Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Help plzzz

Social Problem
 
 
 
Ubaid_zia Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 7  Post: 20  Age:  23  
Posted on:13th Jul 2012, 12:11pm
 

Help plzzz

Salam. Aap sb se 1 question puchana chahata ho. Larki ki maa ehsan jtla jtla kr jahez ka samaan de ri hai. Aur aise show kr ri hai, k jaise larke k ghr mai kuch bi ni hai. Jb k larke k ghr mai ALLAH ka dea sb kuch mojood hai. Ab larke ki maa ka khna hai k mai baho k jaheez ki koi bi cheez use ni kro gi (joint family system).  Aap ye btae k larke ki maa sahi hai ya ghalt. Kea vo baho k jaheez ki cheezein use kre ya na kre. Need ur help. Thanx in advance
Most wanted grl Group: Members  Joined: 13th Jul, 2012  Topic: 0  Post: 11  Age:  23  
Posted on:13th Jul 2012, 1:10pm
 

Jahez

Jahez daina bhi galat hai or lena b. Agar larkay ghar sab kuch mojod hai to jahez na lain. Aj kal itni mehngai ha.bed e 1 lakh se shuru hota ha. Split ac 40 hazar. Fridge 30 se 40 hazar. Furnitre e lakho me ata hai.kitchen ki ik choti c machine 4 se 5 hazar ki hai. Phir oper se agar ik se ziyada beti ho to andaza lga lain. Bat yahe khtam nahi hoti shadi k baad pehle to maklawa ata ha. Phir eid tehwar pe puray ghar k kapray gifts.that is too much.mera to khyal ha k jahez system nai hona chaye.har jawan mard ya aorat kh daiy k jahez hoga to main shadi nai kru ga ya kru gi.tb he ye laanat khatam ho sakti ha. Ap k mamlay me main ye nahi kahu gi k na lain q k larki walay paisay laga chukay hain. Larkay ki maa ne jahez istemal krne se mana kia ha.behtar ha k bs larki k room ka samaan kholain. Wo larki istemal kraiy. Baki pack rahnay diya jae. Jab dulha alag ghar bnanay k kabil ho to waha shift kiya jae saman. Ab ap ko aitraz hoga k main ne alag ghar ka kaha. To meray khyal me agar larki pura ghar ka samaan yani jahez lati ha to larkay ko asolan ik ghar lena chahye.
Ubaid_zia Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 7  Post: 20  Age:  23  
Posted on:13th Jul 2012, 1:52pm
 

Rich

Nhi, larki vale boht ameer hai, but larki ki ammi ehsaan jatlane vale andaaz mai baat karti hai, to ghussa to aata hai na. is lie puch raha ho k jaheez to hai, but larke ki mother jaheez ki chezein e.g karakari ka samaan accept kare ya ni. What you say ?
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:14th Jul 2012, 1:42am
 

jahaiz ka issue

1. laRkay walouN ki taraf say jahaiz maangna, jahaiz ki tawaqqah rakhna ghalat hai. laRki walouN ka apni laRki ko jahaiz k naam par kuch ya bahoot kuch az khood dena ghalat nahi hai

2. albattah laRki walouN ka in above case iss tarah jatlaa kar jahaiz dena yaqeenan ghalat aur takabbur ki alaamat hai...aisi soorat maiN it depends upon boy sides k woh aisaa jahaiz lena chaahaty haiN yaa nahi... lena chaahain to lay laiN...nah lena chaahaiN to nah laiN.

3. jahaiz maangnay par dia jaa.ay, az khood khooshi say dia jaa.ay yaa above tareeqay say jatlaa kar dia jaa.ay ... har soorat maiN jahaiz sirf aur sirf laRki ki milkiat howa karta hai...iss main oskay susraal walouN ka koi hissah nahi hotaa, khaah joint family hi kiyouN nah ho.

4. susraal walay ossi soorat maiN laRki k jahaiz ko use karsaktay haiN jab laRki iski ijazat day, apnay zobaan say yaa apnay amal say... agar laRki kissi soorat ijazat nah day to susraal walay issay laRki k jahaiz ko use nahi karsaktay

5. iss case main to laRki k susraal walouN ki GHIRAT KA TAQAZA yehi hai k woh jahaiz ki ashyaa use nah karaiN... nah saas aur nah hi koi aur susraali fard ... albattah agar laRki ka behaviour apni maaN say change ho aur woh shadi k baad apnay jahaiz k saamaan ko apni zobaan say apnay amal say use karnay ki ijazat day yaa israr karay tab laRki k susraal walay issay use karsaktay hain

6. waisay new rishtay maiN jahaiz k samaan ko etni ahmiat nahi deni chaahiyeh, laRki k susraal waloun ko... jahaiz laRki ki milkiat hai, woh issay jaisay chaahay use karay... aur abhi to joint family system hai, jo kabhi nah kabhi alag hona hi hai. family members k baRhnay say ghar alag hotay hi hain... lehaza new joray ko khush o khurram rahnay ka moqah dia jaa.ay.
Ubaid_zia Group: Members  Joined: 11th Jan, 2011  Topic: 7  Post: 20  Age:  23  
Posted on:14th Jul 2012, 2:31am
 

Thanx

Thanx to all.....
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012