anaushay |
Group: Members Joined: 02nd Sep, 2010 Topic: 3 Post: 13 Age:
26
|
|
Posted on:12th Apr 2012, 8:48pm |
|
|
iddat matter assalam o alikum mai ap logon say aik buhat khas topic pouchna chahti hu.baat ye hai ky meri shadi meray cusin kay saath hui 2007 mai aur divorce hui 2008 mai mje iddat ka pata ni tha khair na kisi nay btaya mai har jaga ati jati ri baaat porani hogai,, ab meray parents nay 28 feb 2011 mai meri 2nd marriage ki wo insan bhi galat nikla,ab masla ye hai ky mera is insan say nikkah hai ya ni??ku kay mainay to iddat hi ni pouri ki pehli wali ku ky mje pata hi ni tha aur nikkah pak mai hua tha meray parents ye baat yahan saudia mai open ni karna chahtay thay ab ap log mje ye btao k mera ye wala nikkah hai ya ni??ku ky ye insan shadi ky 2 mnth baad pak bhag gya na ata hai na patta na hi mje divorce kar raha hai,ab mje ye btain kay mera is sy nikkah hai?? ya ni??aur agar ni to kya mai pehlay wali iddat pouri kar kay next shadi apni marxi ki karsakti hu ya phir is say khula lu??plz mje islami tareeka btain pl mai buhat pareshan hu aur mai shareeyat kay mutabik shadi karna chahti hu |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6363 Age:
53
|
|
Posted on:13th Apr 2012, 1:22am |
|
|
2nd marriage is ok 1. apka doosra nikaah bilkul durust hai... jab tak yeh doosra husband apko talaaq nahi deta yaa ap insay khola nahi leti kissi aur jagah shadi nahi karsakteeN
2. iddat ka matlab hota hai k talaaq k baad 3 menses tak ap kissi aur say shadi nahi karsakteeN. apki divorce 2008 maiN howi aur next marriage 2011 main to talaaq aur next marriage k beech to saaloun ka faaslah already maujood hai. lehaza iddat hogayee ... iddat ka matlab ghar maiN baiThna nahi hai
3. ab agar apko ye 2nd husband suit nahi kar raha, ap iss say nalaaN hain aur woh talaaq bhi nahi detaa to ap court maiN divorce ka case daakhil kar daiN. khola milnay k baad 3 menses tak wait karain (jo iddat period hai) iskay baad hi ap kissi aur say nikaah karsakti haiN |
anaushay |
Group: Members Joined: 02nd Sep, 2010 Topic: 3 Post: 13 Age:
26
|
|
Posted on:8th May 2012, 8:40pm |
|
|
masturbation salam meri aik friend hai uska masla hai wo kabi kabi apny husband ki ghair maujudgi mai ye harkat karlaiti hai uski shadi ko aik saal hua hai wo pouchna chahti hai k kya masaturbation say bacha paida karnay walay sperms kam hotay hain ya koi affect hota hai ku k wo pregnant ni hui abi tak wo dr k pass gai thi sab normal hai dr nay usay folic acid diya hai khanay ko plz reply must |
anaushay |
Group: Members Joined: 02nd Sep, 2010 Topic: 3 Post: 13 Age:
26
|
|
Posted on:12th May 2012, 9:38am |
|
|
plx reply plz reply |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6363 Age:
53
|
|
Posted on:13th May 2012, 5:25am |
|
|
anaushay aisa kuch nahi hota. osay kahain k koi fikar nah karay. shauher ki ghair maujoddgi maiN quran hadees aur deeni books paRhay. nafli rozay rakhay. insha Allah sex ki khahish kam hogi. |
anaushay |
Group: Members Joined: 02nd Sep, 2010 Topic: 3 Post: 13 Age:
26
|
|
Posted on:20th Sep 2012, 11:36pm |
|
|
islamic question salam to awl,mera masla ye hai kay mainay apnay husband say talak lainay ki har mumkiun koshish ki magar wo insaan khud khta hai mai tumain zaleel karu ga magar divorce ni karu ga.wo insaan buht bura hai buhat.main apnay faislay par atal rahi magar meray ami abu meray saath ni hain usnay ami abu ko dhamki lagai k apnay isko meray saath na bheja to ap logon par charas ka case dalwa duga.lehaza ami beemar hogain meray mamu nay kaha k new life start kro aura Quraan par Faisla hoga.mai sachi baat btaun us banday ko kabi maaf ni karu g magar us wakt ami ki halat dekh k mainy Quran pay hath rakha mamu k samnay but neeyat ye ki kay mai is banday kay saath ni rahu g.ab mje ye btain kay mjh pay koi gunaah ya azzab to ni ayega???plz mai buhat pareshaan,meri neeyat to ALLAH say yei thi kay mai ni rahu g is kay saath plz mje btain koi kafaara ya kuch aur k mjh par azab na aye |
anaushay |
Group: Members Joined: 02nd Sep, 2010 Topic: 3 Post: 13 Age:
26
|
|
Posted on:20th Sep 2012, 11:41pm |
|
|
question aik baat aur bta dain agar husband k sath rehtay huey us say humbistri na karain to nikkah toot jata hai??mai apnay husband say talak laina chahti hu isi liye us say humbistri ni karti kya mera nikkah toota?? |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6363 Age:
53
|
|
Posted on:22nd Sep 2012, 3:28am |
|
|
kaffarah n talaaq 1. mamu nay agar quran par hath rakh kar yeh kahalwaya tha k husband k saath new zindagi start karni hai to goya yeh apki taarf say qasam howa, jissay apnay toRdia to qasam toRnay ka kaffarah dena hoha jo 3 din k rozay rakhnay haiN ya 10 ghareebouN ko do waqt khana khilana hai
2. husband k saath rahtay howay barsouN bhi hambistari nah karaiN to nikaah nahi TooTega... haaN agar husband hambistari karna chaahay aur biwi inkaar karay to oss par Allah ki taraf say laanat zaroor hogi. soch lijyeh k jiss fard par Allah ki laanat hogi, oska dunya aur aakherat maiN kia hashar hoga. get ready for that
3. nikaah k baad aik aurat islami shariyat maiN apnay husband ki khaahishaat k taabe hoti hai. Allah nay aurat ko yeh haq nahi dia k woh biwi rahtay howay woh apnay shauher k hukm ki khilaaf warzi karay...illa yeh k husband Allah k hukm ki khilaaf warzi kaarnay ko kahay... baaqi sari bataiN apnay husband ki maanni hai
3. aurat ko albattah yeh sharayee haq haasil hai k agar woh husband ko pasand nahi karti to oss say request karay k woh osay talaaq dede. agar husband talaaq nahi deta to woh qazi /adaalat k zariyah kholah lay sakti hai...jab tak talaaq /khloah nah hojaa.ay...tab tak apko husband ki har baat maani hai aur osay hambistari say manaa bhi nahi karsakti. yeh oska sharayee / qanooni haq hai.
