Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Nikaah validity

Religion and Culture
 
 
 
guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:1st Oct 2011, 3:52am
 

Nikaah validity

mujhe ek baat poochni hai

kuch personal prob ki wajah se mera nikaah huwa tha mein us waqat nabalig thi  9year ki thi us nikaah ka koi documents bhi nahi hai kia yeh nikaah valid hai ?? nabalig larki ka nikaah jaiz hota hai?? mein es nikaah ko nahi mantii jise mera nikaah huwa hai wo ab ruksatii ke liye keh raha hai... mujhe yeh nikaah qabool he nahi hai plz meri help karin mein kia karon??? mein buhat pareshan hon
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6371  Age:  53  
Posted on:1st Oct 2011, 5:32am
 

nikah valid hai

1. naa.baaligh age maiN agar laRki k waledain (wali) oska nikaah kardaiN to yeh nikaah jaaiz / valid hota hai. islam maiN nikaah k liyeh kisi document ki zaroorat nahi hoti... just 2 baligh mard as gawaah kafi hota hai.

2. albattah laRki jouNhi baaligh howi (yani jab, aur jiss din aur jiss jagah oskay 1st menses start howa) woh agar ossi roz iss nikaah ko nah mannay ka elaan karday to yeh nikaah "khatam" hojata hai.

3. agar baaligh honay walaa din guzar gayaa...aur laRki nay naa.baalighi walay nikaah ko refuse nahi kia to yeh nikaah valid rahegaa.

4. chouNkay apka nikaah hochuka hai, ap oski iss waqt qanooni biwi haiN... (bay shak rokhsati nah howi ho)... lehaza ab apkay pass 'separation k 2 raastay haiN (agar ap separate hona chaahti haiN /rukhsat hokar apnay shauher k pass nahi jaanaa chaahti to)

A. apnay husband say kahaiN, kahalwayain k ap onko pasand nahi karteen, lehaza woh apko talaaq deday.... aisi soorat main ossay half mahar ki raqqam apko dena hogaa...(agar mahar ab tak nahi dia hai to)

B. agar woh talaaq denay par raazi nahi hota to ap adalat maiN "khola" ka case daakhil kardo, apnay wali /wakeel ki maarfat... adaalat apka bayaan sunnay k baad apko khola dilwa sakti hai...khola ki soorat main apko koi mahar nahi milega

(wallaho aalam bissawab)

guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:3rd Oct 2011, 3:01am
 

Nikah nama

1 nikaah nama tu banta hai... nikaah nama nahi hai phir bhi nikah valid hai??

2 kya mein apne qanooni husband se mil sakhti hon aur unko khud kesakhti hon k mujhe aap passad nahi hainn..

3. meine es nikaah ko accept nahi kia.. na mein nikaah ko manti hon phir talaq kaise lon?? na mein unse shaadi karna chahti hon aur na talaq ... humare muwashre mein talaq se larki ki life kharab hojati hai kuch samjh nahi araha kia karon plz kuch suggestion dain

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6371  Age:  53  
Posted on:3rd Oct 2011, 5:01am
 

nikaah naamah

1. islamic shariyat (islami qanoon) k motaabiq nikaah namah zarori nahi. aj say 100 saal pahlay kab aur kis ka nikaah namah banta thaa? nikaah nama k beghair bhi apka nikaah valid hai

2. ap apnay qanooni aur sharayee husband sauy mil bhi sakti hain, onsay yeh request bhi karsakti haiN k apko woh pasand nahi lehaza woh apko talaaq dedeay....... issi tarah woh bhi ap say mil saktay haiN, apki darkhaast ko reject bhi karsaktay hain. aur chouNkay ap onki qanooni aur sharayee biwi hain lehaza woh iss 'molaaqaat' maiN apkay saath woh 'sab kuch' kar saktay haiN, jo aik shauher apni biwi k saath kar sakta hai.

3. jab apka nikaah naa.baaleghi maiN howa thaa to apki taarf say apkay vali nay accept karlia tha. lehaza ab apkay mannay yaa nah mannay say koi faraq nahi parta... ap ki shadi to hochuki hai, onkay saath (nikaah aur shadi aik hi cheez hai) sirf rukhsati nahi howi hai... i know k talaaq-yaftah laRki ka hamaray mo'shray maiN kia moqaam hai...

