa feel nahi hova.
Marey pait main right side pe bohat dard hota hay kabhi
kabhi, khas kar jab, jab main alu yah noodals wagera khaon tu, 4months se tu
main ne ahsa kuch khaya nahi, per yeh dard 2hr se zahda jhoot kar koi bhi kaam
karney se bhi hota hay, yah naaf ke nechey se hota hay aur tab ahsa lagta hay
ke naaf se oper ka hisa alag hay aur nechey ka alag, mujhy dard lagta hay ke
kahain yeh appendex hony kit u koi nishni nahi L
bohat hi simple hay, jahsey apne is topic ko dekha, wahsey hi ap apna topic dekh sakti ho.
jab ap login karti ho tu tab brown color ke 2 boxes samney hi show hotey hain jis main white color se likha hota hay "Start New Topic" or sath main 2nd box main "My Profile" likha hota hay ap My profile main jao aur apney topic/problem ka answer check kar lo.
yah jo apke topic ka title hay jahsey ke "General Health" ya kuch aur us main ja ke apna problem dekho ya usy open kar ke pahr lo.
jab consitpation ki dawa leti hay Hiikmat ki tu bohat kam hoti hay aur sath main badi vegetables na khaon tu bhi kam hoti hay, agar badparezi karon tu zahda ho jati hay.
aik baat bat type ho gai thi last time, mujhy is bemari (piles) ko 2 saal ho gayeh hain, 2 saal pehley jab jab RAMZAN main rozon ke doraon yeh masa niqal tu tab poti aatey hovey khaon aata tha aur bohat takleeq thi tab, tabhi yeh masa 3, 4 din main hi bohat lamba hoga gaya tha. woh pora aik saal main ne bohat takleef main guzara. jab se mustalif dawa start ki tab se takleef tu kam hay magar masa khatam nahi hova. aur na consipation khatam hoi bas kabhi kam hoti hay kabhi zahda.
Sorry main
kiya karon ke mari bemariyan hi bohat hain.
Yeh aahdey
sar ka dard mujhy is week main 2bar hova hay, pehley kabhi kabhi bohat tha,
back side se start hota hay aur left eye ki taraf taka a jata hay, yah mahtey ki
taraf se start hota hay aur porey sar main ho jata hay, itna shahdeed hota hay
ke mujh se bardash nahi hota.
adhey sarr ka dard basically ap ko hyperacidity of stomach ki waja se hai aur kya iss k sath moun mein pani sa b atta hai?aur loudness nain sunn saktin?asal mein ap ko jitne b masle hain linked hain.
khair ap pareshan na hoon.yeh sub thek ho jae gha.ap ko jitni b problems hain in detail btaien.phir he ap ko zyada behtar guide kya ja sakta hai.
Jee ahsa hi
hay jab sar main ahsa dard hota hay tu mu main pani aata hay jis se mujhy lagta
ke mujhy ulti aaney wali hay, aur thori si bhi zor se koi boley tu mujhy se
bardash nahi hota. Par jab abu zor zor se boltey hain ke mujhy bohat dar lagta
hay dil karta hay kahin chup jaon jahan mujhy awaz na aayeh aur main kapney
lagti hon, jahsey marey jisam main jan nahi. Aur yeh dard is hi week 2 bar bohat
zahda hova hay aik bar lunch ke bad aur aik bar dinner ke 1hr ke bad, aur jab
dard kam zaroor hova par khatam nahi hova. Is waqat bhi marey sar main dard
hay. Aur pait ke right side pe bhi. Main phir kisi waqat detail bataon gi. Abhi
mujhy se baitha nahi jar aha.
aur iss k illawa ap ko specially nashte k baad zuban per like burning sensation(jalan)ki c feeling hoti hai?aur is k sath peet (through out digestive system)jalan ka ihsas?aur wind(hawa)c b banti hai peet mein?aur kabhi constipation or kabhi diarrhoea hota hai?aur raat k time rest krte howe kya yeh cheezein barh jati hain?
khair ap ko jo jo b hota hai ya hai in detail likh kr btaien.
