jawaab 1. islam osooli taur par joint family system ko encourage nahi kartaa. shadi k baad har joray ko alag /separate ghar basana chaahiyeh.
2. biwi ka yeh HAQ hai (islamically) k woh apnay husband say alag ghar lenay ko kahay... bah shartekay husband afford karsakta ho.
3. shadi k baad mard ko do dhari talwaar par chalna parta hai... aik taraf oski biwi hoti hai...to doosri taraf oskay parents + unmarried bahan bhai... iss main tawazun rakhna hi "mardaangi" hai... woh parents ki taraf etna nah jhukay k biwi k haqooq ghazab honay lagaiN yaa biwi hangamaa (jaiz /na.jaaiz) karnay lagay...... nah hi biwi ki taraf etna jhukay k parents k haqooq ghazab honay lagaiN.
4. agar biwi kissi bhi soorat main inlaws k saath rahnay par agree nah ho to husband ko chahaiyeh k woh parents k qareeb hi biwi ko alag ghar lay kar day, khaah on rent par hi kiyoun nah ho... aisi soorat main, jo apnay bayaan ki hai... apka bhai bhi zehni beemaar hojayega aur aplogoun ko bhi sakoon nahi milega. bhabi to hai hi...goya sab ki dunyaa bhi aur aakherat bhi barbaad hosakti hai
5. bhai ko yeh replies parh kar sonaa dain k woh biwi ko alag rakh kar hi sab k haqooq ahsan tareeqay say adaa karsakta hai... saath rahnay par israr nah karay...yeh laazmi nahi k married man parents k ghar rah kar hi onki dekh bhaal karay, jabkay aisaa mumkin nahi ho... woh apni sahoolat k motaabiq parents say qareenb tar koi separate ghar lekar rahay to insha Allah sab Theek hojayega...aur sab ko sakoon bhi milega. |