Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Urdu Poetry

Urdu
 
 
 
hot_sajid Group: Members  Joined: 28th Feb, 2011  Topic: 10  Post: 503  Age:   
Posted on:14th Apr 2011, 1:05am
 

Urdu Poetry

HOk shrminda gunaahon se.kbhi sar jhuka to sahi"

wo karega maaf tuje do ashk baha to sahi"

rhegi chandni qabr me be sath tere tu uski yaad ko dill se zara laga to sahi"

na rhega tu mohtaaj kabhi kisi ka"

kiya hai jo khuda se ehed wo nibha to sahi"

wo ghafoor raheem sunta hai dua sabki"

arey nadaan apney haath utha k daaman phaila to sahi"

Allah Hafiz

Dua Me Yaad Rakhna

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 249  Post: 4252  Age:  37  
Posted on:30th Aug 2011, 3:11pm
 

chaand raat hai

mein hoon tera khayal hai aur chaand raat hai...
dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai...

aankhon mein chubh gayein teri yaadon ki kirchiyan...
kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai...

dil tor ke khamosh nazaron ko kiya mila...
shabnam ka ye sawal hai aur chaand raat hai...

phir titliyan si urne lagein dasht-e-khuwaab mein...
phir khuwahish-e-wisaal hai aur chaand raat hai...

campus ki nehar per hai tere haath haath mein...
mausam bhi lazawal hai aur chaand raat hai...

har aik kali ne orh liya matami libaas...
har phool per malaal hai aur chaand raat hai...

meri to por por mein khush si bas gayi...
us per tera khayal hai aur chaand raat hai...

chalka sa par raha hai 'wasi' wehshaton ka rang...
har cheez pe zawwal hai aur chaand raat hai...



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6330  Age:  34  
Posted on:2nd Sep 2011, 1:01am
 

Dost

Dost

dost keya khoob wafaon ka silha dete hain
Har naye mor par zakham naye dete hain

Tum se to kher ghari bhar ki molakkat rehi
Log sadion ki rafakat ko bhola dete hain

Kese mumkin hay ke dua bi na ho or dil bi na jale
Chot parti hay to pather bi sada dete hain

Kon hota hay mosibat main aye dost!
Aag lagti hay to pate bi hawa dete hain

Jin pe hota hay bohot bharosa Tabish
Waqt parne par wohi log daga dete hain.



myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6387  Age:  53  
Posted on:3rd Sep 2011, 10:41pm
 

teshah beghair mar nah sakaa

جز قیس اور کوئی نہ آیا بروئے کار
صحرا، مگر، بہ تنگئ چشمِ حُسود تھا

آشفتگی نے نقشِ سویدا کیا درست
ظاہر ہوا کہ داغ کا سرمایہ دود تھا


تھا خواب میں خیال کو تجھ سے معاملہ
جب آنکھ کھل گئی نہ زیاں تھا نہ سود تھا

لیتا ہوں مکتبِ غمِ دل میں سبق ہنوز
لیکن یہی کہ رفت گیا اور بود تھا


ڈھانپا کفن نے داغِ عیوبِ برہنگی
میں، ورنہ ہر لباس میں ننگِ وجود تھا

تیشے بغیر مر نہ سکا کوہکن اسد
سرگشتۂ خمارِ رسوم و قیود تھا

Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 3  Post: 497  Age:  39  
Posted on:5th Sep 2011, 7:10pm
 

Urdu poetry

hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein
chale aaye the tum
khushiyon ki saugaat aur pyaar ke rang
sang laaye the tum

ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
chahat ka ehsaas liye sukoon ban kar
dil mein samaye the tum

khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
ghum ke badal gehre hain
jabse juda hue ho tum

kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum

dil ki bebasi kaise kahun
aankhon se aansoo banke behte ho tum
tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum



glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  25  
Posted on:5th Sep 2011, 11:46pm
 

urdu poetry


Lakh zabt khwahish kay
Bay shumar daway ho
Us ko bhool jana kay
Bay panah iraaday hoon
Aur is Mohabbat ko , tark ker kay jeenay ka
Faisala sunanay ko
Kitnay lafz sochay hoon . . . . .

