Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Marriage

Religion and Culture
 
 
 
Cool-Boy Group: Members  Joined: 23rd Sep, 2008  Topic: 20  Post: 119  Age:  23  
Posted on:1st Dec 2012, 1:46pm
 

Marriage

AoA main yeh puchna chata hon ke jo humare culture main maa baap shadi ke

 liye larka ya larki pasand karte hain kya yeh humare islam me kaha geya hai

 ya sirf rawaj ke tor pe parents karte hain hai..?




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:1st Dec 2012, 11:36pm
 

shadi aur waledain

1. quran o hadees ka hukm hai k aik kanwari (bachelor ) laRki apni shadi khud nahi karsakti, balkay oski shadi oska wali /sarparast karega. talaq yaaftah ya bewah aurat apni shadi khud karsakti hai, albattah behtar yehi hai k oski shadi bhi oskay wali hi karaiN

2. go k laRkiyoun ki shadi ki zimmah daari onkay parents par dali gaye hai...lehaza wohi oskay liyeh rishtah bhi dhoondengay aur shadi k deger intezamaat /kharchah bhi wohi oThane k paband haiN.... taham rishtah k baray main laRki ki razamandi haasil karna wali k liyeh laazim hai. agar kissi rishtah par laRki razamand nah ho to wali aisay laRkay say oski shadi nahi kara saktay, islmically. laRki bhi apni pasand k laRkay ki nishandahi karsakti hai...aisi soorat maiN bhi shadi wali hi karaa.ega, agar woh razamand howa to... wali ki razamandi k beghair larki ki shadi nahi hosakti

3. baligh laRka apni shadi go khud bhi karsakta hai magar afzal yehi hai k apnay waledaiN k mashwaray say, onki razamandi sya larki ka intekhaab karay k waledaiN bahar haal shadi beyaah k maamlay maiN zati tajarbah bhi rakhtay haiN aur dunyaa bhi laRkay k moqaablay main zeyadah dekhi hoti hai. lehaza parents ki shamooliat /rzamandi say shadi k kaamyaab honay k imkaan zeyadah hotay haiN

WellKnOwN Group: Members  Joined: 06th Sep, 2011  Topic: 48  Post: 3378  Age:  23  
Posted on:2nd Dec 2012, 12:36am
 

myriZvi

well explained..

Misaal ke tor par agar larki bi duniya mai akeeli hoo mathlab ye ke parents etc wo iss duniya mai na hoo or larke ka bi.same situtation ho to kiya ye dono apne marzi se ek doosre se shadii karsakte hai?? jabke larki ka koi sarparast hi na ho.

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:2nd Dec 2012, 1:18am
 

sarparast nah ho to

1. laRkay ka sarparast nah ho tobhi koi faraq nahi paRta. woh apna nikaah khud kar sakta hai

2. laRki ka agar koi bhi sarparast nah ho to woh aakhir kaheeN nah kaheeN to pali, baRhi / shadi say pahlay rah rahi hogi. agar yateem khanay maiN yaa kissi aisay hi adaray main rah rahi hai to oss adaray k baray iss laRki ka nikaah kar saktay haiN...agar kissi women hostel maiN rah rahi hai, tab bhi hostel k senior male staff oska nikaah oski marzi say karwasakta hai

3. agar woh alag separate ghar maiN tanhaa rah rahi ho... go k aik muslim baaligh laRki ka iss tarah tanhaa rahna islamically allowed nahi hai... ossay ossi jagah par before marriage rahna chaahiyeh, jahaaN oska bachpan /larakpan guzra ho...lekin phir bhi kissi wajah say woh alag rah rahi ho to aas paRos k buzrug, masjid k imaam etc oska nikaah karwayengay k laRki kissi bhi soorat maiN apna nikaah azkhud nahi karwa sakti... wali door door tak koi nah ho to islami reyasat (reyasati high officials) az khud oskay wali ban jayengay... reyasat islami nah ho to mohallah k buzrug muslims wali hongay by default

wallaho aalam bissawab
Cool-Boy Group: Members  Joined: 23rd Sep, 2008  Topic: 20  Post: 119  Age:  23  
Posted on:8th Dec 2012, 2:25am
 

myrizvi

bohat sukriya...

lakin mera ab yeh sawal hai agar larka , larki ek dusre ko asand karte hain aur us ka iarada SHADI ka hai.. aur un ke ghar wale nahi mantay lakin wo shadi karna chate hain.. kiya wo court marriage kar sakte hain aur baad mein ghar walon ko batat deen..? kiya yeh gunah hai ke ghar walon ko baaye begar shadi kar len..?




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:10th Dec 2012, 3:49am
 

ghar walouN k beghair

1. laRka apnay parents ko bataa.ay beghair bhi shadi kar sakta hai. laRkay ko gonaah nahi hoga

2. laRki apnay wali ki ijazat /marzi k beghair nikaah nahi karsakti... foqahaa ka aik groh kahta hai k wali k beghair laRki ki shadi ho hi nahi sakti... doosra groh kahta hai k shadi agar karli to hojayegi lekin woh aisa karnay par gonaah.gaar hogi

wallaho aalam bissawab
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012