Aks-E-mehr |
Group: Members Joined: 03rd Nov, 2011 Topic: 4 Post: 40 Age:
27
|
|
Posted on:27th Apr 2012, 6:33am |
|
|
\"WAFA HAI ZAAT AURAT KI\"
'Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi.. "WAFA HAI ZAAT AURAT KI" Magar Jo Mard Hote Hain" Bohat Be-Dard Hote Hain" Kisi Bhanwry Ki Sorat Gul Ki Khushbu Loot Jate Hain" Suno..! Tum Ko Kasam Meri" Riwayat Torr Dena Tum" Na Tanha Chor K Jana" Na Ye Dil Torr K Jana" Magar Phir Yun Huwa "Mohsin" Mujhe Anjaan Raste Par" Akela Chor Kar Usne" Mera Dil Torr Kar Usne" MUHABBAT Chor Di Usne" "WAFA HAI ZAAT AURAT KI" Riwayat Torr Di Usne'
AKS-E-MEHAR
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3217 Age:
36
|
|
Posted on:27th Apr 2012, 8:59am |
|
|
nice poetry but something wrong..
poetry achi hay laiken kuch cheating si mehsoos ho rahi hay , q k poetry kisi mohsin naami poet ki lagti hay magar end par "aks-e-mehar" likha hay ...balky aks-e-mehar b nahi "ake-e-mehar" likha hay thats not fair ...:P
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:28th Apr 2012, 6:05am |
|
|
AS SALAM OALIKUM diplomate ji baat ko samjho pehlay ...............ye post aks e mehar ki hai or us ki aadat hai end main apna signatujre chornay ki is liye us nay likha hoga apna naam ..i think so ...........and u r rite kay name main typo error tha wo main nay thek kar dia hai or kuch aatraz ..............
|
Aks-E-mehr |
Group: Members Joined: 03rd Nov, 2011 Topic: 4 Post: 40 Age:
27
|
|
Posted on:28th Apr 2012, 6:43am |
|
|
Zahir
Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi
AKS-E-MEHAR
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:29th Apr 2012, 5:26am |
|
|
tere shaher ke log, tujhse milne ki saza denge tere shaher ke log,
meri wafaon ka sila denge tere shaher ke log...
kya khabar thi tere milne pe,qayamat hogi...!
mujhko deewana bana denge tere shaher ke log....
teri nazron se girane ke liye,ae jaan-e-haya,
mujhko mujrim bana denge tere shaher ke log...
keh ke deewana mujhe maar rahe hain patthar,
aur kya iske siwa denge tere shaher ke log....
|
Alone boy |
Group: Members Joined: 10th Nov, 2011 Topic: 26 Post: 91 Age:
33
|
|
Posted on:1st May 2012, 1:44am |
|
|
Pagli Wo kehti thi
Hijr ki Raat Aankhon mein Guzaroon gi to ro doon gi
Khayaalon mein teri zulfen Sanwrun gi to Ro duon gi.
Kehti thi
Yunhi sunsaan Raaton mein Pareshani k Aalam mein
Gali mein Aa k Jab tujh ko Pukaroon gi to Ro duon Gi.
Teri tasveer Aankhon ko Jhapakny bhi Nhi deti
Main jab Deewaar Sy Us ko Utaroon gi to Ro duon Gi.
Agar Main zindgi bhi Haar doon to Muskuraun gi
Mgr Ay Jaan-E-Jahan tujh ko jo Haarun gi to Ro duon gi.........
Lekin wo pagli to mjh ko rula gai.
Na chahtay bi apna bna gai. |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:8th May 2012, 9:39am |
|
|
shok
shok se toro dil mera ............ apna hi ghar barbaad kartay ho
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:10th May 2012, 7:25am |
|
|
Kal raat chair gayi zikar jo wafaon ka
Kal raat chair gayi zikar jo wafaon ka wo yaad aaya jo paiker tha jafaon ka
usay zoum tha mujhe mitane ka kuch shouq-e-safar tha humain sehraon ka
hum ne jalna pasand kiyea dhoop me wo shedaie tha ghane chahaoon ka
Hum griftar rahe uske sehar me wo punchi raha azad fizaon ka
Usay aitabar tha zamane bhar pe mai raha mujrim uski nigahon ka
Aik bar pocha tu hota sabab khataon ka main tu muntizar hi raha uski sadaon ka
Bus ajnabi kar gayea aik pal mein jo maan tha meri annaon k
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:15th May 2012, 1:20am |
|
|
Wo mere khoon ki tarah hy rawaan dawaaan mujh me Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,
Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men, Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men, Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ?? Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ?? Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men, Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ?? Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ?? Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf To Urne Lagti Hain “Shamsheer” Titliyaan Mujh Mein.
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3217 Age:
36
|
|
Posted on:15th May 2012, 11:34pm |
|
|
Masha Allah , zoq acha hay ..:)
Masha'Allah , buhat acha zoq hay , kia poetry hay , kia asloob hay , kia suhan hay , kia behar hay , kia ta'khy'yall hay , kia wazan hay , kia qafiya radeef hay , wah wah maza ageya
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:16th May 2012, 7:08am |
|
|
thankooo per kiss ki taref ki ja rhi hai ye to likha hi nahi ;p aan haan bhool gahay hon gay ;p hai na ;)
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3217 Age:
36
|
|
Posted on:17th May 2012, 12:04am |
|
|
well jis ki tareef ki jaa rahi hay wo apna name yahan khud add kar lay ..mera key board kharab ho geya hay aaj kal name nahi likh raha ...:)) hehe |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:17th May 2012, 7:29am |
|
|
bay naam chalo phir is ko bay naam hi rehnay do ;p kia khayal hai
|
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3217 Age:
36
|
|
Posted on:17th May 2012, 3:20pm |
|
|
acha khiyal hay
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:18th May 2012, 11:24pm |
|
|
____________
Tamaasha Roz Karte ho Jafaaon ka Wafaaon Ka Zara Thehro Mere Dil Main, Muhabbat Seekh Jao Ge
|
fahad hussain khan |
Group: Members Joined: 26th Apr, 2012 Topic: 4 Post: 862 Age:
24
|
|
Posted on:18th May 2012, 9:00pm |
|
|
shikwa usy main dil main rukhta leta agr hota
yeh bus main mere....!
"Wasi"
usy sub dekhte hain mujh se ye dekha nh jata....! |
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:21st Jun 2012, 12:17am |
|
|
..................
|
glamour |
Group: Members Joined: 13th May, 2011 Topic: 14 Post: 1080 Age:
26
|
|
Posted on:21st Jun 2012, 8:16am |
|
|
husn
Tum bohat jazib-o-jameel sahi zindgi jazib-o-jameel nahi, mat karo behas haar jao gi husn itni bari daleel nahi…..!!
|
|