Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Khuwab Aur Un Ki Tabeerain

Religion and Culture
 
 
 
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5775  Age:  53  
Posted on:17th Jun 2012, 2:24am
 

bewaqoof

ko khaab maiN bhi dekhnaa awwal darjah ki "bewaqoofi" hai :) kam az kam khaab maiN to achay chehrouN ko dekh lia karaiN lol...
ab to malik reyaaz k saath saath oski bahria Town ka bhi "the end" honay wala hai... jab yahaaN "hon" barasta thaa tab aqalmand aur daanaa logouN nay yahaan k pheray lagaa lagaa kar khoob khoob maal kamaa lia ... ab bahria town k mazaar par kia fateha paRhnay gaye haiN Mr. bewaqoof. ap apnay khaabouN maiN bewaqoof.ouN aur onki bewaqoofi ko enter nah honay dia karaiN warnah phir apko mahaa.bewaqoof bannay say koi nahi rok sakta :)



Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1925  Age:  46  
Posted on:17th Jun 2012, 3:14pm
 

myrizvi.ji

Bewaqoof aur Malik Riaz mein faraq itna he k ye Forum k Malik Riaz hein aur vo Bharia k 2no ki planning bi equal hoti he
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5775  Age:  53  
Posted on:17th Jun 2012, 11:03pm
 

wow zabardast

kia baat ki hai apnay... goya ab apkay khaab ki taabeer yeh nikli k ...

iss forum k malik reyaaz nay apkay khaab maiN malik reyaaz k bahria town maiN entry dekar apko yeh message dia k ap bhi dobarah yahaaN k malik reyaaz k baharya-town maiN entery maaraiN... aur apnay entery dedi ... taaliyaaN :)
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5345  Age:   
Posted on:17th Jun 2012, 11:42pm
 

ap bhi na bas

koi hal nahi raja bhai apka bhi
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5775  Age:  53  
Posted on:18th Jun 2012, 2:03am
 

raja bhai ka haal

to koi nahi hai ... albattah maaziiiiiii shaandaar thaa:) ... khanDer bataa rahaa hai k emaaraat azeem theeeeeeeeeeeee :)
alirajput Group: Members  Joined: 16th Mar, 2012  Topic: 2  Post: 219  Age:  28  
Posted on:18th Jun 2012, 3:46am
 

bewaqoof aur bahria town

yeh kesa khwab he, hahahaha.....!
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5775  Age:  53  
Posted on:18th Jun 2012, 5:09am
 

ali bhai

jo bahria town ka khaab dekhay ya baharia town ko khaab maiN dekhay ossay bewaqoof hi kahtay haiN lol

ab apki tabiat kaisi hai ali bhai...omeed hai fit fat hongay next shadi k liyeh :)
Raja Taqi Group: Members  Joined: 17th Sep, 2010  Topic: 29  Post: 1925  Age:  46  
Posted on:18th Jun 2012, 12:44pm
 

myrizvi.ji

Khawab ki tabeer ye ishara kerti he k Bharia Town ko kissi Bewaqoof ki Zaroorat paish aa rahi he tu hamary Malik Riaz bi wahan interview deny k liye goom raye hein..
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 18  Post: 95  Age:  22  
Posted on:19th Jun 2012, 12:10pm
 

is khwab ki tabeer batayiyega plz

ek baar mujhe kisise malum hua tha k surah muzzamil padhker sonese khwab meh guidance milti hai so maine aise kiya k raat ko sonese pehle surah muzzamil padhker sogayi r tab ek khwab dekha...maine dekha k ek ladhki ne mera green color ka dress leliya hai r woh ladhki bht ajeeb lagti hai bht daraunisi r mai usper apna dress dekhker bht pareshan hun r mann meh kehti hun k yeh toh mera dress hai isne kaisa pehenliya r ise kahanse mila r phir mai uskepas jaker usse argue kerker apna green dress wapus leleti hun..iski tabeer batayiega plz...
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 108  Post: 5775  Age:  53  
Posted on:20th Jun 2012, 12:16am
 

khaab maiN guidance

1. pahlay to ap yeh batlayaiN k apnay yeh kahaaN paRhahai k soorat muzammil paRhnay say khaab maiN guidance milti hai?

2. agar yeh baat durust hoti to apko bhi guidance milni chahiyeh thi...apko to ulta confusion mila ... drauni larki mili ... jisna apkay green libaas par qabzah kia howa tha... jo apnay oss say cheen lia .... iss maiN guidance /hedayat kahaaN hai???

3. maiN pahlay bhi kah chukaa houn k aik mosalmaan ko apni zindagi maiN quran o saheeh hadees say guidance leni chahiyeh...kissi peer, faqeer yaa khaab waghairah say nahi...aur nah hi khaaboun par bahoot zeyadah trust karna chaahiyeh k aksar khaab bay tokay aur bay maqsad walay bhi hotay haiN... sirf ambeya AS k khaab mostanad aur min jaanib Allah hotay haiN

4. in sab batoun k baad ... bahar kaif apka khaab aik mosbat /raushan pahloo liyeh howay hai k kissi nay apka HAQQ (dress) cheen lia to apnay ghaasib say darnay aur khaufzadah honay ki bajaa.ay oss say apna HAQQ wapis lay lia... bus issi sprit ko zindagi maiN bhi barqarar rakhiyeh. insha Allah apka haqq koi nahi cheenega.
1>>
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us