Dil ko us ki Aahat per ................
Bermala dharraknay say kaun rok sakta hai

Phir wafa ka sehra main
Us kay naram lahjay aur sogawar ankhoon ki
Khushboon ko chonay ki
Justuju main rehnay say
Rooh taak pighalnay say
Nangay paaon chalnay say
Kaun rok sakta hai

Aansoon ki barish main
Chahay dil ka hatoon main
Hijr kay musafer ka
Paaon tak bhee choo aao
Jin ko laut jana hai
Us ko door janay say
Rasta badalnay say
Doooooooooooooor ja nikalnay say

KAUN ROK SAKTA HAI
KAUN ROK SAKTA HAI




myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 110  Post: 6387  Age:  53  
Posted on:6th Sep 2011, 12:02am
 

for glamour sis

تیشے بغیر مر نہ سکا کوہکن اسد
سرگشتۂ خمارِ رسوم و قیود تھا

teshah means kodaal, phawra, axe etc ...farhaad apni mahboobah say shadi ki shart poori karnay k liyeh teshah say pahaaR kaaT kar "joo.ay sheer" nikaal laayaa aur job end howa to ossay kissi nay khabar di k oski mahboobah ki to shadi kar di gayee hai..ab oss say oski shadi nahi hosakti ... yeh sun kar oss nay ossi teshah ko apnay sar pay maraa aur wafata paa gayaa... (yeh story ka hissa hai)

ghalib ossi taarf isharah karkay kahta hai k... woh kohkan (pahaaR khodnay wala) "rasm o rewaaj ka qaidi" warnah to ossay iss khabar ko suntay hi shock say marjana chaahiyeh thaa.... sar pay kodaal maarnay ki naubat hi nahi aani chaahiyeh thi ..."

glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  25  
Posted on:8th Sep 2011, 6:16am
 

4 rizvi bhai


تیشے بغیر مر نہ سکا کوہکن اسد
سرگشتۂ خمارِ رسوم و قیود تھا

is ka reply chating thread main "lets talk with us " main don gi yahan topic divert ho jahay ga plz chk kar lijye ga thanks




Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 3  Post: 497  Age:  39  
Posted on:8th Sep 2011, 4:27pm
 

Deleted Topic No: 25061 by unknown5

Posted on:8th Sep 2011
Urdu Poetry
MHS GAZAL shiqwa teri"yaadon" se istrha kiya hum nae hanstay hanstay dill ko "rula"diya hum ne ek lamha diya tu ne "jeeme"ke liay aur us main zimdagi ko "bita"diya hum ne ek saehay pay likhi teri yaad ki "dastaan" dusra hisa "khali"hi jala diya ham nay kis bat ki "mazrat" chahtay hain wo jis bat ko sunte hi "bhula" diyj ham nay woh kyun nahi kartay ham pay yakeen "*dost*" jin ki khatir sb ko bhula diya hum ny
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  25  
Posted on:9th Sep 2011, 6:10am
 

Be Nam Sa Yeh Dard Thehar KyuN Nahi Jaata …


Be-naam sa yeh dard Thehar kyuN nahi jaataa

Jo beet geya hai woh guzar kyuN nahi jaataa

Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahaiN

Kya baat hai maiN waqt pe ghar kyuN nahi jaataa

Woh ek hi chehraa to nahi saare jahaaN meiN

Jo door hai woh dil se utar kyuN nahi jaataa

Mein apni hi uljhi huii raahoN ka tamaashaa

Jaate haiN jidhar sab maiN udhar kyuN nahi jaataa

Woh naam jo barsoN se samaayaa hai zehen meN

Woh khaab agar hai to bikhar kyuN nahi jaataa



Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 3  Post: 497  Age:  39  
Posted on:9th Sep 2011, 6:13am
 

