Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Male Libido
Male Libido Enhancers - How To Enhance Low Male Libido
Handsome Men
Facial Exercise Keeps Men Handsome
Male Sexual Health
Benefits of Exercise on Male Sexual Health
Male Fertility
Increasing Male Fertility
 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

istakhara

Religion and Culture
 
 
 
imgirl Group: Members  Joined: 18th Dec, 2010  Topic: 7  Post: 19  Age:  27  
Posted on:30th Mar 2012, 3:06pm
 

istakhara

In istakhara kia kaba ki side per moo ker kay soyna zaroori hay, lets say mera bed rozay ki side per hay aur kabay ki taraf moo ker kay soyna mumkin nahi toa es baray may kia rule hay?

Also istakhara kisi b time kia ja sakta hay aur raat ko kerna he kion zaroori hay?
samaira Group: Members  Joined: 12th Mar, 2012  Topic: 13  Post: 76  Age:  22  
Posted on:30th Mar 2012, 4:59pm
 

Isteqara...








isteqara krneka tareeka yehi hai k ap 2 rakhat nafil namaz padhker isteqara ki dua padhe r dua krte hue wazu k saath khibla ki taraf face krke sojaye..r ap aisa kare k kahin r sojaye jahanse ap khibla face krskte hai.

lekin isteqara ki dua kisi b tym padhskte hai chalte phrte is dua k baadh jis taraf apka dil palatjaye woh apke liye sahi hoga r jo b apke liye behtar hai wahi Allah krnge inshallah..r raat ko karna behtar hai cuz maine suna hai k tahajud se phle jo khwab ata hai akser woh sahi hota hai ya phr woh sign hoti hai..still mujhe confirm krni hai k isteqara k baadh khwab ata hai ya nahi
acha hua imgirl apne yeh sawalkrlya hai mai kayi dino se is sawal ko post krneka snchrahi thi
imgirl Group: Members  Joined: 18th Dec, 2010  Topic: 7  Post: 19  Age:  27  
Posted on:24th Apr 2012, 1:40pm
 

istakhara

Jisa ka aap bata rahi hain, Istakharay ki dua kisi b time parhi ja sakti hay youn toa Istakharay ka 2 nafal b kisi b time parhay ja saktay hain?

Kiblay ki taraf moo ker kay soyna kion zaroori hay meri jaga esi hay ka moo rozay ki taraf hota hay
WEHSHI Group: Members  Joined: 17th Aug, 2010  Topic: 32  Post: 2029  Age:  47  
Posted on:25th Apr 2012, 1:59am
 

imgirl

ISTIKHARA k liyay zaruri hai k aap isha ki namaz perah ker 2 nafil izafi perhain jinhain SALAT UL ISTIKHARA kaha jata hai

is k baad aap kisi bhi zuban main dil se dua kerain k AY Allah main apnay is maqsad k liyay ISTIKHARA kerti/kerta hun mujhay sahi rah dikha aur rehnumaai ferma

us k baad ap allah ka ziker kertay huway right side per so jain khuwaab main ishara mil jai ga

zaruri nhn k ap ko saaf saaf kuch bataya jai ager sfed light ya din nikalta huwa nazar aai to is ka matlab k ap jis kam k liyay istikhara ker rahi hain woh sahi hai

lekin ager tareeki ya kali ghatain cha jain ya ais ahi koi aur ishara ho ya kuch bhi nazar na aai to is ka matlab hai k ap us kam se baaz rahain

aik bat yaad rakhain k istikhara aslan Allah se mashwera hai aur jab Allah se mashwera kiya jai aur us mashweray ko na mana jai to insan ko tabahi aur zilat k ilawa kuch nhn milta

is liyay yeh soch ker istikhara kijiyay ga k jo bhi ishara milay phir us per amal kerna hai apni merzi nhn chalani

K0OL3ST_iD Group: Members  Joined: 01st Feb, 2012  Topic: 1  Post: 89  Age:  23  
Posted on:25th Apr 2012, 5:30pm
 

Reply

agreed with Wehshi bro.

sath main tori c adding kr deyta hon.

ye zarori nhi hai k phli bar istakhra kiya jaye or us main ALLAH ki taraf sy hints mil jain, bal k agr phli br main na kuch hints milin to kam sy kam 3 din tk krna chahe or zaida sy zaida 7 din tk , agr 7th din b kuch nhi ishara mila ho phr nhi karna chahy or kuch arsa chord dena chahye or us arsy main ALLAH TALLAH ko razi krna chahye.
maine ye baat mufti sahibaan aur apny ustaade muhtaram sy sunni hai is liye add kr raha hon point.

Hayya Group: Members  Joined: 09th Apr, 2012  Topic: 0  Post: 7  Age:  36  
Posted on:27th Apr 2012, 10:41am
 

istekhara

istekhara ka matlab hae Allah pak se khair maangna aur iss ki dua hae " Allahumma khir li akhtar li" ( ay Allah meray liye pasanad farma day jo tujhay pasand hae) koi bhi kaam karnay se pehlay yeh dua paRh li jaye to Allah pak dil main bhalai ka khayaal Daal detay haiN aur uss kaam maiN khair hoti hae.

istekhara koi wazeefa nahi balkay khair ki dua hae. istekharah k baad istekharaah (logoN se mashwarah) karnay ka hukum hae. takay chaan been kar k rishta teh kiya jaye.

K0OL3ST_iD Group: Members  Joined: 01st Feb, 2012  Topic: 1  Post: 89  Age:  23  
Posted on:28th Apr 2012, 4:46am
 

Reply

@ Hayya

istakhara sirf Rishte k liye nhi kiya jata bal k baqi zindagi k mamlaat k liye b kiya jata hai aur kr skty hain.
Hayya Group: Members  Joined: 09th Apr, 2012  Topic: 0  Post: 7  Age:  36  
Posted on:28th Apr 2012, 5:22am
 

exactly

sirf rishtay k muamlaat meiN istekhara nahi kiya jata balkay zindagi k har muamla meiN Allah pak ko shamil e haal kar liya jaye to zindagi meiN asaaniyaN paida hojayeN. issi liye istekhara aik dua ki surat meiN hae takay bohat se faislay on the spot kiye jasakaiN.
1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us