Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

problem about my family..

Religion and Culture
 
 
 
spredIslam Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 3  Post: 9  Age:  22  
Posted on:11th Aug 2012, 2:36am
 

problem about my family..

Assalam o alaikum. Mere bhai ki 7 months pehle shadi hui hai or bhai out of country rehte hein bhabhi hamare saath rehti hain bhabhi ka behave bohot bura ha sab ke sath wo ziada tar apne ghar chali jati hein sirf apne shohar ki sunti hein unhi se matlab rakti hein ghar me kisi se sahi se baat nahi karti meri ami ka khayal nahi rakti yani unki saas.. me ye poochna chahti hu kia shadi ke bad sirf shohar ki hi khidmat karni chaiye hoti hai. kia saas susar nand dewar ke sath acha behave rakne ke lia islam me mana ha in sab logo ka khayal nahi rakna chaiye???
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 39  Post: 2211  Age:  47  
Posted on:11th Aug 2012, 4:39am
 

spredislam

islam main sirif husband hi ki ehmiyat hai jab k humaray muasheray main lerki k

liyay husband k sath sath sari family ki khidmat bhi feraz hai

ab aap socho k jis islam main DEWER na mehram hai us main bhabhi kiun aur kesay khidmat keray dewer ki

ap us DEWER ki behan saas suser ki beti ho ap kiun nhn kertin khidmat apnay maan baap aur bhai ki bhabhi per kiun saray feraz cherha rahi ho aap?

ager islam ki sahi taleem puchaty ho ap to islam k hisab se jab tak lerka apni biwi ko alag rakhnay per qadir na ho shadi hi nhn kerni chayay

ab bat hai ikhlaqiyat ki au rmuasherty pabandiyon ki aur joint family system ki to bhabhi ko insani taluq se saas suser ki khidmat zaruri hai

isi gher main rahay aur apnay husband k gher ko apna gher samjhay aur aap logon ko apna gherwala lekin ager ap log bhi wesa hi samajhtay ho to

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 6014  Age:  53  
Posted on:11th Aug 2012, 11:23pm
 

wellsaid wehshi bhai

jazak Allah
spredIslam Group: Members  Joined: 03rd Nov, 2011  Topic: 3  Post: 9  Age:  22  
Posted on:12th Aug 2012, 4:19am
 

wehshi

Assalam o alaikum .. aap thik keh rahe ho lekin shayad thora galat bhi ho sirf kaam karne ki baat nahi ha ek larki shadi kar ke ghar me ayi ha to mizaj baat bhi thik trhan se rakna chaiye unhe.hamare bhai kko sirf apni traf kar ke un se hamare bare me galat biyani kar ke unse hamara haq to nahi chinna chaiye unhe.har wakt ghar me larai jesa mahol nahi rakna chaiye.mat karein kam wo hame koi problem nahi lekin supose me nahi rahu gi meri ami abu ka khayal wo nahi rakhe gi to kon rake ga wo old hojay ge to apne apko kese samhale ge.shayad betey ki shadi bhi islia bani ho ke jab betiyan jayn to beti aye bhi.ek admi to ghar nahi samhal sakta na.
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 39  Post: 2211  Age:  47  
Posted on:12th Aug 2012, 4:29pm
 

spredislam

is main bhabhi ka nhn bhai ka qasoor hai

unhain chahyay k woh maan baap aur biwi ko un k muqam per rakhain

her lerki jab shadi ker k susral jati hai to us ki soch hoti hai k ab husband sirif usi ki milkiyat hai aur ab us k maan baap behan bhai us ka kuch nhn lagtay

isi problem ki wajah se sari problems hoti hain

lerka bhi biwi ka rona dhona aur tasway dekh ker usi ka sath deta hai

aur maan baap behan bhai sochtay hain k bhabhi ne humara bhai beta cheen liya

lehaza problem dono teraf s ehoti hai na anay wali beti banti hai na lanay walay maan baap behan bhai ban saktay hain isi liyay islam ne aik family system diya hai jis main lerka shadi k baad indipendent hona chahyay

isi main sab ki izzat bhi hoti hai aur rishton main tawazun bhi

1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012