Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

pakistani matrimonial
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Quran & Hadith Download
 
Warning: This Website is not for people less than 16 years of age. Please exit
 
forum new question
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Poetry..!!

Urdu   >>   Urdu Poetry
 
 
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:20th Sep 2010, 10:32am
 

asif

main tum se bohat ziada naraz hun yar

tum mujhey avoid kion kr rahey ho

:-(

M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:21st Sep 2010, 8:01am
 

Poetry..!!

Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Acha Laga,
Subsay Chup Kar Woh Kisi Ka Dekhna Acha Laga.

Surmaye Aankhon K Neechay Phool Say Khilnay Lagay,
Kehtay Kehtay Kuch Kisi Ka Sochna Acha Laga.

Dil Mein Kitnay Ehad Baandhay Thay Bhulanay K Liye,
Woh Mila To Sub Iraaday Todna Acha Laga.

Dushman.E.Jaan Hai Par Mein Bura Kaisay Kahon,
Jab Bhi Aya Saamnay Woh Bay.Wafa Acha Laga...
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13607  Age:  33  
Posted on:21st Sep 2010, 8:42am
 

asif

very very sad

tumhen main aisa nahi samajhta tha jesa tum behave ker rahey ho

very very bad

jin k sath itna acha time pass kiya ho un k sath aisa behave nahi krna chahiye :-(

M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:22nd Sep 2010, 9:51am
 

Zeb Bhai

Ab Kiun Sad Ho Ab To Contact Hogia Yar..?? Wajah B Bata Di Hai..
M Asif Group: Members  Joined: 31st Oct, 2008  Topic: 4  Post: 794  Age:   
Posted on:22nd Sep 2010, 9:55am
 

Bin Teray..!!

Aaj Kuch Kami Si Hai Teray Baghair,
Na Rang Na Roshni Hai Teray Baghair.

Waqt Apni Raftaar Say Chal Raha Hai,
Bus Dhardkanein Thami Si Hain Teray Baghair.

Na Barish Hai Na Dhuan,
Phir B Dil Mein Tapish Si Hai Teray Baghair.

Bohat Roka Hai Badal Ko Barsnay Say,
Phir B Aankhon Mein Nami Si Hai Teray Baghair..
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 27  Post: 4679  Age:  30  
Posted on:6th Oct 2010, 9:07am
 

Tujhay khone se darta hoN

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon ,
Meri aankhain batati hain k main sonay se darta hoon ..


Meri unggli pakar laina mujhe tanha nahi karna,
Ye dunya aik maila hai tumhain khonay se darta hoon…


Jo hansti ho tu kyun palkoon k goshay bheeg jatay hain ,
Tumhain maloom hai main iss tarah ronay se darta hoon …


Ye jab se khwaab daikha hai tum mujhe choor jaao gee ,
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon…





Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:7th Oct 2010, 7:47pm
 

"TO YAD AOUNGA"

Jab kabhi wo hoga apni zaat me Tanha

"TO YAD AOUNGA"

Na chala Qadam se Qadam koi sath

"TO YAD AOUNGA"

Main uski aankhon ka ishara bhi samajh leta hon!

Na samajh saka koi dil ki bat

"TO YAD AOUNGA"

Din ka har ik pal guzre ga jab us pe kathhin

Or Tanha kate gi rat

"TO YAAD AOUNGA"

Har baazi jan kar us se haar jata hon!

Jab de ga koi usse haar

"TO YAAD AOUGA"

Hansne ko to dunia b hansti hai sath sath

Na roya koi dukh me saAth

"TO YAD AOUNGA"

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:7th Oct 2010, 7:50pm
 

Baat thi mohabat ki

Baat thi mohabat ki,

Umr bhar ki chahat ki,

Bheer mein zamanay ki

Sath sath chalna tha,

Imtehan

bhe aney they,

Zindagi k sab hi pal

Sath hi bitaney they,

janey Tum ne kya

socha?

Bas ik pal mein hi,

baat khatm kr dali,

zindgi jo pori thi wo

adhori kr dali,

par kon Tmko smjhaey?

K mohabaton k mausam bhi,

Roz to nhi aatey!

Youn zindagi mein Apno ko Chor to nhi jaty .

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:7th Oct 2010, 7:52pm
 

Rukh-E-Shabab se Aanchal Jo Sarakta Dekha

Rukh-E-Shabab se Aanchal Jo Sarakta Dekha,

Chand Aakash K Jhurrmat Se Nikaltay Dekha,

Mujh Ko Mehsos Hua Dard-E-Judai Kya Hai,

Mai Ne Ek Phool Ko Tehni Se Bikhartay Dekha,

Zindagi Kya Hai Meray Dost Tu Mujh Se Pooch,

Mai Ne Gulshan Ko Baharon Mein Ujhartay Dekha.....