4. ab apkay saamnay 3 hi raastay hain yaa to onki biwi banna qabool karlaiN yaa phir talaaq lay laiN. aur agar woh talaaq nah day to adalat say khola lay laiN. teenoun main say koi aik kama fauran karlaiN... warnah woh qanooni aur sharayee husband hotay howay "moqah miltay hi" apkay saath "azdawaaji talluqaat" bhi qaaim karsakta hai. tab ap kia karengi?

guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:3rd Oct 2011, 5:20am
 

Nikaah

Thank u very much

mujhe sahi se sochna parega.... mein usay asa kuch karne ki ejazat nahi dongiii..
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6371  Age:  53  
Posted on:3rd Oct 2011, 6:17am
 

achi tarah soch laiN

aur jaldi soch laiN. jo pahal karega woh "jeet" jayega. yaani agar apnay pahal kartay howay adaalat maiN "khola" ka case daair kardia to ap "safe side" maiN hojayengi. aur woh kuch nahi karsakega, adaalat say khola ka faislah honay tak... lekin yeh kaam onlogoun say chup kar khamoshi say jald az jald aur achaanak kar laiN... agar ap onsay separate honay main sanjeedah hain to

doosri soorat main agar onhaiN iss baat ki bhanak mil gayee k ap adaalat jaa sakti haiN to woh pahal kar sakta hai..... yaani "zabardasti" rokhsati karaa sakta hai... ap ko kabhi "tanhaa" paa kar "aghwaa" karkay apnay ghar yaa kaheeN bhi lay jaa sakta hai, apkay saath azdawaji talluq qaaim karsakta hai... aur ap ya apkay ahlay khana oskay khilaaf koi qanooni kaarwayee nahi karsaktay...issi taarh woh police ki madaad say apko zabardasti apnay ghar lay jaasakta hai k yeh meri biwi hai, susraal waloun nay zabardasti apnay ghar main rakhi howi hai... yaa adaalat main apkay waledain k khilaaf "habsay bay jaa" ka case kar sakta hai k apkay parents nay oski biwi ko apnay ghar main ghair qanooni taur par habsay bay ja maiN rakha howa hai...jo adaalat main /police k pass pahlay gayaa, oska "upper hand" hoga.

apki position nehayat "naazuk" hai. sab kuch soch samajh kar faislah karain aur jald karaiN. yeh bhi dekh laiN k apkay peechay apkay parents aur rishtah daar apkay saath hain yaa nahi aur woh apkay shauher ka moqaablah karnay ki salahiyyat rakhtay haiN yaa nahi...aisa nah ho k baat baRh jaa.ay...sab peechay haT jayain aur apko majbooran issi shauher k ghar jana paray...tab apki wahaan position /izzat kia hogi.......... in sab batoun ko achi tarah dekh bhaal kar lain aur behtar hoga k kisis khatoon wakeel say khufia mashwarah kar laiN.

Allah apka haami o naasir ho

guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:4th Oct 2011, 1:40am
 

bikul achi tarah sochna hai

soch rahi hon ghar walon se mashwara kar rahi hon

thank u so much
guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:2nd Dec 2011, 3:19am
 

AoA Mr. Rizvi

AoA Mr. Rizvi kaise hein aap?? mein abhi tak esi masle mein uljhi huwi hon kuch samjh nahi aaraha kia karoo.. ek baat poochni thi.. naabaligh age nikkah huwa tha.mein us nikkah ko nahi mantiiii.. aur mere waldein ne pressure mein aake han ki thi phr uski waqat inkaar kardiya tha es baat ko 14years hogaye hein mujhe buhat logon ne kaha hai yeh nikkah invalid hai.. aur mein ussi larke se nikkah karsakhti hon jo mein khud qabool karon asa hosakhta hai ??
plz reply ki jye ga
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6371  Age:  53  
Posted on:2nd Dec 2011, 3:56am
 

guli sabeh

walekum Assalam GS,

- aur mere waldein ne pressure mein aake han ki thi

1.jab haaN kah dia thaa to nikaah hogayaa ... meray ilm k motaabiq ap abhi tak oskay nikaah maiN haiN khaah 14 saal guzar jayaiN yaa 20 saal