Allah ap par raham karay aur apkay masail ko hal karay aur apko bhi yeh taufeeq day k jo kuch bhi qadam oThayaiN woh quran k sunnat k motaabiq oTha.aiN
wallaho aalam bissawab
|
anaushay |
Group: Members Joined: 02nd Sep, 2010 Topic: 3 Post: 13 Age:
26
|
|
Posted on:26th Nov 2012, 3:21pm |
|
|
pregnant salam mera masla ye hai k am pregnant aur mjhe 1 mnth hua hai mje bacha ni chaye koi plz aisi cheez btain jo khaanay say abortion hojaye plz help me ya koi dawai |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6363 Age:
53
|
|
Posted on:27th Nov 2012, 12:17am |
|
|
anaushay 1. sep 20 ko apnay likha k : mai apnay husband say talak laina chahti hu isi liye us say humbistri ni karti
2. ab 26 nov ko ap kahti haiN k ao one month ki pregnant haiN... goya october maiN apnay apnay husband say hambistari ki... yaqeenan apnay husband k sath compromise kar lia hoga
3. ab ap abortion karwana chaahti hain, jo islam main allowed nahi hai aur land of the law bhi iskay khilaaf hai... Are you abnormal or just time passing here?
4. koi bhi dr apki help nahi karega illa k woh dr khud criminal ho aur paisay lekar yeh kaam karay... apkay haq maiN behtar yehi hai k ap apnay husband k saath hansi khushi ya majbooran zindagi guzaaraiN, agar apki yeh story drust hai to...
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 44 Post: 2410 Age:
47
|
|
Posted on:27th Nov 2012, 9:16am |
|
|
myrizvi
bhai saheb ab yahan LOCHAY hi LOCHAY hain mujhay to bohat kam members real problem walay nazar atay hain baqi sab LOCHAY hain |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7331 Age:
31
|
|
Posted on:27th Nov 2012, 11:43pm |
|
|
wehshi hahahaha....kiya term use howi ha.....forum be LOCHAY he LOCHAY ha |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 110 Post: 6363 Age:
53
|
|
Posted on:28th Nov 2012, 12:08am |
|
|
agreed with wehshi 1. NCF maiN mostly sawaalaat lochay hi hotay haiN... iss maiN mujhay kabhi koi shak nahi howa
2. NCF k 2 maqaasad haiN a) members k sawaalaat, problems etc ka jawab dena b) members maiN awareness paida karna
3) agar sawaal real ho (jo bahoot kam hota hai) to oska jawab member k liyeh soodmand hota hai aur sath saath silent viewers ko bhi awareness paida karta hai k agar oskay saath yaa oskay kissi jannay walay k saath aisa howa to iss ka solution yeh hosakta hai
4) agar sawaal locha howa ... to iss lochay sawaal ko real jaan kar durust jawaab denay ka 2 results nikaltay haiN...
a) locha karnay wala /wali dil maiN khoob hansta hai k kaisaa bewaqoof banaayaa... phir woh kaT.hujjati par otar aataa /aati hai, time pass karkay dil hi dil maiN khush hota hoti hai
b) iss lochay sawaal ki bunyaad par honay wali musbat discussions / informations aur advises say silent viewers aur deger members ki info maiN izafah hota hai. aur woh in future maiN apnay yaa apnay kissi jannay walay k saath pesh aanay walay halaat k liyeh mentally prepared /well equiped hojaatay haiN
maiN in detailed reply with easy understandings issi above b-point ko madday nazar rakhtay howay likhta houN. aisay lochay walay threads ki viewership bhi bahoot zeyadah hoti hai, jo disscussions maiN hissa lenay walay members say bahoot zeyadah hoti hai...yeh silent viewers hotay hain, jo yahaaN sirf aur sirf khaoshi say kuch jannay aur seekhnay k liyeh aatay haiN... onhaiN iss tarah k har threads say kuch nah kuch seekhnay ka moqah milta hai
ham yahaaN (jo nahi jaantay woh) 1. seekhnay aur (jo jaantay haiN woh) 2.sikhlaanay hi k liyeh to aatay haiN. 3.time pass karna aur 4.enjoy karna, agar kissi k peshay nazar ho bhi to yeh saanwi darjay main hota hai, nah k awwal darjay maiN :)
|
|