tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 959 Age:
26
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 10:20am |
|
|
nail polish use krna islam me kya jaiz hai salam to all members: aj mera sawal ye hai ke kya nail polish use krna women ke lye jaiz nhi hai or ye bhi mene suna hai ke is se 40 din nimaz qabool nhi hoti or mjhe ye bataye marriad women bhi use nhi kr skti plzzzzz reply me . thanks
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 4 Post: 557 Age:
38
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 10:25am |
|
|
tote_sapne unmarried girl nail polish use nahi ker sakti jab k married female apnay husband ki ijazat se use ker sakti hai lakin wudhu se pehlay nail polish ko remove kerna lazmi hai kiun k nail polish se wudhu nahi hota...
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 959 Age:
26
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 11:09pm |
|
|
mufti bhai boht shukhriya apka or ye bhi bataye ke agr nail polish ki jhga nails pe manhdi use kare to or agr shadi kisi larki ki ho to kya phr bhi nail polish use nhi krna chahye.
|
Mufti |
Group: Members Joined: 10th Oct, 2011 Topic: 4 Post: 557 Age:
38
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 11:24pm |
|
|
tote_sapne sister mein aap ko thora detail mein batata hon iss masla per... Nail polish agar un married use kerti hai lakin wahan jahan per sirf ladies hi hain to uss mein kuch qabahat nahi hai lakin agar aisi gathering mein jahan male bhi hain ya male ki nazar per sakti hai aap k hathon per to phir nail polish use kerna allow nahi hai lakin married khatoon apnay shohar ki ijazat se nail polish use ker sakti hai... Jahan tak baat hai namaz ka ya wudhu ka to agar nail polish hath per hai to ussay pehlay remove kerna ho ga kiun k nail polish ki wajah se paani nakhun tak nahi ja sakta aur iss se wudhu sahi nahi hota... Kher yeh baat mein apnay knowledge per keh raha hon,behtar hai k aap kisi aalim se iss masla ka pooch lein ta k shaq na rahay... |
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 959 Age:
26
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 11:31pm |
|
|
mufti bhai thanks again jee yehi sb kahte hai nail polish se nimz qabool nhi hoti to pocha esi kya wjh hai kya nail polish me esa kch use krte hai ya phr wazu sahi nhi hota mene ye bhi suna hai marriad bhi use mat karen .khair me kisi se pochlogi is bare me ok thnx bhai
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 6726 Age:
31
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 2:05pm |
|
|
sapna SAPNA JAB WAZU KA pani ap kay nail kee surface koo touch nahi keray ga too wazu kassay ho ga...is liyay nail polish remove ker kay wazu kerna chahay..takay ap kee namaz aur wazu donoo achay tareeqay say ada ho sakay |
H.A.S |
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 407 Age:
18
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 3:02pm |
|
|
Sapna sis........ I agree with Mufit brother but wants to explain in detail.
Nail polish ais liye use karna mana hi bcoz ais ki wja se aasani se nikal jane wala colur humari skin par aajata hai and jaisa ki aap jaante hu ki wuzu k sahi hune k liye aus k tamam maqasid pure hune chiye but aus nil polish k colour ki waja se paani aus maqasid ko pura nahi hune deta aisliye wuzu galat hu jata hai aur namaz nahi huti......but manhdi ka clour pakka huta hai jo jild par aisa chardta hai ki ause fauran nikalna na mumkin hai aur wo humari skin ka part ban jata hai..jis se wuzu bhi sahi huga aur namaz bhi.........
And married women ka bhi jab tak wuzu sahi nahi huga jab tak wo aus nail polish k colour ko nikal nahi lete..
|
H.A.S |
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 407 Age:
18
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 3:05pm |
|
|
And sister ....... AAP ne ho kaha ki nail polish lagane k baad 40 dino tak namaz nahi huti tu ye baat bilkul wrong hai.
And unmarried girls bhi nail p[olish ka istenal kar skti hai but kuch limitation k sath jo mufti sir ne kaha and main ne ek shia forum par ais k bare main kiye gaie swaal k jawab padhe jo main aap k liye post kar raha hu
|
H.A.S |
Group: Members Joined: 16th Dec, 2011 Topic: 3 Post: 407 Age:
18
|
|
Posted on:21st Feb 2012, 3:14pm |
|
|
sapna ji wo que hai. assalmun allehkum janab mera
sawal ye hai k kya NAIL POLISH lagane ke baad WAZOO kae sakte hai KUCH
LOGO KA KAHNA HAI KE NAKOON KO THODA SA KHALI CHOR DIYA JAI TO WAZOO HO
JATA HAI WAZAHAT KRDE ???
Ans:Agar nail polish haath ki
ungliyoon per lagi ho tu wuzu nahi ho sakta,kun k nailpolish rukawat
hay.or wuzu ki shraa’it main say aik ye hay k wuzu k aa’zaa(parts) per
koe aisi rukawat nah ho jo pani jo jism tak pohanchnay nah day.laikin
agar nail polish pair(foot) ki ungliyoon per lagi ho or dono pairon ki
aik aik ungli per nah lagi ho,tu pairon ka masah os aik ungli say(jis
per nail polish nahi hay) lay ker pair k jorh(joint) tak masah kiya
jasakta hay.Kun k pair k masah main pair ki aik ungli say lay ker jorh
tak masah kerna wajib hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul
masail, maslah#251,289 to 297).