Deleted Topic No: 25063 by unknown5

MHS

GAZAL badnaam zamanay mainmohabat nahi kartay dill wale todushman se bi nafrat nahi kartay ek bar jise chaha sada us k rahe phir ham log amanat main khayanat nahi kartay tanhai main kar lete hai yad"aansu"baha kar zahir kabhi hum apni ebadat nahi kartay waqt aanay par maloom yah ho jayga apko ham sirf dikhawe ki mohabat nahi kartay likte hain "faqat" ek tumharay liy "gazal" har shaks pe hum aise enayat nahi kartay

.......................

Gazal

Lamha bhar apna hawon ko bananay walay ab na aayen gay palat kar janay walay key milay ga tujhay bilhray howay khawboon kay siwa rat par chand ki tasveer bananay walay sab nay pahnay thay baray shoq say kagaz ka libas jis qadar log thay barish main nahanay walay mar gay han to ye kutbay pay likha jay ga so gay ap zamanay ko jaganay walay dar o dewar pay hasrat si barasti hay "mohsin" janay kis dais gay peyar nibhanay walay from mhs

Replied by Alirajput
Unknwon5
koshish kijiye ke apka post ek hi dafa hoon, aur beshak 3 alag hoon lekin ek hi post mai hoon. istraah apko mod note bhi mil sakta hai.

Apna khayaal rakhye ga.
Allah Hafiz

Replied By Diplomat
behtar hay dear aap apni poetry allready kisi poetry running thread main hi share karain , bar bar poetry k liye new thread start na karain ..thanks


H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6330  Age:  34  
Posted on:13th Sep 2011, 12:10pm
 

Poetry: Yaa Rub , Jetny Ghur hen Ojaalon say dour Dour

 یارب یہ جتنے گھر ھیں اجالوں سے دور دور
اتنی ھی روشنی میں ستاروں سے چھین لوں

جتنے غریب تن ھیں لبادوں سے بے نیاز
اتنی ھی چادریں میں مزاروں سے کھنچ لوں




H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6330  Age:  34  
Posted on:14th Sep 2011, 2:10pm
 

Poetry: Keya Undharoon kay Dokh, Keya Ojaalon kay Dokh

کیا اندھیروں کے دکھ، کیا اجالوں کےدکھ
جب ھرا دیں مقدر کی چالوں کے دکھ

جن کی آنکھیں نہیں وہ نہ روئیں کبھی
جان جائیں اگر آنکھ والوں کے دکھ

میری منزل کہاں، ہمسفر ہے کدھر
مار ڈالیں گے اب ان سوالوں کے دکھ

تم ملے ہو ، تمہاری محبت نہیں
ہجر سے بڑھ گئے ہیں وصالوں کے دکھ

دو گھڑی کے لئے پاس بیٹھو اگر
بھول جائیں گے ہم کتنے سالوں کے دکھ

میری سوچوں کے جلتے ہوئے دشت سے
چھین لے آ کے اپنے خیالوں کے دکھ



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6330  Age:  34  
Posted on:15th Sep 2011, 10:34am
 

Urdu Poetry:

 
ہاتھ اُلجھے ہوئے ریشم میں پھنسا بیٹھے ہیں
اب بتا! کون سے دھاگے کو جُدا کس سے کریں 



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6330  Age:  34  
Posted on:17th Sep 2011, 8:12am
 

urdu poetry

سلسلہ وفا کا یو ں ا ب ا ستو ر رکھنا ھے
منز لیں یقینی ھیں بس اعتبا ر رکھنا ھے
کو ن ھو ؟ کہا ں کے ھو ؟ گر ا ٹھے سوا ل
آ نکھ پر غضب لیکن لہجہ پر و قا ر رکھنا ھے
گھر جلا نے و ا لو ں سے ھر حسا ب کر لینا
آ خری فتح تک سا تھی انتظا ر رکھنا ھے



