Chelation therapy therapy : Role Of Chelation therapy In Coronary Vessel Disease:
Chelation ka basic concept or role heavy metal poisoning ki treatment mai hai aur woh yeh ha keh chelators woh compounds ya substances haiN jo heavy metals like lead , arsenic etc ki kisi ko poisoning ho to inn ko orally dainey say yeh oos metal ka sath body mai combine kar keh oosko body say excrete karwatey haiN aur oos metal ka function decrease karwatey haiN.JahaaN tak iska role coronary vessel disease mai ha to mainly ispeh jitni bhi researches huwe haiN oouN mai iska koi khaas ya khatar khwaa role ya difference from usual treatment/prevention options say nahe daikha gaya. Coronary Vessel disease plaque ya atherosclerosis ya phir arteries kay under chaRbi jama ho janey say arteries tang houney ki waja say aur blood ka proper flow na ho sakney mainly create hoti haiN. Ismeh chelation ka concept yeh ha keh inn plaques mai calcium bhi mojood hota ha jo isko over period of time hard kata ha yeh chelators oosko absorb karaiN ya excrete karain ya body mai hee use karwaiN plaque wali jaga say mobilize kar keh aur arteries open houN. Chelation kaisey act karey gee plaque peh iski kafi theroies haiN magar koi bhe proven nahe ha aur na he medical opinion chelation ko koi khatar khwaa treatmnet samajhti ha advanced coronary vessel disease maiN. Mera to yehe khayal ha keh you are a candidate of by-pass surgery if no other contraindications are there.
|