Re: Excessive Salivation - Why I have Water In My Mouth?
Aap kay mun main thook ziada miqdaar main banta hai. Excessive Salivation ya ziada thook bana koi bemari nahi hai. Misal kay toor per kisi kay baloon ka rang sunehri hota hai, kisi ka black. Ye difference normal hai. Hamaray mun kay paas kuch glands ya ghadood hotay hain jin ko ham Salivary gland kehtay hain. Jab ye ghadood ziada saliva banana shuru kerdain to isay excessive salivation kehtay hain.
Yad rakhain kay do kaifiayat hoti hain. Ek tezaabiat yani Acidity, aur dosri assassiat yani basicity. Acid and base nutralize each other. Isi leye jahan jism main acidity barhaygi to basicity khudbakud bar jayegi. Isi tarhan jab basicity berhay gi to acidity khud ba khud berjayegi.
Aapkay doctor bhi sahi kehtay hain. Maiday ki tezaabiat ko zail kernay kay leye excessive salivation hoti hai kyunkay saliva Base Hai. Dosri wajoohat bhi hai, kuch dawain bhi hain jin say ye hosakta hai. Baharhaal, ismain pareshan honi ki koi baat nahi.
|