khoobsurat
|
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 325 Age:
29
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 12:16pm |
|
|
mujhe acha lagta hai mujhe acha lagta hai.............
tumhen hi dekhte rehna,
tumhen hi sochte rehna,
tumhen hi chahte rehna,
bohot gehre khayalon mai,
sawalon mai,
khwabon aur khayalon mai,
mohabbat ke hawalon mai,
tumhara naam aye jan,
mujhe acha lagta hai..............
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag mai jalna,
tumhen naraz kar dena,
kabhi khud rooth jana,
tumhari be-rukhi par bhi....tumhari aarzoo karna,
khud apne dil ki dharkan se...tumhari...bas tumhari guftugoo karna,
mujhe acha lagta hai !!!! |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 3:23pm |
|
|
Faisee ke nam
aahat pe kan dar pe nazar dil mai ishtiaq
kuch aisi bekhoodi hai hamai intezar ki Faisee sahib ap ke reply ka shiddat se intezar hai. ap khoobsoorat ki taraf se post ki gai aik khoobsoorat ghazal ke bare mai batai ke yeh aap ki samajh mai ayee keh nahi. abhi tu ap ki shaadi nahi huyee hai, umeed hai ke samajh ayee hogi. shaadi se pahle tu logo ko poora dewan samajh ata hai yeh aur bat hai keh bahut kam khoosh naseeb hote hai jinhai shaadi ke bad bhi gazal samajh aati hai.
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 78 Post: 773 Age:
31
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 6:05pm |
|
|
Re: Bewaqoof Thanks for dedicating such a nice shair to me. waisay agar yeh koi larki likhtee tu main phoolay na samata :).
Khoobsoorat sis nai buhut piyari gazal likhee, buhut zabardast. ehsasat ka buhut khoobsoorat izhar. dil ki gahrayon sai muhabbat ka aik khoobsoorat izhar. guzray lamhon ki yadon kai haseen tarjumani. great.keep it up.
aur yeh kaisay kaha aap nai kai shadi kai baad yeh sab samajh nahin ata, khoobsoorat bhi tu shadi shuda hain.
waisay aap ko mujh sai kaisa jawab expected tha jis ka aap ko shiddat sai intezar tha, "meray paas keeray khatam ho gayen hai abhi aur nahin nikalain gai" waisay you want me to write my favourite gazal here?
aur khoobsoorat kai aik comment per yeh qitah aap sab kai liye:
tumhain jab milain kabhi fursatain meray dil sai bojh utaar do
main buhut dinon sai udaas hoon mujhay koi shaam udhaar do
mujhay apnay roop ki dhoop do, kai chamak sakain meray khaal o khad
mujhay apnay rang main rang do mara sara zang utaar do.
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 78 Post: 773 Age:
31
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:09pm |
|
|
Re: Bewaqoof aur Khoobsoorat ab aap kai reply ka shiddat sai intezar rahay ga. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:15pm |
|
|
re: faisee mujhe ap ke is sentence par etraz hai: agar yeh koi larki likhtee tu main phoolay na samata.
kio keh agar koi larki ap ki bajai kisi aur ko likhti tu ap apne sare lecture ke sath shuru hojate keh Islam mai is tarah ghazlo ka tabadla mana hai. lekin apne bare mai kah rahe hai keh phoolay na samata.
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 78 Post: 773 Age:
31
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:19pm |
|
|
Re: Bewaqoof that was the difference between this light mood discussion and that "rookha sookha pan".
ab aap log batain aap mujhay kis mood main dekhna chahtay hain?
aur baqi post per bhi koi aiteraz hai tu bata dain. :( |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:31pm |
|
|
re: faisee bhai faisee tumhara lecture jo bhi ho mujhe tu ghazlo ka tabadla pasand hai. yeh aur bat hai keh ghazalain mujhe samajh nahi ati. shoq bahut hai par palle kuch nahi parta.
aisa hai keh tum rookhe pheeke hi raho. tumhai tumhara rookha pan mubarak ho. lekin ham rookhe pan mai tumhara sath nahi de sakte.
|
faisee
|
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 78 Post: 773 Age:
31
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:41pm |
|
|
Re: Bewaqoof aik tu samajh nahin atee, agar main light mood main a kar yeh kehta hoon kai "agar yeh koi larki likhtee tu main phoolay na samata" tu meray lecture yaad karwatay ho.
aur itnee mushkil sai yaad kar kai aik hasb e haal shair likha main nai, aap logon kai comments kai jawab main, us per gaur hi nahin kia.