Main zida dair tak koi bhi kaam nahi kar sakti, agar sirf
1hr tak batna bhi ho tu tab marey pait ke right side pe dard start ho jata hay,
is waja se main apko theek se bata nahi saki, try karti hon ke is reply main
bata sakon. Isi liye main pehley isey word main type karahi hon.
Pehley main apko bata don ke us treatment se pehley mari
kiya halat thi.
Constipation bohat zaida thi, porey week
main mujh musqil se aik hi poti aati thi, aur mujhy bohat zaida takleef hoti
thi, piles ki waja se, us din tu mujh se na baitha jata tha na khara hova jata tha, 2
din ke bad kahin jata ke yeh takleef kam hoti thi. Aur kabhi poti aaney pe main
thora dard bardash karti thi per wash room nahi jati thi, ke us ke bad mujhy us
se bhi kahin zaida dard sehna hay. Aur kabhi dairiya ho jata tha, kabhi sirf
din main aik hi bar, kabhi pora din, aur who mari halat aur kharab kar deta
tha.
Tab main apni diet ka khayal bhi nahi
rakh pati thi, ice cream, pizza, bagar, chips, rice, colddrink, potato yeh sab
taqreban main 15days main khati hi rehti thi, ghar main zaida tar alu hi bantey
hain raat main salan khatam honey ki waja se aur alu mari favt dish hay, aur
mujhy se porey din main 2glasses pani bhi nahi piya jata tha, nastey main, main
1, 2 slice white bread ke half cup tea ke sath leti thi, phir office main job
hi mil jaye lunch main, aur sham main 3rd ya 4th day ice
cream(garmiyun main).
Aik zarori baat jo shayad main ab tak
batana bhool gai. Mujhy allergy hay, dast se khushbu se bohat zahda khati
cheezon se, ice cream se bhi hay par bohat hi kam, yahan garmi bohat hoti hay
aur tab hi main ice cream kha sakti hon warna mujhy bohat jald khansu ho jati
hay, koi room bohat din se band ho aur main yahan jaon tu mari nak pe bohat
kharish hoti hay, 2 bar main ne galti se bazaar ki chat kha li thi aur us ne
marey medey ko bohat nusan kiya aik dam se, sham main main ne khai aur rat
bohat taiz chalti hain, aur main lait nahi sakti, kafi takiyeh laga ke qamar ko
sehda rakhti hon takey mujhy aur takleef na ho, firig ki rakhi hoi methai rat
main khaney se bhi ahsa attack ho jata hay, aur phir 3 din tak bhi mujhy aram
nahi aa pata, aur na hi mujhy kuch khaya jata hay jis ki waja se mujhy bohat
kamzori ho jati hay, aur mehses bhi dair se hotey hain, sari rat sara din main
so nahi pati, pasliyun main bohat dard hay sanas theek ho janey ke bad bhi, jab
yeh attack hota hay tu khansi kam hoti hay aur tanngon main bohat dard hota
hay. Thori garmi main jab sab normal pani se nahatey hain tab mujhy garam pani
se nahana parta hay, zara si sardi main jab sab thora garam kaprey pehanty hain
tu mujhy garam kaprey aur jarsi pehani parti hay.
Isi waja se mujhy un tabeba ne mujhy apni
tables zahda nahi din thin, ke pata nahi mujhy koun si dawa nuqsan de jayeh,
natural treatment ki asal waja yeh bhi thi, aur yahan ki itni garmi main june
july main main ne sehdad piya din main 2bar.
Kuch saal se mujhy menses bohat kam din
ke liyeh hotey hain, meses ke 3rd day bhi pora nahi guzarta aur ahsa
lagta hay ke khatam ho gayeh, porey din bas zara sa aata hay, aur 6th
day tak ahsa hota tha. Aur menses se kuch din pehey aur shayad 2 week bad white
liquid aata hay shayad lekoriya, tab bhi mujhy bohat kamzori mehsoos hoti hay.