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:7th Oct 2010, 7:54pm
 

Kal raat b woh raat thi

Kal raat jaane kya hua,

Kuch dair pehle neend se,

Kuch ashk milne aa gaye,

Kuch khawab b tote hue,

Kuch log b bhoole hue,

Kuch rastay bhatke hue,

Kuch gard main lapte hue,

Kuch khol main simte hue,

Be rabt c sochein kahin,

Bholi hui baatein kahin,

Ek shaks ki yaadein kahin,

Phir dair tak jagay rahay,

Socho main gum laytay rahay,

Ungli se thande farsh par

Ek nam bas likhtay rahay,

Kal raat b woh raat thi

Kuch dair pehle nend se

Hum dair tak rotay rhay....

s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:8th Oct 2010, 2:07am
 

nice

keep it up
Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:14th Oct 2010, 9:21pm
 

Faqat Itni Guzarish Thi,

Faqat Itni Guzarish Thi,

Mujhe Kuch Roshni Da Dena...

Tumhen Kis Ne Kaha Tha ye,

Meri Basti Jala Dena...

Jisy Barish K Pani Main,

Baha Kr Muskraty The....

Mujhe Kaghaz Ki Wo Kashti,

Zara Phir se Bana Dena....

Tumhara Rasta Phir Umar

Bhar Thakny se Acha Hai...

K Tum Jany Sy Kuch Pahly ,

Mari Ankhen bhuja Denaa..............

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:14th Oct 2010, 9:23pm
 

Alfaz Ke Jhote Bandhan MAin...

Alfaz Ke Jhote Bandhan MAin...

Aaghaz K Gahre Pardon MAin...

Har Shakhs Mohabbat KArta Hai...

Halaan Ke Mohabbat Kuch Bhi Nahi....

Sab Dil Rakhne KI Batain Hain....

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai...

Sab Asli Roop Chupate HAin...

Ehsas Se Khali Log Yahan ....

Lafzoon Ke Teer Chalate HAin...

Ek BAr NAzar Main Aa KAr Woh...

Phir Sari Umar Rulate HAin...

Yeh Ishq-O-Mohabbat Mahro-O-Wafa....

Yeh Sab Kahne Ki Batain HAin...

HAr Shakhs Khudi Ki Masti MAin...

Bas Apni Khatir Jeeta Hai......?

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:18th Oct 2010, 5:25pm
 

sad sad


Ek chehra jo mery khuwab saja deta hai
Mujh ko mery hi khayalon mein sada deta hai

Wo mera kaun hai maloom nahi lekin..!!
Jab b milta hai to sab gham mita deta hai

Jub kabhi toot ke bikhroon to wohi mujhko
Chahnay k liye apny haath barha deta hai

Main jo tanha kabhi chupkay se b rona chahun
Dil ke darwaze ki zanjeer hila deta hai

Uski qurbat mein hai kya baat najana yaaro
Ek lamhe k liye sadiyon ko bhula deta hai
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:18th Oct 2010, 5:33pm
 

sad sad

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra

Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra

Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath Sada
Tairi Talaash, Zamanay, Hawa, Maira Chehra

Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra

Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra

Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoi Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra

Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra

Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra

Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi Mohsin
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?
s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 99  Post: 5405  Age:   
Posted on:19th Oct 2010, 1:06am
 

Dip uncle

آپ اتنے اداس اداس کیوں ہیں ؟ جو ایسی شاعری لکھی ؟



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 53  Post: 3436  Age:  37  
Posted on:19th Oct 2010, 10:11am
 

haye main aur meri udaasi

s4u g kabi kabi bandy ko udaas b ho laina chahiye ....acha lagta hey ..:)

udaasi main b apna hi aik lutaf hey ...wo aik ghazal k ibdayee ash'aar hain na .. (ghalti ho to drusat kar dain)

Udasiyan jo na laty to aur kia karty..!!
Sham-e-ghamv hans k na manaty to aur kia karty

Andhaira aya tha mangny roshni ki bheek
Hum apna ghar na jalaty to aur kia karty

to issi liye keha hey k udasiyaan b iss zindagi k liye zaroori hain ...:(



Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:26th Oct 2010, 8:21pm
 

Mohabbat Eik Barish hay

Kbhi Barish Barasti he
To mjhko Yaad Aata hay
Wo Aksar mjh se Khta Tha

"Mohabbat Eik Barish hay"
Sbhi p jo Barasti hay

Mgar Phir bhee nai hoti Sbhi k Wastay Yaksaan
Kissi k --

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:26th Oct 2010, 8:22pm
 

Mohabbat Eik Barish hay

Kbhi Barish Barasti he
To mjhko Yaad Aata hay
Wo Aksar mjh se Khta Tha

"Mohabbat Eik Barish hay"
Sbhi p jo Barasti hay

Mgar Phir bhee nai hoti Sbhi k Wastay Yaksaan
Kissi k --

Javed Imad Group: Members  Joined: 31st Oct, 2009  Topic: 14  Post: 367  Age:  39  
Posted on:26th Oct 2010, 8:23pm
 

Mohabbat Eik Barish hay

Kbhi Barish Barasti he
To mjhko Yaad Aata hay
Wo Aksar mjh se Khta Tha

"Mohabbat Eik Barish hay"
Sbhi p jo Barasti hay

Mgar Phir bhee nai hoti Sbhi k Wastay Yaksaan
Kissi k --

For More Detail Click On Page No: 1 2 3  >>
 
 
 
Pakistani in Italy  How to get Canadian Work Permit  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 30th May 2014