And second one.. can i apply chemical mehndi (arqwali mehndi)on my hands???
Ans:Agar aazaey wuzu tak pani
pohunchnay main koi rukawat na banay to istemaal kar saktay
hain.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.
Que:Salams..main ne suna tha ki jo
chemical wali mehendi hoti hai vo wazu k pani main rukawat nahi banti
hai.. kia aap muejh bata saktye hain ki aaj kal jo mehendi aati hai
bazaron main vo lagane se kia wazu k paani ka masla hota hai ya
nahi..Thanks..
Ans:Mehendi kay rukawat bannay ya
na bannay kay baray main ham kuch nahi keh saktay.agar ye mehendi wuzu
kay pani kay pohunchnay main rukawat banti hay to wuzu sahih nahi hoga
agar shak ho kay rukawat banay gee tab bhi zaroori hay kay hata liya
jaey.Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.289.
Que:Assalamoalikum...sir ...
usually jo ladies mehndi kushi k moqay par hands pe lagati hain tu us k
laganay k badd aksar uss k color dark atta hai ...tu kya uss sai wazu
...or gusal mai koi khalal tu nahi parta....tahnks ..regards
ANs:Agar aazaey wuzu tak pani
pohunchnay main koi rukawat na banay to wuzu sahi mana jay ga.jaisa k
baghair chemical wali mehdi hoti hay jo faqat haath per apna asar chorh
jati hay. .Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.No.54.
I think ab aap k sare confusion door hu gaie hu ge
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 959 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Feb 2012, 12:58am |
|
|
m
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 959 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Feb 2012, 1:00am |
|
|
mufti ,h.a.s & gudman ap sb ka boht shukhriya or h.a.s bhai ab wakai me meri confusion door gye hai .thanks alot.
|
WEHSHI |
Group: Members Joined: 17th Aug, 2010 Topic: 26 Post: 1924 Age:
47
|
|
Posted on:22nd Feb 2012, 4:51am |
|
|
nail polish
nail polish main alcohlic contants hotay hain jin k use kerna jaiz nhn ager koi bohat beri zaruret na ho to yani as medicine is k ilawa meray nazdeek Allah ne her aurat ko us k jismani complaction k hisab s ematching nails diyay hain makeup main zaruri nhn k her woh cheez jo market main hai use ki jai jesay k sab members ne kaha k namaz se pehlay nail polish ka utarna zaruri hai yani ager daily lagaai jai nail polish aur utari jai to nails apna asli aur quderti husan kho den gay un ki shining khatam ho jai gi lehaza ager kabhi kisi party per lagli jai to shayed theek ho lekin daily ya shoqiya lagana meray nazdeeq munasib aur jaiz nhn |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 106 Post: 5522 Age:
53
|
|
Posted on:22nd Feb 2012, 5:24am |
|
|
nail polish well said by mufti n wehshi n others
1. nail polish as such lagana HARAM ya najaiz nahi hai. nail polish lagi ho to namaaz bhi hojati hai (agar nail polish lagaanay say qabal wazoo kia howa ho to)
2. fruit ya ghazaayee ajnaas say tayyar kardah alcohol (sharaab /wyne) ko peenaa HARAM hai. taa ham har haraam shai najas (napaak) nahi hoti. jaisay gadha /kawwa to haraam hai, magar yeh najs nahi k kapRay /jism ko lag jaa .ay to kapra napaak hojaa.ay
3. synthetic alcohol ko agar nashay ki gharz say piyaa jaa.ay to yeh n HARAM hai. lekin yehi synthetic alcohol homeo medicine maiN use hota hai aur homeo medicine say nasha nahi hota aur ulema ka fatwa hai k homeo medicine with synthetic alcohol jaiz hai
4. synthetic alcohol perfume, body spray, nail polish, furniture polish etc main bhi use hota hai aur chounkay yeh alcohol napaak /najas nahi hota iss liyeh iskay laganaa haram /najs nahi aur nah hi iskay lagnay sya jism /kapra napaak hota hai
5. zaib o zeenat karna har laRki /khatoon ka bunyaadi haq hai. har daur /culture maiN zaib o zeenat k alag alag tareeqay hotay haiN. albattah apni zeenat ko naa.mahram k saamnay show karna manaa hai.
6. nail polish ho, water proof face make up ho yaa lipstick etc yeh sab use karna jaiz hai. albattah in teenouN k use k baad agar wazoo khatam hojaa.ay to inhain otaaray beghair wazoo /ghusal nahi hotaa.
7. nail poilsh ka aik motabaadal mehandi ka use hai. 2 teen martabah nail par mehandi ka coat karne say nail polish look aa jati hai... aur iss par wazoo bhi hojata hai. kiyounkay meandi ki koi layer nails par nahi chaRhti nail polish ki tarah. mehandi nails ko just color kardeti hai
wallaho aalam bissawab
|
tote_sapne |
Group: Members Joined: 02nd Nov, 2011 Topic: 5 Post: 959 Age:
26
|
|
Posted on:22nd Feb 2012, 8:50am |
|
|
thank you so mch myrizvi sir
|
|