samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 22 Post: 120 Age:
22
|
|
Posted on:8th Jul 2012, 3:32am |
|
|
Haajat Poore Hone Ke Liye Wazifa Chaye? Assalamalaikum..haajat puri hone ke liye koi wazeefa ya dua boleiyega |
alirajput |
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 3 Post: 273 Age:
28
|
|
Posted on:8th Jul 2012, 6:51am |
|
|
wa salamaaaaaa quran pariye, tafseer se. Dua se pehle, wuzu farmaye, daant waant saaf kijiye, nails katiye, nails pe polish uthariye, har jagah ke baal saaf kare. Awal akhir daruud sharif parhe, aur ek aisi dua mangaye ke maangte waye maza ajaye..... |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5866 Age:
53
|
|
Posted on:8th Jul 2012, 7:07am |
|
|
wazeefah behtareen wazeefah punj waqtah namaazoun ki pabandi aur har namaaz k baad Allah say giR.gira kar dua maangna hai.... punj waqtah namaazouN k saath saath agar tahajjud ki namaaz bhi paRhi jaa.ay aur oss waqt dua maangi jaa.ay to woh dua bhi qabool hoti hai... har qism ki hajaat k liyeh direct Allah say maangnay ki aadat daalaiN. insha Allah kissi aur wazeefah ki zaroorat nahi rahegi
|
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 22 Post: 120 Age:
22
|
|
Posted on:9th Jul 2012, 3:44am |
|
|
ji
kya tahajud ki namaz padhker dua fajr ki azaan tak maangskte hai?..yane tahajud fajr se 40minz phle padhker
|
alirajput |
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 3 Post: 273 Age:
28
|
|
Posted on:9th Jul 2012, 3:57am |
|
|
Balance kare har cheez ko Kia aap rozana aisa kar sakti he? Behter toh ye haiN ke namaz tahajud ke baad ap, 5 se 10 min ki dua mangaye ya jitni marzi dayr ki, lekin rozana, ba-adab se isko jaari rakhen.....Shukria.
Rahi baat fajr se pehle, aur fajr tak wo phir, forum scholar myrizvi hi akar batayNge.
Shukria |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 108 Post: 5866 Age:
53
|
|
Posted on:9th Jul 2012, 5:39am |
|
|
tahajjud ki namaaz ka waqt fajir ki azaan start honay tak rahta hai ... lehaza ap azaan start honay say qabl tak tahajjud ki namaaz bhi paRh sakti haiN aur dua bhi maang sakti haiN
ramadan jald hi start honay wala hai. ramadan maiN ham sab fajir ki azaan say 1-2 hrs pahlay oth kar sehri tayyar kartay aur khatay haiN... iss tarah ramadan main to yeh behtareen moqah hota hai k sehri khanay say qabal ya baad 4 rekaat tahajud paRh kar dua maang li jaa.ay.... khawateen sehri tayyar karne say pahlay bhi tahajjud paRh sakti haiN
tahajjud ya koi aur nafil namaaz ko regular paRhna zaroori nahi hai. jab jab moqah milay paRh lia karaiN.
|
samaira |
Group: Members Joined: 12th Mar, 2012 Topic: 22 Post: 120 Age:
22
|
|
Posted on:10th Jul 2012, 6:09am |
|
|
InshAllah mai yeh zarur karungi..jazakAllah |
|