Aur mujhy mari frnd ne bataya tha ke periods ke 7 days ke bad 22din bad se
periods hoty hain, par mujhy 19th, ya 18th days ke bad hi
periods start hoty hain, aur 1 day kafi hr2 tak bohat kam aata hay phir 2nd
day bohat aata hay, aur mari qamar main bohat dard hota hay aur kabhi kabhi
mujhy vaginamain bohat jalan hoti hay.
Taqreban 5 ya 6 saal pehley mujhy 7days tak periods hotey they aur mujhy qamar
main sirf 1st day thora dard feel hota tha. Who din bohat acchey
they na koi gham na koi fiqar, na koi pareshani, bas college, centre ghar.
Sar ka dard mujhy hota tha per itna nahi
jahsa kea b hota hay, ahdhey sar main itna shaded dard bhi nahi tha. Hath paon
sun hoty they, aur right hand main dard pehley bhi tha. Sanas jaldi phool jata
tha.
Phir main ne apni diet main changing ki,
ice cream, colddrink, thanda pani, tali hoi cheezain, bazaar ke khaney, white
bread aur din main 2 glasses se zahda pani peney ki khoshi ki. Yeh bas main ne
bohat control kar ke khana band kar diya par constipation ki waja se poti ka
aana, piles ki waja se poti ke bad ki takleef, sab kuch theek nahi hova.
Phir main ne who treatment kiya jo main
ne 1st post main detail main bataya tha, us ke doran hath paon bohat
ki kam sun hotey they, piles ka maslah tu tha per constipation itni nahi thi, menses
bhi 3rd day tak theek hi hovey they, bas pait ke right side ka dard
tha. Mujhy kafi had tak aaram tha, magar jahsa ke main ne bataya ke ramzan main
mujhy yeh treatmentband karna pahra
tha, ramzan ke kuch dino baad hi mujhy vaginamain bohat jalan honey lagi
tu main ne sehad nahi piya jo ke sehri main nahar mu pena tha, unho ne kaha tha
kuch bhi aur feel karo tu mat pena, phir ramzan ke 2nd week main
himatkar ke main check up karwaney gai
tu unho ne mujhy kaha ke rozon main khuski bohat zahda ho gai hay tum ne acha
kiya ke kuch nahi liya aur tum milk main pani mila ke bohat patla kar ke piya
karo aftari ke bad 1 glass se zahda fruits main mango kam se kam din main 2
zaror khana aur constipation ki tabs dinner ke bad lena.
Aur jab mujhy pehley se bhi zahda
problems hain, last time menses 2days tak hi hovey 3rd day bohat hi
kam tha aur 4th aur 5th day tak zara sa aaya din main aik
bar, aur white liquid bohat aaya menses ke 2nd week ke bad ur ab
pora week se kabhi mujhy porey sar main dard hota hay ya ahdey sar main, aur
jab thora kam hota hay tu jata bhi nahi, aik baat rest kartey hovey main ne
note ki hay 2 din se ke mari gardan main dard hota hay right hand ki taraf, sar
ka dard, pait ka right side ka dard, aura b gardan ka dard, mujhy se bardash
nahi hota. Sar ka jab thora kam hota hay tu ya tu back side pe thori si jaga
main rehta hay, ya left eye ki taraf, ya right eye ki taraf, yeh dard itna kam
bhi nahi hota ke bardash kar sakon.
Ahbi august main hi mein ne kahin pahra
tha ke subha nahar mu 2 glass pani peney
se constipation khatam ho jati hay, tu main ne 2, ya 2 din ahsa kiya aur tab
main ne feel kiya ke mara sar bohat bahri ho raha hay dard ho raha hay phir
main ne aik 2 din subha sab se pehley pani nahi piya tu dard nahi hova, tu main
ne socha shayad start main dard hoga sar main, main ne phir 1 din aur subha
pani peya, aur us ke bad kuch din kuch ahsa hova ke mujhy hark am bhool gaya. Par
ahbi mujhy yaad aa raha hay key eh sar ka dard ka tab se musalsal hay, pehley
bhi mujhy ahsa dard hota tha, magar tab jab koi bohat hi zahda kaam karon ya
koi baat mujhy bohat pareshan karey tab.Aur ab koi pareshan ahsi hay hi nahi jo chali jayeh tu mujhy aadat kiyn
nahi ho rahi kiyn mara demag har waqat bas sochna hi chahta hay, main kuch bhi
kar lon per zehan se pareshanyn niqalti nahi.