2. agar apko yeh husband qabool nahi to insay shara'ee tareeqay say hi juda hosakti hain. jiskay 2 hi tareeqay haiN i) apnay husband say kahain k woh apko talaaq day day... zobani bhi talaaq hojati hai aur wriiten maiN bhi, lekin ajkal written maiN talaaq lena behtar /safe hota hai ii) agar woh talaaq nah day to phir court k zariyah khola lay laiN...yani court k zariyah iss nikah ko fasakh /cancel karwayaiN

3. talaq /khola k baad hi ap apni kissi aur say nikaah karsakti haiN... is 2 maheenay main apnay lagta hai koi faislah nahi kia...abhi tak logouN ki batouN maiN confused haiN... kissi qareebi aalime deen/mufti say bhi ap apnay maslah ka hal pooch sakti haiN

WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 44  Post: 2410  Age:  47  
Posted on:3rd Dec 2011, 12:06am
 

guli sabeh

agreed with myrizvi

asal bat yeh hai k humaray han koi shiraai hakoomat to hai nhn isi liyay humaray qanoon main aisay nikah k baray koi wazahat nhn

jab k islami lehaz se ager lerki ya lerka aisay NABALIGHI k nikah ko adalat main chalange kerain aur saboot k sath yeh sabit kerden k nikah k waqt woh nabaligh thay to adalat is nikah ko FASAKH kernay ka hukam dety hai ya de sakty hai

lekin humaray han aisay nikah k baray kuch nhn hota is k ilawa ager ap ka nikah nabalighi main huwa tha jab ap ko SHAOOR nhn tha yani under 10 years age to yeh nikah ap ki blooghat aur raza mandi se mshroot hota hai shiraee lehaz se

lekin humaray han aisa kuch nhn hai

is liyay ager ap ka nikah under 18 huwa tha lekin aap bashaoor yani baligh thin ap ko periods aachukay thay to yeh nikah vald hai

ab sirif aik cheez hai k aisa nikah registerd nhn hota 18 saal se kam age wala ager ap ka nikah registerd nhn to ap k pas chance hai k aap resist kerain usay register na kerwanay k liyay
werna asan sa hal hai k ager ap k parents ap k sath hain to ap KHULAA k liyay apply ker sakty ho isi point per k ap ki merzi aur LA SHAOORI main huw atah yeh nikah
guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:3rd Dec 2011, 3:01am
 

confused

@ Myrizvi abhi tak koi faisla nahi lya.... abhi tak thande demag se soch rahi hon phr kuch na kuch tu karongii...

@Wehshi: mein 9years ki thi jab nikkah hua tha aur nikkaah register bhi nahi hai na koi docs hein.. parents mere saath hein

thank u 4 suggestion
-- --
tahira333 Group: Members  Joined: 25th Oct, 2011  Topic: 5  Post: 247  Age:  30  
Posted on:4th Dec 2011, 6:14am
 

agreed

thanx
guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:29th Nov 2012, 5:21am
 

still confused

Assalamualaikum Mr. Myrizvi Kaise hein aap?? umeed hai kheriyat se hogi... i m here again & still confused.. abhi tak meine kuch decide nahi kiya filhal wo log bhi khamoosh hogaye hein.. kuch aur poochna chah rahi hon...

1) jab mera nikaah huwa tab hum dono nabaalig thay.

2) kya mein ussii larke se new nikkah kar sakhtii hn jis mein meri razamandi shamil hoo jis mein mein satisfied hojaon?

PLZ REPLY
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6371  Age:  53  
Posted on:29th Nov 2012, 11:50pm
 

guli sabeh

walekum Assam,
Allah ka shukar hai, maiN khariyat say houN aur apki khariyat naik matloob hai. apkay jawabaat haazir haiN

1. naabaligh ka nikaah wali /parents kartay haiN aur islamically yeh nikaah valid hai

2. ap apni satisfaction k liyeh (aur society ko batlaanay k liyeh) ussi laRkay say dobarah nikaah bhi karsakti haiN. iss maiN koi harj nahi hai

3.lekin yeh wazah rahay k agar ap nay issi laRke say dobarah nikaah nahi bhi kia tab bhi ap ossi k nikaah maiN haiN... yaani ap kissi aur laRkay say nikaah nahi karsakteeN.

wallaho aalam bissawab
guli sabeh Group: Members  Joined: 01st Oct, 2011  Topic: 1  Post: 9  Age:  2006  
Posted on:30th Nov 2012, 12:44am
 

Myrizvi

Thank u so much :)
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012