bhai aap logon ki expectations per main poora nahin utar sakta. app ko aap ka yeh section mubarik ho. |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:56pm |
|
|
mai tu samjhe beghair wah wah karta hoo faisee mind nahi karna, lekin yeh haqeeqat hai keh mujhe tumhari ghazal bilkul samajh nahi ayee. sach bat tu yeh hai keh khoobsoorat ki ghazal bhi koi khas samajh nahi ayee.
mai kabhi mushaira mai nahi gia lekin tv par dekha hai keh jab koi shair koi sher kahta hai tu sab wah wah karte hai. mai ne isi lia khobsoorat ki ghazal mai wah wah kia tha. mujhe kia maloom keh mujhe tumhari ghazal bhi bardasht karni pare gi.
lekin mera khial hai keh khoobsoorat ka comments asli hoga. meri tarah samjhe beghair wah wah nahi. lekin woh tu sher suna kar ghaib ho gai. khoobsoorat ne tumhare sath bari ziadti ki hai. apni ghazal suna di aur tumhari sune beghair ghaib ho gai.
bilkul isi tarah do admi road par bhag rahe the. logo ne aik se poocha ke tum doosre aadmi ke peeche kio bhag rahe ho. tu os ne kaha kah ham dono shair hai. aage bhagne wala shair ne apni ghazal suna di, jab meri bari ayee tu bhag raha hai. mai ose pakar ka apni ghazal sunana chahta hoo.
|
k_shumail
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 2 Post: 85 Age:
29
|
|
Posted on:4th Aug 2007, 7:58pm |
|
|
RE hehheee yaar faisee dil mat le baaz loogon ko adat hoti hay kisi haal main chain se nahi bethte
bewaqoof sahab chah rahay thay tum koi mircho bhara jawab doo gay tumhare jawab se mayyos ho ke soocha kisi aur tarah ghussa dilao
kion bewaqoof sahib ?aap bhi na #1 cheez ho jalane mainkoshish rehte hay ghuma phira ke chipka hee doon bande pe hehehehe theek kaha na?
ye bhi ek fun hay her koi nahi ker sakta (ab sab mujhay baccho bewaqoof ab mayray liye loha garam ker raha hoga) |
khoobsurat
|
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 325 Age:
29
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 9:34am |
|
|
re: moderator mai ne yeh nazam copy paste nahi kari hai, aik to itni mehnat kar ke likhi aur aap ne aese comments de diye. |
My Reply
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2318 Age:
46
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 12:47pm |
|
|
re: khoobsoorat moderator ne ap ki ghazal ko copy paste nahi kaha hai. balkeh os ne khanji61 ko copy paste se mana kia hai. khanji61 apna post pahle kahi aur (shaid MS Word) likhte hai phir waha se copy kar ke yaha paste karte hai jis se thread ki shape bigar jati hai.
lehaza moderator ne khanji61 ko kaha hai keh jo bhi likhna hai direct isi forum par likhe. MS Word ya kahi aur likh kar copy paste na kare. khanji61 ke original post se is thread ka shape bigra hua tha jise shaid moderator ne theek kia hai aur ainda ke lia tambeeh ki hai.
|
My Reply
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2318 Age:
46
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 1:27pm |
|
|
khoobsoorat se farmaish: rozana aik nai ghazal khoobsoorat: ap se darkhast hai keh ap rozana aik ghazal intekhab kar ke post kare. is forum ke hazaro silent reader ap ki pasandeeda ghazal read karna chahte hai. ap reply ka intezar nahi kare. kio keh hazaro member aise hai jinho ne baqaida registration nahi karaya hai lekin is forum par baqaidgi se ate hai. ham bhi chahte hai keh is forum par sex ke ilawah bhi kuch aur ho. zindagi mai sirf sex hi sab kuch nahi hota.
|
khoobsurat
|
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 325 Age:
29
|
|
Posted on:5th Aug 2007, 4:25pm |
|
|
re: My Reply Aap ki farmaish par ek aur nazam send ki hai, parhen aur bataen ke kesi lagi? |
kim84
|
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
30
|
|
Posted on:9th Aug 2007, 1:53pm |
|
|
Mery Mutabiq! Wah Experts sahab wahh....Ye to wesa hi huwa jesa k hamara country jis kam k liye bana tha wo hota nhi aur faltooo k kamooo my padd gaye....
Yaha ham days sy intezar kr rhy hi k Experts sahab hamry questions ka answer dy gy..Aur Experts sahab Musahiray me bethy hi....
Wesy ik add shair ham ny bi post kiya magr REPLY sirf is street my kyn ho rha hi baki k streets my bi ap k replies k intezar ho rha hi..
With Regards
Your Brother |
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|