H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 184  Post: 6330  Age:  34  
Posted on:19th Sep 2011, 10:51am
 

Jo aajaty thay Ankho meah Settary lay kur

جو آ جاتے تھے آنکھوں میں ستارے لے کر
جانے کس دیس گئے خواب ہمارے لے کر

چھائوں میں بیٹھنے والے ہی تو سب سے پہلے
پیڑ گرتا ہے تو آ جاتے ہیں آرے لے کر

وہ تو آسودہِ ساحل ہیں انُہیں کیا معلوم
اب کے موج آئی تو پلتے گی کنارے لے کر

ایسا لگتا ہے کہ ہر موسمِ حجراں میں بہار
ہونٹ رکھ دیتی ہے شاخوں پہ تمہارے لے کر

شھر والوں کو کہاں یاد ہے وہ خواب فروش
پھرتا رہتا تھا جو گلیوں میں غبارے لے کر

نقدِجاں صرف ہوا کلفتِ ہستی میں فراز
اب جو زندہ ہیں تو کچھ خواب ادھُارے لے کر



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3216  Age:  35  
Posted on:19th Sep 2011, 11:37pm
 

abb bhala chorr k ghar kia karty ..

abb bhala chorr k ghar kia karty
shaam k waqt safar kia karty

teri masrofiyatain jaanty thy
apny aany ki Khabar kia karty

jab sitary hi nahi mil paaye
ly k hum shams-o-qamar kia karty

wo musaafir hi khuli dhoop ka tha
saaye phaila k shajar kia karty

Khaak hi awal-o-aakhir thehri
kar k zar'ry ko gohar kia karty

roy pehly sy hi bana li too'ny
dil main abb hum tery ghar kia karty

ishq ny saary saleeqy bakhshy
husn sy kasb-e-hunar kia karty
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3216  Age:  35  
Posted on:19th Sep 2011, 11:43pm
 

ghaybana rabat

tu wohi hum b wohi qissa purana ho geya
hum ko ghar chorry howy abb ek zamana ho geya

shehar main dastaar ki batain hoieen thi raat bhar
subha hoty hi kisi ka sar nishana ho geya

paar utrana tha humain ya doob marna tha humain
naa khuda hi doob jaany ka bahana ho geya

barshon ki zadd main aa kar gir gaye kachy makaan
aur thorri dair ko mosam suhaana ho geya

uss ko socha uss ko chaha par nahi daikha ussy
rabat mera uss sy qayem ghaybaana ho geya
glamour Group: Members  Joined: 13th May, 2011  Topic: 14  Post: 1080  Age:  25  
Posted on:20th Sep 2011, 6:32am
 

Ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile


Ab ke hum bichde to shaayad kabhi khwaabon mein mile
Jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein mile


Dhoondh ujhraye huye logon mein wafa ke mot
Ye khazaane tujhe mumkin hai kharabon mein mile


Tu khuda hai na mera ishq fariston jaisa
Dono insaan hain to kyon itne hijaabon mein mile


Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha badhta hai sharaabon mein jo shababon mein mile





sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4638  Age:  36  
Posted on:20th Sep 2011, 6:49am
 

Apne Hathon se

Apne Hathoon se yoon Chehre ko chupate kyoon ho?

Mujh se sharmate ho to samne ate kyoon ho?

Tum bhi meri tarah kar bhi lo Iqraar -e- wafa

Pyar karte ho to phir chupate kyoon ho?

Ashq Ankhon me meri dekh kar rote kyoon ho?

Dil bhar ata hai to phir Dil dukhate kyoon ho?

In se wabista hai jub mera Muqaddar phir tum

Merey shanoon se yeh zulf uthate kyoon ho?

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyoon ho?

Milne ate ho to phir Laut jate kyoon ho?

1 2 3 4  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012