Oh yeh main apni taklefen bataye bataye
phir isi topic pea a gai.
Main pora din laga key eh sub apko likha
hay, bar bar darmiyan main rest kar keaur abhi dard ko bardash karty hovey isi pora karney main lagi hoi hon. Plzzzzzzz
mujhy zaror bataya ga.
Aik baat aur yaad aai ke 4 months pehley
job khatam honey se pehley mara complete medical check up hova tha isb main,
tab mujhy bohat dar ke mara medical ka result ka hoga, wahan marey sarey test
hovey they blood ke, ecg, x-ray aur pesab ke, fasting pe, main ne Dr ko kaha
bhi tha ke plz mujhy bataein, tu unho ne kaha ke agar koi negative baat hoi
apko batein gey warna yeh rules hain ke share nahi karna, main ne wahan pata
bhi kiya baad main tu unho ne kaha ke reports negative nahi hon gi isi liyeh
apko call nahi ki gai.
Ahbi kandon main dard hova tu yaad aaya,
office main bhi 4, 5hrs baad musalsal typing ke baad mujhy kandon main dard
hota tha, aur ahbi bhi ho raha hay.
Namaz main ne phir se pahrna start ki
hay, apne bhi kaha tha, apka bohat thanks, ramzan ke baad periods ke bad main
namaz nahi pahar saki thi, (jab main namaz pahrti hon regular aur phir meses
hotey hon tu main namaz pahrney main laparwai karney lagti hon) tab bhi yeh
hova, aur namaz main mujhy bhool jata hay ke main ne kitni raqak pahri, is waja
se bhi mujy khud pe gusa aata hay, aij bhi asar ki namaz main, main bhool gai
ke main ne 4 raqat pahri hay ya 5. Shayad hi koi namaz ho jis main, main galti
na karon L.
Uffff mari bemariyn tu khtam nahi hon gi,
agar kuch yaad aaya tu next time send kar don gi
Ap plllllllllzzzzz meri help karein. Main
phir se pehley hi healthy life jena chahti hon, nahi tu mara dil karta hay apni
jan le lon. Aur ahsa kar bhi leti agar khudkoshi haram na hoti.
Main beqar isan apka bohat time le rahi
hon, plz mujhy maf kijiyeh ga.
dekhien sub se pehli baat tu yeh k ap ko koi b aisa waisa koi bohat barha masla nain aur iss ka sub se barha proof ap ki medical reports b hain.yeh jitne b ap ko masle hain koi utne jan lewa nahin aur pta nain kitne bandoon ko ho jate hain.aur waise b sometimes bemariyan insan ki azmaish k liye ALLAH ki taraf se hoti hain k woh kitna sabr dikhata hai mere liye.
khair ap pareshan na hoon yeh sub thek ho jae gha lekin shart ye hai k ap sabr karein.
ap ne homoeopathic medicines iris veriscolor200 aur pulstilla 200 subuh uth kr behtar hai khali peer nashte se 30mints pehle 10,10 drop thore thore pani mein alehda alehda dhall kr peene krne hain.aur 10days k baad ap ne btani hai apni condition.aur iss k daoran ksi b tarha ki medicines chahe desi aelopathy jo b ho nahin khani aur murghi,cold drinks se b parheez krna hai .bakre ka goshat ap k liye behtar hai woh khaya karein.dekhien shifa ALLAH ne deni hai but agar ap sabr k sath yeh use karein.aur ap ko menses ka na anna khoon ki kammi ki waja se hai isliye agar inn medicines se menses bilkul rukk b jaien tu ap ne bilkul b pareshan nain hona yeh behtari ki illamat hoo ghi.khair jo b ho jae ap ne pareshan nain hona .aur yeh use karein.
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.